Blog Post Title and Heading Create Karne Ki Top 5 Best Tools

Post title and heading post content ko viral banane me sabse jyada important hote hai. Aapki post ka topic jitna better hoga aapko usse utna adhik traffic milega. Agar post title badiya hoga to search engine par user us par sabse jyada click karenge or aapki post padhna chahenge. So search engine ranking ke liye post title ka better hona jaruri hai.

Top 5 Tools To Generate Viral Blog Post Title and Heading

In this article, Is post me mai aapko 5 top best websites ke bare me bta raha hu. Jo aapko blog post ke liye viral title and heading create (generate) karne ki tools provide karti hai. Aap in tools ki help se apne blog ke liye top high quality post topic generate kar sakte ho.

Blog Post ko viral karne or post ki search engine me search ranking improve karne ke bare me maine On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Tips & Techniques article me details se btaya hai. Aap ek bar is post par visit karee post ko jarur padhe. I sure aapko achi jankari milegi.

Aap agar apne blog par search engine (SEO) ke liye post likhna shrur kar do to bahut kam time me aapko search engines se badiya traffic milne lag jayega. Mai already apne blog par SEO friendly articles likhne ki koshish karta hu.

SEO friendly post likhne se aapko na sirf search engine se traffic milta hai. Balki social media and other factors se bhi aapko better result milta hai. Yaha hum bat kar rahe hai blog post ke title or heading ke bare me to chalo mai aapko badiya title likhne ke kuch fayde bta deta hu.

  • Post title good hone par search engine me uski achi rank hoti hai or us par users sabse jyada visit karte hai.
  • Jo bhi aapki post ke title ko dekhega wo aapki post jarur padhna chahega. Yeh user social media sites, email, oter site and other kisi bhi jagah par ho sakta hai.
  • Aapke regular visitors aapki site par jaruri post hi padhte hai jo unke kaam ki ho but post title better hone se aapke old visitors bhi post ko padhna chahenge.
  • Post title or heading badiya hone se aapko 30% traffic jyada milne ke chance hote hai.
  • Good title yani eye catching topic bana kar aap apni post ko kam time me viral kar sakte ho.

Post itle badiya hone se koi bhi nukshan nahi ai. Sirf fayde hi fayde hai. Aap badhiya post title create karke apni post ko or jyada viral kar sakte hai.To chaliye ab hum bat karte hai un tools ke bare me jinse hum top title create kar sakte hai.

Blog Post Title and Heading Generate Karne Ki Top 5 Best Tools

Blog post ko viral karne ke liye aapko post ke liye ek Eye-Catching (Jise dekhte hi log post padhna pasand kare) Title ki jarurat hoti hai. Or Eye Catching post topic likhne me ye 5 websites aapki full help karegi. In Post Title Generators Tools ki madad se aap most important post topic create kar sakte ho.

1. CoSchedule – Blog Post Headline Analyzer

CoSchedule - Blog Post Headline Analyzer

CoSchedule – Blog Post Headline Analyzer meri favorite website hai. Ye aapko bahut se features offer karti hai. Is tool me jab bhi aap koi title create karoge to ye aapko heading score, common words, uncommon words, emotional words, power words, heading type, character count, words count, google search preview, keywords, sentiment and other money results provide karta hai. Jinki help se aap is tools se post title ko or jyada better bana sakte ho. Go To CoSchedule Tools: Blog Post Headline Analyzer

2. Hubspot’s Blog Topic Generator

Hubspot's Blog Topic Generator

Hubspot ek popular blog topic generate karne ki tools hai jo aapki blog post titles create help karti hai. Blog Post Topic Ke Liye High Quality Keywords Kaise Search kare article me mai iske bare me already bta chuka hu.

Aapko is tools me 3 box me milenge. Unme aapko apne blog ki post ke liye topic search karne ke liye alag alag keywords dalne hai or ye tools aapko un keywords se realted 4-5 post titles btayega. Unme se aapko jo pasand ho choose kar sakte ho. Go To Hubspot’s Blog Topic Generator Tools

3. SEO Pressor Blog Title Generator

SEO Pressor Blog Title Generator

SEO Pressor Blog Title Generator tool aapko blog ke liye new title or latest topics suggest karta hai. Is tools par aap apne blog ke liye new post ke ideal pata kaar sakte hai. Aapko is tools par keywords type karne hai or aapko un keywords se related post topics mil jayenge. SEO Pressor Blog Title Generator paid tools hai. Go To SEO Pressor Blog Title Generator

4. BlogAbout: Blog Title Generator By imPACTbnd

BlogAbout: Blog Title Generator

BlogAbout Blog Title Generator aapki numerous titles generate karta hai. Is tool par aapko sirf ye likna hai ki aapka blog kis category ke bare me hai or ye tool aapko us category se related topic btayega. Sath hi blogabout tools par aap apne blog topic me huyi mistakes bhi check kar sakte hai.  Is tool par aapko jo topic milega usme 1-2 khali jagah hoti hai. Waha par aap apne hisab se keywords add akr sakte ho. Go To BlogAbout Blog Title Generator

