Website or Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare

Alexa rank website or blog ke liye kitni important hai or badhiya alexa ranking se hume kya fayde hai. in sab ke bare me mai allready bta chuka hu. aap chahe to humari alexa ranking se related post pad sakte hai. in this post is post me mai aapko bta raha hu ki website ya blog ko alexa rank me submit and verify kaise karte hai.

submit you site to alexa - website ko alexa se submit kaise kare

 

Ab tak maine alexa ranking ke bare me bahut articles likhe hai. but sabse important bat btana bhool gaya ki “website ko alexa se submit or verify kaise karte hai“.  actually alexa rank increase karne par focus karne par ye bat mere dimag me nahi aayi thi. but aaj 2-3 audience ne iske bare me question puche to iske bare me khyal aaya.

Alexa me site ko submit karna bahut important hai. agar aapki site alexa me submit or verify hogi to alexa aapki site par jyada focus karta hai. so apni site ki ranking badhane ka site ko alexa me submit karna ek bahut hi acha or free tarika hai. jise koi bhi website owner or blogger ignore karna nahi chahega.

How To Submit & Verify Your Site on Alexa: Step By Step Hindi Guide

Is post me mai jo tarike bta raha hu un tariko follow kar ke aap apne blog ko alexa me submit kar sakte ho or alexa ke sath ownership kar sakte ho. alexa rank baki sabhi website ranking site se jyada believe able hai. in my case mujhe alexa website ki ranking improve karne ka sabse acha tarika lagta hai. to chaliye ab aap bhi apni site ko alexa se connect kar lijiye. follow belove step guide.

Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare

Alexa hi ek aysi website hai jo website ki Globly rank, country rank and other information currectly show karti hai. agar aap alexa ke rules ko follow karo to ek din aapki site no.1 yani sabse jyada ranking wali website hogi. iske bare me bad me bad karenge pahle apni site ko alexa se connect kar lete hai.

Step 1:

Sabse pahle Alexa Webssite Claim form par jaye or apni alexa id se sign up kijiye.

  1. Enter a site URL  par click kijiye.

submit you site to alexa - enter a site url

Step 2:

Ab jo windows open hogi. usme aapko verify option select karna hai.

  1. is method me aap apni site par photo upload karke site ko verify kar sakte hai.
  2. is method me aapko ek verify code milega jo aapko apni site me <head> ke niche code paste karna hota hai.
  3. ye method free trial user ke liye available nahi hai.

agar aap mujhse better verify method ke bare me puchoge to mai aapko second method ke liye suggest karunga.

Claim Your Site to Verify Ownership

Step 3:

Mai yaha aapko second method se site verify karne ke step bta raha hu. aapko ye tarika pasand na aaye to aap dusra tarika try kar sakte ho.

second method me aapko is tarah ka ek code milega. ise aapko apne blog ki template me ja kar <head> ke niche paste karna hai.

<meta name=”alexaVerifyID” content=”ckduEyiynckhduyEnckduEnv” />

Ab second method par click kare. jaise hi aap second method par click karoge to ek page open hoga.

  1. is code ko copy kar ke apni site par jaye or <head> ke niche paste kare.
  2. code site me paste karne ke bad Verify my ID par click kare.

Add an Alexa Verification ID to the homepage of your site and verify

Verify my ID par click karte hi aapki site alexa se verify ho jayegi.

Ab aap alexa dashboard par ja kar apni site ki ranking details dekh sakte hai.

Support Me India Alexa Rank Details

Website ko alexa me submit karna isliye bhi jaruri hota hai. kyuki 80% person alexa rank ke hisab se website ko value able mante hai. by the way ab aapki site alexa se submit ho chuki hai. to ab is post ko share kijiye jisse or bloggrs ko bhi iske bare me pata chal sake or wo apni site ko alexa se verify kar sake.

