Hum jo apne blog or website par AdSense ke ads lagate hai. Unme ek most problem hoti hai ki agar hum custome big size ke ads create karte hai to mobile version me kam ad click milte hai or agar hum mobile recommended or responsive ads choose karte hai to desktop version me ads par click kam hote hai. But aaj mai aapki is problem ko solve karne ja raha hu.
Ji ha dosto, Aaj mai aapko ek aysi trick btane ja raha hu. Jisse aap apne blog par desktop, laptop, tablet, mobile or kisi bhi size ki screen wali device me feet ads dikha sakte ho.
Hindi blog par sabse jyada visitor mobile user hote hai. Shyad aapke bhi honge. Isliye AdSense user ko sabhi device me perfect ads show karne me problem hoti hai. But is post me btayi trick se aap kisi bhi size ki scrren me full width ads dikha sakte ho.
Agar hum custome size ka big ads use karte hai to wo mobile me show hone me problem karta hai. Show hone me jyada time leta hai or pura dikhayi nahi deta hai. Or agar hum responsive ya little size ka ads use kare to wo computer me sahi result nahi de pata hai. Iske 2 bade reason hai.
- Responsive ads add karne par desktop me uski height kam hoti hai.
- Recommended size jasie 300×250 or 336×280 ads use karne par uski width kam hoti hai.
Iske bare me mai kafi din se soch raha tha. Or aakhir me maine iska solution nikal liya. Iske liye hume bas AdSense ads ke sath thodi si extra css coding hai. Agar aap iska example dekhna chaate hai to mere blog ko alag alag device me open karke dekh sakte ho.
Adsense Ads Ki Only Width Ka Responsive Size Kaise Set kare – Customize Ads
Aap jab AdSense par new ads create karte ho to aapko kuch is tarah ka ads code milta hai. Or aap ise direct apne blog me add karte ho.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <ins class="adsbygoogle" style="display:inline-block;width:400px;height:300px" data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxxxx" data-ad-slot="xxxxxxxxxxxxxx"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script>
Full size ka ads dikhane ke liye aapko is ads ke sath is tarah se extra coding add karni hai.
<div style="float:none;margin:10px 0 10px 0;text-align:center;"> <div class='myads'> <script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <ins class="adsbygoogle" style="display:inline-block;width:100%;height:300px" data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxx" data-ad-slot="xxxxxxxx"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script></div></div>
Ab aap check kar sakte hai ki ads ki height to pixel me show hogi or AdSense ki width present (%) me show hogi. Is tarah aap is trick se ads ki responsive width dikha sakte ho.
I sure aapko isse 101% adhik ads click milenge. (Ye ek trick hai or isse AdSense par kya effect padega. Iski meri or supportmeindia ki koi guarantee nahi hai. Aap apni marzi se is trick ko use kar sakte ho.)
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2025 – Earn Money
Agar aapko AdSense ke bare me ye trick pasand aaye to ise social media par apne friends or dusre AdSense user ke sath jarur share kare. Jisse koi or bhi aapki help se is trick ko use kar sake.
ARUN YADAV
Q1 – ads bana liye but widgets m add karne par white show ho raha h or post m ads add hi nahi ho rahe
Q2 kya pahle Html m ads lagane hote h
Jumedeen Khan
Abhi AdSense aapki site ko check karega uske bad ads show honge. iska aapko mail aayega.
Amjad
JDK Bhai
YouTube Pe Monetization Kab kare aur Adsens ke liye kab apply kare
Jumedeen Khan
Jab aapke videos par 3000-5000 views ho jaye tab karna.
Rajesh Rathod
information achhi hai. bhai
Sahil kumar
Bhai aap se coding me thodi si sayad galti ho gyi ho agar is trick ko Blogger me use kare to.
” ki jagah sayad ‘ lagenge jo aap ne coding ki uper wali 2 line di hai.
