Keyword Density Kya Hai or Better Ranking Ke Liye Kitni Percent Honi Chahiye

Search engine se traffic increase karne ke liye Search Engine Optimization article likhna jaruri hai. Magar iske liye aapko SEO ke bare me achi information honi chahiye. Content ki search ranking better karne ke liye bahut sare factor follow karne hote hai unhi me se ek hai Keyword Density. Yani post content me keywods kitne percentage use karne chahiye jisse post search me achi position bana sake.

Keyword Density

Maine pahle bhi SEO ke bare me Keyword Stuffing, Long Tail KeywordsOn Page Optimization, Black Hat SEO, Image alt tag, Dofollow and Nofollow and other bahut si post likhi hai. Jinhe aap SEO category posts par visit karke read kar sakte ho. Jinme aapko better search ranking post likhne ki tips milegi or aap Search Engine Optimizing ko ache se samajh paoge.

Mai aapko suggest karunga ki aap humari SEO se related baki post bhi jarur padhe. I sure aapko behtar janakri milegi or aap searh engines se jyada organic traffic receive kar sakte ho. Agar aap apne article ki keyword density calculate karna chahate hai to aap Free Online Keyword Density Checker Tools par keyword avarage check kar sakte ho.

SEO me keyword density kya hai ye janna bahut jaruri hai kyuki bahut bar humse search engine opimized post likhne time galati ho jati hai or hume keyword stuffing and black hat seo ko follow karne lagte hai. Isse humari post ki search rank increase hone ki jagah decrease ho jati hai.

Keword Density Kya Hai?

Blog post content me total words me add kiye gaye keywords ki percentage number ko keyword density kahte hai. Simple shabdo me, Suppose aapne ek post me total 1000 words likhe hai or usme aapne koi keyword 100 bar use kiya hai to usme keyword density 10% hogi. I mean aap agar 100 words ke paragraph me 10 bar keyword use karoge to keywords density 10% hogi.

Website content me keyword use karne se post ki search rank increase hoti hai or us par search engine se adhik visitor aate hai. Magar iske liye bhi aapko post length ke hisab se keywords use karne hote hai. Post me hisab se keyword istemal karna hi keyword density kahlata hai.

Post content me keywords kitne percent use karne chahiye iske bare me mai already kei post me bta chuka hu. Magar aaj yaha aapko specialy details me btaunga.

Better Ranking Ke Liye Keyword Density Kitni Percent Honi Chahiye

Keyword density percentage post me keywords use karne ka important factor hai. Simple words me kahu to agar aapko iski jankari nahi hai to aap SEO freindly post nahi  likh sakoge or apni site ki search rank, authority ko behtar karne ki jagah or jyada bekar kar doge.

Mujhe SEO ke bare me jitni bhi jankari hai or jaah tak mujhe pata hai mere experience ke hisab se keyword density 1% to 3% honi chahiye. Jo ki mostly google search ke liye better hai. Yani aapko 100 words ki post me 1 se 3 keyword use karne hai. Isse jyada ya kam keyword use karne se aapki site ki search rank par bad effect pad sakta hai. Agar aap post me keyword use karne ki jankari details me janna chaahte hai to aap humara Keyword Stuffing Kya Hai aur SEO Ke Liye Kyu Danger Hoti Hai post read kar sakte hai. Isme aapko post me kaha kaise or kitne keywords use karne hai ki full information milegi.

Agar aap WordPress user hai to aap Yoast SEO plugin use kare. Ye plugin world famous hai or SEO ke liye sabse better service offer karta hai. Ye aapko bahut hi simple feature provide karta hai. Jisme aapko On page SEO, keyword density, content quality score, post title & heading, first paragraph, last paragraph and other content me keyword use karne ki tips and other bahut sare option milenge. Jo aapki post ko ache se optimize karne me help karta hai. I sure lagbhag har blogger is plugin ko use karta hai.

Second agar aap blogspot user ho to aapko keywords manually handle karne honge. Iske liye mai aapko yaha kuch point bta raha hu. Jaha par aap keyword use kar sakte ho.

