Youtube Par Copyright Videos Ko Monetize Kaise Kare

How to Monetize Copyrighted Videos on Youtube? Kya main YouTube par copyright Video, Movies, Films, Songs, TV Serials and other type ke videos upload kar ke monetize kar sakta hu or unse kamai kar sakta hu? Ye ek aesa sawal hai jiska jawab sabhi YouTube partner janna chahate hai.  So aaj main aapko YouTube copyrighted issue ke bare me details me bta raha hu ki aap kaise copyrighted videos ko monetize kar sakte ho or unse paise kaise kama sakte ho.

monetizelegally copyrighted videos on YouTube

How to Monetize Copyrighted Videos Legally on Youtube – Full Information in Hindi: Actually, har koi chahata hai ki use khud video create na karni pade or wo dusro ki videos YouTube par upload kar earning kar sake. Youtube par aapne ek jaise bahut se videos, movies, films, songs and other category ke videos dekhe honge.

Multiple channels par ek jaise videos dekh kar aapke man me ek khyal jarur aata hoga ki “Kya main bhi YouTube par is tarah ke copyrighted videos upload kar sakta hu?” But aapko iske bare me confirm jankari nahi mil pati ki aap copyright video YouTube par publish kar sakte ho ya nahi.

In this post, Aaj main aapki is bare me sari confusing dur kar dunga or aap achhe se jan jayenge ki YouTube par copyright videos ko kis tarah monetize kiya jata hai or kis tarah unse earnings ki ja sakti hai.

Main already Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte post me YouTube par videos upload karne ke bare me information share kar chuka hu. Aap is post me sikh sakte ho ki YouTube par kis tarah ke videos upload karne chahiye.

Youtube Par Copyrighted Videos, Movies Ko Monetize Kaise Kare

Actually, YouTube par copyright videos or movies upload karna or videos me copyright music, audio, voice add karna illegal hai or aye bat 100% sahi hai. Copyright law ke anusar aapke aesa karne par aap par copyright owner hue amout (bahut jyda paise) ka lawsuit (mukdama) wsue (chala) sakta hai.

Agar aap legally copyright videos ko YouTube par upload karna chahate hai to aapko production house jana hoga or movies producers se online right permission leni hogi.

Filmy industry me seperately ek nichshit commission par online internet par unke product ko istemal karne ki permission di jati hai. If you have money, agar aapke pas paisa hai to aapke liye ye bahut hi easy process hogi.

Aap movies director and owners ko pay karke permission licence le kar movies ko YouTube par legally upload kar sakte ho or unhe monetize karke kamayi bhi kar sakte ho.

Regarding all small channels, Agar hum kuch aese YouTube channel ke bare me bat kare jo illegal way se YouTube par movies upload kar unhe monetize kar lete hai to main aapko kahna chahunga ki inme se koi bhi copyright videos se earning nahi kar pata.

I mean illegal tarike se movies ko monetize kar YouTube se koi income nahi kar sakte. I know bahut se YouTube illegal expert aesa kar sakte hai or fraud tarike se YouTube par movies ko monetize karte hai but ek time ke bad movies owners YouTube ko iski copyright act ke taht report send kar dete hai or inki sari earning movies ke real owners ko de di jati hai.

Youtube already janta hai or publisher ki ID technology se check kar sakta hai ki is video par fingerprints kiske hai. I mean ye video xontent kiska hai or iska real owner koun hai. SO ye bilkul sahi hai ki agar koi illegally movies upload karta hai to usse generate ki gayi money videos owner ko send kar di jati hai.

Maine yaha par jo kuch btaya hai wo applicable or bilkul sahi hai. Youtube hume content ID provide karta hai or isi ID se videos ke owners ka pata lagaya ja sakta hai.

Most of the cases, Aaj ke time me content owners illegal uploading ka claim kar rahe hai or YouTube se bahut se channels ko supended ya blocked kiya ja raha hai. Aapke copyright act ka violation karne par aapka YouTube channel bhi disable ho sakta hai.

Youtube par copyrighted videos upload karna copyright act ke anusar ek crime hai or aesa karne par aapko content owner ka notice bhi mil sakta hai.

Mostly users ke aesa karne par jab content owner YouTube ko uski complaint karta hai to YouTube team uske channels ko humesha ke liye ya 30 days ke liye suspend kar deti hai.