Jumedeen Khan
Sahil isme koi galti nahi hai. aa ‘ ya ” kuch bhi use kar sakte ho. but code ke first or last me same comma hona chahiye.
dev
bhayi mene godaddy par apni new site ka domain add kar diya he forwad option me par phir b purani site khul rhi he mere new site par kyo redirect nhi ho rhe he readers..
Jumedeen Khan
Aap forword setting me sahi domain add nahi kiya ho e check kar lo or sahi kiya ho to godaddy care me bat karo.
amit
Hey, sir,meri site ki traffic nhi badh rhu hai,meri site:- oxfordtricks.in
Mujhe samajh nhi aa rha hai,kya aap check kr meri help kr skte hai
Jumedeen Khan
follow there tips
1. SEO friendly post likho.
2. fast loading theme use karo.
3. post me kam se kam 1000 words use karo.
4. post me high ranking keywords use karo.
Sandeep Kumar
Bhai me PayPal account banana chahta hu
Business ya individual ko select karu me bidvertiser aur clixcence se payment receive Karna chahta hu.
Jumedeen Khan
individual select karo.
Aryan
Bhai mai soch ra hu pehle mai free Domain le leta hu uske bad goggle AdSense approve kar lu fir thode dino bad hum godaddy se domain kharid le koi dikkat to ni hogi usse bhai mai esa isliye keh ra hu ki mera abi debit card ni aya bank ne kha ha 30 day ke bad ayega aur debit card ke bina muje godaddy se payment katane me dikkat hogi
Jumedeen Khan
Aapko jo bhi better lage kar sakte ho. Good luck.
saddam husen
Hey!
Jume deen Khan
Aapne ke accha experiment kiya hai. Mai aapse ye puchna cahata hu ki aapne isko khud try kiya hai. Agar aapne isko khud try kiya hai to iska Google AdSense par kuch negative Prabhao to nahi padha hai Naa..
kyoki ye Google AdSense ke rule ke khilap hai aur Agar hum Aisa karte hai to Hmara Google Adsense ka acount Banned ho Sakta hai..
Mere Kahne ka mtlab ye hai ki aap ek baar google AdSense ki team se iss trick ke bare me baat kare aur unse puche ki ek trick Legal hai ya phir aisa karne se hamara acount Danger Zone to Nahi Jayega..
Muje Aapke Response Ka wait rahega. Aap ek baar jarur Adsense team se iss bare me baat kare..
Regard.
Saddam Husen
Jumedeen Khan
Welcome saddam hshen,
Mai pichle 2 week se is trick ko use kar raha hu. Mujhe isme koi negative effect nazar nahi aaya and maine bahut se popular bloggers ki site check ki hai wo kuch aysi hi trick use kar ads ki width ko 100% me set karte hai. Maine 10-17 blogger ki site check karne ke bad hi ye kadam uthaya hai. But fir bhi AdSense team iske khilap kya charge legi kuch kah nahi sakta.
zishan ali gulzar
sir aap bta sakte mera blog me main jo post krta hun aur jb wo google search me ata he to (132)uske bad post ka title rhta ya mera site v search krte hai toaisa hi (132) uske bad site ka title rhta hai.. aap ek bar check kijiye na google pe mera site ka…sir kaise thik kre ise
Jumedeen Khan
Maine aapse kaha tha ki aap template change kar lo. Second robot.txt file use mat karo.
ARUN YADAV
In order to complete your request to show ads on your own website, you need to implement the ad code on kinghtricks.com. Your upgrade request can only be reviewed once your ad code has impressions on that domain. Learn more
mera Adsense par ye mes. show ho raha kya mera YouTube se blog m Adsense approve ho Gaya Mujhe koi email nahi aya h
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aap AdSense par ads bana kar is site par ads code add kare. Uske bad AdSense aapki site ka review karega or ads show hone lag jayenge.
ARUN YADAV
par muje AdSense approved ka koi bhiemail nahi aya h
Jumedeen Khan
abhi aapka AdSense fully approve nahi hua hai. Ads lagane ke bad hoga tab mail aayega.