  • Permalink me keyword use kare.
  • H1 tag
  • H2 Tag
  • Meta title Tag
  • First paragraph of the article
  • Last paragraph of the article
  • Bold, italic and other important words me keywords use kare.
  • Image alt tag me target keywords use kare.
  • Meta description me Keywords use kare.

Yaad rahe aapko post content me 1-3% hi keywords use kanre hai or keyword stuffing ko avoid karna hai. Mai aapko suggest karunga ki aap post ke starting or end me main keyword jarur use kare sath hi post me long tail keywords bhi use kare apni post ki searh rank ko or behtar banaye.

Finally, Aapko is post me keyword density ki useful & helpful information milegi. Agar aapko meri koi bat samajh nahi aayi ho to aap comment me uske bare me puch sakte hai or agar aapke pas iske bare me koi or janakri hai to aap comment me apne thoughts share karke humare reader ki help kar sakte hai.

I hope aapko ye article pasand aayega or keyword density ke bare me behtar jankari milegi. If really, then share this post on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 81 )

  1. DEEN bhai aap great ho .
    or bo isliye great ho ki aap bahut hi achhey artical share karte ho .
    aapto mere guru ho .
    agar aap mujhen apna samjhte ho to mujhen kuchh batao plz
    maine naya blog banaya hai to main kuchh jaankari chahata hoon
    plz tell me

    Reply
    • Dear khan aapko jo bhi janana hai puch sakte ho.

      Reply
  2. Sir Blogger me Post public karne se pahle Keyword density kaise check kar sakte hain.

    Reply
  3. Sir Mene ek website banai he ( my joke shayari Mene iska sitemap banake Google me bhi indax kar diya he lekin main ise Google me search karta hu to mujhe ye kahi bhi nhi dikhti he sir please help me

    Reply
    • Wait google me bhi aa jayegi.

      Reply
  4. Sorry sir
    Aap hamesha se sahi ho galti mujhse hui iljaam aap par lagaa dia
    Once again i’m really Sorry.

    Reply
    • Hello sir aapki post se mujhe bahut help mili m bhi ek health blogging website par kaam kr rha hu kya aap uski ranking increase krne me meri help kr skte h? kya aap mujhe kuch tips suggest kr skte h?

      Reply
      • Aapki site me koi kami naih hai bas content ka background colorful mat rakho ise white karo or text color black.

        Reply
  5. please Sir help kro maine kisI post me yahi puchaa tha but apne reply nhi kiya aur comment ko bhi delete kar dia sir aisaa q?
    1- blog post ko mai pahle wordpad par likhti hu sir heading H1, H 2,H 3,H 4, H 5,H 6 kaa font size kitna hona chahiye
    2-keywords serch kia to uska cpc 178 lekin volume 500 hundred tha kya ye thik rahega
    2- keywords search karne par jo volume aata hai uskaa kya matlab hai,volume kam rahega to kya hoga.
    3- sir manlo aap keywords ki cpc 90 hai to kya mujhe ek click ka 90 rupees milega .

    Reply
    • Dear anila mai aapki old comment ka reply kar chuka hu. Bina check kiye ilzam mat lagaya karo. Go fast and check your oldest comments.

      Reply
  6. भाई मेने अपने comment के पहले point में 1000 words और 1000 keywords का जो example दिया है वो आपकी इसी आर्टिकल से मेने कॉपी किया है। में ये बताना चाहता हु की वहा आप 1000 Words की जगह 10000 वर्ड्स लिखिए या 1000 keywords की जगह 100 keywords लिखिए ।

    Reply
    • Thank you vishal.

