Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare 5 Jaruri Tips

Aajkal har koi smartphone use karta hai. Har kisi ke pas koi na koi android mobile mil jaya hai. Ayse me smart phone khona or chori hona aam baat hai. Daily pata nahi kitno ke mobile gum ho jate hai. But problem tab hoti hai, Jab aapki personal data phone me hoti hai or aapke gmail, facebook, twitter jaisi ID phone me log in hoti hai. Isse dar rahta hai ki kahi koi humari ID ka galat jagah par upyog na kare.

Mobile Khone Ya Chori Hone Par Kya Kare

Magar ab aapko tention lene ki jarurat nahi hai, Ab aap apne dusre phone se chori hue mobile ko puri tarah se control kar sakte ho. Or apni full personal data secure kar sakte hai. Isse chor ko ya fir aapka khoya hua mobile jise bhi milega, Usko mobile ki jagah sirf ek khilona hi hath lagega. Ek aysa dabba jisse sirf bachche hi khel sakte hai.

Aaj ke time me market me ayse ayse apps available hai ki sab ke bare me koi bhi nahi jan sakta hai. In me se kuch apps bahut kaam ke hote hai or humari badi se badi problem solve kar sakte hai.

Jisse hume android mobile se hi bahut kuch control karne ke power mil jati hai. Isi technology ki help se hum apne khoye huye phone ko apne dusre mobile se control kar usme se jaruri personal data remove kar sakte hai.

Is post me mai aapko kuch aysi tricks bta raha hu. Jinse aapko khoya hua ya chori kiya gaya mobile fir se aapko mil sakta hai. Ya fir aap apne mobile me se apni personal information delete kar sakte hai. Isse aapko sirf phone khone ka nukshan hoga baki aapki sabhi data secure ho jayegi.

Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare

Apna mobile khone bad uske wapis milne ki sambhavna to bahut kam hi hoti hai. But aap apni taraf se kuch koshish try kar sakte hai. Ho sakta hai aapko koi mobile wapis bhi lota de. Kyuki aap us mobile ko dabba bhi bana sakte ho or aysa karne se aapka mobile chor ke koi kaam ka anahi rah jayega.

1. Track Your Mobile Location

Mobile ke khone ya chori hone par sabse pahle aapko phone ki location pata karke phone ko wapiss pane ki koshish karni chahiye. Isme google aapki help karega. Google aapko phone ki location btayega.

Jisse aapk apne phone ki jagah ka pata chal jayega. sath hi aap google ki help se apne phone me ring bhi baja sakte hai. Achi bat ye hai ki agar aapka phone silent bhi hoga to bhi ring full value me bajegi.

Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post me maine iske bare me details se btaya hai. Aap ek bar is post ko jarur padhe.

2. Warning For Thief

Android device manager me aap chor ko warning de kar aaghah kar sakte hai. Iske alawa aap apne phone par phone ko chri karne wale ko message send kar sakte hai ki aap ye phone wapis kar de warna aap is phone ko deactivate kar donge, phone ki sim band kar donge fir ye mobile sirf ek dabba ban jayega or aapke koi kaam ka nahi rahenga.

Khoye Huye mobile me warning alert add karne ke liye ye post padhe Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Usme Warning Mesaage Kaise Add Kare.

Isse acha to aap is phone ka mujhe wapis kar de. Iske liye aap chor ko ya jise bhi aapka khoya hua phone mila ho ko 100-500 rupess ka offer kar sakte hai. Message me aap apna contcat no. add kar sakte hai. Agar phone pane wale ko aapki bat samajh aa gayi to wo aapka phone wapis louta sakta hai.

3. All Account Ko Secure Kare

Aapke mobile me agar gmail, facebook ya twitter koi bhi social account log in hai or aapka phone chori ho jaye ya kahi kho jaye or upar btayi no.1 trick se bhi mobile ka pata na lage to sabse pahle aap dusre mobile me log in kar apni sabhi ID  par se log out kare.

Chori huye phone me screen lock lagane ke liye ye post check kare Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Use Lock Kaise Kare

Sabhi social network par other device par Sign Out All Other Session ka option hota hai. Isse aapke sare accounts secure ho jayenge or koi bhi aapki ID ka galat upyog nahi kar payega. Agar aapko kisi social site par is option ka pata nahi hai to aap niche commnet me puch sakte hai.

4. Unclick Other Apps Account

Mobile me other apps jaise drop box or google drive jaise bhi hote hai. Inme bhi aapki personal data ho sakti hai. So mobile ke chori hone par aap dusre mobile me in apps par log in kar ke other apps ko unclick kar sakte ho.

Iske liye aap in apps ki profile settings me jaye waha security option me unclick ka option hota hai. Us par click karke apne khoye hue mobile me se apni sari data delete kar sakte ho.

Mobile phone chori hone par sabse pahle aap mobile ki sabhi Sim Block kare. Jisse chor aapki sim se galat call na kar sake. Iske liye aap apni sim ke castomer care me bat kar sim block karwa sakte ho.

5. Delete Mobile All Data

Agar aapko lagta hai ki ab phone wapis to mil nahi sakta hai to yase mai aap mobile ka data delete kar sakte hai. Jisse jisko bhi aapka phone mile ya jisne bhi aapka phone curaya hai. Uske hath aapki personal data na lage.

Iske liye aap dusre mobile ke android device manager me jaye waha aapko phone ka data delete karne ka option mil jayega. Is featur me kisi mobile data ko dusre mobile se delete kiya ja sakta hai.

Khoye huye mobile ka all data delete karne ki jankari ke liye ye post padhe Mobile Chori Hone Par Photos Videos and All Data Delete Kaise Kare

Android device manager me aapko iske alawa bhi phone lock or ring ka option bhi mil jayenge. In feature ki help se aap apne mobile ko puri tarah control kar sakte hai. Fir chahe aapko phone kho gaya ho ya fir chahe chori ho gaya ho.

Ummid karta hu aapko is post me achi jankari milegi. Or aapko phone chori hone ke bad kya karna ahai ke bare me puri jankari milegi.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 97 )

  1. Hi
    Mera mobile ghar Se chori hua or chor NE SIM nikal liya wo Wi-Fi use karta hai kya hum us ko pakad sakte hai

    Reply
  2. Sir mere dost ka phone 12 September ko chori hua h phone ka modal honor 6x h
    To me use kaise khoj skta hu mere pass mail id emi number bhe h plz sir you help me

    Reply
  3. bhai mera phone gar mese chori hogya jobhi he mobile use kar rha he pr usne location off rakhi he police complain bhi ki pr police wale bhi sahi jawab nhi de rhe heee muje 2 logo pr doubt he sir muje google se ya imei se ek bar sirf area ka name bhi miljaye to ……….
    please bhai help me
    mobile samsung galaxy j5prime tha
    help me bro

    Reply
    • Phone location tabhi trash hogi jab use on kiya jayega.

      Reply
  4. sir je mobile ko reset maar de to hum uski locatoin pata kar payege kya

    Reply
    • Nahi, aapke mobile me internet chalu hona chahiye aur reset karne par internet off ho jata hai.

      Reply
      • Sir kya mobile reset Kerne par memory card k data b delete ho jate hain???

        Reply
        • नहीं

          Reply
          • Sir sirf imei no. She keise pata kare

Leave a Comment