Computer Me Google Fonts Download Kar Install Kaise Kare

Google fonts web fonts ka awesome collection hai. Aap easily without any restrictions ke apne HTML web pages par google web fonts istemal kar sakte ho. Isse website ka look better or beautiful banta hai and font read karne me aasani hoti hai. Mostly web owner Arial and Verdana fonts use karte hai kyuki ye sabse jyada readable hai. Is post me main aapko computer me google fonts download or install karne ke bare me bta raha hu taki aap apne PC me windows 10, windows 8.1, windows 7 and other me google fonts use kar sako.

Isntall google fonts on your computer

Google font google.com par host hote hai. Aapko site pages par  google we fonts install include karne ke liye apni site me only few lines CSS coding or JavaScript add embed karne ki jarurat hoti hai. Sath hi google Open Font Licence offer karta hai. Aap licence issue se bachne ke liye fonts licence use kar sakte hai.

Jab hum new computer ya laptop lete hai ya fir PCme windows install karte hai to usme sabhi fonts install nahi hote ya fir aap writing ke liye multiple fonts use karna chahate ho to google fonts ka istemal kar sakte ho. I suggest you, aapke PC me all web fonts hone chahiye taki aap HTML web pages ka achhe se design kar sako.

Aapko google par 816 se bhi jyada font families mil jayengi aapko jo pasad aaye aap wo font-family istemal kar sakte ho. Most popular font family Roboto, Open Sans, Verdana, Slabo, Lato, Pt Sans and Raleway hai.

Computer Me Google Fonts Download and Install Kaise Kare

Website HTML documents me aap few CSS lines (or JavaScript) se google font install kar sakte ho. Iske liye main aapko dono ke example bta deta hu. Same isi tarah aap kuch steps follow kar computer me bhi google web fonts install kar sakte hai.

1. Download Google Fonts on Your Computer:

Step 1:

First me aap Google Fonts site par jaye or aapko jo font install karna hai wo choose kare. Aapko apna favorite fonts download karna hai.

  1. First directory option par click kare.
  2. Featured ke liye is option par click kare wanra ise chord de.
  3. Aap yaha par koi bhi fonts search kar sakte ho.
  4. Categories ke anusar fotns search kare.
  5. Popular, Trending, Date added and Alphabetical ke nausar fotn search kar sakte hai.
  6. Aapko jis language ke liye fonts install karna hai wo bhasha choose kare.
  7. Font ko select karne ke liye plus icon ± par click kare. Aapko jo bhi font chahiye wo select karna hai.
  8. Ab ek down pop up windows open hogi usme Minus () par click kare.

google fonts features

Step 2:

Ab yaha par aapko select kiye gaye font ka download link, CSS code and JavaScipt mil jayegi.

  1. Google font computer me install karna hai to top right me Download Icon par click kare.
  2. Aapko website blog me google font embed karna hai to Ye JavaScript apni site ke <head> section me ya <body> section me add kare.
  3. Agar aap CSS coding se font site pages me use karna chahate ho to ye CSS lines site ki CSS coding me add kare.

 

google fonts 1

Step 3:

Yaha par hum computer me font download and install karne ki bat kar rahe hai to aap first option download icon par click kare. Aapke download button par click karte hi kuch hi seconds me font ki zip file download ho jayegi.

Install Google Fonts on Your Computer:

Ab aapka favorite font download ho chuka hai or ab aapko ise apne computer me install karna hai. But aapne ZIP format fiel download ki hai so pahle use unzip karna hoga. Iske liye aap WinRAR and Winzip etc. software use kar sakte hai.

Step 1: 

Apne desktop ke downloads folder ko open kare or ye step follow kar file ko unzil kare.

  1. File par mouse se right click kare or drop down options me se Extract here option par click kare.
  2. Ab aapki file unzip ho jayegi or usme jitni bhi font style hogi sab TrueTpe Font file format me open ho jayegi.

Unzip file

Step 2:

Ab aapko jis type ka font computer me isntall karna hai us par click kare or Install option par click kare. Aap chahe to file par right click kar install bhi kar sakte hai.

Install font on computer

Step 3:

Ab aapke PC me google fonts install ho chuka hai ab aap apne computer me kisi bhi software lie photoshop, internet browsers, text format, Microsoft Office and other all software me usi font style me typing kar sakte ho.

But agar aapke PC me font install karne ke bad bhi work na kare to aapko Control Panel me ja kar font activate karna hoga. Iske liye ye step follow kare.

Go to Control Panel >> Appearance and personalization >> Fonts and aapko jis font ko active karna hai us par click kare or fir Show option par click kare.

Show hidden fonts

Yaha aapko wo sab fonts bhi mil jayenge jo pahle se aapke PC me hai ro hide kiye huye hai. Aap unko bhi isi tarha show kar activate akr sakte ho.

Isi process ko follow kar aap other fonts ko bhi computer me download kar install kar sakte ho. Is tarah aap easily apne computer me google fonts install kar sakte ho. Agar aapko is process me koi problem ho to aap comment section me apne sawal puch sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to apna 2 second ka time nikal kar ise social media profile par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 61 )

  1. Bahut Accha Or UseFull Post tha ye kai Logo ki Help krega…

    Reply
  2. Agar aitraj na ho to! Bhai aap ke aur aapke blog ke bare mai kuch janna chahta hoo.
    1- Sabse pahle aap ne blog kaha par banaya tha aur kitne din us blogger par rahe?
    2- Phir aap ne domain kaha se liya?
    3- Abhi aap ke SMI ka yearly domain expense kya hai?
    Shukriya..

    Reply
    • blogger 3 month.
      Domain mere pas already tha godaddy se.
      Domain ka charge 700 rupees hai.

      Reply
  3. Bhai blog mai hindi mai banana chahta hoo.
    1- WordPress free hai ya paid?
    2- Iske liye kin – kin cheejo ki mujhe jankari honi chahiye?
    3- Blog mai hindi mai lilhoo ya hinglish mai.

    Reply
    • 1. Paid.
      2. Read our blogging and wordpress related posts.
      3. hindi is best.

      Reply
  4. Jawab dene ke liye thanks. lekin kuchh aur janna chahta
    Bhai mai ek blog banana chahta hoo blogspot ,wordpress ya koi other site par banaoo plz suggest me.
    1- Apni pasand ka domain kaha se loo.
    2- ye kitni Rs. mai register ho jayega aur monthly ya yearly kya charge padega.
    plz bhai help me.

    Reply
    • WordPress is best.
      1. godaddy.
      2. rs.99 to 135 rupees me yearly charge 500 to 700 hoga.

      Reply
  5. जुमेदीन भाई आप जो Templates use कर रहे हो ये Paid है या Free आैर इसका name क्या है

    Reply
    • Ye genesis framework hai price $60 hai.

      Reply

Leave a Comment