Blogging Me Fail Hone Ki 10 Big Mistakes – Failed Blogger Reasons

Blogging Me Fail Hone Ke Bade Karan: Blogging me daily thousands people entry karte hai but unme se sirf kuch hi log success hote hai. Iski wajah new blogger se hone wali big mistakes hai jinki wajah se unhe kuch time bad blogging chordni padti hai. Blogger ke blogging me fail hone ke bahut sare reason hai. Newbie user se galtiya hoti hai but kuch mistakes aysi hoti hai jo ek successful blogger ko bhi failed bana deti hai or jinki wajah se bahut se logo ka blogging career kharab ho jata hai. Aaj mai unhi galtiyo ke bare me aapko btane ja raha hu.

Top-5-Reasons-You-Will-Fail-in-Blogging

Blogging me failed hone ki bahut si wajah hai. Blogging me success hone ka sabse best tarika hai ise bariki se samjhna ki aakhir ye hai kya or kya kaam karti hai aap isse kya kya kar sakte ho. Agar aapke pas ye in teen sawalo ko jawab hai to aap kabhi bhi failure blogger nahi ban sakte.

In this post, Aaj mai aapko apne blog experience se blogging me fail hone ki kuch big mistakes ke bare me bta raha hu. Mostly blogger inhi galtiyo ki wajah se successful nahi ban pate hai. Agar aap blogging me success hona chahate hai to inko careful padhe or ache se samajhe. I sure aapko 101% blogging me saflta milegi.

Blogging Me Fail Karne Ke 10 Big Reason Jo Kisi Bhi Blogger Ko Failure Bana Sakit Hai

1. Make Money Blogging – पैसे के लिए ब्लॉग्गिंग करना

Blogging me fail hone ka ye sabse bada reason hai. Bahut se log sirf paise kamane ke liye blogging karte hai or unki yeh wajah unhe barbad kar deti hai. Actually, Only money earn karne ke liye blog banane wale log khud ka content likhne se jyada dusro ki copy paste karna behtar samajhte hai. Is wajah se unhe search engines, readers har koi avoid karne lag jate hai or ek din unke blog par traffic zero ho jati hai.

Mai ye nahi kahta ki aap blog se earning mat karo. Sabhi blogger apne blog se paisa kamate hai aap bhi kamao but iska matlab ye nahi hai ki aap paise kamane ke liye kuch bhi karne ko taiyar ho jao. Paiso ka lalach bahut bura hota hai jo inshan ko bhukha janwar bana deta hai. Jisse wo sabkuch bhool jata hai or uske dimag me sirf ek hi bat rahti hai “How to earn more money” or jyada paisa kaise kamaye.

Isse wo apne blog ke reader, blog ke mission and blog needed sabkuch bhool jata hai. Ek simple sa tarika hai aap money ki bajaye blog ke career, future ke bare me soch kar blogging karo fir dekhna paisa khud be khud aapke piche bhagega. Really, money ke liye blogging karne wale 90% blogger blogging me fail hote hai so aapko aysa karne se bachna chahiye.

2. Blog Design – ब्लॉग का डिजाईन

Mostly new blogger internet se apni pasand ki free template / theme download karke blog par apply kar lete hai. Templates designer apni template me redirection coed add kar dete hai. But newbie blogger ko template edit karne ki bahut kam information hoti hai.

Isiliye wo usme lage rahte hai or apna aadhe se jyada time blogging ki bajaye template ko edit karne, Usme widget lagane me laga dete hai. Jabki problem wohi ki wohi rahti hai.

Jab koi visitors aapke blog par visit karta hai or use aapke blog ka design sahi nahi milta hai. Jaise aapne blog me logo sahi se set nahi kiya hai, Blog me jaruri widget sahi set nahi lagayi hai, Menu and footer me jaruri links add nahi liye hai.

Yani ki aapke blog ka design abhi puri tarah se complete nahi hua hai to aap kitne bhi bade blogger ho visitor aapko new blogger samajhega or sikhne wala samajh kar fir kabhi aapke blog par visit nahi kaerega.

Ye ek sabse badi wajah hai. Bhale hi aapke blog par 1000+ articles ho but agar aapke blog ka design sahi nahi hai to log aapko avoid karte rahenge. Isiliye sabse pahle apne blog ki theme / template ko ache se design kar le uske bad post likhne par focus kare.

3. Write SEO friendly article – एसईओ दोस्ताना लेख नहीं लिखना

Blogging ka main niche blog par apne thoughts share karna hota hai. Jaise aap kisi subject me logo ki online help karna chaahte ho to aap us topic par article likh kar apne blog par publish karoge or aap chahoge ki use jyada se jyada visitors padhe. Iske liye aapko blog par traffic handle karna hota hai.

