First Time Flight (Airplane) me travel karne wale log nervous feel karte hai, lekin kuch baato ka khyal rakha jaye to aap apne air travel ko yaadgar bana sakte hai. Is post me mai aapko kuch information dunga jisse aapko first time flight me travel karne me koi problem nahi hogi. Dosto aapko meri ye post se air travel ki useful information milegi jo ki aapke liye sabit hogi.
Agar apa paheli bar air travel kar rahe hai to tension lene ki jarurat nahi hai. I know aapke dimag me tamam tarah ke sawal honge, lekin is post ko padhne ke bad aapki tension dur ho jayegi. Aap kuch basic taiyari karke aap tension free hokar safar kar sakte hai.
Jab bhi hum first time flight me travel karte hai to hamare dimag me kayi sare sawal aate hai. Jiske bare me hume jankari nahi hoti hai or hum jakar travel agency ya kuch logo se sawal-jawab karte hai. Aapko puri jankari na hone ke karan aapko pareshani hoti hai. Mai aaj aapko kuch points bataunga jisse aapko flight travel karte samay pareshani nahi hogi.
Table of Contents
- First Time Air Travel Karne Se Pahle Jaan Le Ye 10 Jaruri Baate
- 1. Flight Ticket Book Karna
- 2. Flight Status Check Karna
- 3. Airport Par Jaldi Pahuchna
- 4. Jaruri Documents Sath Lena
- 5. Luggage Pack Karna
- 6. Screen Board Me Flight Details Dekhna
- 7. Airport Immigration
- 8. Announcement Par Dhyan De
- 9. Turbulence Se Na Dare
- 10. Landing Karne Ke Bad
First Time Air Travel Karne Se Pahle Jaan Le Ye 10 Jaruri Baate
Yanha aapko mai kuch points bta raha hu jise aap follow kar sakte hai. In sab bato ka dhyan passenger ko air travel karte time rakhna chahiye.
1. Flight Ticket Book Karna
Ye sabse pehla step hota hai jab aap flight ki ticket ko book karte hai. Aap jab bhi flight ki ticket book kare to jitna ho sake kuch samay pehle hi ticket book kar le. Kyunki jab aap time par ticket book karenge to aapko ticket bhut costly milega.
Flight ticket me aapko cancellation policy bhi milti hai jo ki alag-alag hoti hai. Aap flight ticket ko book karne se pahle usse online jarur check kare. Yadi ho sake to usse dusri Flight ki ticket ke sath compare jarur karen.
2. Flight Status Check Karna
Aap jab bhi flights ticket book karen to sabse pahle aap flight ka Number, departure time or arrival time ko jarur dhyan me rakhe.
Flight ki ticket ke sath ki aapko luggage ki bhi limit milti hai jo ki international flight or domestic flight dono me alag-alag hoti hai. Aapko uss limit ko dhayan me rakh kar hi bag packing karni hai.
3. Airport Par Jaldi Pahuchna
Yadi aap flight ko miss nahi karna chahate hai to aapko Airport par time par aana hoga nahi to aap flight ko miss bhi kar sakte hai. Kabhi-kabhi hamari flight deri se ya jaldi se departure ho jati hai.
Yadi aap domestic yatra kar rahen hai to aapko kam se kam 2 ghante pahle phunchna hoga or yadi aap international travel karna chahte hai to aapko kam se kam 3 ghante pahle aana hoga.
4. Jaruri Documents Sath Lena
Flight yatra ke doran check hone vale sabhi documents (Passport, PAN card, voter card) aap apne pass hi rakhe. Sabhi documents ki aap ek photo copy bhi aapne pass hi rakhe. Security check par aapke sabhi documents verify kiye jaynge.
Yadi aap domestic travel karna chahte hai to aapko id proof or Flight ticket carry karni hoti hai aapko visa or passport ki jarurat nahi hai. Yadi aap international travel kar rahen hai to aapko passport, visa ki jarurat hogi.
5. Luggage Pack Karna
Flight ki yatra ke doran aap apne luggage ko bhi ek bar check karle. Aap apne luggage me essi koi nashili vastu na rakhen jo ki airport me banned ho. Yadi aapko essa lagta hai ki aapka luggage ke damage hone ke chances hai to aap usse airport par wrap bhi karva sakte hai. Aap apne luggage ka insurance bhi karva sakte hai.
Aap jab bhi apne saman ki packing kare to uska weight jarur check kar le kyunki Flight me aapke luggage ki ek limit hoti hai. Yadi aap uss limit se jyada luggage lekar jayenge to aapko Extra charges bhi pay karne honge.
6. Screen Board Me Flight Details Dekhna
Flight yatra ke doran aap jab bhi airport par jayen to vahan airport me screen par apni flight ki details jarur check karen. Jisme aapko Boarding pass ke liye counter number btaya jata hai.
Airport me aapko help ke liye ek alag se counter bhi hota hai. Jahan par aap jab chahe unse koi help le sakte hai or koi information verify bhi karva sakte hai.
7. Airport Immigration
Aap jab bhi international travel karte hai to aapko Immigration karvani jaruri hoti hai. Immigration me aapko kuch sawal puche jate hai jinka aapko sahi answer dena hota hai.
Agar aap domestic flight se journey kar rahe hai to aapko Immigration karvane ki jarurat nahi hai.
8. Announcement Par Dhyan De
Jab aap flight me beth jate hai to air hostess ke dwara kuch announcement di jati hai jo ki hindi or English dono me hoti hai. Aapko vo announcement dhyan se sunani chahiye. Aapko take off ke doran apna mobile phone switched off ya Flight mode par rakhna chahiye.
Airline aur flight journey duration me aapko free food aur drinks milega, aap chahe to baad me bhi koi food le sakte hai lekin unke rates jyada hote hai. Agar aapko koi doubt ho to aap air hostess ki help le sakte hai.
9. Turbulence Se Na Dare
First time ki air travel yatra me hamari flight me turbulence aate rehte hai. Aapko in tarbulence se darna nahi chahiye. Airplane in turbulence ko dekh kar hi teyar kiye jate hai. Turbulence normal hote hai ye air ke atmosphere ke karan bante hai. Ye weather ki condition kharab hone par bhi aate hai.
Take off ke bad air pressure me badlav hone ki wajah se kan me light pen ki problem hoti hai, aap chewing gum kha kar ya earbuds laga kar is problem ko door kar sakte hai.
10. Landing Karne Ke Bad
Flight ke landing ke doran jab tak aapko seat belt kholne ke liye na kaha jaye aap usse mat kholiye. Announcement par humen plane se niche laya jata hai or airport par jane ke liye ek bus runway par aati hai.
Jo ki aapko aapke luggage tak lekar jati hai. Ab aap apna saaman le sakte hai. Conguratulations! Aapki journey puri ho chuki hai.
Dosto agar aap First time air travel kar rahe hai to aapko ye information bahut helpful lagi hogi or agar aap Flight ki yatra ke doran koi another information lena chahate hai to aap hume niche comment box me puch sakte hai.
Agar aapko ye jankari achhi lagi ho to is article ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Sir muze flight me Bahut dar lagta hai or muze bahut baichaini hoti hai mera bird pressure badh jata hai
thank you sir, keep it up.
International travel me humko dono country me immigration Dena hoga( mean India me bhi aur out of india me bhi)
Thanks for all supporting me
Hello Nitin very nice article
thanks for this informative article
Keep up the good work
Wooow, Bahut help milega is article se.
aap ne flight me pehli bar safar karne ki jo jo baate batai hai vo bahut hi badhiya or upyogi hai hum in ka jarur dhyan rakhege
Bahut badiya jaankari.