Bounce Rate Decrease Kam Karne Ki Top 20 Important Tips

Kisi bhi website par bounce rate ka kam hona bahut jaruri hai. Warna ek page open karke leave karne wale users traffic se site success nahi ho sakti. Agar aapki site par achha organic traffic ho or kafi email sign ups ho but fir bhi aapko better performance nahi mil rahi hai to ho sakta hai aapki bounce rate bahut high ho. Aaj main aapko 20+ aese tips bta raha hu jinhe follow kar ke aap easily apne blog par bounce rate decrease reduce kar sakte ho.

proven Ways to Decrease Bounce Rate

Sabse important bat Conversion Rate boost karne se bounce rate decrease hoti hai. Bounce rate decrease karne ke tarike janne se pahle aapko ye pata hona chahiye ki bounce rate hai kya uske bad hi aap decreasing step follow kar sakoge.

Jab aap apni site par adhik search engine traffic pana chaahte ho to aapko chahiye ki bounce rate par bhi focus karna chahiye. Kyuki mostly search engine se aaye users ki bounce rate high hoti hai. Jo apaki site ke liye danger ho sakti hai yaha tak ki aapko rula sakti hai.

What is Bounce Rate? Bounce Rate Kya Hai?

Jab koi user, visitors, reader, customer aapki site par ke kisi page ya post par visit karta hai or bina kisi other page ko open kiye site ko leave akr deta hai to ise bounce kahte hai. Aese user ki percentage ko bounce rate kahte hai. Main iske bare me already Bounce Rate Kya Hai Iska Kya Matlab Hota Hai Ise Kam Kaise Kare post me details se bta chuka hu. Adhik jankari ke liye aap ye post read kare.

Niche dekhiye yaha par btaye gaye tarike aapki bounce rate kam karne me help karenge, Enjoy.

25 Proven Way to Decrease Bounce Rate Kam Karne Ke Jabardast Tarike Hindi Me

Main already research kar chuka hu yaha par btayi gayi tips effective hai or mujhe bhi inse bounce rate kam karne me help mili hai or mujhe ummid hai ki in tacting se aapko bhi positive results milenge.

1. Improve Content Readability:

Bounce rate high hone ka sabse bada reason hai aapki site content ki readability sahi nahi hona. Target user and experience users aapke content ko tabhi read akrte hai jab wo readable ho. Generally large lines wala paragraph iska main point hota hai. So please ise avoid kare short parapgraph likhe or readability increaser kare.

Make Your Blog to Easy to Read:

Main bahut se blogger ke content dekhe hai jo bahut achhe hote hai but unki readability use boring bana deti hai. Post ka title, headlines, steps, points, content sdabkuch padhne me aasan hona chahiye. Maximum ek paragraph me 7 sentence kafi hote hai. Balki aap 5 hi istemal karo to or bhi achha hoga.

Jaruri to nahi hai ki ahr koi aapki post ko full readkarega. Ho sakta hai aap jo likh rahe ho usme se kuch kisi user ko pahle se pata ho to wo sirf aapka baki content hi read karega. Aese me khule or simple paragraph user ki scrolling ko speed up karte hai or unhe aasani se apni jarurat ka content mil jata hai.

2. Avoid Pop up! Don’t Disrupt Your Readers:

In 2024 – 2024 me maine kafi website or blog ka review karte huye paya ki un par jarurat se jyada popups lage huye hai. Pata anhi kyuk in logo ko apne readers se lagav nahi hai or kyu jabardasti user ko distrub karte hai. Mostly people popups ko unlike karte hai.

Isi bat ko dekhte huye google ne popup use karne wali sites ko penalty deni shuru kar di hai. But fir bhi kaf ihad tak blogger popup ka sath nah ichord rahe hai. I sure jise aapka content pasand aayega wo khud aapko subscribe karna pasand karega.

Mujhe ye dekh kar tab jyada hansi aati hai jab popup ko avoid karne wali tips btane wale big blogger khud apne blog par maximum popups lagaye hote hai. Kyo mere bhai aphle khud to sudhar jao dusro ko bad me tips dena.

