$1123: SupportMeIndia Traffic and Income Report March 2016

Hi, Friends 2016 ka 4th month start ho chuka hai. Now, Time hai Mera income, traffic and blogging experience share karne ka. Mai jab bhi apne blog ki traffic and income report share karta hu to mai chahata hu ki mere reader ko isse online paise kamane me help mile or wo or jyada mehanat kar sake. Or wo bhi mujhse bhi jyada success ban sake.

Support Me India Income Report March 2016

Supportmeindia ki income report se sirf aapko hi fayda nahi hota hai. Balki is par post likhte time mujhe bhi next month or jyada better karne ki prenna milti hai. Or mai try karta hu ki next month mujhe kya changes karne hai or kis tarah apne business ko or better banaya jaye.

“Mai ek hindi blogger hu or hindi blogging se jyada earning karna to mushkil hai”. Mai is bat ko nahi manta or ye sach bhi nahi hai. Agar hum mehanat kare to hindi blog par bhi achi income ki jaa sakti hai. Mai is bat ko isliye bhi nahi manta ki mere sath aesa nahi hua hai. Balki is liye nahi manta ki agar hum dil se mehanat kare to hume har kaa me saflta milti hai.

 

78,000: Support Me India March 2016 Traffic & Income Report

March 2016 ki starting me mai rajasthan journey par tha or 10 march tak comments ke alawa meri blog par koi activity nahi thi. 11 march 2016 se maine supportmeindia par work start kiya or is month ke last tak mai only 43 articles hi publish kar paya hu. Jinme se 5+ Guest Post hai.

Support Me India Traffic Report March 2016

Maine march 2016 me 21 day hi work kiya hai. But jaisa mai already bta chuka hu ki blogging ek aysa way hai jisse aap 24 hours paise kamate rahte ho. Mere readers ko daily new update pasand hoti hai or mai kah sakta hu ki jyadatar audience supportmeindia ki new post ka hi wait karte hai. Jiski wajah se mujhe 1 to 10 march tak traffic and earning, blog rank and other se kafi nukshan hua hai. March 2016 me supportmeindia par total 350k+ pageviews huye hai. Yaha aap last 30 day ka screenshot dekh sakte ho.

Supportmeindia Traffic Report March 2016

Support Me India Income Report March 2016

Mujhe blogging ki starting se hi traffic or income dono me better result mila hai. Same last month february 2016 ki tarah is mahine me bhi mujhe acha result mila hai. Or mujhe afsos hai ki mai march ke first 10 dino me work kyu nahi kar paya. Is mahine me maine supportmeindia se total $1123 earn kiye hai. Jiske source is parkar hai.

Total Earning: $1123 (74,000 INR)+4,500 = 78,500 Indian Rupee

Payout Source:

Internet Connection,  Wordpress Hosting, Mobile Internet, Office Charge andOther Work Total Payout: 12,300 rupees

Now, Total Income: 78,500 – 12,300 = 66,200 INR

Ab Aapki bari hai aap apne blog se kitne paise kama rahe ho or kis kis tarike se kama rahe ho. Aap apni income report niche comment me share kar sakte hai. Or agar aapko earning karne se related koi problem ho rahi hai to aap uske bare me bhi yaha bat kar sakte ho. Mai chahata hu ki har ek blogger success bane or apne blog ko uchaiyo par le jaye.

Agar aap chaho to is post ko social media par apne friends and other hindi blogger ke sath bhi share kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 201 )

  1. Yeh sabhi statics naye blogger mein ek nayi energy paida karte hain. Sach mein aapki website bahut hi acchi hain, aur aap blogger ki tahe dil se madad kar rahe hain. Aap jaise blogger hi ham jaise bloggers ke liye ek role model hain. Thanks for sharing this wonderful earning report.

    Reply
  2. yadi me aapki site koi guest post karta hu to kya usi post ko apni site me kar sakta hu

    Reply
    • Nahi, bilkul nahi. Aysa kisi ke sath bhi nahi karna.

      Reply
  3. bhai meri ek bhot badi problem he .
    bhai mene abhi tak lagbhag 15 posts likh chuka hu . sitemap bhi add kar diye he 3 baar , 3 posts index bhi kar di he .
    par bhai jab bhi me apni posts google me search karta hu bs 3 posts hi search me arahi he , or usme bhi problem ye he ki jab un search par click karta hu to mera blog open hota he but PAGE NOT FIND likha hua ata he
    bhai plz plz kuch solution btao ye kyo ho raah he

    Reply
  4. sir Ek Important sawal hai Maine Ek Jane Ko Dekha Tha jiski Ek Shoap Thi usne 20 Aadmi rakhey huye they Aur Un 20 Aadmi Ko Acchi payment Bhi Deta Tha Aur unse Link Share karbata Tha link share Ke hi paisa Deta Tha Unhe Bo Aisa Kya Kaam Karta Hoga sir Ye Mujhe Bhi Janna hai
    sir ummid hai aap Jarur btayege

    Reply
    • Manish mai aapki bato se itna pata lagta hai ki koi 20 members ko link share karne ka kaa de kar apna promotion karwa raha hai. But uske link ke bare mew buna jane mai aapko kuch bhi nahi bta sakta.

