Is post me main aapko Ad Blocker ko disable karne ke bare me bta raha hu. Agar aap Support Me India blog par content read karna chahate hai to aapko apne browser se ad blocker disable karna hoga. Ad block off hone ke bad aap bina kisi pareshani ke humari site par articles read kar sakte ho or apni jarurat ki jankari hasil kar sakte ho.
Kisi bhi website ya blog ki earning me advertisement important hota hai. Hum bhi is site par advertisement karte hai. Hum aapko achhe achhe content write kar provide karte hai. Iske badle hume kya milta hai kuch bhi nahi. So agar aap ad blocker ko disable kar doge to hume kuch fayda ho jayega.
- Online Ghar Baithe Internet Se Paise Kaise Kamaye Ki Puri Jankari
- Internet Se Paise Kaise Kamaye, Online Paisa Kamane Ke 20 Tarike
Niche btaye steps ko follow karke aap computer desktop chrome browser or mobile UC browser me adblocker ko aasani se off kar sakte ho.
Browser Me Ad Blocker Ko Disable Kaise Kare
Ad Blocker Ko Disable Kaise Kare Ki Hindi Jankari. Yaha main aapko mobile or computer dono ke browser me adblocker disable karne ke bare me bta raha hu. Aap in steps ko follow karke aasani se ad blocker ko off kar sakte ho or humari site par without problem content read kar sakte ho.
Ad blockwer disable karne me aapki har sambhav help ki jayegi. To chaliye jante hai UC browser or chrome browser me adblocker ko disable kaise karte hai.
Chrome Browser Me Ad Blocker Disable Kaise Kare
Mostly computer me internet user chrome browser ka istemal karte hai. Shayad aap bhi so sabse pahle main aapko chrome browser me ad blocker ko disable karne ke bare me bta deta hu.
Chrome browser me adhiktar users ABP yani Ad Block Plus ad blocker use karte hai. Iska chrome extension available hai or mostly user extensions hi use karte hai. Ise disable karne ke liye apa ye steps follow kare.
AdBlock Plus Ko Disable Kaise Kare?
Sabse pahle aapko jis site par se adblock plus ko off karna hai wo site chrome browser me open kare. Support me india par karna hai to https://www.supportmeindia.com open kare.
- Ab right side me top par URL box ke right me ABP icon par click kare.
- Ab Enable on this site option par click kare.
Bas ab adblocker plus disable oh gaya hai. Chrome browser me ad blocker ko ff karne ki adhik janakri ke liye aaap ye video dekh sakte hai.
UC Browser Me Ad Blocker Disable Kaise Kare
UC Browser me ad blocker ko disable karne ke 2 tarike hai main aapko dono ke bare me bta raha hu aapko jo simple or aasan lage aap wo tarika follow kar adblocker ko off kar sakte ho.
Yaha main aapko UC browser ke latest version me adblock ko disable karne ke bare me bta raha hu. Baki version me option thode different ho sakte hai agar samajh na aaye to aap UC browser ko update kar le.
Method 1: Direct AdBlocker IDsable Kare?
Is method me aapko ji site par adblocker disable karna hai us site ko UC browser me open kare. Agar supportmeindia par karna hai to https://www.supportmeindia.com ko UC borwser me open kare.
- Ab top left side me aapko AD blocker icon dikhayi dega. Is par click kare.
- Ab ek popup page open hoga isme Ad Block mode feature ko disable kar de.
Bas ab UC browser me adblocker band ho chuka hai ab aap humari iste par without problem article read kar sakte ho.
Method 2: Settings Me Ja Kar Ad Blocker Off Kaise Kare?
Iske liye aap UC browser ki settings me ja kar ad blocker features ko disable karna hoga.
Step 1:
- Iske liye aap UC browser ko pen kare or bottom me three line menu icon par click kare.
Step 2:
Ab jo options show honge unme se aapko tools option par click karna hai.
- Iske liye aap options ko right to left side me scroll kare or screenshot ke anusar Tools par click kare.
