Website Ki Page Speed Improve Kaise Kare – 10 Free Online Tools

Website ki better search ranking (PageRank) ke liye website ki page speed 80 to 95 ke aaspas honi chahiye. Google ne behtar search result ke liye Algorithm me site ki page speed ko bhi shamil kiya hai. Iske alawa visitors ko bhi fast loading website pasand aati hai. Koi bhi reader der se khulene wali site par dubara visit karna pasand nahi karta hai. Isliye aapko apni site ki speed fast karne ke liye site ko optimize karna shuru kar dena chahiye. Jisse aapko jyada visitors bhi milenge or search engine se bhi behtar traffic milega.

How To Boost Your Website Page Speed 10 Online Tools

Website or blog par traffic nahi hone ka sabse bada karan hota hai, Website ka fast loading na hona. Visitor bhi us site ko sabse jyada pasand karte hai jo fast loading ho. Kyuki wo chahate hai ki sab kuch fatafat ho jaye. Der se khulne wali site par reader chaha kar bhi nahi aa pate hai. Kyuki 60% visitors ke pas 2G internet connection hota hai. Or 2G connection me fast loading site bhi der se open hoti hai fir slow site to bahut der me open hogi. Isse visitors ko majburan aapki site chod kar dusri site par jana padta hai. Or aap bhi to fast open hone wali sites ko jyada pasand karte ho.

Internet par ayse bahut se online tools hai. Jo site ki speed badhane me humari madad karte hai. Ye online tool website ki der se open hone ki wajah ke bare me hume btati hai ki kis wajah se aapki site slowly khul rahi hai. CSS, HTML, Javascript jaisi kamiyo ke bare me in tools par puri details mil jati hai. Hum in kamiyo ko theek kar humari website ki speed fast kar sakte hai.

In online tools ki help se hum apni site ko optimaize kar speed up kar sakte hai. Jisse humare visitors site par jyada se jyada post padh sake or bina probelm ke kam time me enjoy kar sake. Ye sabhi online website aapko site ki alag alag performance show karte hai. Aapko apne hisab se site ko optimize karna hai.

Website or Blog Ki Page Speed Badhane Ki 10 Best Online Tools

Har blogger or website owner chahate hai ki unki site par adhik se adhik visitor aaye or high traffic ho. Mai un sabhi ko recommend karunga ki aap sabse pahle apni site ko fast loading banaye. Iske liye aapko apni site opimize karni hai jisme ye online tools aapki help karegi.

1. GTmetrix

GTmetrix

GTmetrix sabhi online tools me se meri sabse favorite tool hai. Maine apni site ko isi tools ki help se speed up kiya hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye tool page speed ki 2no service ek google Pagespeed or dusri PageSpeed insights and Yahoo! Yslow  ke bare me btati hai. Iske satrh hi is par aapko apni site ki speed badhane ki jankari bhi milegi. Jo itni simple or aasan hoti hai ki koi bhi ise follow kar sakta hai. Server reason ki wajah se site ki speed speed kam jyada show show ho sakti hai. But gtmetrix ek dam sahi result show karti hai. Or aap is par apni site ki dusri site se tulna bhi kar sakte hai. Iske liye aapko right side me compare par click kar dusri site ka link add karna hai.

2. PageSpeed Insights – Google Developers

PageSpeed Insights - Google Developers

PageSpeed Insights – Google Developers tools no.1 online speed checker tool hai. Kyuki google duniya ka no.1 search engine hai isliye sabhi blogger or website owner sabse jyada isi tool ko use karte hai. Ye tool bhi aapki gtmetrix ki tarah website ki speed badhane me help karti hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye aapko site ki speed mobile or desktop dono ki alag alag btati hai. Google page speed test tool ko aap apne browser me bhi install kar sakte hai.