Yaad rakho YouTube google ki hi ek service hai or google ki policy very strict bahut shakht hai. Aap YouTube par kisi or ke copyright video ko bilkul bhi upload nahi kar sakte. Google ise 1% bhi allow nahi karta.

Copyrighted content aap tabhi use kar sakte ho jab aapke pas uska licenses ho.  Without licenses ke aap aesa nahi kar sakte. Youtube copyrighting issue ke bare me or jyada jankari ke liye main aapko suggest karunga ki aap YouTube copyright policy read kare.

Agar aapke pas content permission lene ka koi idea nahi hai or na hi aap uska pay kar sakte hai to aapke liye behtar hoga ki aap only apne hi create kiye gaye videos YouTube par upload kare.

In my experience, Agar aap apne YouTube channel ko safe rakhna chahate ho to meri aapko personal suggestion hai ki humesha YouTube par khud ki banayi huyi videos hi upload kare or kisi bhi tarah ke illegal work se bache.

I hope is post ko padhne ke bad aapko YouTube copyright issue ke bare me sabkuch samajh aa gaya hoga. So ab apna 5 second ka time nikal kar is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 252 )

  1. Kisi app ya website se kamaye ke liye Jo sign up Kiya Jata hai usme email and password likhne ko Kahta hai to Kya wah email or password Google ke Gmail account par Jo bna hota hai use hi Dena padta hai ya koi new turant koi character or digit dal sakte hai email or password ke Roop me Bina Google Gmail par bnaye?
    2bro agar Bina Google par bnaye email se sign up hota hoga direct bahut good bat hai kyuki sab jaga Gmail account dene or same hone par hack hack ho sakta hai.wase Maine ek app earn money par practice ki to Bina Google Gmail account par bani email optional apne man se dali or sign up ki to ho gya or videos dekhkar earning ho Rahi hai.to Kya ye Sahi hai ya kuchh or Meri confusion dur Kare. Agar yesa Sahi hai to very good
    3 PayPal par account bnaye samaye Emil or password optional apne man se dal sakte hai ya Google Gmail account par bani email ko hi Dale btaye mai chahti hu ki optional hota har jagah apna apna user ID ki tarah hota taki hack n ho or yad bhi rakhne sake
    4 his tarah bank ki account number phchan Hoti hai usi tarah PayPal account ki phchan or account number Kya hota hai jise kisi website or app se connect Kar money transfer Kar sake
    5 aapke post se bnane to aa Raha hai prantu verify Karne nhi aa Raha hai
    6 visa MasterCard Kya hai kaise use hota hai kaise mera banega or Kya Adsense or app or website ki earning Bina kisi jhanjhat ke prapt Kar sakte hai

    Reply
    • 1. Aesi site ke liye aap extra email bana kar use karo taki koi problem na ho sake.
      2. Aesi site earning dikhati hai but pamyent nahi karti ho avoid karo.
      3. Koi bhi password dal sakti ho.
      4. aapki log in details paypal ki pahchna hoti hai.
      5. Aapko jo problem ho wo btaya karo taki main uska solution bta saku.
      6. ATM card do type ka hota hai ek visa or ek mastercard.
      Aapka jis bank me account hai us bank se atm card yani debit card le sakti ho. Adsnse earning ke liye atm card ki jarurat nahi direct bank m payment milega.

      Reply
  2. Bro Kya mobile apps or kisi website par account bnakar iske ads par click karke ya YouTube video dekhkar earning ho sakti hai ya fir koi game khel Kar, survey karke, kisi apps se income Hoti hai ya ye Jo log iske bare me videos bnakar btate hai ye shi hai ya kuchh or
    2 Kya Gmail password change Karne par hmara jha jha account hai jaise manle ki PayPal, Paytm, ya kisi apps ya website ya YouTube channel to Kya change Karne par problem ho jayegi
    3 computer par Jo Kam hota hai oh mobile ke chrome browser se ho jayega jaise PayPal account ban jayega

    Reply
    • 1. Aesi sites par income kam or time jyada west hota hai or kuch sites to payment bhi nahi karti.
      2. Nahi.
      3. Ho jayega but screen ki problem hogi.

