Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare

Hum sab jante hai ki google search engine se high traffic pane me google webmaster tools (
GWT) humari kitni help karti hai. Google search console me itne features hai ki sabhi blogger or website owner ko inke bare me pata nahi hota hai. Is post me mai aapko google webmaster tool ke ayse hi ek feature Geographic International Targeting Country ke bare me bta raha hu. Jisse aap apni site ke liye right target choose kar sakte hai.

Google Search Console Me Targeting Country Kaise Set Kare

Geographic targeting google search console ka best feature hai. Jo hume apni site ke liye Particular Loaction or Country select karne ka option deta hai. Ye feature aapke tabhi kaam ka hai jab aap ki site ka adomain generic top level domain ho, Jaise .com, .net or .org etc. Baki country level domain se aap other country ko target nahi kar sakte. Examply agar aapke pas .in domain hai to aap india ke alawa kisi or country ko target nahi kar sakte.

Jab hum apni site ke liye kisi international country ko target karte hai to google search engine us country me humari site ko jyada show karta hai. Simple shabdo me kahu to us desh me aapki site ki search ranking badh jati hai.

Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare - Geographic Target Set up Guide

Internation targeting setting karne se pahle aapko btana chahunga ki other country ko target karne se dusre country me aapki site ki search ranking low ho jati hai. So soch samajh kar hi apne blog ke liye targeting country select kare. In my case, Mai apne hindi blog ke liye India or English blog ke liye USA targeting use karta hu.

Sabse pahle aap Google Webmaster Tools par jaye or apni gmail ID se log in kare.

  1. Search Traffic select kare.
  2. International Targeting par click kare.
  3. Country choose kare.
  4. Target usersin ke samne tick kare.
  5. Ab aapko jo target country set karni hai. Wo select kare.

International Targeting

Target country select karne ke bad "Your changes were successfully saved." Message show honga. Uske kuch time bad google search console me target country confirm karne ka message aayega. Us message me diye link ko open kar ke check kar le ki aapne jo country select ki hai wo sahi hai ya nahi.

Targeting country set kar ke aap apni site ki search ranking boost kar sakte hai. Yedi aapki site par generic top-level domain hai to aapko QWT ka targeting country feature jarur use karna chahiye. But agar aapke pas country-coded top-level domain (such as .in or .uk) hai to aap google search console me aapki site ka target automatic domain country set ho jata hai. Use aap manualy international geographic target country set nahi kar sakte hai.

Agar aapke liye is post ki jankari helpful hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

42 Comments

Comments ( 42 )

  1. nityanand

    Bhai..You are Great.

    Reply
  2. deepak sahoo

    india set kardenge to out of country ke users to aa ni sakte blog pe

    Reply
    • Jumedeen Khan

      yes out of country se bhi user aayenge.

      Reply
  3. Dipak vasava

    Blog ke liye Domain Lena jaruri hai?
    Agr hum Domain na le to Kya koi nuksan ho Sakta hai?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jaruri to nahi hai or na lene se koi nuksan bhi nahi hai but domain lena behtar hai isse aapki site ki alag pahchan or value banti hai.

      Reply
  4. Saransh srivastava

    Aapka blog dekh ke mujhe bahut khusi hui ki koi aise bhi batane wala hai jise hum aasani se samajh sake, kya aap meri choti si help kr sakte hai, darasal mai ek technology blog chala raha hu jo smartphone, gadget se sambandhit hai aur maine international targeting me india select kar rakha hai, lekin mai janta hu ki gadget , smartphone and technology se related search pure world se aate hai to kya mai ise change kar sakta hu pure world ke liye? Aur yadi ha to kya select karu geo targeting me? Batana chahuga ki mai .com domain use kr raha hu.. Kripya madad kare, dhnyawad

    Reply
    • Jumedeen khan

      apka blog enlish me hai to aapko USA ya UK select karna chhahiye ya aapko jis country se jyada traffic chahiye wo choose karo.

      Reply
  5. Asif

    Agar website internationally target karni ho tou google Webmaster mei unlist karna kaisa hay. I need you help

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Ha kar sakte ho but ye english site ke liye better hai. Hindi blog hai to target country india hi rakho.

      Reply
  6. Nilesh verma

    mera blog hinglish hai aap ki blog ki traha to,,kya muje target county india choose karna padega..??ya for globle use karun...mujhe confution ho raha hai...ap ne apne supportmeindia par target country kaun si ki hai details me bataye..??

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Maine india select kiya hai. Aapka blog hindi me hi hai aap bhi india select kar sakte ho.

      Reply
  7. Saeed Saiyad

    sir, mujhe aap ki help chahiye
    mere google webmaster tools me aap jesa set kar ne ka bata rahe he wesa koi bhi option hi nahi or sab kuch alag he pehle mene ise ek bar khola ta tab pata nahi tha ke iska us kya he.

    plz help me .
    me ye sab kese set karu.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Seed post me maine sabkuch clear btaya hai or abhi goole webmaster tool ke feature me koi changes nahi hua hai same option hai. Aap web version use kar rahe ho to ache se try karo option mil jayega.

      Reply
  8. Sagar Patel

    Namaskar bhai
    Bahot achi post hai specialy writing is very good.
    Mai meri site me hindi aur English dono post alag alag topic pe dalna chahta hu to muje country selection default rakhana chahiye ya india set karna chahiye.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jis country se aap traffic pana chahate ho wo country select karo. Mere hisab se india

      Reply
  9. aman gupta

    YouTube pe sirf video load Karne se paisa kama sakte hai kyonki Aapne monetize ke bare me bataya hai magar YouTube account se AdSense ko kaise jode nahi bataya hai please Replay me

    Reply
  10. Prince

    Bhai kese karna hai, add a property me click karke...???
    Aur bhai kya sitemap bhi fir se dena padega...???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Price kah chuka hu sabkuch fir se karna padega. Ha add proparty par hi click karke karna hai. Means sabkuch fir se karo.

      Reply

Leave a Comment

SEO

Blog Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki 5 Jabardast Tips

Google me site index karne ki best tips
Google me website ko index karane ke liye sirf google webmaster tool me site ko submit karna kafi nahi hota balki google search engine se better results pane ke liye aapko kuch or bhi most important tips follow karni hoti hai. Jisse blog content search engine me fast index hota…
Continue Reading
Blogging

Website Blog Ka Loading Time Check Karne Ki 5 Free Tools

Website blog laoding time search engine ranking or user-experience ke liye most important hota hai. Agar aapki website fast loading hoti hai to search engine aapki site content ko jaldi index karta hai or user aapki site par jyada visit karte hai. Aaj is post me mai aapko website ki…
Continue Reading
SEO

Google Disavow Tool Se Bad Backlinks Ko Remove Kaise Kare

Remove Bad Backlinks with Google Disavow Tool
Jaha high quality backlinks se website search ranking increase hoti hai wohi bad backlinks se site ki search rank down ho jati hai. Agar aap in bad links ko Google Disavow Tool se remove kar do to inka site rank par google search rank me koi effect nahi hoga. Yaha…
Continue Reading
x