Agar aap apne google account ke password, email address etc. bhool jate ho to account recover access karne ke liye recovery email address ya phone number ki jarurat padti hai. Isiliye aapko hume pahle se apne gmail account me recovery email ID add karke rakhni chahiye taki aapke account ki security bani rahe or aapko koi problem na ho.
Google account me hume 2 email address use karne hote hai ek sign in karne ke liye or ek account recovery ke liye. Account recovery wala option optional hai or ise bahut kam log use karte hai.
- Google Kya Hai Google Ke Bare Me Puri Jankari Hindi Me
- Google Par Gmail Account Kaise Banaye or Internet Se Kaise Jude
But google account security ke liye ye jaruri hai taki aapko account recover karne me koi problem na ho. Is post me main aapko google gmail account me recovery email address add karne ke bare me step by step screenshot ke sath jankari de raha hu.
Agar aap apne google account me recovery phone number add karna chahate hai to ye post read kare, Google Account Me Recovery Phone Number Set Kaise Kare.
Google Account Me Recovery Email Address Add Kaise Kare
In steps ko follow kar aap easily apne google account me recovery email set kar account ki security badha sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle aap internet browser open kar apni gmail id se log in kare or gmail.com site par ja kar right side me apne profile picture par click kar My Account par click kare.
- Right side me apni profile picture par click kare.
- Ab My Account button par click kare.
Step 2:
Ab Sign-in & security setting option par jaye or Account Recovery Options choose kare.
- Yaha Recovery email option par click kare.
Step 3:
Ab google aapko recovery homepage par redirect karega or google account password confirm karne ke liye kahega. Password confirm kar Next par click kare.
- Add Recovery Email par click kare.
Step 4:
Ab ek small popup windows open hogi usme apna recovery email address type kar Done par click kare.
- Recovery email address add kar DONE par click kare.
Congratulations! ab aapke google account me recovery email address add ho chuka hai. Ab jab bhi aap kabhi apne gmail account ke password bhool jao to forgot password par click kar recovery email address se password reset kar sakte ho.
Har ek internet user ke liye sabse important uska online account hota hai or usse bih jyada important account security hoti hai so is tutorial ko avoid na kar abhi apne google account me recovery email address set kar le.
- Google Account kO Secure Karne Ki Top 5 Tips and Tricks
- Deceased Person Ke Google Account Ko Band Kaise Karwaye
Agar aapko ye jankari chhi lage to ise apne dosto ke sath social media par share jarur kare.
ajkal google hame suru me hi recovery email or phone ka option dene lag gaya h aise me personally me mahsus kar chuka hu ki ye kitna safe h kyo ki email id ko kai bar koi bhi open karne ki try karne lagta h. apne jis tarah se btaya h har koi asani se ise apply kar sakta h
Agar hamara Mobile no. Lost Ho Jaye to email recover kaise kare
Recovery email address se.