Website Blog Me Hreflang Tag Kyu or Kaise Use Kare

International targeting me country and language 2 type se audience ko target kiya jata hai. Agar aap multi-language site run karte hai to ye aapke liye bahut hi jaruri hai. Multiple language wali site Hreflang attribute istemal hota hai but newbie bloggers ko site me Hreflang tag use karne ki jankari nahi hoti jisse wo language preference ke according blog pages ko target nahi kar pate hai. Aaj main aapko isi problem ka solution btane wala hu ki blog me hreflang tag kyo use kare, Website Me Hreflang Attribute Kaise Use Kare?

Hreflang Tag Use Kaise Kare

Hreflang tags ka istemal multi-regional and multilingual sites me kiya jata hai. Google ko site content ke alag alag language ke content ki jankari ke liye hum rel=”alternate” or hreflang=”x” attributes ka istemal karte hai taki google har basha ke page ko samajh sake.

Aap apne main content ko single language me write kar sakte ho or use translate kar multiple language me alag alag content ki tarah publish kar sakte ho. Example, aapne news sites me dekha hoga unke navigation me kai local language me option hote hai jin par click karke unki language change ho jati hai. Actually, unki language change nahi hoti pura content hi change hota hai bas sabhi jagah same content hota.

Yani aap ek content ko kai languages me translate kar likh sakte ho but uske liye aapko google ko btana hoga ki aapki site par kitni language istemal hoti hai. Iske liye aap hreflang tag use kar sakte ho.

Website Me Hreflang Tag Kaise Use Kare

Jab aap 2 ya 2 se jyada different domain par same content ko multi-language me publish karte hai to aapko iski jarurat nahi hoti magar jab aap same domain par kai bhashao me ek hi content ko publish karte ho to google ko ye problem hoti hai ki kis content ko kis language ke users ko dikhana hai.

Iske liye hreflang tags ka istemal karke google ko ye btaya jata hai ki is site par ye sab language ke content milenge or kis language ke content ko kin visitors ko dikhana hai. Ye koi hard work nahi hai. Aap search console tools ki help se kuch hi seconds me ye kaam finish kar sakte ho.

Aap ek website owner ya blogger ho to aapne google webmaster tools ka istemal jarur kiya hoga. Google webmaster tool me Search Traffic >> International Targeting option par language par aapko “Your site has no hreflang tags” error dikhayi dega.

Hreflang attribute error in search console

Agar aap hinglish ya multiple language me content write karte ho to aapko search console me ye error mil jayega. Actually, newbie ko iske bare me jankari nahi hoti hai or wo is par focus nahi karta or na hi wo iska istemal karta hai. Main aapko bta du ki agar aapki site par ek se jyada language use hoti hai to aapko hreflang tag istemal karna chahiye.

Hreflang Tag Kya Hai

Hreflang tag website pages ko mark up karne ki ek aesi method hai jisse hum search engines ko content ki different language and religion ke bare me bta sakte hai. Aap three type se hreflang tag ka istemal kar sakte ho.

Dusri basha me hreflang tag ek code hai jo same content ke multi-language me hone ke bare me  search engines ko jankari deta hai ki kis language ke liye kis URL wale content ko show karna hai.

  • En-us and en-gb: Religion variations content ke liye.
  • En, in, and fr: Multiple language wale content ke liye.
  • Different languages and religions variations: Dono ke liye dono attribute ko ek sath use kar sakte hai.

Fo example, aapne ek article english me likha or fir usi article ko same content ke sath hindi, french and Spanish me translate kar diya to google ko ye btana jaruri hai ki english user ko konsa content or hindi user ko konsa content show karna hai.

Hreflang Tag Ka Istemal Kaise Kare

Humari site par multiple language me content share kiya jata hai. Mostly aesa news sites me hota hai or aapme se bahut se log uews site run karte hai. So sabhi language ke content ko google me top par lane yani content ki search rank better banane ke liye site me hfrelang tag use karna behtar hota hai.

Hreflang tag main aapko apni site ki bhasha ke sath country code bhi add karna hai. Jaise aapki site hindi me hai aur location india hai to aap hreflang="hi-in" hreflang tag use karoge.

