Is post me main aapko bluehost affiliate marketing ke bare me bta raha hu. Apne blog se paise kamane ka AdSense ke alawa affiliate marketing sabse achha source hai. Lagbhag sabhi companies apna affiliate campaign run karti hai. Is category me sabse achha commission hosting companies provide karwati hai. Bahot bloggers esa sochte hai ki hindi blog se affiliate ko promote nahi kar sakte ya promote karna muskil hai. Aap bluehost india ke affiliate program se achhi earning kar sakte ho.
Jabki aesa nahi hai hindi bloggers apne blog se hosting ko promote kar achha commission earn kar sakte hai. Aap apne blog se bluehost india affiliate program ko promote kar achhe rupay kama sakte hai. Main yaha par aapko bluehost ke bare me bta raha hu.
Note:- Bluehost India affiliate program service ab band ho chuki hai.
Why Choose Bluehost India Affiliate ?
- High commission per sale 4000 Rs per sale.
- Real time tracking.
- Provide quality banner and links.
- Give every month off coupons.
- Easily approve everyone for affiliate.
- Long cookie duration.
How To Join Bluehost Affiliate Program ?
Iska affiliate join karne ke liye Bluehost Affiliate signup page par jaye. Join now par click kare or apna details email, blog or address jo bhee require ho fill kare.
Complete Signup process ke bad aapko email aayega or aapka account 24 hour me approve ho jayega. Approve hone ke bad aap is ko promote kar sakte hai.
1. How Do they Track Your Sale ?
Bluehost india unique link provide karta hai. Aap apne link ko promote karte hai, blog post ,social media ya advertising se or user link par click karta hai or signup karta hai to aapko mail receive hoga you made a sale. Aap apni sales ko apne dashboard me dekh sakte hai.
Sabhi affiliate sale aapke link se track hoti hai. Bluehost india 30 days ka cookie duration provide karwata hai means aapke affiliate link par click hone k bad agar user 30 days ke andar signup karta hai to aapko commission milta h.
2. How Much Bluehost India Offer per sale ?
Hostgator or other company sales per depends hoti hai. Aap jitni sale karte hai aapka commission increase hota rahta hai. Agar aap sale 2 ya 3 kar pate ha 1 month me to aap commission low receive karenge.
But Bluehost india sales ke number par depends nahi hota. Iska per sale commission 4,000 INR hai. Aap adhik sale kar sakte hai to affiliate manager ko mail kar apna commission increase karwa sakte ho.
3. How To Withdraw Bluehost Affiliate Earning ?
Aap apni affiliate earning direct apne bank account me transfer kar sakte hai. Apne bank account ki details my profile me jakar complete kare. Minimum payout 10,000 INR hai.
Aapki Earning minimum pay out ko cross karne par aapko automatic aapke account me transfer kar di jati hai.
4. Dashboard:-
Aapka account approve hone ke bad aap login kar sakte hai. Log in karne ke bad dashboard open hoga janha aap apni earnings, affiliate link, banner or profile ko manage kar sakte hai.
5. 1.% commission:
Is menu option me aapke affiliate se hone wali sale ka complete details show hoti hai. Sale ka commission, konsi hosting purchase hui hai, time or sale ka status show hota hai.
6. Banners& Links:
Aapke dashboard ka important menu ye hai. Is menu me ja kar aap apne blog ke anushar banner ads bana sakte hai. Agar aap different – different campaign run kar rahe hai to unko easliy track karne k liye aap yanha se campaign bana kar track kar sakte hai
7. Reports:
Is section me aap anpe account ki summary dekh sakate hai. Is section me display hone wali details ye hai.
- Quick Status.
- Trends Report.
- % Commission.
- URL click.
- Your payouts.
- Sub affiliate reports etc.
8. My Profile:
Is section me ja kar aap apni personal details ko update kar sakte hai or sath hi aap apni payment details bhee update kar sakte hai. Aap konse email apni email par receive karna chahate hai is ko manage kar sakte hai.
