Youtube Par Copyright Videos Ko Monetize Kaise Kare

How to Monetize Copyrighted Videos on Youtube? Kya main YouTube par copyright Video, Movies, Films, Songs, TV Serials and other type ke videos upload kar ke monetize kar sakta hu or unse kamai kar sakta hu? Ye ek aesa sawal hai jiska jawab sabhi YouTube partner janna chahate hai.  So aaj main aapko YouTube copyrighted issue ke bare me details me bta raha hu ki aap kaise copyrighted videos ko monetize kar sakte ho or unse paise kaise kama sakte ho.

monetizelegally copyrighted videos on YouTube

How to Monetize Copyrighted Videos Legally on Youtube – Full Information in Hindi: Actually, har koi chahata hai ki use khud video create na karni pade or wo dusro ki videos YouTube par upload kar earning kar sake. Youtube par aapne ek jaise bahut se videos, movies, films, songs and other category ke videos dekhe honge.

Multiple channels par ek jaise videos dekh kar aapke man me ek khyal jarur aata hoga ki “Kya main bhi YouTube par is tarah ke copyrighted videos upload kar sakta hu?” But aapko iske bare me confirm jankari nahi mil pati ki aap copyright video YouTube par publish kar sakte ho ya nahi.

In this post, Aaj main aapki is bare me sari confusing dur kar dunga or aap achhe se jan jayenge ki YouTube par copyright videos ko kis tarah monetize kiya jata hai or kis tarah unse earnings ki ja sakti hai.

Main already Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte post me YouTube par videos upload karne ke bare me information share kar chuka hu. Aap is post me sikh sakte ho ki YouTube par kis tarah ke videos upload karne chahiye.

Youtube Par Copyrighted Videos, Movies Ko Monetize Kaise Kare

Actually, YouTube par copyright videos or movies upload karna or videos me copyright music, audio, voice add karna illegal hai or aye bat 100% sahi hai. Copyright law ke anusar aapke aesa karne par aap par copyright owner hue amout (bahut jyda paise) ka lawsuit (mukdama) wsue (chala) sakta hai.

Agar aap legally copyright videos ko YouTube par upload karna chahate hai to aapko production house jana hoga or movies producers se online right permission leni hogi.

Filmy industry me seperately ek nichshit commission par online internet par unke product ko istemal karne ki permission di jati hai. If you have money, agar aapke pas paisa hai to aapke liye ye bahut hi easy process hogi.

Aap movies director and owners ko pay karke permission licence le kar movies ko YouTube par legally upload kar sakte ho or unhe monetize karke kamayi bhi kar sakte ho.

Regarding all small channels, Agar hum kuch aese YouTube channel ke bare me bat kare jo illegal way se YouTube par movies upload kar unhe monetize kar lete hai to main aapko kahna chahunga ki inme se koi bhi copyright videos se earning nahi kar pata.

I mean illegal tarike se movies ko monetize kar YouTube se koi income nahi kar sakte. I know bahut se YouTube illegal expert aesa kar sakte hai or fraud tarike se YouTube par movies ko monetize karte hai but ek time ke bad movies owners YouTube ko iski copyright act ke taht report send kar dete hai or inki sari earning movies ke real owners ko de di jati hai.

Youtube already janta hai or publisher ki ID technology se check kar sakta hai ki is video par fingerprints kiske hai. I mean ye video xontent kiska hai or iska real owner koun hai. SO ye bilkul sahi hai ki agar koi illegally movies upload karta hai to usse generate ki gayi money videos owner ko send kar di jati hai.

Maine yaha par jo kuch btaya hai wo applicable or bilkul sahi hai. Youtube hume content ID provide karta hai or isi ID se videos ke owners ka pata lagaya ja sakta hai.

Most of the cases, Aaj ke time me content owners illegal uploading ka claim kar rahe hai or YouTube se bahut se channels ko supended ya blocked kiya ja raha hai. Aapke copyright act ka violation karne par aapka YouTube channel bhi disable ho sakta hai.

Youtube par copyrighted videos upload karna copyright act ke anusar ek crime hai or aesa karne par aapko content owner ka notice bhi mil sakta hai.

Mostly users ke aesa karne par jab content owner YouTube ko uski complaint karta hai to YouTube team uske channels ko humesha ke liye ya 30 days ke liye suspend kar deti hai.

Yaad rakho YouTube google ki hi ek service hai or google ki policy very strict bahut shakht hai. Aap YouTube par kisi or ke copyright video ko bilkul bhi upload nahi kar sakte. Google ise 1% bhi allow nahi karta.

