Top 10 Most Popular Search Engines 2024 (List in Hindi)

Jab bhi search engines ki bat aait hai to humare dimag me sabse pahle google aur bing search engine ka name aata hai lekin inke alawa bhi kuch aur search engines bhi hai jin par bhi millions query search hoti hai. Is post me main aapko Top 10 Most Popular Search Engines in the World 2024 – List in Hindi ke bare me bta raha hu.

Top 10 Search Engines in the World

Hum sabhi din me kam se kam ek bar search engine ka upyog jarur karte hai aur jyadatar log google search ka hi istemal karte hai. Lekin duniya me intenet par sirf google akela search engine nahi hai. Google alawa bhi kai popular search engine hai jinke bare me aapko janna chahiye.

Is post me main aapko 10 most popular search engines ke bare me bata raha hu jiska istemal sabse jyada hota hai, aaiye jante hai top most popular search engines in the world in hindi.

Top 10 Search Engines in the World – List in Hindi

Yaha par jo bhi search engines ko list kiya hai unhe rank ke hisab se kiya gaya hai, yani in par sabse jyada searching ki jati hai. Duniya me sabse jyada use hone wale top 10 search engines ki hindi jankari.

1. Google

Google

Google ko kisi introduction ki jarurat nahi hai, larry page and sergey brin dvara 1996 me sthapit Google duniya ka sabse bada or sabse popular search engine ban gaya hai jiska istemal average 70 se 80% internet user karte hai.

Alexa reports ke anusar, google web traffic monitoring company aur duniya me sabse jyada dekhi jane wali aur use ki jane wali and loved website hai. Ye company apni services ko better banane ke liye lagatar kaam kar rahi hai, ye apne users ko best and exact jankari provide karta hai.

Ye kai logo ke liye interesting facts hai ki google ke alawa bhi kai sare search engines hai aur we popular bhi hai lekin google ki popularity ke karib koi nahi hai.

2. Bing

Bing Search Engine

Bing top search engines me se ek hai, ye duniya me google ke bad dusra sabse bada search engine hai. Bing search engine ka istemal average 20% internet user karte hai.

Bing ke kuch interesting features jaise Bing Finance, Bing Ads, Bing events while sports scores, operating calculations, Flight tracking, Translate, Conversions, Spell check and products shopping bhi is search engine me available hai.

3. Yahoo

Yahoo Search Engine

Google aur bing ke bad yahoo tisra sabse bada search engine hai. Yahoo average 38 international languages me available hai. Yahoo ne 2011 me bing ke sath partnership ki thi or tab se ye bing search engine se operated hai.

Yahoo ek high quality wale search result provide karne ke liye bing ke search result ka use karta hai. Ye search engine officially mozilla firefox browser ke sath aata hai.

Yahoo weather, Yahoo finance, Yahoo answers and Yahoo local yahoo ki sabse jyada upyog ki jane wali services me se kuch hai. Is search engine ka istemal average 6% internet user karte hai.

4. Baidu

Baidu Search Engine

Bing or yahoo ke bad baidu tisra badhiya search engine hai, ye china me sabse popular web search engine hai aur chines log is search engine ko sabse jyada pasand karte hai. Baidu search engine ko 2000 me banaya gaya tha tab se isne users ko bahut sari service di hai.

Iski alexa ranking 4 hai, ye search engine per month lagbhag billion search queries serves around karta hai, bhale hi ye search engine pesh kiye huye 17 years ho chuke hai but ye bing or yahoo jaise popularity hasil nahi kar paya.

Lekin achhi khabar ye hai ki ye ab teji se badh raha hai or yadi aese hi chalta raha to ye definitely market share ka bada hissa lega. Audio files, images and more results is search engine dvara delivered kiye jate hai.

5. Ask.com

Ask search engine

Ask.com search engine me technology, politics, art and literature, science and business etc jaise kai subject shamil hai aapko is sabhi subjects se related sabhi type ke questions ke answer mil jayenge.