How to Promote Bluehost India for Maximize Your Earnings
Jo is post ko read kar rahe hai un me se kuchh pahle se hi join kar chuke hai ya join karenge. Kisi bhi network ko promote karne se pahle ye pata hona jaruri hai ki usko promote kaise kiya jayeya.
Promote karne ke konse achhe tarike hai jinse earning ko increase kiya ja sakta hai. Bluehost ki hosting ko promote karne ke best method niche point se bta raha hu.
1. Write Reviews Content About Hosting Providers:
Hosting affiliate me review likhna sabse best hai. Aap apne review me best tarike se hosting company ki details, feature, price, service or ise kyu use kare, iski complete details likhe. Review write karne se blog par traffic bhi jyada aati hai or agar user ko aapka review achha laga to wo hosting purchase karega. Review me aap apne affiliate link ka use jarur kare.
Review writing se sale hona blog ke niche par depend hota hai. Agar aapka niche blogging ya technology hai to sale aasani se ho jati hai. Average Review writing se sale ke liye 100 visit require hote hai.
2. Place Banner And Link in your blog:
Bluehost affiliate banner or link provide karta hai jo aap apne dashboard me ja kar create kar sakte hai. Aapki link unique hoti hai.
Links or Banners ko aap apne blog me use kare. Affiliate link ko apne blog post, email or social media ka upyog kar ke share kare.
3. Write discount Code post:
Bluehost special discount code mail karta hai. Aap iske bare me apne blog par post likhe or details me write kare ki kaise discount prapt kare. Bahot user discount coupon dekhte hai.
Aese me aap code dekh kar aasani se sale kar sakte hai. Apne blog readers ko code provide karwana affiliate program se earning ka best part hai.
4. Use Adwords And Facebook:
Apni sale increase karne ke liye aap facebook or adwords ka istemal kar sakte hai. In se advertisemen tkarne se sale kar sakte hai.
Facebook se advertising karna costly nahi hai. Post ko boost karwa sakte hai per click ki campaign bana sakte hai. Adword costly hai but adwords se campaign run karna best h apne right audience tak jane ke liye. Adwords is very costly you may lose your money so use write keywords and set right CPC.
5. Make Youtube Videos:
Youtube par bluehost ke tutorials ke videos bana kar upload kare. Videos se aasani se samajh aa jata hai isiliye maximum user YouTube ko prefer karte hai or jyadatar videos dekh kar hi kisi metter ko samajhne ki koshish karte hai.
Try kare high quality videos upload karne ki or apna affiliate URL description box me link kare. Also Make videos on off coupons or videos ke last me apne blog ka link bhi add kare
How to prevent bluehost affiliate account by blocking:
- Cashback or rewards offer nhikre.
- Banner exchange or pay per click campaign use nhikre.
- Direct affiliate urlka use nhikre advertising keliye (for example Facebook or Adwords par apni affiliate link ko use kar direct bluehostke website par redirect nhikre.)
- Apne Affiliate urlse related domain purchase nhikre or bluehost par redirect nhikre.
- Bluehostki website ki copy nhikreapne blog post me.
Final Words:
Affiliate se earning har blogger karna chahta hai lekin bahut logo ko isme success nahi mil pati hai. So agar aap affiliate program se earning start karna chahte hai to pahle apna goal set kare.
Aapko kis affiliate program ya campaign se kitna earn karna hai or uske bad aap blog post, advertising campaign se promote kare.
Agar aap apna goal achieve nahi bhi kar pate hai to aapko experience milega or next time ke liye best strategy bana payenge. I mean agar aap tay ki gayi jitni kamayi nahi bhi kar paoge to aapki us bare me knowledge jaruri badhegi jo futue me aapke kaam aayegi.
Agar aapko ye post achhi lage to ise social media par share jarur kare.
आपने बहुत अच्छा लिखा है। भारत में अभी लोग इसके बारे में कम ही जानते हैं। इस शानदार लेख के लिये बधाई स्वीकार करें।
Acchi jankari he….
Aapne bataya ki social media me Dairect link promote na kare agar kari to Account baned ho jayega
To social media me promote kese kare humare paas Dairect link to hoti he wo hi promote kare ya nahi
Social sites like facebook chahate hai ki aap unke ads le kar promote kare.
