Yoast SEO Plugin Se Down Huyi Ranking Ko Recover Kaise Kare

Yoast SEO Plugin WordPress SEO ke liye sabse jyada use hone wala plugin hai. Jab bhi Search Engine Optimization ki bat aati hai to SEO expert Yoast SEO Plugin suggest karte hai. Lekin 2 month pahle khud Yoast SEO Plugin 7.0 Bug ki wajah se wordpress use karne wale bahut se blogger ki search ranking down ho gayi aur unka google se aane wala traffic bahut kam ho gaya. Iska reason kya tha aur yoast seo plugin ki wajah se drop huyi search ranking ko recover kaise kare ki puri jankari is post me di gayi hai.

Yoast SEO Plugin Down Rank Recover Kaise Kare

Actually, March 6th, 2024 ko Yoast Plugin 7.0 update aayi thi aur usme developer se kuch mistake ho gayi thi jiski wajah se bahut se wp blogger ke blog ki search ranking down ho gayi thi, yaha tak ki kuch user ka traffic to 50% se bhi jyada down ho gaya tha.

Halanki yoast plugin seo ke liye sabse best plugin hai aur iska review bhi bahut achha hai lekin galti kisi se bhi ho sakti hai. Yoast team iske liye apne users se sorry bol chuki hai. Lekin hume apni search rank wapis karni hai.

Yoast SEO Plugin Ki Wajah Se Down Huyi Ranking Recover Kaise Kare

Yoast 7.0 update ke bad ask.supportmeindia.com forum par ek user ne Blog Traffic 50% Decrease in Last 7 Days ki jisme 50% se jyada traffic down hone ki bat kahi gayi, iski wajah bhi yoast plugin hi tha. Iske alawa 2 aur user ke bare me mujhe pata chala.

Ek user ne twitter par post karke btaya ki uski site google me first position se completely remove ho gayi aur 3rd and 4th position par show hone lagi thi aur ab wo yoast par believe nahi karega.

Ek aur user ne btaya ki uski google rank down ho gayi hai aur use is month me $1-2k earning ka loss hua hai. Lekin bad me bug fix hone aur yoast ka new update aane par uski ranking fir se recover ho gayi.

Yoast team ke according “humare yoast seo 7.0 update me attachment url se related bug tha, jise humne jaldi hi fix kar liya lekin jin logo in bug fix karne se pahle plugin update kar liya unhe ranking drop ka samna karna pada.” Yoast team ne is bare me apne blog par attachment url bug namak post bhi share ki hai.

Yoast SEO Plugin Me Kya Bug (Problem) Thi?

Jab aap wordpress par koi image upload karte hai jo wordpress na sirf use store karta hai balki uske liye ek attachment URL page bhi bananta hai. Is page me image ke alawa koi content nahi hota.

Google Panda Algoriths ke according ye thin content me aata hai aur site par aese bahut sare pages hone par site ko google penalize kar uski ranking down kar sakta hai.

Yoast SEO plugin attachment URL ko page URL par redirect kar ise problem ko fix kar deta hai. Iski setting aap Yoast SEO plugin settings me Search Appearance >> Media setting par ja kar Media & attachment URLs option ko enable kar sakte ho.

By default yoast plugin attachment URL ko page URL par rediect kar deta hai lekin 7.0 upgrade ke bad mistake se ye feature miss ho gaya aur jin logo ne Media & attachment URLs redirection enable nahi kiya tha unke attachment URL google ne index karne shuru kar diye.

Iski wajah se bahut se users ki site ke attachment URL google ne index kar liye aur natijan unki search ranking down ho gayi.

Yoast SEO Plugin Bug Se Kinka Nuksan Hua?

Yoast SEO official announcement ke bad ye clear ho gaya ki sirf un logo ko ranking down hone ki problem huyi thi jin logo ne bug fix hone se pahle plugin update kar liya tha.

Second jin logo ne Media & attachment URLs redirection enable nahi kiya hua hai un logo ki search ranking down huyi hai.

Mera Media & attachment URLs “NO” Par Set Tha

Kuch log janbujh kar attachment URL redirect ko disable karke rakhte hai aur kuch log galti se ya wrong setup guide ki wajah se disable karke rakhte hai, Isse koi matlab nahi hai.

Agar aapki site pat attachment URL redirection “No” par set tha to chahe aapne ye janbujh kar kyia ho ya galti aapki site par affect pada hoga aur site ka traffic kam hua hoga.

Aapko jald se jald attachment URL ko page URL par redirection enable kar lena chahiye. Iske liye aapko yoast seo media setting me toggle “Yes” par set karna hoga.

