Computer Keyboard QWERTY Format Me Kyu Hota Hai ABCDEF me kyu Nahi

Kya aapne kabhi socha hai ki computer keyboard ke letters ABCD format layout me na ho kar QWERTY format me hi kyu hota hai? Agar ha to kya aapko iske bare me pata hai shayad nahi hoga. Chaliye aaj hum aapko iske bare me details se bta rahe hai.

Computer Keboard layout format

Bahut se log sochte hai ki aakhir keyboard ke letters QWERTY format me hi kyu hote hai shayad aap bhi iske bare me janna chahate honge. Ye ek aysa sawaal hai jiske bare me bahut kam log jante hai. Aaj aapko is post me iska sahi jawab mil jayega.

Aapko computer par typing karte huye bahut time ho gaya hoga or aap fast typing karne me expert bhi ho sakte ho. Kabhi aapne socha hai ki keyboard me jo button hote hai ye Alphabetical Order yani A, B, C,D… order me kyu nahi hote hai. Aap kisi bhi desktop, laptop ko dekh lo uska keyboard QWERTY format layout ka hi hota hai or ab to ye layout smartphone and android mobile me bhi aa gaya hai.

Computer Ka Keyboard QWERTY Format Me Kyu Hota Hai ABCDEF me kyu Nahi?

1. Keyboard ka ABCD format

Pahle keyboard format ABCDEF format me hi tha is style ko Christopher latham sholes ne banaya tha. Lekin is format me typing karne me wo speed or service nahi mil pati thi jo ki present ke keyboard format system me milti hai. Bahut se logo ne typing speed badhane ke liye kuch experiment kiye, Lekin jo success modle samne aaya wo QWERTY format tha. Isse likhne me bhi aasani hoti thi or typing speed bhi boost hoti thi.

2. Keyboard ka evolution

Sabse pahla QWERTY format wala keyboard typewriter bhi Christopher latham sholes ne banaya tha. Lekin is keyboard typewriter me likhna thoda mushkil hota tha iska kararn ye tha ki is keyboard ke key button ke bich ka space utna nahi hota tha jitna ki aaj ke time me hota hai. Us time me typewriter ki key moti or uthi huyi hoti thi jiski wajah se jaldi jaldi type karna bahut mushkil tha ya yu kaho ki namumkin tha.

Iske bad Christopher latham sholes jaise designers ne isme changes karne ki sochi or time ke sath sath isme badlav hote rahe. Aaj QWERTY format ke keyboard bhi aapko bahut si style me mil jayege or aap apni man pasand style ka keyboard market me se kharid sakte ho.

Key Button Ki Duri Se Hai Behtar

Computer ke keyboard me bahut sare badlav kiye gaye but sabse behtar keyboard mana gaya jisme key achi duri par ho or typing me button mistake ki problem na ho. Isse aasani se typing kar sakte the wo bhi full speed me. Now time, computer keyboard me ab bhi bahut se changes kiye gaye hai jo aapko aane wale time me Macbook jaise laptops me dekhne ko milenge.

Aaj hum is keyboard ki help se bahut fast typing kar sakte hai. Keyboard ko itna better banane wale Explorers ko iske liye thanks.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 22 )

  1. Hey bro mere xp ka PC hai Photoshop konsa chalega plz bataao or kaha se download hoga yeh plz reply me

    Reply
    • Aap Photoshop ka jobhi version chahe install Kar sakte Hain bas aap ko agar cc version install karna Hai to aap me computer me kamse Kam 4 GB ram hona chahiye

      Reply
  2. sir Maine pahle bhi appko post bheji thi lekin WO muje mil nhi rahi h ….
    online kaise paisa kamaya jata h ye blogger kya hota h ur kaise banaya jata h …

    Reply
    • Kuldeep aap humari blogging se related post padho. Apna question search box me search kiya karo.

      Reply
      • Keyboard me bahut se key double hai pr kyu?

        Reply

Leave a Comment