Youtube Par Video Upload Kar Ke Paise Kaise Kamaye 2024

Hy friends aaj hum bat karenge YouTub ke bare me ki YouTub se paise kaise kamaye jate hai video upload kar ke. Agar aap bhi internet par yahi search kar rahe ho ki YouTube se paise kaise kamaye to ye post aapke bahut kam ki hai. Is post ko pura read karne ke bad aaj aapki searching puri ho jayegi. Actually YouTub ke bare me aaj har koi kuch na kuch janta hi hai par unme se bahut se new users ko ye pata nahi rahata ki YouTub se hum paise bhi kama sakte hai aap bhi new users hai to ye post jarur read kijiye kyuki is post me aaj hum yahi janenge ki YouTube se paise kaise kamate hai video upload kar ke.

make-money-on-youtube

YouTube se karodo log ghar baithe aasani se lakho rupye kama rahe hai agar aap ye sochte hai ki aesa nahi ho sakta to aap bilkul galat hai kyoki aap bhi aesa kar sakte hai. Uske liye aapko youtub ke kuch rules follow karne honge jinhe follow kar ke aap bhi youtube par apna channel bana kar video upload kar ke paise kama sakte ho. Agar aap apna channel banana chahate hai or paise kamana chahate hai to aap padhte rahiye ye post or janiye youtube se paise kamane ke tarike.

YouTube duniya ki sabse badi video website hai jis par roj karodo log video dekhte hai hajaro logo ne YouTube channel banaya hua hai. Sayad aapne bhi apna channel bana rakkha hoga or us par video bhi upload kiye honge or agar aapne abhi tak channel nahi banaya hai to koi bat nahi kyoki aaj main is post me aapko yahi bata raha hu.

YouTube Se Paise Kaise Kamaye 2024

Agar aapne pahle se hi apna YouTube channel banaya hua hai to shayad ye post aapko pasand na aaye lekin ek bar puri post jarur read kijiye. To chaliye start karte hai ki YouTube channel kaise banate hai.

YouTube channel banane ke liye aapko apni gmail id ki jarurat hogi agar aapne apna gmail account nahi banaya hai to pahle ye post read kar apna gmail account bana lijiye Gmail Account Kaise uske bad aap apna channel bana sakte ho.

How to Make Your Channel on Youtube

YouTube par channel banana simple hai aap is post ke step follow kar 2 minute me apna channel create kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pahle apne browser me YouTube.com type kar YouTube website par jaye. YouTube Open hone ke bad Right Side upar People icon par click kare.

People icon par click karne ke bad ek dabba open hoga jaise humne screenshot me bataya hai. Isme setting ke option par click kijiye.

  1. Profile picture par click kare.
  2. Settings par click kare.

Open youtube settings

Step 2:

Ab jo page open ho usme See all my channels or create a new channel par click kare.

  • See all my channels or create a new channel option par click kare.

See all my channels or create a new channel

Step 3:

Ab Create a new channel par click kijiye.

Create a new channel

Step 4:

Create A New Channel par click karne ke bad ek new page open hoga usme google aapse new channel banane ke liye kahega yaha aapko jis name se apna channel banana hai wo name fill kare or create option par click kare

  1. Channel ka name dale
  2. Uske bad Create ke button par click kare.

Create a Brand Account
Step 5:

Create par click karte hi YouTube par aapka channel ban jayega. Ab google aapko channel verify karne ke liye mobile number mangenga.

  1. Apna mobile number add kare.
  2. Verification method choose kare, aap OTP code text message ya call se pana chahate hai.
  3. Continue par click kare.

Verify Your Youtube channel

 Step 6:

Ab jo page khulega usme aapko verify code add karna hai.Aapke phone number par ek code aayega wohi code yaha add karna hai. Code add karke channel verify kar le.