Mera Media & attachment URLs “YES” Par Set Tha

Agar aapne pahle se attachment URL redirection enable kiya hua hoga to aapki site ranking par koi effect nahi padega. Agar is bich aapki site ka traffic kam hua tha to uski wajah kuch aur hogi.

Aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai, haa aap ek bar yoast seo media setting me ja kar confirm kar le ki aapne toogle YES par set kiya hua hai ya nahi.

Drop Ranking Ko Recover Kaise Kare?

Ab bat aati hai yoast seo plugin ki wajah se dropped ranking ko recover karne ki to aapko google se sabhi attachment URL ko remove karna hoga.

Sabse pahle aap Yoast SEO media settings me ja kar Media & attachment URLs redirection enable kare.

Yoast Attachment settings

Is settings ko karne ke bad google attachment URLs ko remove karna shuru kar dega lekin google ko all URL ko remove karne me 1-3 ya fir 6+ month bhi lag sakte hai.

Means aapki search ranking recover hone me kai mahino ka time lag sakta hai. Is problem ko solve karne ke liye yoast seo plugin team ne ek aur plugin banaya, search index purge plugin. Ye plugin attachment URLs ko google se jald se jald remove karane me help karta hai.

Search Index Purge Plugin Kya Karega?

Is plugin ko install karne ke bad all attachment URL par 410 error ( URL removed permanently) show hoga. Jisse google unhe jald se jald remove kar dega. Plugin install karne bad yoast seo media setting me kuch is tarah ka option show hoga.

Search Index Purge Plugin

Aapko ye plugin tab tak install karke rakhna hoga jab tak aapki site ke sare attachment urls google se remove nahi ho jate. Is method se aap jald jald google se attachment URLs ko remove kar sakte ho.

Agar aapko nahi pata ki aapki site ke attachment URLs google me index hai ya nahi to apni blog ki all posts, pages, categories, tags ko gin le fir google me site:domain.com or site:www.domain.com type se search kare aur total count compare kare, jyada hai matlab aapki site ke extra link google me index hai, unhe remove karna chahiye.

Is tarah se aap yoast seo plugin ki wajah se dropped search ranking ko fir se recover kar sakte hai. Agar aapko ye article pasand aaya ho to ise social media par apni profile aur other blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 43 )

  1. Bhai Meri Ranking 1700 se 53000 ho gayee h march ke baad. or google web master tool me bhi error aa rahe h. Stucture data error , Samajh nahi aa raha kuchh. Itni Ranking kaise down ho gayee h. Apne jo setting batai h wo to waise hi h. kuchh suggestion do.

    Reply
    • Google algorithms updates check karo sab samajh aa jayega.

      Reply
  2. jumedeen bhai ek sawal h ki subdomain jaise 123.xyz.com me koi post publish kari or wahi post main domain jaise xyz.com me bhi post kare to copyright hoga ya nhi

    Reply
    • Copyright nahi duplicate content ki problem hogi.

      Reply
  3. bahut mahtvpurn jaankari diya sir aapne mai to abhi naya hu is filed me par jo pahle hai se unke liye bahut kaam ki chij hai.sir aapke liye ek blog likha hu chhota sa dhnywaad dene ke liy jarur padhiyega.

    Reply
  4. जुमेदीन सर ! आपने एक बार फिर से बहुत ही काम की और बढिया जानकारी दी है. आपका तहे दिल से शुक्रिया.

    Reply
  5. Aapne bahut hi badhiya jankari share ki hai..
    Mai jab google me apne site ko search karta hu to site ka image ka link aur title bhi aa raha hai..mai chahta hu sirf post hi search me aaye..kaise hoga solution

    Reply
    • Is post me btaye steps follow karo problem solve ho jayegi.

      Reply
  6. Nycccc Articel dear… Bohat badiya tarike se btaya
    Bhai blogger k liye bhi bta do k hum konsa SEO tool use karien jis se hum apna SEO theek kr sakein… Plzz Bhai

    Reply
  7. meri rank pr jyada fark nah pada

    Reply
  8. ab aap ek baat batao…………..hum to all in one seo use kar rahe hai fir bhi humara traffice 80% down huwa tha……….iska reason……..

    Reply
    • Agar aapne ye option disable kiya hai ya yoast plugin use nahi karte ho to traffic kam hone ki wajah kuch aur hogi. for example, march me google algorithm update aayi thi.

      Reply
  9. bahut acchi jankari batai hai. yah bahut helpful rahi mere liye.

    Reply
  10. Sir Yoast SEO ya All in one SEO dono me se kon sa jyada acha hota hai?

    Reply
    • Yoast SEO best hai.

      Reply

Leave a Comment