For example,

  • <link rel="alternate" href="https://example.com/" hreflang="en-in" />

Ye meta code aapko apni website me <header> section me add karna hai. Direct upar btaya code copy karke paste nahi karna hai isme se aapki site ki jo language hai wo bhi add karni hai.

Agar aapko Hreflang samajh nahi aa raha hai to no worry main aapko Hreflang tags generator ke bare me bta deta hu.

Hreflang Tags Generate Kaise Kare

Hreflang tag generate karne ke liye aap Hreflang Tags Generator Tool par jaye or ye steps follow kare.

Hreflang Tags Generator Tools

  1. Apni site ka domain URL add kare.
  2. Apni site ki Language select kare.
  3. Country select kare.
  4. Agar aapki site par ek se jyada language me content hai to aap additional language aur country add kar sakte ho.
  5. HTML Meta tag generate karne ke liye “Tags to include in the head area of the pages HTML” option select kare.
  6. Hreflang tags generate kare.
  7. Ab yaha aap apne site ke liye hreflag code dekh sakte hai. Ise copy kar apni site ke <head> section me add kar le.

Agar aapko abhi bhi doubt hai ki kya ye hreflag tag code sahi hai to aap apni site ka hreflag tag check bhi kar sakte ho. Iske liye aap hreflang tag testing tool ka istemal kare.

Hreflang Tag Use Karne Se Kya Fayda Hai

Main aapko hreflang tags ke bare me kyo bta raha hu or aap ye sab kyu sun rahe hai. Mera matlab isse aapko kya fayda hai ye bhi jaan lena jaruri hai. Sabse bada sawal hai iske SEO me kya benefits hai kyuki hum better SEO ke liye hi iska istemal karna chahenge taki humari site ki search rank improve ho sake.

First or sabse important bat agar aap multiple language me content likhte ho or aapka plan same content se 2 different language yani religion location ke audience ko target karne ya 2 different country ke ke visitors ko target karne ka hai to aapko hreflang tag ki jarurat hogi.

Hreflang attribute use karne se 2 big benfits hai jo is parkar hai.

  • Increase Search Ranking: Hreflang tag ke istemal se aap apni site kie multilingual content ke bare me search engines ko bta sakte hai jisse search engines usi language ke user ko aapka content show karenge. Matlab koi agsr hindi me search karega to google use aapka english content na dikha kar sirf hindi ka content hi dikhayega.
  • Avoid Duplicate Content Issue: Hu msab jante hai ki same content ko multiple language me likhne se duplicate content problem ho sakti hai.Google ko ye samjhne me problem hoti hai ki aapka original content konsa hai ya fir ye content aapka hi hai ya koi or aapki copy kar raha hai. Agar aap hreflang tag use karoge to aesa nahi hoga. Hreflang tag se ye sab confusing clear ho jati hai ki aapki site kitni language me content share karti hai.

In dono me sabse badi problem duplicate content ki problem hai. Jiska simple solution hai aap site me hreflang attribute istemal kare or is problem ko khatm kare taki aapki google search engine me achhi rank bani or kai bashao me content share karne se aapka user experience bhi bana rahe.

Conclusion,

Finally, agar aap soch rahe hai ki mujhe hreflang tag karna chahiye ya nahi to main aapko kahuga ki agar aapki site par multiple language me same content share kiya jata hai to aapko iska istemal karna chahiye.

I’m sure isse aapki site ki search ranking me fayda hoga or google aapki site ke content ko clearly samajh sakega or aapko achhi rank dega.

Agar aapko samajh nahi aaya ho ki hreflang attribute kaise istemal karna hai to aap iski adhik jankari ke liye Webiste Me Hreflang Tags Use Karne Ka Sahi Tarika article read kare ya fir comment me aap apna sawal puch sakte ho.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise other bloggers ke sath share jarur kare taki wo bhi iske bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 72 )

  1. kya hum kisi single page ko bhi other language m kar sakte h kya !! ya phir puri site ki language hi change hoti rhegi.