Copyrighted content aap tabhi use kar sakte ho jab aapke pas uska licenses ho.  Without licenses ke aap aesa nahi kar sakte. Youtube copyrighting issue ke bare me or jyada jankari ke liye main aapko suggest karunga ki aap YouTube copyright policy read kare.

Agar aapke pas content permission lene ka koi idea nahi hai or na hi aap uska pay kar sakte hai to aapke liye behtar hoga ki aap only apne hi create kiye gaye videos YouTube par upload kare.

In my experience, Agar aap apne YouTube channel ko safe rakhna chahate ho to meri aapko personal suggestion hai ki humesha YouTube par khud ki banayi huyi videos hi upload kare or kisi bhi tarah ke illegal work se bache.

I hope is post ko padhne ke bad aapko YouTube copyright issue ke bare me sabkuch samajh aa gaya hoga. So ab apna 5 second ka time nikal kar is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 252 )

  1. Sir mera youtub pr comedy videos h use songs ki vjh se copyright ho gya h usko kese htaye 5 videos h. Koi solustion h kiya…. Plz solustion

    Reply
    • copyright video ko delete kar do.

      Reply
  2. Bhai,Hamara video agar koi or use kare to hame kaise pata chalega

    Reply
    • youtube video me pata chal jayega.

      Reply
  3. Agar khud ka video banakar upload kru to earning hogi?

    Reply
    • Yes, khud ke banaye video se hogi.

      Reply
  4. Sir, YouTube me creative common video kya hai, kya Mai uske video KO upload Kar Kamai kar sakte hai. Pls reply.

    Reply
    • Yes kar sakte ho lekin usse earning nahi hogi.

      Reply
  5. Production house se permission kese le

    Reply
    • Contact him.

      Reply
      • Kya copyright free video Wala YouTube channel monotize ho ya h Kya plz reply me

        Reply
        • हो जायेगा

          Reply
  6. sir youtub par ager copyright aaye or us video ko delete kar de to baad mai to humara channel safe hai na.

    mera matlab baad mai to hum usse money earn kar sakte hai na………..

    humare channel par kitni baar copyringht aa sakta hai…

    mera matlab kitni baar tak aane par safe hai…..

    mujhe puri jankari do plz… sir

    Reply
    • 3 bar se jyada copyright aane par problem hoti hai.

      Reply
  7. Sir main youtube per koi cartoon videos upload karta hu to copyrites claim aa jata lekin dusro ke channel par same wahi video uploaded rahta to unko claim aata hoga main kaise videos upload karu ki claim na aye

    Reply
    • Aap khud video bana kar upload karo kisi aur ke video ko nahi.

      Reply
      • Mai copyright Video dalata hu
        Contact I’d ka dava milta hai
        Lekin mere khate ka koi effect nhi padta hai
        Youtube pe mere video chalata rhta hai
        Koi rok nhi aata hai
        Sari kamayi copyright ke malik ko jati hai
        Mujhe kya karu
        Plzzz help me sir

        Kya mera channel monetization hoga

        Kya mai kabhi bhi bhi kamayi kar skta hu

        Mai aage kya karu
        Aap bataye

        Reply
        • Aap dusre ki video ko monetize nahi kar sakte, khud bana kar video dalo tab monetize kar earning kar sakte ho.

          Reply
  8. Sir
    Mene dekha he dusro ke chanel par jab vo kisi ke content use karte he to description me Attribution me kuch organization ke name dete he

    Or credit me koi website ke address hote he,
    Sir mera sawal he to ye youtub chanel walo ne un organization, website owner se personaly permission li hoti he ya fir bas without permission add kar dete he.

    Sir plz reply I’m waiting your ans.

    Reply
    • Ye bat video owner hi bta sakta hai. kuch log bina permission ke bhi kar dete hai.

      Reply
  9. Mujhe Aik bat bataye man le ki mera channel mysterious stories pe kam karta hai mai back me apni avaj deta hu aur dusro ke videos us aik kahani par lagata hu to copywright higa.

    agr hn description me us channel ka de do jaha se hm video uthaye the kyoki mysterious videos uthane hi pdti hai is banaya nhi ja skta.

    Reply
    • Isse video owner aapke channel ko strike de sakta hai.

      Reply
  10. Sir YouTube licence kaise buy karen…. Stranded YouTube licence kaise kharide or khana se plz reply

    Reply
    • Standard licence buy karne ki jarurat nahi hai. Jab aap youtube par koi video upload karte ho to wo automatically standard licenece ke sath upload hota hai. Means use koi uar youtube par upload karega to copyright issue hoga.

      Reply

Leave a Comment