Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways

Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.

20 Effective Ways To Get Quality Backlins On Your Site

SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.

Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.

So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.

Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike

Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.

  1. Apne blog se related other blog par comments kare.
  2. Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
  3. Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
  4. Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
  5. High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
  6. Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
  7. Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
  8. Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
  9. Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
  10. Start blog developing work and add your site link their blogs.
  11. Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
  12. Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
  13. Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
  14. Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
  15. Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
  16. Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
  17. Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
  18. Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
  19. Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
  20. Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.

Final Word:

In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 273 )

  1. bhot acha blog hai.

    Reply
  2. hello sir, nice post.

    Reply
  3. Nice work

    Reply
  4. आश्चर्य होता है, की आप कैसे इतने कमेंट पर प्रतिक्रिया दे पाते है, क्या आप अपना ब्लॉग्गिंग रणनीति साझा करना चाहेंगे ?

    Reply
  5. Really i appreciate your hard work and amzing priceless information provided by you. One of the most important blog i read continiously.

    Reply
  6. Really i appreciate your hard work and amzing priceless information provided by you. One of the most important blog i read continiously.

    Reply
  7. I want a guest post or backlink on your blog post. Apka article bahut hi shandar hai aur bahut hi important cheeze batai hai. Mujhe bahut achhi lagi apki post.

    Reply
    • at this time, we are not accept guest posting.

      Reply
  8. bahut badhiya sir jankari di hai aapne

    Reply

Leave a Comment