Jio 4G Sim Me Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai

Reliance Jio 4G sim ne india me internet users ko basdal kar rakh diya hai. Only 1 month me 1.6 users bahut jyda hote hai or abhi bhi iski market me pahle jaisi demand bani huyi hai. Log jio sim ko bahut pasand kar rahe hai but probelm tab hoti hai jab is sim se movies, songs or photos download karne ya internet chalane par kei bar jyada speed nahi mil pati or bahut slow ho jati hai. kei bar to 2G se bhi kam speed mil pati hai. So aaj main aapko bta raha hu ki kis waqt jio sim se maximum internet speed milti hai.

Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai

Aese me user ke dimag me ek sawal aata hai ki reliance jio 4G sim se 2G, 3G se bhi kam speed kyu milti hai or agar 4G speed milti hai to kis time or kitni jyada internet speed milti hai. Isme se important swal ye hai ki jio sim se kis time or maximum kitni speed milti hai.

Jio sim free me internet, calls, sms ki service de rahi hai but kei bar good internet speed na milne ki wajah se users pareshan ho jate hai. Isse pahle ki hum us time ke bare me jane jab jio se sabse jyada speed milti hai. Usse pahle hume ye pata hona chahiye ki 4G me kitni internet speed hoti hai.

4G Me Kitni Speed Hoti Hai ?

Aapko is bat ka pahle se pata hoa agar anhi hai to main aapko bta du ki 4G network me maximum high speed 50Mbps hoti hai. Yani aa pek second me 50 MB data download kar sakte hai.

But india me cellular companies 20 to 25 Mbps ki speed hi de rahi hai. Jio sim par bhi starting me 25Mbps ki speed mil rahi thi but dheere dheere speed kam ho gayi hai or ab Mbps ki jagah speed KBps me aa gayi hai.

Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai in Hindi

Maine apne 4G supportm mobile phone me alag alag time par movies, songs download karke dekhe or mujhe alag aalg time par internet connection ki speed change hoti dikhi hai. Isiliye main aapko kab kis time par jio se kitni speed mil rahi hai ke bare me bta raha hu.

1. 9 am to 12 pm:

Maine sabse pahle jio sim ki speed check karne ke liye 10 am par movie download kar ke ki or is waqt maximum 30KBps thi. Speed ghat-ti badhti rahi lekin wo 2G ke barabar hi rahi. Is speed se movie 1 hours se jyada time me download ho sakti hai.

2. 1 pm to 4 pm;

Dophar 1 pm to 4 pm ye internet chalane ka toda busy time hota hai. Is waqt reliance sim ki speed bahut slow ho gayi or maximum 20KBps bhi nahi rahi. Kei bar to internet chal hi nahi raha tha. Is speed se to film mushkil hi download ho sakti ha.

3. 5 pm to 8 pm:

Ab maine 5pm to 8pm ka time slot karke dekha. Abki bar pahle dono bar se jyada behtar speed mili. Is time film download hone ki maximum speed 150KBps to 200KBps thi or kei bar kam jyada hoti rahi. Halanki is time me internet par other work karne par speed kam hoti hai.

4. 9 pm to 12 am:

Is dauran internet speed or jyada increase ho gayi or movies fast download hone lagi. Pahle speed kam thi par dheere dheere 10 pm tak speed 300 to 400KBps tak pahuch gayi. Iska reason yeh ho sakta hai ki is time par bahut kam users internet par online rahte honge ya fir log kam downloading karte honge.

5. 1 am to 4 am:

Jio ke plan ke bare me kaha jata hai ki rat 12 am to 5 am tak internet speed bahut jyada hoti hai or 1000KBps se bhi jyada speed milti hai par aesa nahi tha. Wese 1am to 4pm ke bich speed 500KBps tak pahuch gayi or maximum speed 400KBps tak rahi.

6. 5 am to 8 am:

Ye morning ka time hota hai or abki bar maza aa gaya or or sabse jyada speed mili. Is time par movie bahut fast download ho rahi thi or kei bar to speed 800KBps tak pahuch gayi. Mujhe jio sim ka sabse jyada speed dene wala time lagta hai. Is speed se 1GB ki movie 20 to 30 minutes me download ho jati hai.

Finally, morning ke time me jio 4G sim se sabse jyada or 700 to 800 KBps tak ki speed sasth maximum 1024KBps yani 1Mbps mil jati hai. Iski main wajah ye hoti hai ki is time aadmi office ke liye taiyar hote hai or bachhe school ke liye, home me mahilaye kichan ke kaam me lagi rahti hai. So is time apr bahut hi kam users internet use karte hai.

Note: – Jio sim par kis time slot me kitni speed mil rahi hai ye smartphone ke hardware par bhi depend karta hai.

Aapke smart phone me powerful and jyada ram hogi to dusre handset ki tulna me behtar speed milegi. I mean phone ko processor jitna better hoga us phone me internet bhi utna hi fast chalega.

Iske alawa aapke area me jio ke network kaise aa rahe hai ye bhi important hai or loose network aane par internet speed par fark padta hai or speed high – slow ho sakti hai.

I hope aapko ab jio 4G sim par kis time or sabse jyada kitni speed milti hai ke bare me pata chal gaya hoga. Show is post ko apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 27 )

  1. Mujhe morning time me 30000 kbit/s milta hai
    o bhi jio network se

    Reply
  2. मैंने अपने smartphone yu5010 में morning time में अभी तक का सबसे max स्पीड 10Mbps तक अनुभव किया है।
    वैसे generally रात 1 बजे से सुबह 6 बजे तक जो average स्पीड मुझे मिला है वो लगभग 1Mbps है।

    Reply
  3. sir aap se me ne req ke thi ik post ke about (sponsored tweet aap ne kha jald hum is ke bare me post kare ge but aap ne post nahe dalle sir aap kab is ke bare me jankari share karo ge.)

    Reply
    • thoda wait karo jaldi hi karunga.

      Reply
  4. sir, aapne ye jankari bahut hi badhiya se di hai, jio ka speed morning ke samay me 5 se 8 ke beech me badhiya speed hota hai aur mai bhi usi time me jio sim se movie download karta gun.

    Reply

Leave a Comment