Hello dosto aaj main aapko ek aEyse android app ke baare me btaunga jisko use kar ke aap apne phone ko remotely control kar sakte hai. Matlab agar aapka phone aap ghar bhul gaye hai to aap apne laptop, computer ke zariye apne phone ko remotely access kar sakte hai. Aayiye jante hai AirDroid App Kya Hai Aur Iska Use Kaise Kare?
Jin logo ko computer parjyada work karna hota hai aur jinke pas apne smartphone ko use karne ka time nahi hai unke liye yeh app bahut hi useful hai.
Jab kabhi aap apne mobile ko ghar par bhul jao to airdroid app se aap apne office se phone remotely access kar sakte ho.
AirDroid Windows 10, Windows 8, Windows 7 etc. sabhi ke liye available hai. Aap apne PC ya office computer se bahut aasani se airdroid ki help se mobile ko pc se connect kar sakte hai.
AirDroid App Kya Hai?
AirDroid app ek android app hai jo hume apne phone ko remotely access karne me help karta hai. Airdroid app aapke phone aur computer ko wireless se connect karta hai without usb cable ke.
Airdroid app web server ki tarah work karta hai. Matlab aapke phone ki saari details ko web me show karta hai. Sirf show hi nahi aap apne phone ki saari details ko use bhi kar sakte hai.
Ye app useful unlimited features provide karta hai. Isse aap apne phone ke sabhi data ko apne computer me open kar sakte hai aur istemal kar sakte hai.
AirDroid App Se Kya Kya Kar Sakte Hai?
AirDroid app hume bahut saare features provide karta hai. Jinme se kuch is prakar hai.
- Airdroid app se aap apne phone ko track kar sakte hai.
- Apne phone ka camera on kar sakte hai.
- Apne phone ke saare data ko aap apne computer leptop me show kar sakte hai.
- Apne phone ke saare data ko jaise ki audios, videos, images, ringtones, message etc. ko open kar sakte hai saur download bhi kar sakte hai. Contact, call logs ko dekh sakte hai aur open kar sakte hai.
- Apne phone ke apps ko dekh sakte hai aur download kar sakte hai.
- Aap bina apna phone liye sirf computer se hi apne phone me koi bhi data upload kar sakte hai.
Aur bhi bahut saare features provide karta hai airdroid app jinke bare me janne ke liye aap is app ko try karke dekh sakte hai.
AirDroid App Kaam Kaise Karta Hai
Airdroid app ko apne phone me install kar ke ek account create karna hota hai. Account complete hone ke baad aap apne phone ki saari details ko computer, laptop ya fir kisi dusre phone ya device me dekh sakte hai.
Agar aap apne phone ki saari details ko computer, laptop me dekhna chahate hai aur apne phone ko remotely access karna chahte hai to aap jis phone ko access karna chahte hai us phone me mobile data internet connection on hona chahiye bina internet connection ke aap apne phone ko access nahi kar sakte.
Airdroid App Download Kaise Kare?
Airdroid app ko download karna simple hai agar aap airdroid app ka pro version download karte hai to aapko apne phone ko access karne me kisi bhi chiz ki kami nahi hogi.
Ye app play store par available hai.
- Google play store open kare.
- Uske baad play store par airdroid search kare.
- Install par click kare.
Bas ab aapka airdroid app download hona start ho jayega kuch hi second me download ho kar automatically install ho jayega.
Airdroid Par Account Kaise Banaye?
Airdroid app download kar ke open kare uske baad sign in & sign up par click karna hai.
- Sign up: Yaha par click kare.
- Email: Yaha aap apna email address enter kare.
- Password: Aap airdroid me jo password rakhna chahte hai woh password rakhe aap password me numbers, letters, symbols ko use kar sakte hai.
- Enter password again: Yaha dusari baar wohi password enter kare jo aapne upar pehle rakha tha.
- Nick name: Apna name enter kare.
- Signup: Last me sign up button par click kare.bas ab aapke airdroid ka account complete ho gaya hai.
AirDroid App Ko Use Kaise Kare – Hindi Jankari
Apne phone ko PC seremotely access karne ke liye sabse pehle aapko apne computer, laptop me kisi bhi internet browser ko open kare aur airdroid ki site par jaye.
AirDroid App Se Phone Ko PC Se Connect Kaise Kare?
- Browser me web.airdroid.com site ko open kare.
- Ab apne email address & password se log in kare.
Sign in karne ke bad aap apne phone ki saari details ko nikal sakte hai aur use bhi kar sakte hai. Is tarah se aap airdroid app se apne mobile ko computer se connect kar remotely access kar sakte ho.
Mujhe ummid hai ki yeh post aapko pasand aayi hogi. Agar aapko yeh post achhi lage to ise social sites par apne friends ke saath share jaroor kare.
Thanks.
Thank you sooo much sir very helpful information
But ek dobut tha
Kya hum AirDroid app se mobail ka delete Kiya hua data photo msg bhi dekh shkte hai ya fir sirf abhika live Jo data hai vohi dekh skte hai
You are most wellcome
Srushti ji
Aur jdk bhai Ko bhi thanks kehna chahta hu ki unho ne muje SMI par guest post ka Mauka diya
This article is very helpful. Sachin ji thanks for sharing.
Manjeet ji thank you so much bhai
Wow , such as a great article share Karne ke liye thanks