6. Aol

Aol Search Engine

AOL ek mass media company hai, iski ek long history hai. Is search engine ko 1983 me control video corporation ke rup me founded kiya gaya tha, bad me 1991 me is company ka name badalkar america online rakha gaya or fir ise 2009 me AOL inc name diya gaya.

7. DuckDuckGo

DuckDuckGo

Yadi aap privacy issue se bahut jyada concerned hai to ye search engine aapke liye sabse achha hai kyoki ye search engine users ki search history track nahi karta hai. Iske alawa kai rich features ke sath clean interface duckduckgo ka labh hai.

Iske alawa voice search is search engine ka ek or useful feature hai. Duckduckgo ka search result bing ki tulna me better hai kyoki ye service bing or yandex ke search ko jodti hai or fir ise users ke samne show karti hai.

Ye ek open source search engine hai jo users ki privacy ko banaye rakhata hai agar aap apni privacy ko banaye rakhna chahte hai to ye search engine aapke liye achha hai.

8. Wolframalpha

Wolframalpha

Wolframalpha ko 2009 me launch kiya gaya tha, ye ek achha search engine hai jo yaha bataye gaye sabhi search engines se alag hai. Ise computational knowledge engine ke naam se bhi jana jata hai kyoki ye mathematics par based hai.

Ye web pages ke bajaye aapke questions ke sabhi data or facts ko show karta hai. Exmaple, agar aap search bar me university input karte hai to aapko college fees, enrollment number and location etc jankari mil jayegi.

9. Yandex

Yandex Search Engine

Yandex russia me sabse bada search engine hai lekin isse bhi achha Yandex.ru hai jiske pass ek localized english version bhi hai. Yandex ka istemal internet users ke ek bade hisse dvara kiya jata hai aur per day average 150 million queries search engine par operated hote hai.

Yandex ki other services me yandex, browser, translate, money, market, yandex disk, images, mail, videos, maps and aur bhi kai sari shamil hai.

10. Dogpile

Dogpile Search Engine

Google search engine ke sabse bade or good choices me se ek jise aap web search engine ke rop me use kar sakte hai. Aapko dogpile ke search result se images, videos and link jaise sabhi type ki jankari mil jayegi. Ye categories, preferences, search filters, recent search etc. jaise kai features se equipped hai.

At last, Google duniya ka sabse bada aur bing dunyia ka dusra sabse bada search engine hai. Agar aap google me best search engine in the world search karoge to bhi aapko in search engines ki list mil jayegi.

Agar aapko ye article useful and helpful lage to ise apne dosto ke sath social media sites par share jarur kare.

Avatar for Jamshed Khan

by: Jamshed Khan

मैं इस ब्लॉग का एडिटर हु और मुझे लिखने का बहुत शौक है। इस ब्लॉग पर मैं एजुकेशन और फेस्टिवल से रिलेटेड आर्टिकल लिखता हूँ।

Comments ( 9 )

  1. very nice article sir thankiu

    Reply
  2. Jdk bhai aapke blog ki har ek post useful hoti hain maine bhi yeh google,bing,yahoo,or yandex ke baare me hi Jana hain but uske Baad jo search engine ke baare me bataya woh aapki is post se hi muje pata chala thanks JDK bhai

    Reply
  3. Nice information About Search Engines Bro.

    Reply
  4. bahut he acchi jankari share ki hai search engines ke bare me.

    Reply
  5. bhout ache knowledge share ki apne

    Reply
  6. Bahut acchi jankari.

    Reply
  7. bahut acha explain kiya aapne… thanks for sharing:)

    Reply
  8. 6,7,10 uske Bare Me Aaj Hi Jana Hai… Baki sayad Iss Topic Me Maine Kabhi Search Hi Nahi Kiya, wahi Search Kiya Jisme Apna Site Index Karwana Ho,.

    Reply
  9. Bahot hi useful information hai. Inme se sirf 3 me maine apna blog submit kiya hai. Baki me kar sakte hein ki nahi ?

    Reply

Leave a Comment