Blogger Se Subscribe to Post Comments (Atom) Ko Remove Kaise Kare

Bahut si blogger templates me “subscribe to: post comments (atom) ka link add hota hai. Isse blog ke visitor direct post se blog ke atom feeds ko subscribe kar sakte hai. But bahut se blogger RSS feeds istemal karte hai or unke liye atom feed useless ho sakta hai or unka ise istemal karne se koi fayda nahi hai.

remove subscribe to post comments (atom) link

RSS feeds use karne walo ko is atom feed service ki koi jarurat nahii hai or isse sirf aapke blog par space badhega or sath hi blog ke look yani design par bhi bad effect padega. So aap agar feedburner service use karte hai to blogspot blog post se subscribe to posts (atom) ko remove / hide kar sakte hai.

Agar hum blogspot blog ko design karne ki bat kare to main pahle bhi Powered By Blogger Ko Hide / Remove Kaise Kare or Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips jaisi bhaut si post likh chuka hu. Aap humari blogspot se related post padh kar apne blog ko professional look de sakte ho.

Remove Subscribe to: Posts Comments (Atom) Link Blogger in Hindi

Blogger me se subscribe to posts atom link ko remove karne ke liye aapke pas 2 tarike hai ek se aap ise remove kar sakte ho or dusre se hide kar sakte ho. Main yaha aapko dono ke bare me bta raha hu aapko jo better lage follow kar sakte ho.

Option 1: Delete / Remove Subscribe to: posts (atom) feed:

  1. Sabse pahle aap apne blogger blog ke dashboard me jaye or drop down menu me Template >> Edit HTML option par click kare.
  2. Ab Ctrl+F key button daba kar html coding box me <b:include data=’feedLinks’ name=’feedLinksBody’/> code search kare.
  3. Code ko search karne ke bad delete kar de.
  4. Code delete karne ke bad save template par click are.

Remove subscribe to post comments (atom) template

Option 2: Hide Subscribe to: post comments atom from blogger:

  1. Same first step ki hi tarah blogger dashbaord me jaye or drop down menu me Template >> Edit HTML par click kare.
  2. Ab Ctrl+F button prase kar html code box me ]]></b:skin> code search kare.
  3. Ab is code ko copy kare ]]></b:skin> code ke upar yani code se pahle paste kare.
    .feed-links {display:none !important;}

    Jis tarah niche screenshot me btaya hua hai.

  4. Code add karne ke bad Save template par click are.

Remove subscribe to post comments (atom) blogger  template

is tarah se aap blogger me se subscribe to: posts (atom) ko remove, hide or delete kar sakte ho. Agar aapke pas inke alawa koi or trick hai subscribe to post comments atom feeds ko hide remove karne ki to aap comment me uske bare me bta sakte hai.

Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par dusre blogger ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ka design better kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 41 )

  1. bro ek baat batao current news apne post mai dalna copy right hota hai kya .. jaise aaj tak ki news se koi post mai apne blog mai laga raha hu to

    Reply
    • Yes bilkul hota hai.

      Reply
      • to bro AdSense isse aproval nahi dega kya … fir bro aisi komsi chize hai jo copy right na ho aur mai post mai upload kar saku

        Reply
        • alok aap thoda blogging ke bare me or janne ki koshish karo post padha kar comment me sirf points bta sakte ho sikha nahi sakte.

          Reply
  2. Mai apke post padke successfuly apne blogger blog se atom link nikal ne mein saksham hua. Thanks Jumedeen ji for sharing this trick.

    Reply
  3. Bhai mere AdSense account me 100$ she adhik ho gye h is month ke 2 tarikh ko, Air payments details nhi bhar diye hai, lekin payments nahi mila hai, or notification aaya hai your payment are currently hold….plz khub btaye kya kru

    Reply
    • Aapko is month ki 21 tarikh ke bad payment milega.

      Reply
  4. Sir kiya blogger me earning karne ke liye kiya domain Name kharidna zaroori Hota hai

    Reply
    • Nahi but kharid lo to achha hoga.

      Reply
  5. sir mera ek question hai paid temple ek bar kharidne ke bad usko kitne time tak use kr sakte hai..

    Reply
    • jitna tiem wo provede karti hai. aap jis template ko buy kar rahe ho waha check karo yearly ya lifetime likha hoga.

      Reply
  6. JM bhai aap recomds post for you Kaiser set kiya hair jara btaye to

    Mere adasans ko approve ho gya hai lakin add show nhi ho rhe

    Reply
    • raj aapko jara si bhi coding aati hai to aap blog ko chahe jaise design kar sakte ho. abhi AdSense ka fully activate hone ka wait karo.

      Reply
  7. aap ka yah prayog nutan hai , jo bhartiy blog jagat me bhut prasansaniy aur smarniy hoga aap ko dher sari suhkamanye.

    Reply
    • thanks you manish

      Reply
  8. bhai sahab namaskar mai 2012 se blogging kar raha hu , is dauran 2014 me 1 bar mera AdSense account band ho fir bahut prayas ke bad dusara AdSense badi muskil se bana paya, lekin aaj tak itana earn nahi huaa jo withdraw ho sake. ab mai bahut niras ho chuka hun mai computer application me post graduate hun , vur ise part time carrier banana chahat tha. lekin lagata hai vo sambhav nahi ho payega. mai jis yojana me kam karata hun usi ke liye 1 blog banaya hu, aap 1 bar use bhi dekh lijiye, www.aimewa.blogspot.com, mera saukh homeopathy me bhi hai uske liye bhi mane 1 blog banaya tha lekin, usame jyada kuch llikh nahi paya.http://homeodiary.blogspot.in kuch margdarsan kariye bhai sahab , 1 bat aur aap kaha se hain mai aap se milana chahata hun.

    Reply
    • Aapko blogging me 4 year ho gaye but abhi bhi aapke blog ko open karne par lagta hai ki aapka blog kal hi bana hai or abhi aap ise bana hi rahe ho. why, 4 year me bhi aap blog ka complete set up nahi kar sake to failed to hona hi tha. -pelase do some good action and make your blog awesome.
      1. blog me custom domain add karo.
      2. blog me achhi template use karo or use achhe se design karo.
      3. blog par jaruri pages banao or badhiya content write karo.

      Reply
  9. useful post thank it helped me

    Reply
  10. sir kya me AdSense ka adcode ka PX manually chhota ya bada kar sakta hu ?? bat yeh hai ki meri post me banner post se bahar ja raha hai to kya me us banner k pixel size thoda sa gahta sakta hu ???

    Reply
    • Aap code ko edit mat karo. aap responsive size ka ads use karo wo screen ke hisab se show hota hai.

      Reply

Leave a Comment