Step 3:
Ab ek popup page open hoga usme bahut sari tools hogi. Aapko Adblock par click karna hai.
- Adblock par click kare.
Step 4:
Ab jo page ope nhoga usme aapko 2 adblocker dikhayi denge. Ad Blocker or Powerful Ad Blocker aapko in dono ko disable karna hai.
- Ad Blocker and Powerful Ad Blocker dono ko disable kare.
Ab aapke UC browser me ad blocker disable ho chuka hai. Is tarah se aap apne mobile me UC browser me adblocker ko off kar sakte ho. Agar aapko adblocker disable karne me koi bhi problem hoti hai to aap comment section me apni problem share kar sakte hai.
Note:- Agar aapse Ad Blocker disable nahi ho raha hai to niche comment karke hume btaye ki aap konsa browser use kar rahe hai. Hum aapko usme ad blocker off karne ki process bta denge.
Main UC browser me adblocker ko disable karne ke bare me pahle bhi post likh chuka hu. Adhik jankari ke liye aap humari Mobile UC Browser Me AdBlocker Visibility Disable Kaise Kare and Website Me AdBlocker Disable Message Kaise Add Kare post read kar sakte hai.
Post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Thanks bhai
kya uc browser adsean ke ads ko hi display nahi hone deta ya fir chittika bigadversting,mins other sabhi ke ads ko display nahi hone deta.
2 . Agar adsean ke ads show nahi ho to income bhi 0 hi rahegi
3. Kya koi aisa adversting nahi hai jo post ke 1000 bar show hone se bhi paisa deti ho
Jitne bhi javascript ad hote hai un sabko load nahi karta.
Nahi kyuki sabhi user UC browser use nahi karte.
Nahi.
Thanks bhai ho gya
Jab maine google par dekha to pata chala ki ek blogger to same to same hi aap ke post ki copy kar rakha hai
Hame post karne me 5-6hour lag jate hai or ye log copy paste kar dete hai
Kya aap mujhe uske blog ka link bta sakte ho.
Thanks bhai aapne meri bahoot help ki hai
Ye sab trick use karne ke bad bhi nahi ho raha hai
Browser ki cache clear karke check karoge to jarur hoga.
Thanks
Jab maine mobile par post write kar ke puplish kiya ton sabhi browser me sahi se open hota hai
But jab maine computer par post write kar ke upload kiya or mobile me dekhne par post cut jati hai.
Pls replay
Aap jo post upload kar rahe ho usme extra coding nahi honi chahiye. Content ko first notepad par paste karke fir copy karke blog post me paste karo.
Nice post
Jab ham blog post me title creat karte hai to kya title bad hona chahiye ya fir chota
Mins post ko tol pe lane ke liye post title kaise likhe.
Post ka title 30 to 65 characters ka hona chahiye.
Aapkai har post Helpfull hoti hai
1 . jab hum blog me logo lagate hai to vo mobile me pura show karta hai.lekin laptop me aage ki jagha khali ho jati hai.
But maine aapke blog me dekha hai ki aapki header me black color laptop me pura show hota hai or mobile me bhi. Mobile me logo cut ta nahi hai
Ye ham kaise add kare
1. Iski setting aapko CSS coding se karni hogi. Khali jagah me aap header widget add kar sakte ho.
2. Full width ke liye aapko header logo ki width 100% karni hogi. like
.header{width:100%}
Bahut hi Achi informatiom Share kiya ha apne Apki hamesha hi post bahut achi hoti hai yahin wajah ha k ma apki har new post ka wait karta houn ap meri web visit kar k bataye k kaise hai?
Bahut achhi site hai. But featured image bahut large use kar rahe ho.
Very Nice Post
Bahut hi Gazab ii post hai... Bro mera adsense approve nhi ho rha ..Kya Kiya jaye?
Adsense ki policy follow karo aasani se approve hoga.
Adblocker disable ki yah jaankari bahut hi badhiya he isse hum humara jo main earning source he advertising iski earning kam hone se rok sakate he.