Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016

Welcome to hindi blog supportmeindia traffic and income report 2016. It’s income report day! Main pichle kei month se is blog ki traffic reports, traffic source and earning reports apne reader ke sath share karta aa raha hu. Last month may 2016 ki traffic & income reprot mai kuch personal work ki wajah se aapke sath share nahi kar paya tha. In this post, Mai aapke sath in dono month ki mere blog ki traffic report publish kar raha hu.

Traffic and income reports june 2016

Mai aapko btana chahunga ki pichle 2-3 month se mere blog ki traffic and income report me jyada difference nahi hua hai. Last some month se same report hai. Is wajah se mai traffic report share nahi kar raha tha.

Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016

Actually, mujhe sabkuch akele karna hota hai or ab meri life pahle jaisi nahi rah gayi hai. Mere pas time bahut kam hai or kaam bahut jyada or upar se sabkuch akele manage karna hota hai. Isi karan mai pichle kuch time se blogging ko jyada time nahi de pa raha hu. But mai koshish kar raha hu ki sabkuch ache se manage karu or mujhe wishwas hai mai aysa kar sakunga.

Mai humesha chahata hu ke liye apne reader ko latest information share kar saku but pichle kuch time se mujhe lag raha hai ki mai aysa nahi kar pa raha hu shayad ye bat aap mujhse behtar jante hai. Isiliye iske bare me jyada kuch btane ki jarurat nahi hai. Ha itna jarur kahunga ki mujhe abhi kuch personal problem hai jinki wajah se mai aap sabhi ke liye badiya nahi kar pa raha hu. But i hope aane wale dino me mai fir se aapke liye better work karunga or aapko ache se guide kar sakunga or useful and helpful information provide kar sakunga.

Blog Traffic Report june 2016

Blog kitna bhi naya ya purana ho uska traffic uski managing par depend karta hai. Mujhe blogging me lagbhag 1 year ho gaya hai or maine is 1 sal me jana hai ki jo blogger apne blog par jitna active rahta hai reader use utna hi pasand karte hai. Pichle kuch time se google search engine ke hindi ko hinglish se jyada support karne se organic traffic down hua hai but uski jagah par direct visitors increase ho rahe hai. Isi wajah se mai hinglish me likhna nahi chod raha hu kyuki mere kuch readers ayse bhi hai jo hinglish to padh sakte hai but hindi nahi.

June 2016 me supportmeindia par total 4,45,004 pageviews huye hai or total 1,58,369 user active the. Bounce rate 67% or new session 67% hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.

smi traffic report june 2016

Mujhe humesha se increasing pasad hai but yaha tak ka safar aasan tha ab yaha se aage badhna bahut mushkil hai. Iske liye mujhe dusro se kuch alag karna hoga jo aane wale time me sabhi internet user pasand kare. Yakinn mai aysa kar sakunga iske bare me abhi kuch nahi kah sakta.

Blog Traffic Source june 2016

Maine jab se blogging start ki thi kabhi social media ya kisi or platform par blog promotion ke liye online rahna pasand nahi kiya. Mera manna hai ki agar aap quality article likhoge to aapke reader hi aapke article ka promotion kar dete hai. So mai humesha other blogger se kahta hu ki jitna time aap other work like commenting, social sites par active rahte hai utne time me aap 2-5 badiya post content write kar sakte ho.

Traffic Source

Yaha aap mere blog ka traffic source ka screenshot dekh sakte ho. Mostly koi bhi blogger apne blog ka traffic source publicly share nahi karta but mere kuch reader ke request ke bad mai ye option traffic reports me share kar raha hu.

Blog Income Report & Source June 2016

Mai ek hindi blogger hu or mera main income source google AdSense hai. Meri is blog se 70% earning AdSense se hi hoti hai. Mai shuru se hi hindi blog par AdSense earning kam hone wali bat ko avoid karta hu. Iske bare me maine ek post bhi likhi hai Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye isme maine hindi blog par bhi google AdSense se achi earning karne ke bare me btaya hai. Mera manna hai ki agar aap blog par quality content likhne me expert ho to aap AdSense se achi earning kar sakte ho fir chahe wo blog hindi me ho ya english me isse koi fark nahi padta. Ha itna jarur kahunga ki india ki tulna me USA, UK jaise other country me AdSense ki CPC jyada hoti hai.

Mai june 2016 ki earning report share karna nahi chahata but aapko itna jarur bta sakta hu ki maine is month pichle month se 30% jyada earning ki hai. New reader ko btana chaunga ki mai is blog par google AdSense, affilaite marketing and some other work se money earn karta hu. Earning source is tarah hai.

  • Most earning source: Google Adsense
  • Adsense high CPC: $24 at 3 june when i earn $112 in one day.
  • Adsense low CPC: $0.09 june 17 when i earn only $13 one day.
  • Average AdSense CPC: $0.17

June 3, 2016 ko meri blogging ki ab tak ki ek din ki sabse jyada earning hai jo ki USA se huyi hai. Mai USA ke mere un reader ko dil se thanks kahna chahunga jo mere blog par visit karte hai.

Note: Koi bhi reader comment me total earning ke bare me sawal nahi puchega. Future me mai khud iske bare me article likh kar information share karunga.

Finally, mai aapko yahi suggest karuna chahunga ki khamoshi se aage badhte raho. Apne talent se kaam karne wale log ek din mahan bante hai. Mai aap sabhi ko success blogger ke roop me dekhna chahata hu. I hope aap mujhe nirash nahi karoge. Agar aap mere real reader ho to apne sath baki blogger ko bhi sath le kar chalna shuru kare.

Now, agar aap bhi apne blog se earning karte ho to aap comment me apni earning report share kar sakte ho or agar aapko blogging me koi problem ho rahi hai to bhi aap yaha uske bare me bta sakte ho. Agar mere pas koi solution hoga to aapki help jarur karunga.

I hope you may like this earning report, If yes then share this post on social media sites with your friends and other blogger.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 111 )

  1. Nice sir aapki strategy muje bohat pasand aayi. Aur aapke blog se muje bohat inspiration milti hai.

    Reply
  2. Jumme din khan me 10 saal se blogging kar raha hu mujhe to kabhi bi 24 dollar ka click nahi mila aisa kyun? Please bataye.
    Aapka to blog india me hai aur post bhi hindi language me likhte ho to ye kaise possible hai khan ji?

    Reply
    • Akash aap apni site par USA, UK se traffic badhao isse bhi jyada milega.
      Mere blog par 15% to 20% traffic USA se hai or main hindi me nahi hinglish me likhta hu

      Reply
  3. Apke jesi vapsite kese banaye

    Reply
    • Meri site WordPress par hai aap WordPress par blgo install kar aesi site bana sakte ho.

      Reply

Leave a Comment