Top 7 Affiliate Marketing Program In India (List in Hindi) 2024

Affiliate marketing internet se paise kamane ka no.1 tarika hai. jisme companies aapko visitors ke product kharidne par commissions deti hai. ye commission 100 rupee se le kar 5,000 tak ho sakta hai. affiliate program aapko product ke benefit ke hisab se commission degi. yani aapki income product par companies ke benefit par depend karta hai ki aapko us product se kitna ppersent milega.

Top 7 affiliate marketing program

Aaj hum baat karenge affiliate marketing ki top 7 sites ke bare me jo hamse kabhi bhi dhoka nahi karti hai. Kuch sites Aisi bhi hai jo hame cheat karti hai. Toh sabse pahle jaante hai ki affiliate marketing kya hai.

To chaliye bat kijiye humare guest author Rohit Kumar se jo aapko bta rahe hai un 7 affiliate marketing sites ke bare me jo aapke sath kabhi chiting nahi kar sakti.

Affiliate Marketing Kya Hai ?

Aaj kal affiliate marketing bhi paisa kamane ka sabse accha jariya hai. India me bohat si E-Commerce websites hai. Aaj kal jitne bhi E-Commerce sites ya marketers hai wo apna product ko promote karne ke liye affiliate marketing ko use karte hai.

Aaj kal intenet sabse fast paisa kamaya ja sakta hai. Affiliate marketing me kisi doosri website ya kisi e-commerce website ke product apne blog ya website ke dwara promote karte hai. Aur uske badle me wo site hame us product ko sell karwalne ka commission deti hai.

Affiliate Marketing Se Kamai Kaise Kare

Ab baat aati hai ise use karne ki. Toh isko use karna bohat hi saral hai. Affiliate marketing ke liye sabse pahle aapke pas ek website ya blog hona chahiya.

Jisme hum e-commerce sites ke product dikha sake. Iske baad job hi mai apko affiliate marketing site bataunga us sites me jakar aapko account banana padega.

Jab aapka account e-commerce sites me ban jaye uske baad aapko product ke text aur banner ads milenge. Wo apni site par kahi bhi laga sakte ho.

Jab aapki site me koi visit karega aur aapke lagaye gaye ads se koi product khareedega toh uska commission apko milega. Jisse hamari income hogi. Affiliate marketing kuch page me hi kaam karti hai.

Top 7 Affiliate Marketing Programs (Hindi)

mai affiliate marketing ki jankari dene se pahle aapko suggest karna chahunga ki affiliate marketing se income karne ke liye aapke blog par per day 10,000+ pageviews hone chahiye.

Kyuki affiliates company aapko visitors ke product kharidne par hi commission deti hai. ads par click karne ke liye nahi.

Agar aap ads dikha kar blog se paise kamana chahate hai to aa AdSense use kar sakte hai. AdSense ki puri jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related posts pade.

1. Flipcart

ek bohat purani e-commerce site hai. Isse bhi aap affiliate marketing karke acchi khasi income kar sakte hai. Agar apki site se koi produt khareedega toh flip kart apko ek product par 15% tak kama sakte ho.

2. Snapdeal

Snapdeal par sabhi prakar ka saaman milta hai, agar apki site par accha traffic hai toh aap snapdeal se se bhi acchi affiliate marketing kar sakte ho.snapdeal se aap 10% tak kama sakte ho mere hisab se snapdeal se affiliate karne ka accha tarikha hai. Kyoki snapdeal par logo ko bharosa bhi hai. Aur ye site kafi purani bhi hai.

3. Infibeam

Flipkart aur snapdeal jaisa hi infibeam hai is se affiliate marketing karke acchi khasi income ki ja sakti hai agar iske bhi ads aap apni web site par laga sakte ho. Ye site bhi hmare sath kabhi bhi cheat nhi karegi.

Is ap bharosa kar sakte. Isse affiliate marketing karke aap 10% tak product me commission paa sakte ho.

4. Jabong

Jabong site fashion aur kapdo ke liye bohat hi famous website hai jyadatar log fashion ka saaman jobong se hi lete hai. Ye bhi affiliate karne ka bohat accha tarikha is site par aap vishwas kar skte ho agar aap is site se affiliate marketing karte ho apko every product sell par 10% tak ka commison milega.

5. Shaadi.com

Shaadi.com bohat hi purani matrimonial website iske ads bhi aap apne site par laga sakte ho. Agar apki link se shaadi.com par membership lega toh apko commission ke sath sath bonus bhi milega.

