Social Media Sites Facebook, Twitter Se Paise Kaise Kamaye

Aap har din facebook, twitter or google+ social media sites ka istemal karte hai. Magar kya aapne kabhi socha hai facebook, twitter or google+ social media sites se online paise bhi kama sakte hai. Ji ha aap social sites se bhi income kar sakte hai. Iske liye hume bas kisi dusri company ki help leni padti hai or uske pruducts ya links ko apni social profile par share karna padta hai. Aesi hi ek compnay hai Likesplanet. Jiske bare me aapko is post me batane wala hu ki aap is site ki help se social media sites se paise kama sakte hai.

Online Paise Kaise Kamaye Facebook, Twitter se

Likesplanet company aapko facebook, twitter or google+ social media sites par uske products ka link share karne par aapko likes, comments or shares ke hisab se paise deti hai. Is site me aapki earning point ke anusarcount hogi. Aapki post par jitne likes, shares or comments aayenge unke points bante hai or unke hisab se aapki income tay ki jayegi.

Facebook, Twitter Social Media Sites Se Paise Kaise Kamaye

Likesplanet se paise kamane ke liye aapkois site par account banana padega. Is site par account banane ke liye yaha click kare Click here for register now and get 500 point FREE!

Is site se hone wali income is tarah se count hogi.

1. 5000 Point= $1 hota hai.
2. 1 like= $0.03 ke hisab se income hogi.

Jyada Point Kaise Hasil Kare

1. Aap Point Buy Kar Sakte Hai

Ye ek achha tarika hai point hasil karne ka. Aap paypal or payza ki help se point kharid sakte hai.

2. Like Or Share Karke

Aap likes planet site ke links social networking sites Facebook, twitter par share karke bhi point hasil kar sakte hai.

3. Friends Ke Sath Share Karke

Aap apne dosto or dusre logo ko iske bare me bata sakte hai. Isse jab wo aapke referral link par click karke site par sign up karenge to aapko points milenge.

Aapko Payment Kaise Milega

Note:- Payment hasil karne ke liye aapke account me minimum $2 hone chahiye.

Aap paupal ke through payment le sakte hai. Payment lene ke liye aapke account me minimum $2 hone jaruri hai. Company ke aapke account me payment send karne ke bad aapko payment milene me 1-2 day lag sakte hai.

Agar aapne paypal par account nahi banaya hai to aap niche wali post ki help se aap paypal par account bana sakte hai.

To is tarah aap social media sites se paise kama sakte hai. Agar aapko isme koi problem aaye to aap mujhe comment me bata sakte hai.

Ya fir agar aap online social site ke alawa kisi or tarike se paise kamana chahte hai to niche wali post padhe.

Is post me aapko online paise kamane ke 20 tarike mil jayenge. Jinse aap ghar baithe internet se online paise kama sakte hai.

Sath hi agar aapko is post me social media sites se paise kamane ki jankari achhi lage to is post ko social sites par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 42 )

  1. sir mai online job Karna chahta hu social network se kis trah money Earn Karl shaketehai give me ideas pleas

    Reply
    • Ek trustworthy product ko social media par promote karo or commission kamao.

      Reply
  2. Sir Ye Good Trika Hai Ya blogging

    Reply
    • Blogging jyada better hai.

      Reply
  3. sir facebook website ko sell karna hai ? photo like 3700 page like 700 comment 200 share 20 bhi hai frind 5000 hai sir esko sell karna hai to kya karna padega aur kese sell hoga jaye pls. halp sir

    Reply
    • Inke kam likes wale page ko koi bhi buy nahi karega.

      Reply
  4. sir ap meri madad kijiye main thodi bahutt singing kar leta hu par mujhe ye nahi pata ki main apne voice ko logo tak pahucha kar pyse kyse kamuu only mp3 se plzz help me

    Reply
    • Aap video bana kar YouTube par upload karo.

      Reply
  5. sir ek like k kitne rupai milte hai aur pahle v apse puche the hum kya info deni hoti h

    Reply
    • Post ko sahi se padho btaya hua hai.

      Reply
  6. sir kya fb pr post krke bhi rupai kamaya ja sakta hai

    Reply
    • ahi nahi kama sakte.

      Reply

Leave a Comment