3. Pingdom Tools

Pingdom Tools

Pingdom Tools website ki speed check karne ki world popular tool hai. Is par aap ye pata kar sakte hai ki aapki site kitni speed se khulti hai. Pingdom aapko page size, load time, requests or pref. grade ki jankari deti hai. Sath hi is tool par aap ye bhi pata kar sakte hai ki aapki site ki speed dhimi kyu hai or kis image, photos, script and other page element ke karan aapki site slow load ho rahi hai.

4. Web Page Analyzer

Web Page Analyzer

Web Page Analyzer ek simple straightforward tools hai. Jo aapko website download time btati hai. Or sie ki gunvata sudharne ki advice deti hai.

5. WebPagetest

WebPagetest

Website performance and optimization test tool par aap location or browser ke anusar website ki speed check kar sakte ho. Jaise aapko chrome browser me apni site ki speed test karni hai to chrome select kare. Is tool par aap android mobile, IOS or vodafone 2G & 3G ki speed check kar sakte ho. Or chrome ke alawa firefox and other bahut se browser par aapki site kitne time me open hoti hai, Check kar sakte ho.

6. Load Impact

Load Impact

7. Dare Boost

Dare Boost

8. OctaGate Site Timer

OctaGate Site Timer

9. Site Speed Tools

Site Speed Tools

10. Which Loads  Faster

Which Loads Faster

Which Loads  Faster tools par aap do alag website ki speed check kar sakte ho or pata kar sakte ho kons isite kis se kitne persent fast loading hai.

Website ki page speed high traffic pane ke liye bahut mayne rakhti hai. Kyuki visitors or search engine dono fast loading blog ko jyada like karte hai. So agar aapki site ki speed 80 se kam hai to aapko ye ignore nahi karna chahaiye. Agar aapko site ko optimize karna nahi aata hai to aap kisi website developer se bat kar sakte ho. Ya humse admin@supportmeindia par contact kar sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise socail networking sites par share jarur kare sath hi post ke bare me commnet kare or agar aapko website speed ke bare me mujhse koi sawal puchna hai to niche commnet me apna sawal details me post kare. Aapki help jarur ki jayegi.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 126 )

  1. Thanks bhai mere website ki speed sach Mai bad gayi hai thanks

    Reply
  2. Hii sir
    Me apni site ko woorank tool me check kar raha hu kuch error aarahe hai jaise
    1. website is using inline styles. > sir meri samajh me nahi aaraha hai ki me inline ka use kaha kar raha hu.
    2. your website has too many JavaScript files (more than 7) > sir in files ko kaise kam kare.
    3. Following sitemaps do not have a valid structure. > sir mene sitemap yoast se create kar s.c me add kiya hai sath hi robot.txt file me bhi add kiya hai.
    4. Following sitemaps are not accessible > ek error ye bhi aaraha hai
    Plz sir inhe solve karne ka solution bataye.

    Reply
    • 1. Iska matlab ye hai ki aap site html code me hi css add karo, ye jarur nahi hai.
      2. aapki site par bahut jyada javasript hai.
      3. yea yoast sitemap url par seo error aata hai ignore it.
      4. Iska matlab aapki site ka sitemap work nahi kar raha hai.

      Reply
  3. sir pindom me test karne par Serve static content from a cookieless domain. ka issue aata hai usko kaise solve kare? aapki site p ni aata.
    pls thoda detail se batayiye ga.

    Reply
    • CDN use karo ye problem fix ho jayegi.

      Reply
  4. sir Apka Post Bahut Achha HAI lEKIN aap KOI Speed Up POst Kaise Kare Sir Iske Baare ME bHee EK artical Likhiye.

    Reply
  5. Nice information sir thanks for sharing Such a good information with us

    Reply
  6. WordPress blog ke liye best cache plugin kaun si hai ?

    Reply
    • W3 total cache aur WP Super cache

      Reply
  7. Sir mere website ka page load time 7 sec se zayada hai kya krna chhaiye

    Reply

Leave a Comment