Hum apni post ko facebook, google plus, twitter, pinterest and other social media sites par share bhi karte hai. But blog ka main traffic source hota hai Search Engine.

Google duniya ko no.1 search engine hai or google se traffic pane ke liye aapko search engine optimization quality content likhna hota hai. Iske liye aapko post me keywords ka istemal karne ki jankari honi chahiye. Simple shabdo me aap SEO expert hone chahiye or agar aap nahi hai to jahir hai aap useless post likh rahe honge.

SEO ko follow ki gayi 100 post bina SEO ko follow kiye likhi gayi 1000 posts se better hoti hai or un par 1000 post se 10 guna jyada traffic ho sakta hai. So aap soch sakte hai blogging me SEO ko avoid karna kitna bhari pad sakta hai. Agar aapko search engines se organic traffic na mile to aapke blog par 50% traffic kam ho jayega.

4. Not updating blog regularly – ब्लॉग को नियमित रूप से अपडेट नहीं करना

Time to time blog par post update karna most important hota hai balki yu kaho ki ye success key hai. Agar aap continue fix time par jaise daily, 2 day, 3 day, weekly blog par post publish karte raho to aapke blog me wonderful increasing hogi.

Isse aapke readers ko ye pata rahta hai ki aapki site par kab or kis samay par post share ki jati hai. Bahut se log ayse hote hai jo aapki site par sirf latest post read karne aate hai. Ayse readers ko handle karne ke liye aapko regular post updating karni hoti hai.

SMI blog ki success ka main reason continue post update karna hi hai. Is blog par daily aapko ek new post mil jayegi. Isiliye is blog par har roj readers visit karte hai.

Blogging me content likhne se bhi jyada important hota hai readers ko manage karna. Agar aap aysa nahi kar rahe ho to ye bhi aapko failure blogger bana sakti hai.

5. Writing skills – लेखन कला

Sucesses full blogger banne ke liye aapki writing skills badiya honi chahiye. Apne visitors ko satisfy karne ka ye sabse acha tarika hai. Wo log jo aapko sabse jyada pasand karte hai or aapke big fan hai sirf aapki post padhna pasand karte hai. Actually, unhe aapki bat dusro ki tulna me aasani se samajh aa jati hai. Is wajah se wo sirf aapki likhi post padhna like karte hai.

Ab problem ye hai ki apni wiritng skills ko behtar kaise banaye. Iske liye mai aapko kuch point bta raha hu jo aapki isme help kar sakt hai.

  1. Post content me generally use hone wale english words use kare.
  2. Post likhne ka apna sabse alag tarika banaye. I mean apne talent se post likhe bajaye kisi or ki writing skills copy karne ke.
  3. Article me eye catching images use kare.
  4. Reader ki pasand ki post likhe.
  5. Font size aysa use kare jo aapke blog design me must lage.

Iske alawa aap apne talent se apne liye alag pahchan banaye jisse reader aapko sabse alag nazro se dekhe. Yaha mai aapko btana chahunga ki jab aapke readers ko aap jaisa koi or blogger mil jata hai to wo uski or aapki tulna karne lag jate hai.

Ayse me unke liye mushkil ho jata hai ki aap dono me se koun best hai or wo kise follow kare. So agar aap is time me dusro se better kar sakte ho to aapko successs hone se koi nahi rok sakta.

6. Manage comments – टिप्पणियों का प्रबंधन

Commenting system ka blog ki success me major role hota hai. Lagbhag sabhi blogger apne blog par comment service offer karte hai. Ye aam tor par article ke bare me reader ka reaction janne ke liye hota hai. But abhi reader reacton dene ke sath sath comment form ko blogger se apne sawal bhi puchte hai.

Agar aap logo ki comments ka fast reply karte hai or unge sahi tarika sikhate hai to dusre blogger ke visitors bhi aapke blog par visit karna shuru kar denge.

In post metter, agar aap aysa nahi karte hai to aap blogging me fail ho sakte hai kyuki mostly hindi blog par log sabse jyada apne problem solve karne aate hai. Commeting managing bahut jaruri hai. Agar aap reader ko jaldi responsive nahi de rahe ho to ho sakta hai wo aapko avoid karne lag jaye.

7. Do not Update long time – बहुत समय तक अपडेट न करें

Bahut time tak blog par update nahi karna blogging me fail hone ka reason ban sakta hai. Jaisa ki maine aapko upar btaya tha ki blog apne thoughts share karne ke liye bana hai or log aapke blog par aapke vichar janne ke liye aate hai.

Ayse me agar aap bahut din tak ya kei mahino tak update nahi kar rahe hai to aapke readers aapke blog par visit karna band kar dete hai.