  1. OTP password add kare.
  2. Continue par click kare.

Verify Your Youtube Account

Step 7:

Ab aap apne banaye channel ke homepage par pahuch jaoge, jiska look kuch is tarah ka hoga. Ab bas aapko apne channel par video upload karna hai jiski jankari niche de raha hu.

Your YouTube Channel is Ready

Add channel art par click kar ke aap apne channel par koi bhi image photo add kar sate hai aap ye bad me bhi kar sakte ho. To is tarah aap bhi YouTube par apna channel bana sakte ho.

Ab YouTube par aapka channel to ban gaya hai par ab aapko ye janna hai ki YouTube par video upload kaise karte hai to aaiye jante hai ki YouTube par video upload kaise karte hai.

How to Upload Video to Youtube

Step 1:

Video Upload karne ke liye Right Side me upar Upload icon par click kare.

  1. Top right me Upload icon par click kare.

Upload Video on Youtube Channel

Uske bad aapke samne ek aesi popup window open hogi yaha se aap apni video ko channel par aasani se upload kar sakte ho.

  1. Select files to upload: Yaha par click kar aap apne computer se apni video ko select kar ke ya fir mouse se utha kar yaha patak sakte ho. Jaise hi aap apni video select karoge to video upload honi start ho jayega.
  2. Import:Agar aapki video google photos me hai to aap apni video ko yaha par click kar direct upload kar sakte ho.
  3. Get Started: Get started ke option par click kar ke aap apne cemera se video bana kar upload kar sakte ho.
  4. Aap chahe to mouse cursor se apne PC se video ko utha kar yaha move kar sakte hai.

Upload Video at Youtube

Generally, aap Select files to upload ka option choose kar sakte hai. Ab jaise hi aap vaha click karoge or computer se apni video select karoge to uske turant bad aapki video upload honi shuru ho jayegi jise aap niche page me dekh sakte ho.

Video Uploading on YouTube

Yaha par aap apni video upload hoti huye dekh sakte hai yaha se aap apni video ke bare me likh sakte ho ki aapki video kis tarah ki hai or usme kya hai.

  1. Yaha se aap ye dekh sakte hgai ki aapki video kitne parsent upload ho chuki is page me 4% upload ho chuki hai.
  2. Is option me aap apni video ka name fill kar sakte hai.
  3. Is option me aapko apni video ke bare me 150 words me likhna hai ki aapki ye video kis bare me hai or is video me kya hai.
  4. Yaha par se aap apni video se related tag add kar sakte ho.
  5. Public option me jakar aapko ye set karna hai aapki video ko koun koun dekh sakta hai koun nahi dekh sakta agar aapne ye video sabhi ke liye banai hai public hi rahane dijiye.
  6. Agar aap apni video ke sath koi massage chodna chahate hai to yaha wo massage add kar sakte ho.
  7. Is option me aap apni video ko playlist me add kar sakte ho.
  8. Video upload hone ke bad apni video ke liye niche 3 Thumbnail me se ek ko chun sakte ho.
  9. Apni video ki complete jankari fill karne ke bad publish ke button par click kar dijiye.
  10. Yaha video manager ke option par click kar ke aap ye dekh sakte hai ki aapki video aapke channel par hai ya nahi hai.
  11. Agar aap abhi ek or video upload karna chahate hai to add more videos ke option par click kar ke aesa kar sakte ho.

Video uploading ki adhik jankari ke lyie ye post padhe, YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari.

Jaise hi aap publish ke button par click karoge to video aapke channel par aa jayegai. To friends is tarah aap bhi apne channel par video bana kar use upload bhi kar sakte ho badi aasani se agar fir bhi aapko kuch samajh nahi aaya hai comment me bataye.

To friends ab aapne YouTube channel banana bhi sikh liya hai or us par video upload kaise karte hai ye bhi jan liya hai par aapko ek bat or janni hai ki YouTube par ham jo video upload karte hai unse hamari income kaise hoti hai aaiye jante hai.