5. Portent’s Content Idea Generator

Portent’s Content Idea Generator tools ko maine bahut bar use kiya hai or ye mujhe bahut pasand bhi hai. Kyuki ye use karne me itna easy hai ki mai bta nahi sakta. Aapko isme koi bhi keywords add akrna hai or enter dabana hai. Uske bad aapko ye tool us keywords se related post topics suggest karega. Agar aapko wo title acha nahi lage to do’nt worry aap refesh par click kare or usi keywords se related dusra post topic aapke samne hoga. Mai aapse kana chahunga ki ek bar Portent’s Content Idea Generator tools ko use karke dekhe. I sure aapko 101% pasand aayega. Go To Portent’s Content Idea Generator Tools

Ye sabhi websites aapki blog ke liye post titles and heading generate karne me help karti hai. But hindi blog ke liye aapko in par english me hi post topics create karna hoga. Use aap hindi me convert kar post title bana sakte ho.

Or agar aap english blogger ho to aapke liye is post me btayi tools bahut important hai. Kyuki ye tools english language me hi aapko topic create karne ke ideas deti hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto or dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 93 )

  1. nice post but mere kuch que. ka ans. dena plz
    1. jab blogger me them upload krte h to kuch time tak wo theme dikhti hi ohir simpal wali dikhti h to kya kra
    2. aapki 1 post m mene padha tha usme aapne google ebbok download krne ko bola tha par mene ni kiya ab wo post kon se thi m bhul gya hu plz muje wo google ka ebook link do ya phir wo post jsme aapne iske bare m btaya tha

    Reply
  2. sir agar blog title change kar diya jaye to usme koi problem hogi?
    matlab ki mere blog ka title pahle ” PYAR ME INDIA” tha
    ab chng karke
    “Pyar Me India” rakh dia.

    lekin sir jab se mene title change kia tab se h1 tag heading tool pe nhi dikh rha h.
    pahle blog title h1 me dikhta tha.

    ap plz bataiye kya kru.pahle wala title rakhu ya yehi rahne du

    Reply
    • No problem das aap please heading ko ek bar achhe se samajh lo. Heading ke liye tool ki jarurat nahi hoti aap direct content ka source code check kar sakte ho.

      Reply
  3. Hello sir,
    Mere blog par.. categories, like my fb page, alexa rank, recent post, popular post, copyright protected Etc. Gadget… h2 heading me aate hai. Seo ke jankari ke anusar 3-4 hi h2 heading me hone chahiye. but mere blog par 6-7 h2 heading show karte hai.
    inko kaise set kare ?.

    Seo warning :
    7 Tags found.
    Do not use more than 3-4, up to 10 when you have more than 3000 words in your text.

    Sir, is problems ko kaise solve kare ?

    Please tell me..

    Reply
    • Blog ki template>> edit html coding me h2 search karo or widgets ki coding me h2 ki jagah h4 set karo.

      Reply
  4. bahut achi post hai sir, lekin human mind ka creation aur tool ka creation in me to bahut farq hoga na. lekin pir bhe ye tools idea deny me to kam az kam help karenge na . Thanks for sharing . me daikhta hun aik aik ko.

    Reply
  5. Sir mere blog me post title h1 heading me convert nahi hota hai. maine kai baar heading checker use karke dekha hai.

    Reply
    • Aapko lbog me h1 tag use karne ki jarurat nahi hai. Post ka title already h1 tag me hota hai.

      Reply
  6. Hi sir me mere bl9g me koi bhi gadget add karta hu vo blog me nahi dikhai dete ab aap hi bataye me kya karu

    Reply
    • apne borwser ki history delete karke try karo.

      Reply
  7. bhai muje ek help chahiye
    Mera blog me ek template liya hai uska sab thik-thak karliya lekin wo mobile biew me assa beiw nehi hota hai jaisa template ki disigne hai usko view web verson karne ke bad hi wo template ki designe wo dekhata hai
    Lekin maine direct karna chahata hu jaise koi bhi mere blog me aye to wo template designe show ho jay
    Plz help me mere dimag kharap ho gaya…

    Reply
    • Aap blog dhashboard> template section me jao or mobile preview band kar do.

      Reply
  8. Thank you so much…. Bht hi jaroori jankari di hai apne , mujhe isse pahle iske bare me kuch nhi pta tha , Dil se thanks

    Reply
    • Welcome amit and plz share this post.

      Reply
  9. Bahut Badiya Jankari.
    Ab Aap Muje Ye bata dijiye ki Jab hum koi keyword search karte hai tab us keyword se releted jo blog post show hoti hai. Usme humari post ka Title main heading ke roop me display hota hai. Uski setting Blogger Blog me kaise karte hai . Thanks.

    Reply
    • Ye tools hume sirf post title ka ideas deti hai. Fir unme se kounsa topic humare liye acha hai wo hume choose karna hota hai. Uske bad hume us par post likhni hoti hai. Kahi koi setting nahi karni hoti hai.

      Reply
  10. Bahut hi achhi aur fresh jankari hai. !muje bhi aise post ki talash thi

    Reply

Leave a Comment