      Reply
      • Bro Kya ek hi matter par do videos bnakar YouTube par load Kar sakte hai jaise ki ” YouTube par videos upload Kase Kare” ke bare me do Alag Alag video bnakar ek me Hindi bolkar or dusre me English language for USA ke liye to Kya ESA me koi problem hoga
        2mobile se many YouTube channel ek hi Adsense account me bnakar kaise jode

        Reply
        • Yes kar sakti ho.

          Reply
  3. Bro mai per day ke earning check karti hu to 500view page par 10 click hote hai. CTR 4%tak hota hai RPM $0.13 hota hai prantu estimating earning $0.00 hi rahta hai ESA Kyu
    2. Rpm Kya hai iske $ hame mileage ya Jo Mila hai usme se bhi loss hoga utna
    3. Bro dashboard me earning dekhkhti hu to per day Kam hote ja Rahi hai bash nhi Raha hai Adsense me $2 chla Kya prantu ab income badh nhi balki loss ho Rahi hai ESA Kyu ho Raha hai e tab se ho Raha hai jab se balance Adsense me gya plz help me

    Reply
    • Youtube ki earning adsense me month me ek bar ad hoti hai main aapko pahle bhi bta chuka hu. Today, yesterday ki earning check karni hai to aap youtube analytics me check kiya kare.
      Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare
      Apne videos me views badhao earning apne aap badh jayegi.

      Reply
      • Bro analytics me revenue ka ya fir Kisi bhi tarah ka option aata hi nhi hai to kaise check karu
        2 hame post padhi par hame aap ye btaye ki RPM me Jo $ hota hai Kya ye income ke rup me Adsense account me Jata hai ya nhi
        3 bro Kya ye bat Sach hai ki kisi Kisi ka CPC $500 bhi Hoti hai jaise ” cash advance structured settlement ka $489.91″ Kya itna India me bhi milta hai. Bro is par videos kaise banega

        Reply
        • 1. Aata ha analytics par click kar thoda wait kiya karo load hone me time lagta hai.
          2. Nahi.
          3. Nahi adsense ki CPC itni nahi hoti.

          Reply
          • Bro ek Android mobile me 2or3 Gmail I’d bna Kar Kam Kar sakte hai
            2.bro his videos ka location USA Karenge or agar us videos par click India se hoga to earning USA ki ad jaise hoga ya nhi
            3 bro sabse Jada CPC ki keyword ki Hoti hai or kitna

  4. Khan Saahab yeah youtube ki taraf se muje mail aaya hai,kya mere channel ko Koi problem nahi hogi

    Dear Farooq Sheikh,

    Your video “KOI JAB RAAH NA PAAYE KARAOKE BY FAROOQ SHEIKH”, may have content that is owned or licensed by Saregama Publishing, but it’s still available on YouTube! In some cases, ads may appear next to it.

    If this is your performance of a third party song then you can still make money from this video. Click here to change your monetisation settings.

    This claim is not penalising your account status. Visit your Copyright Notice page for more details on the policy applied to your video.

    – The YouTube Team

    Reply
    • Aapka video kis or video se match ho raha hai. Agar ye aapka video hai to iska licence submit karo ya ise delete karo warna problem hogi.

      Reply
  5. Asaalamualikum,khan saahab,maine khud gaana gaaya karaoke music pe aur software Ki madat se video banaake YouTube channel pe upload kiya,wahaa pe
    draft ke neeche

    [includes copyrighted content] show kar raha hai.
    Khan Saahab Aapko is baare main acha knowledge hair, meharbaani karke hamaari
    Madat Kare, Ki akhir aisa Kyu dikha raha hai.
    Aapke jawaab ka intizaar rehega, Khuda haafiz.

    Reply
    • W/a ye aapki video dekh kar bta sakta hu apni video ka link btao.