By the way, I don’t use popups kyuki I love My Audience or main apne kisi bhi reader ko pareshani nahi hone dena chahata. Actually, mujhe pata hai jab main kisi or site par visit karta hu to mujhe content read karne me popups se kitni pareshani hoti hai.

I know email marketing sabhi blog ke liye jaruri hai but jaha tak ho sake hard pop up ko aovid kare or sirf jaruri 1-2 subscriber, sign up pop up hi istemal kare or mobile version me to aesa na hi kare to behtar hoga kyuki mobile me isse bahut jyada problem hoti hai. Aap meri mat mano aane wale time me google iske liye strong policy banayega.

Kyuki ek servey ke anusar google search engine se aane wale visitors totally popups ko avoid karte hai.

3. Add Compelling Call to Action Button:

Main janta hu ki content title and headline attractive hoti hai but agar content me 1-2 call to action button add kar diye jaye to kaisa hoga. Yakinn user isme interest lenge or aapki ek post se dusri post par visit karnege.

Jis tarah hum post content me internal links add karte hai same wese hi hume call to action button add karna hai. Ye user ka dhyan attract karta hai or internal links ki tulna me user is par jyada click karte hai.

Aap content between sticky sidebar me call to action button add kar sakte ho. Iske liye aap attractive images or infographic ka istemal kare.

4. If Possible Create Post Lists:

People posts list ko jyada pasand karte hai kyuki unhe apni pasand ka topic scan karne me kam time or aasani hoti hai. Kyo na aap categorie related all post titles ki ek list tiayar karo. Isse aapki site ko google me first page par aane me bhi help milegi.

Kis bhi type ka lbog ho list posts ki bounce rate humesha low hoti hai. Kyuki user and search engine dono ke liye use scan karna easy or easy hota hai.

Moz.com famous SEO trening site ke anusar list posts headlines google me 75% top position par hoti hai to kyo na hum ise try kare bounce rate decrease hone ke sath humar isearch ranking bhi to increase hogi.

5. Improve Your Storytelling:

We all know, content to koi bhi likh sakta hai but har kisi me ek jaisa talent nahi ho sakta. Actually, story ek hi hoti hai but sunne wale ko story se jyada sunane wale ki storytelling me jyada interest hota hai. Hum kisi matter ko kis tarah or kitne achhe tarike se audience ko samajha sakte hai. Isi se humar isite par jyada traffic hota hai.

Jitni jyada logo ko humara tarika pasand aayega utna hi huamre pas traffic hoga. Bhale hi aapke user ko koi information kahi or site par mil jati hai fir bhi wo use aapke shabdo me sunna or read akrna chahate hai. So your talent, your storytelling bhi aapki bounce rate kam karne me kargar sabit ho sakta hai.

Aapka story btane ka tarika aapki life badal sakta hai. Maine High Bounce Rate Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye post me btana tha ki humar isite par sirf 40% user hi reader hote hai baki 60% sacnner hote hai. Un scanner ko reader banane me aapka talent sabse jyada kaam aata hai.

Oh aapke pas to badiya content hai par kya aapne kabhi socha hai ki usme aapka talent kitna nazar aata hai. Shayad nahi par ab sochna shuru kar dijiye. Kyuki jiski storytelling me maza nahi uski unique or brand post ko bhi koi nahi padhega.

Jabi ek talented content bhale hi use user pahle bhi padh chuke ho fir se padhna pasand karenge kyuki wo jante hai ki aapki post me kuch na kuch naya jarur hoga. Main iske liye aapko 2 tips dena chahunga.

  1. Write only truth content.
  2. Make Hero Your Audience.
  3. Remember Your Reader Future.

Sach likho or apne readers ko customer nahi aapki safalta ka hero bana kar kaam karo. Kuch bhi likhne se pahle ye jarur soche ki aapka content reader ke liye helpful hai ya nahi. Kyuki aapki galat information se aapke lakho readers me se kisi ki life barbad ho sakti hai.