How to Earn Money from Uploaded Videos on Youtube?

YouTue videos se earning karne ke liye aapko apna youtube channel monetize karna hoga. Videos ko mnetize karne ke bad aapki video par adsense ads show honge, Inhi advertisement se aapki income hongi.

Youtube channel ko monetize karne ke liye ye post padhe,

Ab aapko ye to pata chal gaya ki kamai kisse hogi but ab sawal ye hai ki hamari income kaise hogi. Actually aapki income YouTube par video se 2 tarah se income hogi.

  • Jab koi user aapki video par show ho rahe ads par click karta hai.
  • Ya fir aapki kamai jab hogi jab aap apni video par kisi affiliate product ka promote karte ho.

YouTube se paise kamane ki jankari ke bare me main already kai articles likh chuka hu jinme se 2 ke link yaha de raha hu, Aapko inme youtube video se paise kamane ki a to z guide mil jayegi.

  1. YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
  2. YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike – Top 10 Ways

To friends is tarah aap youtube par video upload karke income kar sakte ho or agar fir bhi aapko Youtube se paise kamane me koi problem ho rahi hai to aap comment me bata sakte hai.

Agar aapka youtube me interest nahi hai or aap youtube se paise kamana nahi chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi is post me free website blog banane ki details se jankari di gayi hai aap apna blog bana kar usse paise kama sakte ho adhik jankari ke liye comment kare.

I hope aapko YouTube se paise kaise kamaye video upload karne ki jankari achhi lagi hogi agar ha to social media par apne friends ke sath share jarur kare

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 232 )

  1. Me 3 video bnaye h whatsapp status 30 sec k nam se jisme se 1 video 115k tk chala gya h but ab me apna chanal open nhi kr oa rha hu likha aata h “Your account has been permanently disabled” ab me kya kru mera chanal mahipal dabhi nam se h ap video dekh kr btaho konsi galti ki h mene.

    Reply
    • Aapne konsi galti hai hai uska google ne aapko mail send kar diya hoga. Mail check karo.

      Reply
  2. Kia sirf like krne,subcribe krne aor video daykhne se income nhe hoti?

    Reply
    • Nahi.

      Reply
  3. Sir jab hum you tube account se bank account ku add karenge to bank account hack ho sakta hai kya.

    Reply
    • Nahi.

      Reply
  4. Sir paisa kaha ata hai aur kamane ke liye bank account me paisa at a hai kya sir sir puri jankari de sir please
    help me sir

    Reply
  5. Sir maine channel pe ek vdo upload kiya song ka lekin jb sirf mai us song ka nam dalta hu to search me nhi ata lekin uske sath apne channel ka nam dalta hu to mera song search hota hai.uspe koi vew nhi kya kru sir

    Reply
    • Videos ko sahi se promote karo search me aane lag jayega.

      Reply
  6. sir mera ek sawal hi jese mene video upload kiya to sir usme ads kese ayenge help me sir

    Reply
    • Video ko monetize karna hoga. Aap humari youtube wali post padho sab sikh jaoge.

      Reply
  7. Sir jaise mera bank account hai but mujhe ye samjh nahi aaya ki jab mai video upload karunga
    To mere account pe paisa kaise aayega kyoki aapne Jo account create karna sikhaya hai uspe kahi bhi account no to manga hi nahi….

    Reply
    • Paise aapko youtube nahi google dega jo aapki video par ads show karke earning karega or uska 70% aapko milega. Aapko bank account adsense me add karna hai. Aap humari adsense wali post padho sabki jankari mil jayegi.

      Reply
  8. asalamailekum bhai
    mere current address or bank ka address different h mujhe payment address kya dena chahiye???

    Reply
    • Dono address same hone chahiye.

      Reply
  9. Upload karne k baad paise kisme jayenge

    Reply
  10. Excellent information once again. I am looking forward for more updates:)

    Reply

Leave a Comment