      Reply
  7. 1. bhai ye example ek bar check kijiye Suppose aapne ek post me total 1000 words likhe hai or usme aapne koi keyword 1000 bar use kiya hai to usme keyword density 10% hogi.

    yaha keywords 100 bar hona chahiye

    2. MerI ek post me keywords density yoast plugin ke anusar kush is tarah hai

    The keyword density is 4.03%, which is great, the keyword was found 5 times.

    is post me total134 words hai

    Aur mere blog par yahi post sabse jyada views aur 90 % search isi post par hota hai
    to kya 4 % density sahi hai ya galat

    Reply
    • 1. 1000 words ki post me 1000 keywords use nahi ho sakte. Aap 100 keyword use karoge to keyword density 10% jo ki bahut jyada hai. SEO terms ke anusar maximum 2.5% keywords istemal kar sakte hai.
      2. Yoast SEO kabhi bhi 132 words ki post me 5 bar keywords use karne me par keyword density great nahi btayega. Ye bahut jyada hai or agar aapke sath aesa hai to wo error hai.
      3. Aap ek shayari blogger ho isliye aesa hai. keyword density 2.5 to 3% se jyada nahi honi chahiye.

      Reply
  8. sir maine on page seo kiya hai par wo google ke page par meri website show nahi kar rahi hai, main kya karu, help me

    Reply
    • mujhe nahi lagta aapne aesa kiya hai. Agar kiya hota to aapki post top par hoti. SEO ko achhe se follow karo.

      Reply
  9. bhai mera sawal aap pura pdhana tab uttar dena aap kabhi kabhi mujhe pura answer nhi dete ho
    भाई मै गूगल पर अपनी site को सर्च कर रहा था तो मुझो उसमे एक नयी चीज नजर आई आप मुझे उसके बारे में डिटेल से बताओ मैंने उसमे जब अपनी साईट को www के साथ सर्च किया तो उसमे Check Site Links To gajabkiduniya.com yah line mili to jab isko open kiya to isame dusari site ke bare me tha jo mere domain se milati hui hai lekin maine jab isame se ek ko opne kiya to usame usake keywords mile lekin meri site ke keyword nhi dikhai de rahe hai mujhe aap baataye ki maine kya galti ki hai taki mai apni site achchi rank de saku

    Reply
    • Kumar ji aapne ye to btaya hi nahi ki aapne kis site par report check ki hai or aapki site se related kis keywords wali site ki rank check ki hai. Aap apna sawal ek bar khud padho or fir socho koi uska kya reply karega.

      Reply
      • website .informer.com par check kiya hai isame meri keywords nhi aa rahe hai jabki aapki site ke show ho rahe hai aap mujhe bataye ki meri keyword show kyo nhi ho rahe hai

        Reply
        • Aapne apni site ka link nahi btaya hai so mai check nahi kar sakta.

          Reply
          • website.informer.com आप इस पर क्लिक कर जा सकते हो इसके सर्च बॉक्स में जब आप अपनी साईट का लिंक डालोगे तो यह आप की साईट की डिटेल बतानी लग जाती है ! इसमे मैंने जब अपने ब्लॉग के देखा तो इसमे मेरे कीवर्ड नही आ रहे थे लेकिन अभी 1 – 2 दिन से शो हो रहे है लेकिन उनको मैंने बदलना चाहता हूँ क्योकि वह गलत शो हो रहे है !

  10. 1.Kya aap mera blog check karke bata sakte he, usme kya kmiya hai.. me seo friendly articles likhta hu google keywords planner se keyword search karke. Index bhi ho rahe he post top 100 me. Me post ko 1st rank pe lana chahta hu. Is it possible? Par Analytics me visitor 0-1 aate he
    What should i do?please help me
    Me seriously blogging karna chahta hu..
    Par alg alg jagaha pr agal info milti he.??
    2.sirf post content ki keyword density imp he ?
    Ya title, permalink, post, meta, images ki total keywds density imp hoti he. Agar ha to vo kitni honi chahiye?

    Reply
    • Maine aapki kuch post check ki hai. Mujhe nahi lagta ki aap jo kah raho ho wo follow kar rahe ho. Plz read carefully about SEO.

      Reply
      • Sir mene aapki sari post padhi he carefully aur follow bhi karta hu.. yoast plugin se bahot madat milti he.sir aapne sayad ek hi post check ki he last.
        Bas content short hota he 500-700 ye manta hu. Kyoki badi post boring ho sakti he logo ke liye aisa mujhe lagta he guide post ke liye

        Reply

Leave a Comment