Computer Laptop User Ke Kaam Aane Wale Top 10 Free Software

Market me bahut sare high-tech software available hai but jaruri nahi hai ki wo sabhi har ek user ke kaam ke ho. Aapke computer / laptop system me jitne kam software honge wo utna hi fast run karega sath hi kam software use karne se hanging or slow work karne ki problem bhi nahi hoti hai. Is post me mai aapko jin 10 desktop softwares ke bare me bta raha hu unse aap bahut sare kaam kar sakenge.

Free software for desktop computer

Internet par aapko desktop ke liye bahut sare software mil jayenge but mai yaha aapko un softwares ke bare me bta raha hu jo har user ke kaam aate hai or jinki lagbhag daily work me jarurat padti hai.

Fir bhi aap apni pasand ke software ko try kar sakte ho. Kyuki har kisi ki pasand alag hoti hai koi online game khelna pasand karta hai, koi news, comics padhna pasand karta hai or koi online work karna.

10 Free Software Jo Har Computer / Laptop User Ke Kaam Aa Sakte Hai

1. Free download manager:

Agar aap downloading karne ke bahut jyada shaukin hai to ye software aapke liye hi hai. Actually kei bar downloading karte time bich me internet connection slow ho jata hai ya cut ho jata hai jis wajah se koi bhi software full download nahi ho pata hai or internet connection error show hota hai. Isse user ko wo software fir se download karna hota hai. So is software ki help se aapki ye samsya khatm ho jayegi kyuki ye kisi bhi downloading ko resume or pause karne ka option deta hai.

2. Youtube Downloader HD:

Agar aapko video dekhna ka bahut shok hai to aap aksar apne computer ya laptop PC me YouTube par video dekhna pasand karte hoge. Youtube ek aysi duniya hai jis par aapko lagbhag har tarah ke video mil jate hai. Ye video 3gp, mp4, mpeg, HD me hote hai or ab to isme 4k quality bhi aa gayi hai. Ayse me agar aapko internet connection slow hai to bar bar video buffering problem hogi jisse video dekhne ka maza kharab ho jata hai. Isiliye aap YouTube downloader HD softwares install kare. Isse aap kisi bhi video ko online dekhne ke sath download bhi kar sakte ho.

3. Adobe Reader:

Kisi bhi desktop ke liye adobe reader software bahut jaruri hota hai. Lagbhag 90% laptop / computer me ye adobe reader mil jayega. Kyuki jab bhi user online ya offline koi PDF file ko open karta hai to uske liye adobe reader ki jarurat hoti hai. Iske alawa E-book ya dusri e-files ke liye bhi iski jarurat padti hai.

4. Read It Later:

Ye software un users ke liye hai jo online internet par articles, news, comics padhna pasand karte hai. Wo read it later ki help se kisi bhi page ko save kar sakte hai or use bad me internet connection ke bina bhi offline un pages ko padh sakte hai. Iski important bat ue desktop ke sath sath smartphone me bhi application ki tarah work karta hai.

5. Eraser:

Kisi bhi laptop and computer me anti virus ka hona bahut jaruri hai. Jo aapke PC ko protect karta hai or jisse computer ki security bani rahti hai. Eraser bhi ek aysa hi software hai jo anti virus ki tarah kaam karta hai. Iski help se aap computer me mojood extra and unwanted files ko delete kar sakte hai. Sath hi agar aap apna system kisi or ko use karne ke liye kisi or ko de rahe hai  to eraser bahut kaam ka sabit hoga.

6. IObit Toolbox:

IObit toolbox software user ko 20 ayse tool offer karta hai jinki madad se aap apne system me mojud koi bhi problem ko solve kar sakte hai. Iski madad se aap kabhi bhi kahi bhi apne PC ko repair kar sakte ho. Ye software us time bahut kaam aata hai jab computer ke kuch software work karna band kar dete hai.

7. Connectify:

Agar aap pane computer laptop ko Wi Fi hotspot ki tarah use karna chahate hai to ye software aapke liye bahut kaam ka hai. Iski help se aap apne PC ko aasani se wi-fi hotspot me badal sakte ho. Ye other device ke liye internet connection provide karta hai.

8. LogMeIn Hamachi:

Is software ki help se aap apna VPS (vartual private network) generate kar sakte ho. I mean isse aapka internet connection humesha secure rahega or us par koi virus ya hackers attack nahi kar sakega. Internet connection ke sath hi is software se aapka computer bhi safe rahega.

9. Virtual CloneDrive:

Is software ki madad se user apne computer me vartual CDs and DVDs ko hard disk drive me copy kar sakta hai. Yani ki aap kisi bhi CD ka data apne pc ki hard drive me copy kar save kar sakte ho. Iska sabse badiya fayda ye hai ki iski wajah se aap optical clonedrive ko avoid kar sakte hai.

10. Battcursor:

Ye softaware mostly laptop ke liye hai jo aapke laptop ki battery time ko increase karne ke kaam aata hai. Isse jab aap laptop me koi free software use kar rahe hote ho to ye use customize karta rahta hai.

Agar aapko inke alawa kinhi or softwares ke bare me pata ho jo laptop / computer user ke kaam aa sakta hai to aap comment me uske bare me bta sakte ho. Aapki wajah se humare reader ki help ho sakti hai. Sath hi is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 53 )

  1. Bhagat

    Wash Khan bhai, aapne to kafi acchi list di hai, mai to 2 salon se free download manager use kar raha hoon, kafi acchi speed se download hoti hai.

    Reply
  2. rohaan

    aap kaise no follow karte ho ? plugins se ya htnl se agar plugin se to koi achha sa plugin baitaiye jiska use kar sake

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Mai aysi site ke link post me add hi nahi karta jin par mujhe lagta hai ki ye bad site ho sakti hai. Aap google me search karo jis par jyada downloads ho wo use karo.

      Reply
  3. rohaan

    Wordpreas me kisi bhi post me agar internel aur externel link add karte hai to wo dofollow ho jata hai aur kahi nofollow ka option bhi nahi hota, links ko nofollow karne ka kuch upay hai ??

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap manualy link me nofollow code add karo ya iske liye plugin use karo.

      Reply
  4. kassim

    Ek post me kitne add laga sakte hai, that mins kitne link add aur kitne tex & display

    Reply
  5. Mo Aziz

    Good Info Bro I am Impreese
    Bahut hi badiya Software hai Inme se Kuch Soft Mai use karta hoo

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...