Freelancing Kya Hai Aur Isse Kamai Kaise Hoti Hai Hindi Jankari

Agar aap quickly online internet se earning karna chahate hai freelancing aapke liye sabse best hai, internet se paise kamane ke bahut sare tarike hai lekin ye sabse behtar hai kyuki isme aap online kaam karke kam time me internet se achhi income kar sakte hai. Toh chaliye jante hai Freelancing Kya Hai, Isse Kamayi Kaise Hoti Hai?

Freelancing Kya Hai

Internet se paise kamane ke bahut se tarike hai jinme YouTube aur Blogging top and most popular hai lekin in dono tariko se earning karne me bahut mehanat lagti hai aur kafi time bhi lag jata hai. Jabki freelancer banke aap quickly income kar sakte ho.

Is post me main freelancing ke bare me puri jankari share kar raha hu jisse aap freelancing ko details me samajh sakte ho. Chaliye freelancing ko achhe se samajh lete hai.

Freelancing Kya Hai?

Freelancing ek aesi online service hai jiske taht aap kisi person ka kaam kar badle me kuch paise lete ho. Man lijiye ek vyakti ko programming language ki achhi knowledge hai lekin dusre vyakti ko nahi hai aur wo apni website design karana chahata hai.

Ab agar pahle wala aadmi uski site ko design kar de to dusre wale ka kaam ban jayega lekin use badle me pahle wale person ko kuch paisa dena hoga. Is tarah dono ko fayda hoga, ek ko apne talent ke badle paise milenge aur dusre ki ki website design ho jayegi. Ise hi freelancing kahte hai.

Freelancing Se Kamai Kaise Hoti Hai?

Agar kisi vyakti me koi talent hai to wo apni skills ko dusro ke kaam karne me laga sakte ho badle me use us vyakti se paisa milega, yani kamai hogi.

Freelancing ka kaam karne wale ko freelance ya freelancer kaha jata hai. Agar aap me koi aesa talent hai to aap apne talent se dusro ka kaam kar freelance kar paise kama sakte ho.

Website designing, optimizing, content writing, link building, video making, SEO etc. sab isme shamil hai. Kitni kamai hogi wo aapke talent par depend karta hai, aap jitna behtar karoge utna hi aapke kaam ka price hoga.

Freelancing Me Kya Services Aap Sell Kar Sakte Hai?

Waise toh freelancing offline bhi kar sakte hai lekin hum iss post mai online tarike ke baare mai jaan rahe hai to main aapko iske online tarike bta raha hu.

Freelancing mai ye services provide kar sakte hai.

  1. web development
  2. web design
  3. graphic design
  4. UI/UX design
  5. content writing
  6. mobile app development
  7. marketing services
  8. Content optimizing
  9. accounting services

Waise toh aur bhi kayi services aap freelancing mai provide kara sakte ho lekin jaise ki humare blog ke readers Indians hai toh hum unn services ke baare mai jaanenge jo India mai aur freelancers provide kar rahe hai.

Agar aapke paas inn services se related skills hai toh aap freelancing kar sakte hai.

Freelancing Shuru Kaise Kare?

Toh jaise ki hum freelancing ke baare mai jaan chuke hai ab aapke mann mai ye sawal aa raha hoga ki freelancing shuru kaha se kaaren?

Sabse badi galti jo log karte hai jab vo freelancing shuru karte hai ki shuru karne se phele koi bhi prepration nahi karte aur baas shuru kar dete hai.

freelancing shuru karne se phele aapko ye preparations ko kar lena chahiye.

  1. sabse phele aur sabse badi cheez aapko apni skills se related 2-3 projects ready kar lene hai (for ex. agar aapki skill web design hai toh aapko 2-3 web page design kar lena hai.) taaki aap apna kaam logo ko dikha saake, kyu ki agar aapke paas kuch dikhane ke liye nahi hoga to koi aapko project karne ko nahi dega.
  2. apna bio likh le, aap apna ek 50 to 70 shabdo ka bio likh le ya likhwa le aur jitna acha likh sakte ho utna acha likhe.
  3. apni ek solo pic dhundh le jisme aap simple lag rahe ho or ye dhyaan rakhiyega ki aapki pic solo honi chahiye.
  4. aapko apni ek limit set kar leni hai, ab limit se mera matlab hai ki aapko ye dekhna hai ki aap kis level mai hai uss skill mai or uss hisaab se aapko ek pricing rakh leni hai. Ye cheez bohot important hai ki aapki pricing ek rates sahi ho bohot kam nahi honi chahiye bohot jada bhi nahi honi chahiye.
  5. Time management karna aapko seekhna padega jaise ki ye post students ke liye hai toh hume dekhna hoga ki student apne din ko kitni ache tarah optomise karta hai ki vo apni study or baki jaruri cheezo ko time de pa raha hai ya nahi.