Iska sabse bada reason hai aaj ke time me internet par lakho blog ka hona or fir is jamane me har koi roj naya sikhna, padhna or janna chaahta hai. 1 latest news 100 oldest news se jyada badiya hoti hai.

So agar aap lambe samay tak apne blog par post update nahi kar pa rahe hai to aapke blog ka traffic down ho sakta hai. Agar aapko blogging me successful hona hai to weekly ya monthly update karni hi hogi.

8. Do no different work – कोई अलग काम नहीं करना

Maine bahut se blogger ko dekha hai wo sirf unhi topics par post likhte hai jin par pahle se internet par 1000+ articles likhe huye hai. Ye ek bahut badi problem hai kyuki koi bhi reader pahle se padhi jankari ko fir se padhna nahi chahega.

Its confirm, shayad hi koi hoga jo pahle se padhi huyi post ko fir se read kare. Aysi post ka aap kitna bhi promotion kar lo us par 20% traffic bhi aana mushkil hoga. Iske adverese aap koi new update share karo or fir use social media ya other place par promote karo.

I sure aapko kam time or thodi mehanat me bahut jyada traffic milega. Kyuki har ek reader us post ko ek par padhna chahega.

Mai aapko gaurantee deta hu ek bar aap 5-10 post sabse alag likh kar dekho log aapko itna pasand karenge ki aapke blog par traffic increasing dekh kar aap hairan rah jaoge.

Maine jab blogging ki starting ki thi to yahi kiya tha. Jisse mujhe meri first post par itna traffic mila tha jisne mujhe blogging karne ko majboor kar diya.

9. Sucks to be online – बेकार में ऑनलाइन रहना

Ye ek bahut badi galti hai jo na sirf aapko blogging me fail banati hai balki aapko barbard kar deti hai. Internet use karne ke liye internet pack hona jaruri hai or agar aap sara din net par online rahte ho to aapka monthly internet charge 2000 ya 3000 ka aasani se aa jata hoga.

Blogging ke liye daily 2-5 hours kafi hote hai wo bhi tab jab aapke blog par 10,000+ per day traffic ho. Jabki bahut se log 15 hours tak computer ke samne baithe rahte hai or mushkil se ek din me ek post (300-500 words) likh pate hai.

Or ho sakta hai na bhi likh paye kyoki internet ek aysa samundar hai jisme dubne ke bad niklna wesa hi hota hai jaise sharab pine ke bad hosh me aana. Inme jyadatar wo log hote hai jo sara din dusre blog par comments karte rahte hai.

  1. Other blog par comment karna.
  2. Design ki jankari nahi hote huye bhi blog ke design me lage rahna.
  3. Backlinks pane ke liye dusro se request karna.
  4. Blog promotion me lage rahna. Like facebook and other social network par time west karna.

Mai aapko suggest karunga ki agar aap yahi time content likhne me lagao to aapka kitna fayda hoga. Yakinn mai dave se kah sakta hu ki ye kaam internet par dusre bekar ke kaam karne se behtar hoga.

Agar aap qualtiy content likhoge to log khud aapke blog ko mention karenge or aap kisi developewr se 1-2 day me badiya design karwa sakte ho.

10. Creating multiple blogs – कई ब्लॉग बनाना

Blogging me fail hone ka ye ek or bahut bada reason hai. Bina wajah or bina experience ke bahut sare blog banana useless hota hai. Bahut se new blogger jab unhe ek blog me success nahi milti hai to use chod kar dusra blog banante hai or fir ayse hi tisra and bahut sare blog bana lete hai.

Ye bilkul wesa hi hota hai jaise bahut sare food metrial ki khichadi pakana jisme test ka pata nahi chalta ki ye kiski bani hai.

Mere kahne ka matlab ye nahi hai ki aap ek se jyada blog nahi bana sakta. Bana sakte ho but pahle aap ek ko to success bana lo. I mean jab aapko ek kaam me kamyabi mil jaye to hi dusra kaam shuru karo.

Newbie blogger ka ek se jyada blog banana sirf time west karna hai kyuki use unhe handle karne ki information bahut kam hoti hai jo uske blogging me fail hone ki wajah banti hai. Isiliye jab tak aapko blogging ke bare me full experience na ho to bahut sare blog banane se bache. Or ek hi blog ko success banane ki koshish kare.

Finally, Inke alawa ek se jyada niche par blogging karna bhi aapko failure blogger bana sakta hai or aapko blogging me fail kar sakta hai. So ho sake to kisi ek niche ko focus karke blogging kare. Jisse search engine or reader dono aapki site ko samajh sake or aapko dono se better responsive results mil sake.

I hope you like this tutorial about blogging failed reason and get helpful information. If yes, share this post on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 108 )

  1. Aapne bohat sohe information dya hai me usko jorur follow koruga thanks sir

    Reply

Leave a Comment