Google Adsense ke bad affiliate marketing program blogging se paise kamane ka sabse better way hai. Bahut sare blogger affiliate program se lakho rupees kama rahe hai. Aaj main aapko Hostgator India ke affiliate program se paise kamane ke bare me bta raha hu. Main already hostgator india affiliate program se achhi earning kar raha hu aap bhi isse monthly lakho kama sakte ho. Chaliye jante hai hostgator india affiliate program se paisa kaise kamaye ja sakte hai?
Hostgator india or bluehost india ye dono hosting provider india me top hosting server provide karne wali company me se ek hai. Mostly, new indian blogger like hindi blogger in se hi hosting buy kar ke WordPress blog install karte hai.
Sabse badi problem 50% indian blogger ke pas credit card nahi hota hai or USA, UK hosting provider like hostgator.com, bluehost.com and other par without credit card payment karna available nahi hai. So jyadatar log debit card ke throw hostgator.in and bluehost.in se hi hosting purchange karte hai.
- Flipkart Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi
- Affiliate Sales Kaise Grow Kare & Top 11 Best Secret Tricks
Wese inke alawa bhi bahut se indian hosting provider hai but ye baki se jyada popular or behtar service de rahe hai. So agar aapke pas koi blog hai or us par achha original traffic hai to aap inke affiliate program se good income kar sakte ho.
In this post, main aapko hostgator affiliate program se paise kamane ki information bta raha hu. I sure aap hindi blogger ho kar bhi hostgator.in se lakho kama sakte ho.
Hostgator India Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi (With Proof)
How to make money from hostgator india affiliate marketing in hindi. Hostgator hume per sale 1,250 to 3,000 rupees tak commission de raha hai. Agar aap 21+ sell kar lete ho to aapko per sale 3000 yani total 63,000 rupees milenge. Suppose aapke blog par se per month 42+ sale ho jati hai to aap 1 lakh se jyada paise kama sakte ho.
Agar aap soch rahe ho ki hostgator india se aap kitna paisa kama sakte ho or hostgator india affiliate program se aapko kitna commission milega or iska proof kya hai to aap ye screenshot dekh kar samajh sakte ho ki aapko per sale kitna commission mil raha hai.
Yaha clear dikhaya hua ki aapko 1-5 sale par per sale 1,250, 6-10 sale par per sale 1,650, 11-15 sale par per sale 2,250, 16-20 sale par per sale 2,500 or 21 se jyada sale par per sale 3,000 rupees ka commission milega.
Ab ye aapke blog par depend karta hai ki aapke pas kitna user support hai or aap kitni sale kar pate hai. Aap blog ke alawa email marketing, direct link sharing and other method se bhi iske affiliate link and banner ka promotion kar sakte ho.
For proof, aap ye screenshot dekh sakte hai. Isme 6 sells ke 7,500 yani per sells 1,250 mile hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aapko kitni sells milti hai.
How to Sign Up on Hostgato India Affiliate Program:
Sabse pahle aap Hostgator India site par jaye or right side me top par affiliate link par click kare ya fir aap footer me check kare aapko affiliate program ka link mil jayega.
- Hostgator India site jaye or top site par affiliate link par click kare.
- Ab Sign Up button par click kare.
Ab ek account information ka page open hoga usme aapko apni details, account information, personal information, payment details bharni hogi. Uske bad aap hostgator aapki site ka review karega.
Review complete hone ke bad aap hostgator affiliate program page par log in kar ke uske promotion links, banner, text message ko apni site par add kar sakte ho.
Iske bad jab bhi koi user aapki site par lage affiliate ads par click kar ke hostgator india se hosting and other product buy karega to aapko commission milega.
Sabse achhi bat ye hai ki aap hindi blog par bhi hostgator india affiliate program se achhi income kar sakte ho. Examples, main ek hindi blogger hu or google AdSense ke bad hostgator affilaite program se bhi achhi earning kar raha hu.
- Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai
- StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi
Ek hindi blogger ke liye ye bahut hi better affilialite program hai. Agar aap har mahine 6 to 10 sell bhi kama lete ho to aapko per sale 1650 milenge yani aap per month 16,500 rupees easily kama sakte ho.
Iske liye aapko jyada traffic ki jarurat nahi hai bas aapke pas original traffic ho or reader ka achha support ho jo aapki site ke throw product buy karna pasand kare.
Is post ko social media or dusre blogger ke sath share jarur kare.