Freelancing Sites Kya Hai?

Ab aapko ye to pata chal gaya hai ki freelancing kya hai aur kaise karte hai, ab baat aati hai freelancing kaha se shuru kare to main aapko bta du ki internet par bahut si freelance website mil jayegi jin par aap freelancing start kar sakte ho.

Freelancing site ek aesi site hoti hai jiske jariye kaam karne wala aur kaam karwane wala ek dusre se contact karte hai. Dono hi freelance website par apni profile bana sakte hai.

Kaam karne wale apne talent aur skills k bare me likh sakta hai ki wo kaun kaunsa kaam kar sakta hai. Jabki kaam karwane wala apni jarurat yani use jo kaam karwana hai uske bare me likh sakta hai.

Matlab saaf hai freelancing sites ek aesa platform hai jaha par buyer aur freelancer ek dusre ko dhundh sake aur ek dusre s contact kar sake, sath hi site ke through payment len den kar sake.

Best Freelancing Site Konsi Hai?

Waise toh internet pe bohot saari freelancing sites available hai lekin mai aapko kuch badiyafreelancing sites ke bare me bataunga jo sabse jada trusted or reputed hai.

Upwork

Agar aap thoda bohot bhi freelancing ke baare mai jante hai toh aapne upwork ka naam toh jarur suna hi hoga. upwork duniya ki sabse badi or trusted freelancing website hai. yaha pe aap har prakar ki freelancing services provide kara sakte hai jo ki maine uppar mention kari hai.

Freelancer

Freelancer mai bhi aap sabhi prakar ki freelancing services provide kara sakte hai, lekin sabse badi baat freelancer ki ye hai ki log mobile app development ke liye freelancer pe jaate hai. Waise toh freelancer ek bohot acha platform hai lekin competition jada hone ki wajah se yaha se projects badi mushkil se milte hai.

Fiverr

Fiverr par bhi aap sabhi prakar ki freelancing services provide kara sakte hai lekin fiverr pe freelancing karne ka tareeka bohot alag hai yaha pe aapko projects pe bidding nahi karni hogi lekin aapko apni gig ko bohot acha banana hoga jisse jada se jada log aapko projects de.

99designs

Agar aap graphic design related services provide karoge like logo design, business card, full branding solution toh 99designs se achi jagah aapko kahi aur mil hi nahi sakti, kyu ki 99designs sirf graphic design se related freelance services provide karti hai.

Content mart

Agar aap writing services provide karne waale hai toh content mart aapke liye best place hai. Content mart sirf content writing mai freelance services provide karati hai toh yaha pe aapko best price milega or apne mann pasand topic par content likhne ka mauka bhi.

Aesi aur bhi bahut sari websites hai jin par aap freelancing ka kaam kar paise kama sakte ho. Iske liye aapko google search karna padega.

In sites par buyer aur freelancer dono registration kar sakte hai. Freelancer ko buyer site ke through find kar hire kar sakta hai aur freelancer buyer ke work search kar project ke liye request kar sakta hai.

Final words

Toh baas aaj ka post yahi pe samapt karna chahunga agar aapko apna career freelancing mai banana hai toh aap iss post ko ek dam dhyaan se padhen aur agar aapke kuch sawal hai toh niche comment karen. Aapki har mumkin help ki jayegi.

Agar aap blogging ya youtube se paise kamane ke bare me soch rahe hai to humare ye articles read kare. Lekin isme mehanat jyada karni padegi. Wese aap content writing freelancer ka work karne ja rahe hai to blogging aapke liye helpful sabit hogi, aap dono ek sath kar sakte hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Ayush Mehrotra

by: Ayush Mehrotra

I am a freelance graphic designer and a content writer. I am really interested in help people regarding freelancing and make people informed about freelancing.

Comments ( 6 )

  1. Freelancing ke bare me bahut hi kaamal ke jankari share kari hai thanks

    Reply
    • thank you aur bhi posts freelancing se related aane waale hai, so stay online.

      Reply
  2. Online kaam ke fayde or nuksan ke baare me jaan kar achchha laga. Freelance me payment ka koi dusara tarika hai kya.

    Reply
    • Mostly freelancing websites paypal ke through payment karti hai. Toh aapka paypal account hona jaruri hai

      Reply
  3. bahut hee accha post mujhe bhi guest post milega kya..?

    Reply
    • Visit on Submit a guest post

      Reply

Leave a Comment