Blog Par RSS Feed Subscribers Kaise Badhaye 4 Best Tarike

Hum sab jante hai ki blog subscribers blogging me kitne important hote hai. Blog subscriber blog ke purane visitor ko return apne blog par bulane ka sabse aasan or free tarika hai. Jisse aapke blog ki traffic badhti hai or ranking increase hoti hai. Iske liye aap google ki free RSS feed service feedburner use kar sakte hai. Jo free hone ke sath sath sabse better bhi hai. Blogspot free blogger ke liye ye sabse achi service hai.

Blog par RSS Fedd Subscribers Kaise Badhaye

RSS feed service apne visitors ko apni new post ki notification send karne ka sabse achcha tarika hai. Aapke blog par jitne jyada subscribe honge aapko utne jyada rss clicks milenge or aapke new post par utna jyada traffic badhega.

Agar aap RSS feed service ke bare me new ho or aapne abhi tak rss feed service apne blog par start nahi ki hai to Apne Blog Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye post padh kar agle 2 se 5 minutes me apne blog par feedburner ki free service shuru kar sakte ho.

RSS Feed Subscribers Increase Kaise Kare ?

1. E-Mail Subscription Form

E-Mail subscription form adhik subscriber pane me sabse jyada kaam aata hai. Ek designed subscribe form ki jagah ek simple subscription form jyada better hota hai or aapko jyada subsribers mil sakte hai. Isliye ho sake to simple or clear subscribe widget use kare.

Blog Right Sidebar or blog post ke Top Page par subscription widget lagane se sabse jyada subscriber milte hai. Iske liye mai aapko suggest bhi karna chahunga ki aap isse wastav me jyada subscribers recieve kar sakte ho or apne blog par rss fedd subscribers increase kar sakte ho.

Blog ke sidebar me aap subscribe widget lagane ke sath agar social media icon bhi use kare to or bhi better hoga.

2. Change Emal Delivery Time

Bahut se bloggers se ye galati hoti hai. Blog par fedburner, awebar ya kisi or email service start karne ke bad wo email delivery time change karna miss kar dete hai. Isse unhe uchit email clicks nahi milte hai.

Koi bhi morning me aapka email padhna nahi chahega. Ek servey ke anusar 6PM to 10PM ke bich sabe jyada user internet use karte hai. Ayse mai aapki site ki new post ki notification aapke subscriber ko evening me milegi to aapko jyada visitors milne ke chance badh jayenge.

Iske bare me adhik jankari ke liye aap humari Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare post padh kar apna email delivery time change kar sakte ho.

  • Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi

3. Blog Heading and Description

Apka jo new post ka mail aapke visitors ko milta hai. Usme aapki site ka name or site ke bare me 1-2 lines show honi chahiye. Jisse user aapke mail ko pahchan sake. Kyuki kai bar user ko message samajh nahi aata or wo use ignore ya spam kar dete hai.

So agar aap apne rss feed par ja kar pulize setting me apne blog ka title or description set kar le ki post se pahle message me kya show hona chahiye.

4. RSS Subscription Placement

Agar jyada email subscribers pane ki jagah ki bat ki jaye to mai aapko suggest karunga ki aap apni site ki post ke first page or last page me subscribe widget add kare. Isse aapko or jyada subscribers milne ke chance 50% badh jate hai.

Blog sidebar me subscribe widget add karna to aam bat hai kyuki har ek site ke sidebar me subscribe widget hoti hai. ayse me visitors us par kam dhyan dete hai. Kyuki sidebar subscribe widget sabhi sites me common ho gaya hai.

Isliye mai aapko suggest kar raha hu ki aap sidebar ke sath sath blog ke page me bhi subscribe widget add kare. Jis se aapko or jyada readers mil sake.

Ummid karta hu. Aap is post me btaye step follow kar ke apne blog par RSS feed subscribers badha sakoge or apne old visitors ko fir se apne blog par return kar sakoge.

By the way post achi lage to share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 64 )

  1. Sir maine feedburner use kar ke rss feed banaya.
    Wo ban bhi gaya par sir jab mai use open karta hu to pura post usme show hota hai. Mujhe waisa show karwana hai jaisa aspki website par show hota hai sirf summary. Mera blog WordPress par hai

    Reply

Leave a Comment