6. Use Black Text and White Background:

Simple si bat hai 99% books white background or black text me hoti hai. Itne sare writer jinko thousands awards mil chuka hai galat nahi ho sakte. Actually, ye tarike reader ke padhne me koi bandha paida nahi karta or lagbhag all world me is way ko pasand karte hai.

Kyo na hum abhi ek colorful book or ek simple white background anf black text wali book ki tulna kare. I sure aapko simple book hi pasand aayegi.

Fir kyo hum colorful site design bana akr apni murkhta ko darshate hai. Kya isiliye ki aap ek mahan painter ho par yakinan aap nahi ho. Agar aapko colorful hone ka itna hi shauk hai to wo aap apni site ke logo, header and footer ke sath karo. Puri site ko usme mat lapeto.

Is bare me or kuch kahne ki jarurat nahi hai. Samjhdar ke liye itne words kafi hai.

7. Keep Your Blog Fresh & Clear with Right Content:

Apni site par right content write karo or site ko clear or fresh rakho. Hubspot ke anusar jo person apni site par clear or simple right content provide karte hai or regular content share karte hai unki site par other site ki tulna me 126% jyada log interest hote hai.

Yakin maniye sabhi sites ka main work unki site nahi hota. Bhaskar, patrika, jagran and many news websites ko main source unki site nahi hai. Isiliye aap kisi bhi news channel ki site ko check kar lo. Content ko is tarah se tod marod diya jata  hai ki user ko kya kaha hai kuch sajh nahi aata.

Aur humare kuch dost unke jaisi site bana lete hai. Jo ki bilkil galat hai. Example ke liye aap labnol.org (jo ki india ke top tech blogger amit agarwal ki site hai) ka fesign check kar sakte ho.

Kuch bhi ho fresh or clear content padh kar user ke muh se “wow” word jarur nikalta hai. But sirf yahi aapki problem nahi hai. Aapko mobile design ki or bhi dhyan dena hoga. Kyuki google ab desktop ki tarah mobile responsive design ki or bhi care karne lag gaya hai.

8. Target Keywords with High Value Traffic:

Keywords ka sahi se istemal na karne se aapke online content marketing work par break lag sakta hai. Agar aapko search engine se achha traffic chahiye to aapko content ko google search me top position par lana hoga or uske liye aapko content me high value keywords istemal karne ki jarurat hogi.

SEO experts ke anusar high-value keyword ka sahi istemal karne se aapki site ko nimn fayde hote hai.

  1. Brand Value.
  2. Person Value.
  3. Traffic Value.
  4. Conversion Value.

Kya aap jante hai ki google ki 97% revenue advertising se hoti hai or wo revenue targeting expensive keywords se generate hoti hai. But sabhi keywords ki value barbar ya ek jaisi nahi hoti hai. Unme se kuch hi keywords aapke liye valuable hote hai. Baki sabhi to road par side par chalne wali slow car ki tarah hote hai.

Main top high level keywords ke bare me already post likh chuka hu. Iske liye aap ye artuicles check kare.

Without keyword and simple content par bounce rate decrease hogi kahna mushkil hai. So aapko content me high value and target keywords ka istemal karna shuru kar dena chahiye. Jab aap post me high level keyword use karoge tabhi user aapka content padhne me time spend karega.

High value keywords se na sirf traffic increase hota hai balki ye powerful hote hai or unse conversion rate or user engagement bhi better hoti hai. Sath hi isse aapki site ki authority bhi badhti hai.

9. Place Advertisement on Right Location:

Main janta hu ki kisi bhi site ki income source me advertisement jarur shamil hota hai or aap apni site par kahi bhi ad place karne ke liye free ho. I mean aap jaha tache ad show kar sakte ho but kya ye wastav me hai or aapka kahi par bhi ad lagana user ko problem nahi karta.