Agar aap alexa ranking ke bare me or jyada jankari chahate hai to support me india ki alexa wali dusri post padiye. aapko alexa ke bare me puri jankari milegi. ya fir aap niche comment kar ke mujhse direct apne sawal puch sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 79 )

  1. sir mera alexa rank me india show nhi kar rha he, rank in usa dikha raha he use change kaise kare

    Reply
  2. nice post bhai g par kitna friends ko follow kar sakta haa jayda karna sa id block to nahi hogi

    Reply
  3. Aapka Article kafi Acha hai – sir mera ek problem hai Jo Aap hi solv kar sakte ho …halati mene ek blog banaya hai .jis par viewer k comment Aana shuru huye hai …par muze samaz nahi Aa raha hai unhe reply kaha Se du ! Agar blog Se hi du to mera page view badh sakta hai …to sir Aisa koe tarika hai jis Se comment ka reply me gmail Se de saku ” Ya Aap comment ka reply kaha Se karte ho ?

    Reply
    • comment ka reply comment se hi karo. apne visitors ki comment ke niche dekho reply ka option hota hai.

      Reply
  4. Iske liye payment bhi karni padegi

    Reply
    • Nahi ye alexa ki free service hai. aap sawal puchne se acha to ek bar post me btaye step follow bhi kar sakte ho.

      Reply
  5. Bhut hi achi jankari di aapne is article me. Kai new blogger ko apne blog ranking ke baare pata nhi hota is ke karan vo Alexa me verification nhi karte jiska nuksaan unko baad me bhugtna padta hai.

    Reply
  6. Bhai kal mera account aprove hua hai aur kal hi mene frst ad code lagaya hai to abhi blank hai mera ad, aap bata sakte ho kitna din lagta hai AdSense ka ad aane me, review kitne din me khatam hota hai bhai…???
    24 hour ho geya hai lekin abhi bhi koi email nehi aaya

    Reply
    • iska koi fix time nahi hota. AdSense kitna bhi time le sakta hai aapki site ko review karne me but 1-5 din me ho jayega. aapko iska message mil jayega.

      Reply
  7. Mai apni site ko abi Alexa me verify kiya hu india rank me no data aa raha h plz hlp

    Reply
    • jab aapki site par traffic badhega to alexa rank sho hogi.

      Reply
  8. HLO ,,SIR ME APSE PUCHNA CAHTA HUN KEY ..ME EK SITE PR WORK KRRA HUN OR MENE US SITE KO RANK KRVANY K LIYE BLOG BNAYA HAI,,,, TO M APSE YH PUCHNA CAHRA THA KEY ..ME BHUT C SITE OPN KRTA HUN LIKE FORUM MEIN SINUP HOTY HI EDIT PROFILE MEIN OPTION ATTA HAI ADD UR SITE TO USMY BLOG KA URL DUN YA APNI MEIN WEBSITE KA

    Reply
    • aap jiska chaho de sakte ho. agar aapke pas custom domain hai to wo add karo. jaise https://www.supportmeindia.com

      Reply
  9. Thank youuuu so much bhai, aapke liye aaj mene aaj ek blog banaya hai, bhai ek aur qstn hai mera, AdSense ne jo code nai hai usko mene header ke right me lagaya hai aur mere templete me ad inside post bolke ek option hai usme lagaya hai jo layout me hai aur sidebar me lagaya hai, mera sawal hai,
    1) ye to ek code hai isko mene 3 jagah pe lagaya hai kya koi prblm hoga…???
    2) kab mujhe original ad milega
    3) mene jis jis jagah pe ad code lagaya hai kya ye sahi hai ya fir mujhe aur koi jagah pe lagana hai,
    plssssssss bataiye bhai

    Reply
  10. ye proxy servers kya hote hai. aur proxy server dalne ke baad hi net free me chalta hai. Maine suna hai ye proxy danger hoti hai

    Reply
    • jab aap kisi website ko open karte ho to aapko website ka jo page dikhta hai. wo proxy server se hi open hota hai. sorry ye danger hota hai ya nahi mujhe iske bare me nahi pata.

      Reply

Leave a Comment