      Reply
  6. Bro Adsense account me likh Raha hai ki Adsense optimize Karne ke liye Google analytics account ko Adsense account se link Kare to YouTube analytics account ko Adsense account se link kaise Kare please help me
    2 bro customer care se confirm hokar swift code ke jawaab kab btayenge
    3 playlist bnaye tab views Kam gya Kya playlist videos ko ek jagah bandh Lete hai or koi search Karta hai to videos Na dikhe Kar kewal playlist dikhta hai tab to videos par views Kam ho hi Jaynge. To playlist feature Kyu Diya hai Meri confusion dur Kare ki playlist se Kya hota hai
    4 bro Kya hum national anthem “Jan gan man ” khud se GA Kar upload Kar sakte hai. Lekin YouTube par dher Sara ye song upload hai.ye song to save liye hai to Kya hum nhi Kar sakte copyright ho jayega
    5 Kya filmi song ko apni sound me gaiye Kar upload Kar sakte hai

    Reply
    • 1. Iski jarurat nahi hai mat karo.
      2. Sorry reshu main nahi kar pa raha hu apa hi confirm kare.
      3. Playlist se aap alag alag category ke videos ke liye alag se playlist bana sakti ho taki user ko category ke anusar videos mil sake.
      4. Yes kar sakte ho. Kar sakte ho kyuki bhagwan ne sabko alag aawaz di hai aapki aawaz kisi se match nahi ho sakti.
      5. Yes kar sakte ho.

      Reply
      • Bro Kya hum Google se direct hero heroin actors ke image download karke slideshow videos bnakar upload Karenge to koi problem hoga
        2 subtile close caption automatically videos me kaise lgaye Bina type kiye kewal sound ko speed ke anusar videos par likhte hue kaise dikhaye please help me
        3 agar hum Google analytics ko Adsense account se link nhi Karenge to income hone me koi problem nhi hoga ? To yesa Kyu likh Raha hai use Raha se kaise htaye or hum link nhi Karenge to kaise janenge ki hmara Jada income kis videos se ho Raha hai

        Reply
        • 1. Kar sakte ho ye sawal aap pahle bhi puch chuki ho.
          2. ye sab video editor se hota hai. Kei youtuber ne iske bare me video bhi banayi hai wo dekh lena.
          3. No problem. Aap youtube ke analytics feature me report check kar sakti ho.

          Reply
      • Bro YouTube ads band Karne ja Raha hai news hai to videos par ads show nhi hoga to youtuber ko ab earning kaise hoga
        2bro CPC high Karne ke liye videos ka location change Kar sakte hai
        3 videos location USA Kar sakte hai koi problem hoga
        4 Kya USA se bhi Jada CPC Kisi country ki hota hai agar hai to btaye
        5 bro ctr Jada hone par Adsense account band ho Jata hai to isse kaise bachenge

        Reply
        • 1. Nahi youtube ads band nahi kar raha.
          2. Nahi high CPC ke liye aap high paying keyword use karo.
          3. problem hai agar aap USA ke liye video bana rahi ho to location me USA set karo wanra aapko USA ke sath india ka traffic bhi nahi milega.
          4. USA, UK, Canada etc. sabhi CPC high hoti hai.
          5. Valid clicks hai to nahi hoga.

          Reply
          • Bro videos location change karna legal hai to hum change Kar Dete hai jab USA Canada se traffic nhi milega to fir India Kar denge. Kya ESA Karne me bhi koi problem hoga
            2 bro hum apne channel ki aalag aalag videos ko USA UK Canada India sabhi location ka naam dal Kar upload Kar sakte hai taki sabhi jagah se traffic prapt ho sake yese me To koi problem nhi n hoga
            3 bro aagar videos ka location USA Karenge to ads USA ka hi ads show hoga or income usi ke CPC par hoga ye bat Sahi hai
            4 bro videos ka location USA Karenge to traffic kewal USA ka hi hoga

          • 1. Ok try kar lo.
            2. aap try kar sakte ho.
            3. Adsense user interest ke anusar ad show karta hai so agar koi aapke video ko USA me play karega to wahi ke ad show honge.
            4. nahi sirf USA se jayda milega.

  7. Thank You so much bro …. mai v apki trah online work krta hu ….aap please mere se contect kare. (Jyada earning ke Genuine Method Share karna chahta hu )

    Reply
  8. Bhai kya mast samjate ho
    Or comments ka reply bi karte ho
    Nice bhai

    Reply
  9. Sir mene YouTube par screen recorder ki help se ek trick android m developer option add karne ki trick ka video
    Bna kr upload kiya h
    Usssey b copyright bta rha h
    Kyo ??

    Reply
    • Agar aapne video khud banaya hai to no problem.

      Reply
  10. sir photo me songs laga kar youtub per dal sakta hu

    Reply
    • Nahi copyrighting hogi.

      Reply

Leave a Comment