Actually, user aapki site par content read karne aate hain ads dekhne ya un par click karne nahi. Aese me agar user ko aapki site par wrong place par ad lage milenge to wo aapki site par mushkil se fir kabhi visit karnege. Sath hi adhik advertising istemal karne se site ki speed bhi down hoti hai.

Mere hisab se aapko ek ad sidebar, ek post content se pahle or ek bad me istemal karna chahiye. Agar content long hai to aap bich me bhi ad istemal akr sakte ho. Is tarah aap 3-4 ad per page istemal kare isse jyada ad use karna danger ho sakta hai.

Agar aap janna chahate hai ki aapke readers aapke content ko kitna pasand kar rahe hai to aap post end me rating feature ka istemal kar sakte ho. User Awesome, Excellent, Good, Average, Poor ke hisab se aapke content ko vote kar sakte hai.

10. Speed up Your Page Load Time:

Topic suna hua lagta hai par isme different hai. Aaj hum site speed nahi only page speed ke bare me bat kar rahe hai. Actually dono ek hi hi but humare matter ke hisab se dono me difference hai.

Jab user aapki site ke kisi page ko open karta hai or us page ko read karne ke bad bad ya pahle wo kisi or page ko open karta hai to aapka page fast laod hona chahiye. Agar aesa nahi hai to user na chahate huye bhi aapki site ko leave ka jayenga.

Halnki wo aapke topic me interested hai but time west nahi karne ki niyat se wo aapke page ke load hone ka wait nahi karega. Isse bounce rate to jyada hogi hi sath user per page time bhi low ho jayega.

Mostly aapka page 2 to 3 second me load ho jana chahiye. Agar aapki site par isse jyada time lagta hai to aapko is par kaam karne ki jarurat hai. Maximum page laoding time 4 second se jyada nahi hona chahiye.

Slwer page load time high bounce rate ka ek bada reason hai. Jise aap kuch hi minute me solve kar sakte ho. Khud site content optimize karke ya kisi bhi other site developer ki help le kar. Kyuki aesa na karne par aapko success ko usi tarah kho rahe ho jaise building ka girta hua ek gona or use banane me lage huye karigar.

Wait please………………………… We are write now…………….. Please check after some time.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 69 )

  1. Mari website per 99 %internal duplicate content show ho rahe hai maine subhi ka url change kar diya hai or keywords bhi .Per jab me page pe internal link deti hun to pingback comment show hota hai . Or no follow internal link bolta hai .Ye ise me ,me kaise internal link du page pe .

    Reply
    • wordpress discussion setting me ja kar pingbacks ka option unselect kar do aur blog se all pingbacks comments ko delete kar do. problem solve ho jayegi

      Reply
  2. sir aap ne Apni post me 5 ads use kiye jabki 3 allow hai.. kya aap ko google kuch nhi bolega

    Reply
  3. dear sir meri website hai mai abhi blog par nya hu aur maine apne site me aapke dwara bataye free ssl certificate ka use kiya hai jisse mere site ka own page http redirect hota hai https pe aur mera adsense approved nhi ho rha kya karu.

    Reply
    • Aapki site http se open ho ya https se adsense ko isse koi fark nahi padta. https security ke liye better hai. Adsense approve na hone ki wajah kuch or hogi.

      Reply
  4. Thanks for information

    Reply
  5. Hello Bhai Kiya Aap Bata Sakte hai Ki Agr Meri Website Blacklist Ho Gayi Hai 5 Ya 6 Din Ke Baad Meri Website Google M fir se Dikhne lagti Hai to Kiya Meri Website ki Keywords Ranking ghat Jayegi Kiya ?

    Reply
    • Yes search rank down hogi.

      Reply
      • Meri Website hide ho Gayi Hai Google se Mujhe Ye Messages Mila hai – (Sneaky mobile redirects detected) – Main Kiya Karu Bhai

        Reply
        • Aapki website me redirect link add hai aap blog ki template change karo.

          Reply
  6. content rewriting tool use karke Content ko apne according modifi kar karke Content new ban sakta hai agar same topic ho tohh

    Reply
    • Bilkul

      Reply

Leave a Comment