$1155: SMI Blog Monthly Traffic and Earning Report April 2016

Aaj 1 may 2016 hai. Yani aaj supportmeindia ka har ek visitor blog ki monthly april ki traffic and income report ka wait kar raha hoga. Maine apni pichli post me aapko kuch awishwashniye bate btayi thi. Aaj fir mai aapko chokne wala hu. Shayad aapko iska beshabri se intjar hoga. Wese bhi supportmeindia blog ki earning report ke bare me SMI ka har ek reader janna chahata hai.

Supportmeindia monthly income report april 2016

Agar aap is blog ki pahli bar meri earning report dekh rahe ho to aap ye bat jarur sochoge ki mai apni traffic and income report kyu share karta hu. Actually, mai starting se hi supportmeindia ke monthly traffic and earning source ke bare me visitors ko btata aaya hu. Iske main 2 reason hai.

  1. SMI blog ki earning report ka is blog ke reader ko besabri se intjar rahta hai or isse un sabhi ko motivation idea milta hai. Mujhe is bahane apne blog ki last month ki activity ke bare me information mil jati hai or mujhe next mahine me kya karna hai ke ideas bhi mil jate hai. Kyuki is report se mujhe apne last month ke work or usme huyi galtiyo ki ke bare me bhi pata chalta hai.
  2. Sabse bada reason other blogger ke liye SMI blog ki income report most important  hoti hai or unhe blogging karne ki new power milti hai. Sirf blogger hi nahi jo log online business ko apna career banana chahate hai un sab ke liye ye jankari inspiring ka kaam karti hai. Isse unke man me bhi good earning karne ki himmat paida hoti hai.

Main un sabhi logo ki blogging se achhi earning karne me help karna chahata hu jo blogging se earning karne me failed ho rahe hai. Mostly hindi blogger jinke hard work ke bavjud unki mehanat ka fal nahi mil pata hai. Aayiye ab jante hai ki maine april 2016 me blogging se kitni earning ki hai.

$1155: SMI Blog Monthly Traffic and Earning Report April 2016

Blogging sirf money earn karne ka way nahi hai. Blogging ek aesa way hai jo kuch aapse aata hai usme logo ki help karna logo ko wo sikhana jo wo sikhna chahate hai wo nahi jo wo pahle se jante hai.

Or jo blogger in lines ko follow karke blogging karega. I promise wo 101% success hoga. Agar aap blogging e pahle earning ke bare me soch rahe ho to samajho aap sabse badi galti kar rahe ho. So plz blogging me successs hona hai to paiso ko bhool kar apni site ko promote karne par dhyand de.

Supoortmeindia Traffic Report April 2016:

April 2016 me supportmeindia blog par 380k se jyada pageviews huye hai. Iske sath 10k sessions and total users 122,200+ hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.

Supportmeindia april traffic report

I love my blog readers kyuki mere bina work ke bhi supportmeindia ki traffic me jyada effect nahi pada or jo effect pada hai. I will try, Mai use fir se normal karne ki koshish karunga or next month aapko isse behtar rsult dekhne ko milega.

SMI Blog Monthly Earning Report April 2016:

Pichle month ko dekhe to april first me AdSense CPC low ho gayi thi jiski wajah se supportmeindia ki earning par bad effect pada hai. But fir bhi pichle mahine ki tarah achhi income huyi hai.

  • Google Adsense Earning: $882.05
  • Affiliate Markirting: $178.16
  • Semrush: $42.84
  • Other work: $52

Total Income: $1155 (76,000 INR)

EXPENSES:

Internet connection, web hosting, mobile internet pack and some other work charge: 15,000 INR.

Now  Total Income: 66,000 Indian Rupees

Finally, Ab aapki bari hai. Aapne april 2016 me kitni earning ki hai or aapke blog ne april month me kitna traffic receive kiya hai. Aapki tarah mai bhi aapke b;pg le bare me janna chahata hu. Kyuki mai akela nahi aa pabhi ko apne sath le kar chalna chahata hu. So mere kisi bhi friends ko problem nahi honi chahiye. Agar aapko koi issue hai to aap mujhse comments me puch sakte hai.

Is month ki report same march 2016 ki jaisi rahi. But next month mai chahata hu ki aap logo ko kuch behtar kar ke dikhau. Jo sirf aapki help se hi possible ho sakta hai.

Agar aapko really me mer iearning report motivate karti hai to ise other blogger ke sath share karke aap meri help kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 136 )

  1. Which Affiliate Program do you use?

    Reply
    • Main mostly hosting affiliate program use karta hu like hostgator india, bluehost india, Hostgator.com, bluehost.com, godaddy.com etc.

      Reply
  2. Loving this,
    Your income figure showing good.
    Thanks for sharing this

    Reply
  3. Sir aap blog me affiliate ka use keise karte hai. Mujhe samajh nahi aa raha. Tell me

    Reply
    • direct link add kar ke.

      Reply

Leave a Comment