    Reply
  2. sir language markup error bhi herflang tag na use karne ki wajah se hai kya

    Reply
    • हां

      Reply
  3. Sir mai apni site par post ko hinglish and Hindi dono me write karta hu to kya mujhe is tag ko apni blog me add karna chahiye. Post content different hota hai lekin 2 language me post likhata hu.

    Reply
    • 2 लैंग्वेज नहीं है मेरे भाई, same language है सिर्फ words का फर्क है

      Reply
  4. हेल्लो SIR AAPKI सहायता चाहिए

    मेरी साईट के पोस्ट अंग्रेजी भाषा को सेलेक्ट करके सर्च करने पर दिखाई देते है .लेकिन हिंदी भाषा सेलेक्ट करके सर्च करने पर कोई भी पोस्ट google में नही आता है .

    pls कोई बताये मै क्या करू कि यूजर इंग्लिश या हिंदी कोई भी भाषा में सर्च करने पर मेरी पोस्ट google सर्च में दिखाई दे .

    5-6 दिनों से यह समस्या आ रही है .जबकि पहले ऐसा नही होता था .मेरी साईट की रैंकिंग बहुत कम हो गयी PAGEVIEW पहले का आधा हो गया है .

    इस बारे में अपना सुझाव दे …आपके जवाब का इन्तजार रहेगा

    Reply
    • Dear google update ki wajah se traffic down ho raha hai, baki aap check kar lo ki aapki site proper work kar rahi hai ya nahi.

      Reply
  5. bhai jab main apane blog me hreflang tag use karata hoon toh google search console me language me kuch errors dikhayi dete hain jiska matalab clear hai ki main sahi hreflangtag codr nahi add kara hoon , please bhai aapka bhi blog hinglish me hai aur mera bhi hinglish me hai toh main chahata hoon ki aap mere comment ke reply me sirf wahi code dal dijiye jise aap apane blog pa use karate hain, please bhai main jyada kuch nahi kah raha hoon, sirf in ki reply me wahi code de de jo aap use karate hain .

    Reply
    • Pankaj ji hreflag tag multi-language blog ke liye hota hai, Jab aap ek hi content ko 2 bhashao me likho to unme iska use karo, aap puri site me hi use kar rahe ho to error aa raha hai.

      Reply
  6. 1. mere blog hinglish me hai aur 95+% post hinglish me hi hai 2-3 post hindi font me hai to kya mujhe aapne blog par Hreflang Tag use karna jarur hai…. ?

    2. aur aapne wordpress blog ke liye bataya hai but main blogger use karta hu to usme kaise use kare ye Hreflang Tag ?

    Reply
    • 1. Nahi hindi and hinglish ek hi language hai.
      2. Blogger ke liye bhi btaya hai check post carefully.

      Reply
  7. Abhi main english content likhta hoo,
    main chahta hoo ki jaisa news website par hota hai, vaisa mere blog par bhi ho,
    to mujhe konsa tag istemaal karna hai aur kaha par lagana hai

    Reply
    • Multiple language wali site ko google kam rank dega. Is post me isi ke bare me btaya hai.

      Reply
  8. Main apne blog par english me content share karta hoo.

    App hame ye bataye ki jaisa news website par hota ha. Vo keval ek hi content ko multiple languages me likhte hai.

    To iski kya process hai.

    Aur main chahta hoo ki english content ko hindi me translate karke publish karu to kya news website me jaisa hota hai vaisa ho payga.

    Kaise HOGA.

    DETAIL ME BATAIYE.

    Reply
    • Aap ek hi content ko multiple language me likh sakte ho but translate karke nahi, sath hi adsense ye allow nahi karta.

      Reply
  9. Sir meri site main es main Hindi me likhta hu content main do char sabad English ke bhi estemaal kar leta hu to kya mujhe bhi ye use karna chahiye

    Reply
    • Nahi.

      Reply
  10. Agar meri website sirf hindi mein hai to kya mujhe bhi hreflang use karna chahiye

    Reply
    • Nahi.

      Reply

Leave a Comment