Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise Shuru Kare

Aapne dekha hoga ki jab hum kisi facebook page par message send karte hai to turant us page ki taraf se thank you ya koi or message aata hai. Ye message facebook page ki auto reply message service se bheja jata hai. Is post me aaj mai aapko isi ke bare me btane wala hu.

Facebook page automatically reply message service

Facebook ne auto reply message feature ko isliye banaya tha ki facebook page par jyada user hone ki wajah se sabhi ko reply karna possible nahi hai. So aap apne visitors ko ek auto reply message ke throw apni pareshani bta sakte ho or use contact karne ka koi or tarika bta sakte ho.

Facebook twitter, google plus ki tarah hi ek popular social media site hai or hum facebook par apni site and blog ka promotion kar logo tak apni bat pahucha sakte hai. Facebook ne apne business ka parchar karne ke liye facebook page ki service chalu ki thi jis par hum apne sabhi social media user se jud sakte hai.

Ab hum bat kar rahe hai facebook page par auto reply message active karne ki to iske liye hume 2 kaam karne honge.

  1. Sabse pahle hume apne facebook page par auto reply message service enable karni hogi.
  2. Service enable karne ke bad hume facebook page par auto reply message set karna hoga.

Yaha mai aapko dono ke bare me step by step bta raha hu. Agar aapko koi bat samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.

Facebook Page Par Auto Reply Message Service Kaise Shuru Kare

Sabse pahle hume facebook page par auto reply message service enable karni hai. Iske liye aap apne facebook page par jaye ye step follow kare.

  1. Facebook page ki settings par jaye.
  2. General option par select kare.
  3. Messages option ke samne Edit par click kare.
  4. Allow people to contact my Page privately by showing the Message button” ke samne tick kare.
  5. Save changes par click kare.

Facebook page auto reply message settings

Ab koi bhi user aapke facebook page par aapko message send kar sakta hai. Or aap unhe facebook page se hi reply karke apne relationhip ko or better bana sakte hai.

Ab sawal ye hai ki aap har time to facebook par online rahte nahi ho. Or aap chahate ho ki aap har user ko uske message ka offline rah kar bhi reply kar sako to facebook ki auto reply message responsive service aapke kaam aa sakti hai. Iske liye aapko bas facebook page par auto reply message add karna hoga. Uske bad jab bhi koi aapko message karega to wo message automatically message bhejne wale ke pas chala jayega. Is message me aap apne hisab se apni site ka link, contact karne ka tarika, mobile number ya fir aap jo chaho message add kar sakte ho.

Apne Facebook Page Me Auto Reply Message Kaise Set Kare

To ab mai aapko bta raha hu ki kaise aap apne facebook page par auto reply message add kar sakte ho. Iske liye aap ye step folow kijiye.

  1. Facebook page par jaye or settings par click kare.
  2. Ab Messaging section par click kare.
  3. Responsive time display: Yaha par aapko ye set karna hai ki jab koi aapko message kare to use uska reply kab mile. Aap turant, kuch minutes bad, 1 hours bad, kuch ghante bad or ek day ke bad ka time choose kar sakte ho.
  4. Instant Replies: Turn on instant replies par tick kare.
  5. Customize your instant reply: Yaha par aapko jo bhi message set karna hai wo message likhe. Aap yaha par only 250 character ka hi reply message set kar sakte ho.
  6. Add Personalization: Yaha par click karke aap apni site ka link, apne page ka name reply message me add kar sakte ho.
  7. Sabhi setting karne ke bad Save Reply par click kare.

Set automatic reply message on your facebook page

Bas ab jab bhi koi aapke facebook page par koi message bhejega to use aapka set kiya hua automatic reply message mil jayega. Or wo aapke btaye address par aapse contact kar sakega. Wakai me ye facebook ka bahut acha feature hai. Jo humare kaam ko or bhi aasan bana deta hai.

Is tarah se aap facebook page par auto reply message ki service ko enable kar sakte ho or apne facebook page par responsive auto reply message set kar sakte ho.

Agar aapko facebook auto reply wali jankari achi lage to is post ko social media par apne dosto ke sath share jaru kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 46 )

  1. Hello sir ek problems ho gai..maine pichhle 3-4 dino se facebook page par blog link nahi share kar paa raha hu..

    Error yah aa raha hai…

    Couldn’t Update Status
    There was a problem updating your status. Please try again in a few minutes.

    Mere blog ki link facebook group me share ho rahi hai, aur mere page page par dusre ke blog ke link bhi share ho rahe hai lekin mere blog ke link share nahi ho rahe hai..

    Muze laga facebook ne page ke liye mera blog url block kiya hoga isliye facebook unblock ke liye 2 bar requset bhi kiya lekin abhi 3-4 din ho gaye. problem solve nahi hui.

    Agar aap meri kuch help kar sakte hai to please jarur bataye muze aur kya karna hoga.

    Reply
    • Facebook ne aapki ID ko link share karne se block kar diya hai. Aap kisi or ID se try kare share ho jayega.

      Reply
      • Bhai link facebook group me share ho rahi hai. sirf facebook page par link share nahi ho rahi hai.

        dusare id se bhi kisi bhi facebook page par mere blog ki link share nahi ho rahi hai.

        Reply
        • Kisi “bug” wajah se aesa ho raha hai aap facebook ko report karo, ya fir wait kuch time bad ye theek ho jayega.

          Reply
  2. sir… Hamne kuch messages bina padhe hi “spam” kar diye hai. Ab hame wo messages padhane hai; but padh nahi paa rahe hai. “view spam messages” par ham click kar rahe hai but. Last ka ek hi msg show ho raha hai. Baki older msg show nahi ho rahe hai… Plz plz plz help

    Reply
    • Aapke comment humesha ke liye delete ho gaye hai. Ab aa pwo comments nahi padh sakte.

      Reply
  3. bhai kya domain ko WordPress se blogger par le ja sakte hai agar le ja sakte hai to wo kaise plz help me

    Reply
    • WordPress blog ka backup le kar blogger blog me upload karo.

      Reply
  4. webmaste Data Structured error ko fix kese karte hai…..

    error :
    missing : updates
    missing : author
    missing : entry-title

    Reply
    • Post ko fetch karte time update time aouthor name or post title ko sahi focus karo.

      Reply
  5. sir mai jis template ko use kr rha hun agar mera koi page 404 error hota hai to automatic us template ki website me chla jata hai kaise thik kre

    Reply
    • Aapki template me redirection code add hai. Aap is code ko tabhi hata sakte ho jab aapko blogger ki coding aati ho. Ya fir aap template change kar lo.

      Reply

Leave a Comment