Isse apko double fayda ho sakta aap isse achhi income kar sakte hai. Isme commission wo apne hisab se degi

6. MakeMyTrip

MakeMyTrip se aap affiliate marketing kar sakte ho is site me aap sign up karke iske ads paa sakte ho. Ye bhi bohat purani company hai jo apse kabhi bhi cheat nahi karegi.

Agar apke ads se koi hotel bookin, flight booking, etc karega toh apko iska commission milega aap aasani se apni site par iske ads dikha sakte ho.

7. Hostgator

Mere hisab hostgator no 1 site hai webhosting ki iske ads banner aap apnei site par laga sakte ho agar koi bhi visiter aapki site me visit karta hai aur apki link se hostgator me hosting buy karta hai toh apko kafi accha commission milega jiske madhyam se aap apni income bada sakte ho.

Toh ab maine apko batai Top 7 Affiliate Marketing Programs. Agar Apko Post Pasand aayi ho toh aap ise jarur share kare aur apne dosto ko bhi share karne ko kahe.

Agar koi bhi problem ho toh comment jarur kare hum aapke sawalo ke jabab jarur denge aur aapki sabhi problem ko solve karenge.

Aaj kal internet se har koi paisa kamana chahta hai. Vese toh internet se paisa kamane ke bohat se Tarikhe hai. Jo hmare Jumedeen bro ne is site par bta rakhe hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Rohit Kumar Gupta

by: Rohit Kumar Gupta

Comments ( 75 )

  1. Good work

    Reply
  2. Aap ki post bahut hi jankari purn thi, affiliate sites ke baare me jaan kar bahut achha laga.

    Reply
  3. 1. Sir mene apne blog ke liye Amazon afflilate account banaya he but me afflilate ko apne Facebook page par bhi permote karna chahta hu to Kya mughe Facebook page ke liye alag afflilate account banana hoga ya Jo mene blog ke liye afflilate account banaya he use se kaam chal jayega

    2. Sir Jis product ka link hame Amazon afflilate se milega to vo link sociol media par kitne time Tak enable rahega ki jisse koi bhi us link se vo product buy Kare to mughe commission mile

    Reply
    • 1. Blog wale ko hi promote kar sakte ho.
      2. aap wo link social media par share mat karo balki link cloak karke karo like supportmeindia.com/go/hostgator.

      Reply
  4. meri website pe Affiliate marketing accounts approve hi nhi hotey. Kia ap smjhty ho k Infolinks k ads is me rukawat hain ?

    Reply
    • Nahi abhi aap apni site par thoda traffic badhao or ranking achhi banao.

      Reply
  5. Useful information, thanking you

    Reply
  6. mai affiliate amzone par ragister hu.lekin mujhe ye nahi pata unke product ko apne blog par lagaye kaise.
    aur mere blog ke liye index kaise banaye.jisme likha ho technology,motivation ke liye yaha click kare.ling ye sab hedding kaise banaye.aur aapse kaha tha maine ki aap mujhe mauka dijiye apne liye vidio banane ka to aap meri sunte nahi ho.mai free me aap ke liye vido banaunga.
    khan ji aap blogging kariye aur hum aapke liye vidio banayenge.

    Reply
    • Aap apna sawal google me search kare har sawal ka jawba mil jaega. Agar aapko lagta hai ki aap video bana sakte ho to bilkul bana lijiye.

      Reply
    • Kya blogger pe affiliate marketing kar sakte hain ki nhi or affiliate marketing ke lie products kaha se lae

      Reply
      • Bilkul kar sakte hai, apne blog ke content se related product wale affiliate program join karo.

        Reply
        • ha bhai aap kaha ke rahne vale ho

          Reply
  7. Sir mera ek sawal hai, jaise ki maine suna hai, adsense ads click paisa deta hai, Adsense visitor se honewale pageview pe paisa nahi deta kya ?

    Agar deta hai to dailly 1000 pageview pe kitna deta hai.

    Reply
    • Nahi sirf ad par click hone par deta hai.

      Reply
  8. मेरे पास अपनी वेबसाइड नहीं है, न हीं कोई ब्लॉग साइट है लेकिन एफिलेट मार्केटिंग से जुड़ना है। क्या करूँ? मेरे ईमेल पर बता सकते हैं हिंदी में।

    Reply
    • Aap social media par affiliate link share kar earning kar sakte ho but affiliate se good earning karne ke liye blog ya site hona jaruri hai. Kyuki iske liye user trust hona jaruri hai.

      Reply
  9. Sir, Aap bhi affliate marketing programs aap konsa affliate program use karte ho?

    Reply
    • Main hosting affiliate program use karta hu.

      Reply

Leave a Comment