WordPress par blog banane ke liye sabse pahle web hosting service ki jarurat hoti hai. Agar aap zero cost se wordpress blog banana chahate ho to aap Free WordPress Hosting service use kar sakte ho. Yaha hum wordpress site ke liye top 10 web hosting provider ke bare me bta rahe hai. Top 10 Free Web Hosting for WordPress 2024.
Agar aapke pas domain already hai to aap free hosting company se hosting le kar wordpress install kar sakte ho aur agar aapke pas domain nahi hai to domain lene ki janakri yaha hai.
Jin blogger ke pas hosting aur domain buy karne ke liye budget nahi hai ya fir wo paisa kahrch kiye bina wordpress site create karna chahate hai to free hosting le kar blog build kar sakte hai.
Lekin free wordpress hosting ke kuch Disadvantages bhi hote hai. Agar aap inko use karoge to aapko:-
- Koi support nahi milega.
- Blog slow load hoga.
- Jyada traffic aane pr aapke blog ko block bhi kiya ja sakta hai.
Ye 3 bahut bade disadvantages hai free hosting ke. So aap wordpress sikhne ya aese hi shauk ke liye wordpress install karne ke liye hi free wordpress hosting ka istemal kare.
Professional blogging ke liye mai aapko free wordpress hosting bilkul bhi nahi suggest karunga. To ab sidha main topic pr baat karte hai.
Top 10 Free Web Hosting Companies WordPress Ke Liye
Mai aapko 10 aisi free web hosting sites ke bare me bataunga jo ki kafi trusted aur reliable bhi hai. Maine khud bhi inhe try kiya hai aur ye kaafi badhiya hai.
1. 000 Web Host
Ye sabse badhiya Free Web Hosting provider hai. Aur ye site is industry me 2007 se run kar rahi hai aur bahut se blogger free hosting me isko no.1 par suggest karte hai.
- Easy to use
- One click WordPress Installation
- Good Support
- No ads
- WordPress Optimized Speed.
- Lacks Features
- Slow Uptime
Ye bahut hi best choice ho sakta hai. Aur ab to iska Affiliate Program bhi launch ho chuka hai aap isse paise bhi kamane sakte ho.
2. Free Hosting – Host Without Cost
Free hosting ek kafi achha website agar aapko free hosting chahiye to freehosting sabse best hai. Agar aap chahe to aap iske paid plans ko bhi kharid ke upgrade kar sakte ho.
- 10 GM Disk Space.
- Free account can handle 30,000 visitors/day.
- Your blog will online 24 hours.
- 100% free lifetime hosting.
- Some limitation to free service.
Ye aapko lifetime free hosting offer karta hai, Ye iski sabse badi khubi hai. Isme aapko aur bhi kaafi tarike ke hosting dekhne ko milenge. Isko bhi aap bar jarur try karna.
3. Free Hostia
Free Hostia ek accha option ho sakta hai agar aapko free wordpress hosting par ek chhota WordPress blog build karna hai to kyunki iska Disk Space todha kam hai Jo hai 250 MB.
- Good Server Speed
- Excellent Support
- Bad Interface
Isme bhi aapko 1-click installation mil jayega aur iska server bahut hi fast response deta hai. Inke server Chicago, USA me hai aur pure world series kahi se bhi access kiya ja sakta hai.
4. 5GB Free
Ye website aapko aapke e-commerce ya WordPress blog ke liye free me hosting deta hai par storage sirf 5 GB ki hi available hoti hai free plan me.
Aur jab aapka free hosting ka pura 5 GB khatm ho jayega to aapko iska paid plan purchase karna hoga jo hai $2.95/month se start hota hai.
- Good Server Speed
- Enough space
- Enough bandwidth
- Need to pay after 5 GB storage
Isme aap sabhi Web Application jaise WordPress, Drupal, Joomla, etc ko 1-click se install kar sakte ho. Ye, Hosting bahut hi safe hosting service hai, jaise Hostgator ya BlueHost ki hoti hai.
5. Byet Host
Byet Host aapko free hosting aur paid hosting dono hi offer karta hai aur aaj is site or kareeb 1 Million website hosted hai. Isse aapko is site ki quality ka andaza lag hi gua hoga ki ye kitni reliable hai. Inka server bahut hi fast response deta hai aur aapko badhiya support bhi milta hai.
- Good Support
- Easy to use
- Very limited server space
Badhiya support aur Fast response time ki wajah seeye hosting service bahut hi badhiya WordPress blog ko start karne ke liye. Ye bhi aapko unlimited ad-free, load balanced, free Web hosting, Vista Panel, PHP, My SQL, FTP, etc aapko isme San kuch mil jayega.
6. AwardSpace
AwardSpace bhi ek bahut hi bahiya website Hai free hosting ke nazariye se. Isliye jab bhi mujhe koi bhi blog ko free wordpress hosting me host karana hota Hai to Mai sabse pehle AwardSpace ke hi bare me sochta hu.
Iske features mujhe bahut hi acche lagte aur Mai aap logo ko bhi yehi site recommend karunga Free Hosting ke mamle me.
- Decent support
- 30 MB My SQL database
- Free Website Builder
- E-mail sending
- WordPress and Joomla installer
- Limited server space
Dekhne ko mil jayega. Aur is site ka review bhi bahut accha aur aaj ke date me iske 2.5+ Million se bhi jayada coustomers hai.
