Hum sab jante hai ki google search engine se high traffic pane me google webmaster tools (
GWT) humari kitni help karti hai. Google search console me itne features hai ki sabhi blogger or website owner ko inke bare me pata nahi hota hai. Is post me mai aapko google webmaster tool ke ayse hi ek feature Geographic International Targeting Country ke bare me bta raha hu. Jisse aap apni site ke liye right target choose kar sakte hai.
Geographic targeting google search console ka best feature hai. Jo hume apni site ke liye Particular Loaction or Country select karne ka option deta hai. Ye feature aapke tabhi kaam ka hai jab aap ki site ka adomain generic top level domain ho, Jaise .com, .net or .org etc. Baki country level domain se aap other country ko target nahi kar sakte. Examply agar aapke pas .in domain hai to aap india ke alawa kisi or country ko target nahi kar sakte.
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
Jab hum apni site ke liye kisi international country ko target karte hai to google search engine us country me humari site ko jyada show karta hai. Simple shabdo me kahu to us desh me aapki site ki search ranking badh jati hai.
Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare - Geographic Target Set up Guide
Internation targeting setting karne se pahle aapko btana chahunga ki other country ko target karne se dusre country me aapki site ki search ranking low ho jati hai. So soch samajh kar hi apne blog ke liye targeting country select kare. In my case, Mai apne hindi blog ke liye India or English blog ke liye USA targeting use karta hu.
Sabse pahle aap Google Webmaster Tools par jaye or apni gmail ID se log in kare.
- Search Traffic select kare.
- International Targeting par click kare.
- Country choose kare.
- Target usersin ke samne tick kare.
- Ab aapko jo target country set karni hai. Wo select kare.
Target country select karne ke bad "Your changes were successfully saved." Message show honga. Uske kuch time bad google search console me target country confirm karne ka message aayega. Us message me diye link ko open kar ke check kar le ki aapne jo country select ki hai wo sahi hai ya nahi.
- Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare [GWT Guide]
- Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai
Targeting country set kar ke aap apni site ki search ranking boost kar sakte hai. Yedi aapki site par generic top-level domain hai to aapko QWT ka targeting country feature jarur use karna chahiye. But agar aapke pas country-coded top-level domain (such as .in or .uk) hai to aap google search console me aapki site ka target automatic domain country set ho jata hai. Use aap manualy international geographic target country set nahi kar sakte hai.
Agar aapke liye is post ki jankari helpful hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Prince
भाई मेने अपना domain name लिया है , क्या उसको भी गूगल webmuster टूल में अपडेट करना पड़ेगा क्यों की मेरा जो ब्लागस्पाट वाला यूआरएल है वो ही webmuster में दिखाता है
Jumedeen Khan
Ha karna padega.
Prince
Bhai mera abhi AdSense account hai, aur me mere dusre blog me AdSense ads lagana chahta hu, to kya me dusre email id se AdSense ke liye new apply kar sakta hu...???
Ya fir google ye allow nehi karta...???
Kyu ki agar mene abhi jo account hai usse AdSense ke liye apply kia aur baad me koi problem aai to fir mere dono blog se AdSense disable ho jayega
Jumedeen Khan
Aap sirf ek hi AdSense account bana sakte hai or usi se 2-5 site par ads laga sakte ho. Iske liye aap AdSense par ja kar setting par click kar site management me apni dusri site ka link add karo or us par bhi ads laga lo.
dev
pata nhi bhayi mene bahut baar dekha he ki mughe har baat ne 1 alg se pareshani atai he or us pareshani ko solve karne me bahut time lag jata he ye mere sath bahut baaar hua h pata nhi kyo mere sath jayda prblm hoti he kuch na kuch prblm aa hi jati he ..par bhayi apke hote huye thodi bahut chinta kam ho jati he..
Sahil kumar
mujhe to iske bare me ab pata chala. lage hath manie to language wala tag bhi jode diya blog me.
Jumedeen Khan
Sahil mai aapko humesha thanks kahna chahunga kyuki aapke blog se mujhe 10+ visitors daily milte hai.
Shaikh muneer
Is jankari ki mujhe bhut jarurat thi thanks. Mera aapse ek sawal hai ager mai koi bhi country ko target nhi karo to kya hoga kyuki meri site ki india rank 38000 hai.
Jumedeen Khan
Agar aap GWT me target country me koi bhi country select nahi karoge to aapki target country USA hoga. jabki hindi blog ke liye target country india hona chahiye.
Sandeep kumar
mai kya karu . Apne website ko kaise sahi karu. Mughe AdSense ke liye kab apply karna chahiye
Jumedeen Khan
Aapke har sawal ka jawab aapko supportmeindia par mil jayega. ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips but sirf post ko padhna nahi hai. post me btaye step follow bhi karne hai.
Harshad Bataviya
sir aaj mene ek mere blog pe ek post dali to vo full post home page pe dikay deti hai... to kya problem aaya hog pls mera home page check karke batayega
Jumedeen Khan
Ye aapke blog ki template ki coding problem hai. Aap dusri template use kar sakte ho.
Sandeep kumar
Site does not comply with Google policies: We're unable to approve your AdSense application at this time because we feel that your site does not comply with Google AdSense policies or webmaster quality guidelines. It's our goal to provide our advertisers sites that offer rich and meaningful content, receive organic traffic, and allow us to serve well-targeted ads to users. We believe that currently your site does not fulfill this criteria. For more details, please read the webmaster quality guidelines at google.com/support/webmasters/bin/answer.py?answer=35769 and the AdSense program policies at google.com/support/AdSense/bin/answer.py?answer=48182.
Please batao kaya problem hai mere website me mughe samagh nahi aa raha hai. Kya problem hai
Jumedeen Khan
आपकी साईट ने गूगल AdSense और वेबमास्टर टूल दोनों की पॉलिसी का उल्लंघन किया है। आपकी साईट पर बढ़िया कंटेंट नहीं है जो visitors को आसानी से समझ आ सके और AdSense ads को टारगेट कर सके, न ही आपको गूगल सर्च इंजन से सही ट्रैफिक मिल रहा है इसलिए गूगल टीम को लगता है की आपकी साईट AdSense अकाउंट इस्तेमाल करने के लायक नहीं है तो आपका AdSense अकाउंट डिसएबल कर दिया गया है अगर आपको भविष्य में AdSense चाहिए तो अपनी साईट में ऊपर बताई गयी कमिया दूर करे उसके बाद AdSense के लिए अप्लाई करे
Sandeep jab aapki site par traffic hi nahi hai to jaruri nahi hai ki aap AdSense use karo. Wese bhi mujhe bahut bura lagta hai jab koi mera visitors meri help ke bavjud bhi google AdSense policy ka ullghan karta hai.
Roy
Mera domain .in se hai toh iska matlab kya mera website india ke alawa kisi aur country mein nahi dikhega ?
Jumedeen Khan
Yes, aap sirf india ko hi target kar sakte ho.
murari
blog banane ke kitne din bad .com kharide
Jumedeen Khan
Jab aap chaho domain kharid sakte ho.