Aryan
Bhai meri ek aur problem hai meri site traffic bi Acha aa ra lekin Alexa rank kyu ni show ho rai mai apke sare rules follow kiye lakin Alexa ni show ho rai mai bhut paresan hu bhai
Jumedeen Khan
Thode din wait karo alexa rank bhi show hone lag jayegi.
rohitkumar
Sir mai sab kuch kar chuka hu lekin AdSense ki cpc nahi bad rahi hai. Plz koi solution bataiye. Cpc .02 hai.
30-40 click per day mil jate hai. Lekin income $1 ki bhi nahi hoti h
Jumedeen Khan
Rohit AdSense ki cpc low hone ka sabse bada reason hota hai post me badiya keywords ka nahi hona. google keyword planner par high cpc keyword search kiya karo or post me use kiya karo. Adsense cpc badh jayegi.
Sandeep Kumar
Bhai please post kar dijiye aap se kahe huye 10 day ho gya
Jumedeen Khan
Sandeep bro mai si time thoda busy hu. Aap dekh sakte hai maine hindi.supportmeindia.com par abhi tak koi post nahi ki hai. Supportmeindia par hi mushkil se post kar pa raha hu 15 april tak mujhe time milega. Tab mai aapke liye ke ki jagah 5 post kar chuka. Plz understand my problem. Bro post karne se mujhe fayda hi hoga nukshan nahi but time mile tabhi kar paunga.
chenaksh dhomane
Jaisa ki apane kaha tha ki AdSense me prodomain lagavo waisa hi maine AdSense me blogspot hatakar add website kiya fir bhi blog
Pe add display nhi ho rahi hai 2 din ho gaye template me add dikhati hai lekin view blog me nhi dikhati firse blogspot lagaya to
Add dikhati hai to fir kya problem ho raha hai bhai
Plz help me muze aur konsi setting karna padega
Jumedeen Khan
Aap direct AdSense par xyz.com domain add kar rah ho. Bro pahle domain register to kar lo or use blog me add karo.
Manish
Sir aap konsa comment system use ksrte hai.
Aur mine by default wala comment system change karna hai to mai kaise karu please bataye
Jumedeen Khan
Mera blog WordPress par hai. Aap blogger par comment box change nahi kar sakte.
surendra rsdp
haan bhai payment mil gayi hai . galti mujhse hi ho gayi ki maine apna bank accont blance check nahi kiya kyu ki payment toh 28 Tarik ko aa gaya tha .
aapne ab tak meri bhut help ki hai isliye Dil Se Thanks Aor god Aapko itna success banaye ki Aap 1 month me 1000000 ₹ Earn kar sake .
Jumedeen Khan
Thanks god,
surendra mujhe iske bare me aapse jyda tention thi. Kyuki mai nahi chahata ki kisi ki mehanat ki kamayi use na mil sake.
Aryan
Acha ye btaiye free Domain aur paid domain lene me kya antar hi dono me achai aur burai kya kya hai jarur bataye ye bat
Jumedeen Khan
Aryan free domain me koi bruai nahi hai. But wo achi service nahi de pate. Aap paid domain loge to kal ko aap us site ke customer care me call karke problem solve kar sakte ho. Free domain me aysa nahi hota.
Aryan
Bhai ap muje ye bataye ki muje free me domain lena chaiye ya 100 rupees me kon sa acha rehega
Jumedeen Khan
100 rupees wala.
dilip
bhai mijhe bhi batao ki 100 rs me domain ek Sam k liye h ya mahine k liye
Jumedeen Khan
Dilp 100 rupees me ek sal ke liye hai. godaddy se le lo
surendra rsdp
brother, aapne post ke ist me jo ads lagaya hai uski size kya hai . kyu ki yeh wo size hai jisko use karne par laptop aor computer par sabse jayada click milte hai isliye mai iski size ke baare me janna chahta hu
Jumedeen Khan
700×300 Surendra aapki AdSense ki payment mili ya nahi.
Sandeep Kumar
God kare ki aap isse bhi acchi earning kare. Jo dusre ke liye dua kare me uske liye jarur karta hu