Hi me Bluehost affiliate program ko sign up karna chahta hun. But ek confusion hai.
Vahar account banane ke liye do websites hai.
EK bluehost India Aur second bluehost.com Kis par account banana hai.
Agar aap hindi content likhte ho to .in aur agar english likhte ho to .com choose karo.
अगर किसी ने पहले ब्लुहोस्ट की होस्टिंग ले रखी है और वो वापस मेरी लिंक से दूसरी बार होस्टिंग लेता है तो क्या मुझे कमीसन मिलेगा ? क्यों की वो तो पुराना कस्टमर है इसलिए
इसका आंसर जल्दी दीजिए साहेब
नहीं, फिर नहीं मिलेगा
Thank You for replay sir
Bahut achchi jankari Sir. Thank You for sharing
Hello Sir mene pahle amazon affiliate programme join kiya tha. but vaha se koi earning nhi hui or vo account band bhi ho gaya hai. to ye blue host mere liye kitna profitable rahega. Pls reply.
Aap kitni earning karoge ye aapki site ke traffic aur trust level par depend karta hai.
Dear jume deen khan
Mere kafee question hai bluehost affiliate marketing ko lekar please one by one answer den
mera 1 question hai –
Agar main bluehost affiliate marketing karta hu aur koi Rs 209 wali hosting meri link se leta hai tto kya Mujhe 4k Rs commission milega ? ( apne iss question ka answer de rakkha hai comments me but fire Bhi mere iss question Ka answer den main conform karna chata noon )
mera 2 question ye hai ki jaisa ki post me likha hai ki bluehost me minimum payout 10,000 hai
tto agar mere 10,000 Rs ho jate hain tto kya main payment withdrew kar sakta hu issme koi time tto nahi hoga wait karne ke liye 10,000 hote hi withdrew ho jayega na ?
mera 3 question hai
agar 209Rs wali hosting lene se 4k millte hain tto kya main
agar 209 wali hosting leta hu aur one by one 209 wali hosting leta jata hu tto kya mujhe per sell par 4k commission milega ?
mera last question ye hai ki mujhse kisi ne kaha thaa ki bluehost ki hosting lene par jab tum withdrew karoge tto tumko withdrew ke liye 12 month wait karna hoga kyoki account ko 12 month purana hona zaruri hai kya ye bat sachh hai sir ?
apse request hai please mere sabhi questions ka answer den
ho sakta hai mere khuch question ke answer apne pahle hi Kisi ko diye ho but apse request hai ki mere sabhi questions ke answer details me den
thank you
1. Jyada jankari ke liye aap bluehost affiliate terms read kare.
2. Payment aap manually nahi automatically receive karoge iska koi fix time nahi hai affiliate team aapko payment send karegi. Aap unse bas request kar sakte ho.
3. Bro aap kisi ki bat mat mano direct bluehost affiliate terms read karo.
Hello sir..plz reply..
Sir..agar koi meri bluehost ki link se 1 month ke liye 209 wali hosting laga to bhi mujhe 4k rs mileage Kya?
Yes.
sir bluehost ke affliate ke tax information me….Are you a U.S. person me no karne ke baad niche screen me kya fill karna hai ….kuch samajh me nai ah raha h….app kya apni ye waali post update kar sakte hai,ya fir kisi another site ka link ho toh share kar sakte hai…plz help me
Main jaldi hi is post ko update karunga.
Sir mere pas bluehost india ka account approve hai or mere pas harek month promo code milta hai lekin ab hm usko blog me kaise add kare jaisa ki aapne add kiya 222/permonth wala like image ki trh kaise add kare
2. Jb koi us par click krega or hosting lega to kya usko mera promo code enter krna hoga ya apne aap ho jayega
User aapke referral link par visit karke hosting lega to aapko commission mielga yes aap users ko promo code bhi provide kar sakte ho.
bahut acha article publish kiya ,,Thnks sir ,,
sir bluehost ki affiliate program key liye pahley kud bhi hosting Leni padegi kya ,,bluehost sey ?
Nahi koi jaruri nahi hai aap without hosting affiliate program use kar sakte ho.