7. European Free Hosting
Ye ek European Website hai Jo aapko free Web hosting details hai. Aur ye bhi trusted website aur kisi bhi smaal blog ya business kekiye upyog ki ja sakti hai.
- 30 GB Database storage
- 4 GB Bandwidth
- 200 MB Disk Space
- Choice of domain names
- Low disk space
Isme aapko koi ads bhi nahi dekhne ko milnge aur ek FTP bhi milega.
Iska interface todha dekhne me think think nahi lagta baakiyon ki tarah pr iske alawa sab kuch sahi hai.
8. U Host Full
U Host Full bhi aapko 2 types ke Hosting provide karta hai ek free aur ek paid. Par yaha hum baat karne wale Hai sirf free wordpress hosting yani free hosting wale ke baare me.
- Easy to use
- Unlimited Space
- Unlimited Bandwidth
- Instant Activation
- No Forced Ads
- Dated interface
Aadi aapko dekhne ko mil jayega par Mai ye recommend karunga ki aap iska paid plan ko mat use karna kyunki ye site secure nahi hai means HTTPS enabled nahi hai.
9. Infinity Free Hosting
Infinity Free bhi kafi badhiya Free hosting provider aur bahut hi accha user friendly bhi hai. Maine is khud bhi kaafi time tak use kiya hai aur ye mujhe khud bhi kaafi accha lga.
- Easy to use
- 99.9% uptime
- Completely free
- Bad Performance
Par isse last me rakhne ki wajah sirf itni hi Hai ki jaise hi aapke Website/Blog pr todha bhi traffic aana start ho jayega vaise ye aapke Blog/Website ki load time ko bahut badha deta hai.
10. Free Hosting No Ads
Ye bhi ek best free wordpress hosting hai jo hume free plan me 20 GM disk space aur 200 GB bandwidth deti hai. Iske free plan ki daily visitor limits 1000 hai.
- Good PHP hosting
- 20 GM Disk space
- 200 GB bandwidth
- 3 email accounts
- Promotional email messages
Ye hum control panel ke sath website builder bhi provide karti hai. Sath hi free setup service bhi milti hai. WordPress try karne ke liye ye best hosting company hai.
Agar aapko hosting par wordpress install karne ki jankari chahiye to ye article read kare.
Conclusion
Is article me maine aapko aise 10 websites ke bare me bataya hai jo aapko free hosting deti hai aur aapse 1 Paisa bhi nahi leti. Ye sabhi top 10 best free web hosting companies hai.
Maine is article me jitne websites ko bataya hai vo sari website bahut hi relaible aur trusted hai. To phir aap inme se kaunsi website use karne wale ho. Hume comments me jarur bataye.
Ye bhi hapdhe,
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
- SEO Friendly Web Hosting Kaise Choose Kare 5 Important Tips
Free wordpress osting ka istemal sirf wordpress try karne ke liye kare blog run karne ke liye paid hosting plan le, free hosting me kabhi bhi aapka account delete aur data lost ho sakta hai.
I hope ki article aapko accha lga hoga aur agar lga hai to aap apna 5 second nikal ke ke is aricle ko share karna na bhulien.
very helpful information
hostinger ya 000 Web Host se hosting lene ke bad bhi wordpress ka plan lena jaruri hai ?
kya mai wordpress plan ke bina hostinger ya 000 Web Host se wordpress ke plugin install kar sakta hu?
हां बिल्कुल, wordpress.rg पर कर सकते हो।
Post to kafi helful hai lekin sayad aapne ek free web hosting company add karna bhul gaye, GoogieHost ye bhi ek indian free web hosting company jo baaki companies ki tarah free web hosting offer karti hai.
Jumeddin bhai article ko thoda update karke ishko bhi add kr lo to khusi hogi,
Mujhe apna blog wordpress par transfer karna hai. Isliye aapki ye post mere kaam ki hai.
Agar aapko apna blog WordPress pr transfer karna hi Hai to paid hosting lijiye na ki free hosting. Ye sirf sikhne ke liye hai
Bhai ak baar hosting lana k baad change kar sakta ha kya baad ma
yes jab chaho kar sakte ho, new hosting le kar us par wordpress transfer kar lo. look WordPress Ko Another Hosting Par Migrate Kaise Kare
Jumedden Bhai, EK advice chahiye aapse. Mai Hostgator hosting use karta hu…mere site par daily ka pageviews 3-4000 ke bich me hai..Lekin usse abhi itni jyada kamai bhi nahi hoti hai ki ek mahine ke hosting ka kharch bhi nikal sake…to jab tak achchi khasi earning na hone lage tab tak ke liye kya mujhe is post me bataye gaye kisi ek free web hosting par site move kara lena chahiye ya Hostgator hi use karte rahna chahiye?
Reply jarur dijiyega. 🙂
No, aap ek achhi hosting par blog run karo digitalocean cheap and best hai, free hosting par site down hogi aur traffic down ho jayega.
बहुत बढ़िया जानकारी दी है सर आपने.
इससे नये ब्लॉगर ओर जो होस्टिंग अफ़्फोर्ड नही कर पाते उसके लिए बहुत उपयोगी जानकारी है.
Thanks aur agar aapko koi aur bhi madad chahiye hogi to Is Blog pr aapko saari jaankari mil jayegi
Hi
sir kya ham inhe learning purpose ke liye use kar sakte hai.
Yes.
Bohot achhi jankari di hai brother aapne, free web hosting ke bare me
Bahut Hi Accha Information He Thank You Bhai