      Reply
      • Jaise Aap soch rhe hai Aisa Kuch Nhi hai Main Ek shop kholna chahta Hu Main such kh rha Hu Maine use dekha hai Aise Kartey huye Aur Main Uske pass Jake Bhi information lunga Meri think positive hai

        Reply
        • yes positive hai. Uske pas ja kar bat karo.

          Reply
          • sir Aap Mujhe Ye Bta Saktey Hai Ki Koi Videsh Ka Aadmi humse Impression mangta hai Aur Hume 2 ads Deta hai Ye Kya matter is Tarike Se paisa Kaise kmatey hai

          • Maniah ye koi koun hai or aapko kya dw raha hai details me btao

  5. Hello Jumedeen Congratulation for your earning I’m Happy Best wishes for your success! Keep Bloging.

    Reply
    • Thanks sumeet sharma.

      Reply
  6. nice bro,
    kya aap mujhe batayenge ki jab aapne blogging start kiya tha to first month me daily kitne pageviews milte the,kyoki mujhe abhi daily 10-15 milte hai muskil se

    Reply
    • 500+

      Reply
      • Hello; Jume Deen Khan.. !!
        “Main apke is Blog/Site ko kuchh mahino se follow kr rha hu, janha apke dwara mere sabhi problem ka solutions mil jata h, iske liye bahut-bahut THANKS. Aap aise hi naye-naye article post karte rahiye jo sabhi New Blogger’s ke liye helpful hai….!! ”
        QUESTION : Apne bataya h; ki aap Hindi blogger hai, aur apki sabhi Blog/Site hindi language related platform hai (jaiha sabhi article complete Hindi mix English writing means “HinEng” me hai). jaisa ki APKE (https://www.supportmeindia.com/) aur VIVEK CHOUDHARY blog me sabhi articles “HinEng” mix writing me hai, kya enke is blog article language ke sath Google Adsense A/c approval hoga (apne approval kaise kiya, bataye)…..!!
        Please; Is “HinEng” mix language related Google Adsense Policy Page (for review) or Article bataye [How It’s Impossible for Adsense A/c approval ] ….!!

        Reply
        • First to aap apne anme se comment karo.
          Adsense hindi ot english dono language support karta hai. Ab aap chahe in dono bashao ko mix karke likh sakte ho. Or AdSense approved kara sakte ho.

          Reply
  7. jumedeen me blogger par tha tab achi traffic aati thi 700+ but 1.5 mounth pehleWordPress par transfer karne par 0 se 50+ tak hi aa rhi hai. inning bhi ruki hui hai…or haa post bhi google srearch me nhi aa rhi hai mene yesto pulgin ki bhi puri setting kar li SMW par post pad ke but kuch nhi ho rha h. but pta nhi mere alexa appove ho rhi hai 5 lakh par aa gyi 1 mounth me. pele 20 lakh thi.
    lekin meri sab se bhdi problam ek hi hai post sreach me nhi aa rhi hai .. or 1 ya 2 aa bhi rhi hai to un post title ke niche post direction nhi aa rha hai. plizzzzzzzzzz help me bro.

    Reply
    • Promod aap unhi topic par posty kar rahe ho jo pahle se bahut se blog par hai. Socho wo post searcvhj me kaise aayegi. Sabse alag topic par post karo. I promise bahut jald aapke blog par traffic increase hota hua milega.

      Reply
  8. Hello bro I have transfer my blog from blogger to WordPress and now i change my topic as like my domain.
    so can you tell me hows it now. please tell me

    Reply
    • Go to WordPress admin panel and click on settings> General option. Here you can set your blog’s title in Site Title.

      Reply
  9. Bhai aap har post mein heading tags kyu use nahi karte ? Maine online aapke blog ka seo check kiya tha tab pata chla

    Reply
    • Mai har post me meta tag use karta hu. Aapko kahi se galat information mili hai.

      Reply
  10. hello bro mai ye janna chahta hun ki blog me page ke ander page lga sakte hai kyA IR kaise

    Reply
    • Page ke andar page thoda details me btao oaa pkya lagana chahate ho.

      Reply

Leave a Comment