SupportMeIndia Blog Traffic & Earnings Report September 2016

I hope aap sabhi ko SMI hindi blog ki traffic and income report ka intjar hoga or aap eagerly supportmeindia blog ki earning report ka wait kar rahe hoge. Agar haa to aaj ka din aapke liye baki se behtar ho sakta hai. Because main is post me aapko apni september 2016 ki blogging earnings report ke bare me btane ja raha hu.

Hindi blog traffic and income report

Maine july 2016 ke bad koi earning report share nahi ki bahut se logo ne mujhse iske bare me sawal puche but maine unhe sirf itna kaha ki kuch wajah se abhi income report share nahi kar pa raha hu but aane wale time me apni earning report share jarur karunga.

Aaj is article me aapko mere earnings report share na karne ke reason ka bhi pata chal jayega or shayad aap iske bare me janna bhi chahate honge ki main kyu earning report share nahi karta tha.

Why I Don’t Share Earning Report:

Actually, kuch bloggers ka manna tha ki hindi blog se jyada earning nahi kar sakte the but main is bat ko nahi manta kyuki maine blogging ki starting hindi blog se hi ki thi or maine shuru se hi blogging se badhiya kamayi ki hai. Main already old income report posts me iske bare me bta chuka hu.

Maine social media and kuch other hindi blog par iske bare me suna tha ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. So maine iske bare me pata kiya or finally main jan gaya ki only kuch hi hindi blogger hai jo blogging se lakho kama rahe hai.

Jaha tak mujhe pata hai aaj hindi blogging me lakho blogger hai or daily bahut sare log blogging ki duniya me entry kar rahe hai. Inme se kuch fail ho jate hai or kuch sucessful blogger ban jate hai. Maine isme ek bat note ki hai ki isme time value nahi rakhta. Kyuki kuch logo ne jo salo me kia wo kuch blogger ne ek sal se bhi kam time me kar dikhaya.

Jaha tak mujhe pata hai aaj bhi kuch aese blogger hai jinhe blogigng me 5 year se jyada time ho gaya hai but no success. Jab mujhe unke bare me pata chalta hai to mujhe bahut dukh hota hai. Main aaj tak samajh nahi paya ki aakhir ye log itne time tak karte kya hai.

Is bare me bat karenge to shayad post khatm hi nahi hogi so main apne topic par aata hu. Maine bahut sare hindi blog ka review kiya or mujhe pata chala ki sirf kuch hi log positive feeling rakhte hai baki sabhi ki soch hai ki blogging se lakho nahi kama sakte or ye imposible hai..

Actually, main easily apne reader ko bta deta tha ki meri earning kitni hai but kuch logo ne meri soch badal di unka kahna tha ki aapki earning itni nahi ho sakti or hindi blog se itni kamayi nahi ki ja sakti.

Us time maine soch liya tha ki logo ko jaban se nahi waqt se jawab dena behtar hoga aur me usi din earning report share karunga jis din meri earning dauble ho jayegi.

Aaj wo din aa gaya hai un sabhi logo ke liye ek edification le kar jo kahte hai ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. Yes, hum kama sakte hai or shayad ek nahi kei lakh kama sakte hai.

Support Me India Traffic and Earnings Report September 2016

Hum hindi blog se bhi achhi earning kar skate hai. Main is bare me aapko kisi or ka example nahi dunga balki main aapse kahunga ki aap mujhe hi dekh sakte ho main ek graduate student hu jisne apni study chord kar blogging me apna career banaya.

Agar main blogging se itne paise kama sakta hu to aap kyu nahi, aap bhi kama sakte ho or shayad mujhse bhi jyada kama sakte ho. Bas aapko hard work karne ki jarurat hai.

SupportMeindia Traffic Report September, 2016

Main pichle kei month se soch raha tha ki aakhir kab main blogging se dauble earning kar paunga or wo kounsa month hoga or shayad september ka mahina mere liye lucky raha hoga tabhi main aaj aapke sath apne traffic report share kar raha hu.

Yaha par aap SMI hindi blog ki traffic report ka screenshot dekh sakte hai.

supportmeindia traffic september 2016

I know aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai. Mujhe blogigng me 1 year se jyada time ho gaya hai or jaha tak mujhe pata hai ek sal me ye traffic bahut kam hai but main isse satisfied hu or mere liye ye kafi hai, halaki main chahata hu ki main abhi or progress karu.

Traffic Source:

Supportmeindia par mostly search engine and direct traffic adhik aata hai. Wese bhi mera main source yahi hai kyuki sabhi jante hai ki main apni posts ka social media ya other way se jyada promotion nahi karta user apni choice se meri site par visit karte hai.. Baki idea aap is image se laga sakte ho.

SMI referrala traffic source

Screenshot me aap clear dekh sakte hai ki smi blog par 80% organic search traffic hai or blog par sabse jyada traffic search engines se hi aata hai. Jyadatar traffic google search engine se aata hai.

April, 2016 ki tulna me blog par referral or social traffic kam hai. Shayad iska reason mera social sites par active nahi rahna hai. Agar main social sites par apne visitors se connect rahta to shayad mujhe isse adhik traffic mil sakta tha.

Support Me India Income Report September 2016

Income:


Total Earnings: $2350 (1,56,800) + Rs 17, 800 = 1,74,600 Indian Rupees

Ye earning with expenses hai yani sabkuch less karne ke bad bhimeri september 2016 ki earning 1 lakh se jyada hai yani logo ki ye bat yahi par khatm ho jati hai ki hindi blogging se 1 mahine me ek lakh nahi kama sakte. Maine blogging ki starting passion ke liye ki thi par mujhe isse bahut kuch mila hai or main kah sakta hu ki wakai blogging se hum lakho kama sakte hai.

Main aaj bhi blogging paise ke liye nahi logo ki help karne ke liye karta hu. Bachpan me maine apne teacher se sikha tha ki paise ke piche mat bhago uske kabil bano or jab tum iske layak ban jaoge to wo khud be khud tumhare pas aayega.

Main bhi aap sabhi se yahi kahunga ki kisi ke piche mat bhago or mehanat karo yakinan ek din aapko aapki mehanat ka fal jarur milega.

Agar aap ek blogger ho or blogging me career banana ho to main aapko suggest karunga ki imandari se wok karo or hard work ke sath smart work ko apnao aapko saflta jarur milegi.

Maine aapke sath yaha apne blogging ke experiences ke sath earning report share ki hai, ummid karta hu isse na sirf aapko success ki sikh milegi balki ek din aap isse bhi better kar ke dikhaoge or mujhe us din ka intjar rahega.

Good luck guys!!!!!!!!!