Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools (GWT) google ki best free SEO tools hai. Jo har type ke blog or website ki better search ranking banane me help karta hai. Sath hi google search console site ke complete health ke bare me jankari deta hai. Or hume website error ke bare me btata hai. In this post, Mai bat kar raha hu site crawl errors ki jinhe fix kar ke aap apni site ki search ranking badha sakte ho.

Google Webmaster Tools Fix Site Crawl Errors

Google search console ka ye ek bahut hi acha option hai. Jisse hum kuch simple step follow kar ke apni site par se error 404, DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch errors fix kar sakte hai. Or apni site ko repair kar ke site ki search ranking increase kar sakte hai.

In my case, Mine crawl error ko fix kar ke try kiya hai. Isse humari site ki search rank 100% better hoti hai. Mai ise agar google ki master technique kahuga to koi badi bat nahi hogi. Kyuki jis tarah google world me no.1 hai. wese hi uski google webmaster service bhi site search engine optimization ki no.1 service hai. Or jiski help se hum site ki badi se badi problem ka pata laga sakte hai and use fix bhi kar sakte hai.

Google Webmaster Tools Site Crawl Errors Ki Jankari - GWT SEO Guide

Ye post 24 february 2023 ko likhi gayi hai or is waqt Google webmaster tools me DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch  3 type ke crawl error fix karne ki service available hai. Jo future me kam jyada ho sakte hai.

  1. DNS Error
  2. Server Connectivity Error
  3. Robot.txt Fetch Error

Crawl Errors

  1. DNS errors: Jab hum site ko internet connection disable hone par open karte hai to browser me jo "Unable to connect to the Internet" ka error show hota hai. Ya fir site ka DNS address chane karne par jo error show hota hai. Use DNS error kahte hai. Ye normal issue hota hai. But better site ranking ke liye ise fix karna jaruri hota hai.
  2. Server connectivity error: Ye error server problem or slow internet connection ki wahah se hota hai. Jab koi aapki site ko open karta hai to server problem ke reason se site load hone me bahut time leti hai to server connectivity error show hota hai.
  3. Robots.txt fetch errors: Ye site par sabse common issue hai. Jo Robot.txt File ke karan show hota hai. Yani jab hum kisi page ya post ko Robot.txt ki help se search engine se hide karte hai to search engine me uska link remove hone me 1-5 day lag jate hai. Is time me koi us link par click karta hai to ye error show hota hai.

GWT me ye crawl error normal hote hai or aap inhe kuch simle step follow kar ke fix kar sakte hai. But agar search console aapko crawl error ka mail send kare to aapko real me apni site ko repair karne ki jarurat hai.

Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools par jaye or apni gmail ID se log in kare or dashboard me jis site par crawl error fix karna hai us site par click kare.

  1. Crawl select kare.
  2. Crawl Error par click kare.
  3. Ab aapko Desktop, Smartphone or Feature phone sabhi par crawl error check karne hai. Jis par error ho us par select kare.
  4. Ab sabhi error links par select kar ke "MARK AS FIXED" par click kare.

Fix Crawl Errors

Humesha yaad rahe ki server loading slow time ki wajah se site par error aate rahte hai. Isliye 2-5 days me google webmaster tools me crawl erro fix karte rahe. Jisse aapki site ki search ranking me kami na aaye or aapko search engine se barabar traffic milta rahe.

Agar aapko is post me di gayi jankari (Information) useful lagti hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

144 Comments

Comments ( 144 )

  1. Hello Sir

    Sir Google Webmaster Tool ke Structured Data me Error Dikha raha hai "4 Items with Errors"

    how to fix

    PLZ HELP

    Reply
    • Error check karo dekho ki aapki site par wo sahi hai ya nahi agar sahi hai to don't worry error automatically theek ho jayega.

      Reply
  2. Sir ji Namaste

    Sir आज मैंने आपका ब्लॉग पड़ा जिसमे से बहुत सारी ऐसी जानकारियां पढने को मिली यो आज तक में इन्टरनेट से ढूंढ रहा था

    your blog is very unique

    Google Webmaster Tool Server Connectivity Ki errror Dikha Raha hai ( peele se bindu me )

    Maine Mark as Fixed B kar diya par nahin hua

    kya yah hamesha ese hee rahega ? ja me apne blog ka name change kar du

    How To Solve this Plz Help

    Reply
    • Nahi kuch time bad apne aap dahi ho jayega. Bas aap apne domain ki DNS setting achhe se kar lo.

      Reply
  3. hello bro.
    meri site ki 18 posts 24 me se 18 posts to google search index me indexed ho gayi hai but uske baad ek crawl errors me ek url show kr rha h http:// helpbytrick.blogspot.in/delete-comment.g?blogID= is link ka and mujhe ni lgta ki mene apni kisi bhi post me is link ko permalink me dala hai fir bhi ye link automatically create kaise ho gaya and bro me is link ko permanently delete krna chahta hu na ki fix to vo kaise karu and pahle to meri posts hr 1-2 din me index ho rahi thi but ab pichle 4-5 din se ek bhi new post index nai huyi hai. And bro mene abhi tak total 24 posts and 3 pages apne blog me dale hai but Sitemap me 25 submitted and 18 indexed dikha rha h jabki ya to 24 ya 27 submitted dikhana chahiye tha na...
    Sorry bhai ek hi comment me itne sawal puch liye...

    Reply
    • Abishek aapki kuch post index nahi ho rahi hai. Iska reason hai google aapki post ko read nahi kar pa raha hai. Aap check karo ki jo post index nahi hai unme koi kami to nahi. Second aap unhe search console me fetch as google karke submit karo. Ye jo crawl error hai abhi aap ise fix kar do agar next time ye fir se show ho to aap kisi broken url checker tool se apni site par is link ko search karke delete kar de.

      Reply
  4. hello sir..namaste.
    me apni blog(www.dearhiral.com) ki post ko google me index karta hu to index nahi ho pa rahi NOT FOUND bata rahi hai.please help me kya problem hai...please..sir..help

    Reply
    • Aap post ka url change mat kiya karo or google webmaster tool me apni post fetch as google kiya karo.

      Reply
  5. इस पोस्ट से मेरी प्रोब्लम सॉल्व हो गयी. शुक्रिया जुमेदीन भाई

    Reply
  6. hello jume deen ji
    mujhe google ki taraf se crawl errors ka mail aya tha yahi koi 3-4 month pahle but mene crawl errors remove nhi kiye mujhe isse handle karna nhi ata tha but jab apka ye article padh kar une remove kiya h but itni late kiya h to koi problem to nhi h na
    pls help me
    thankyou

    Reply
    • Nahi koi problem nahi hai. aage se crawl error ko fix karte rahna.

      Reply
  7. Hello Sir;
    Thanks for giving "GWT : Crawl Errors" problem solution...
    Que: Kya Aap Next Post/Article " GWT : Google Index" options ki jankari de sakte hai ??
    Mere site par "Google Index Status : Total Index & Blocked by robots" Url kabhi increase & discrease hoti rahti hai; please meri site ki Url's Blocked by robots me badti jati hai [why reason]; aisa kisliye hota hai, iska hoi solution/new post dewe....!!

    Reply
  8. WordPress blog me pageok error problem he uska koi solutition he bhai?

    Reply
    • Mujhe error message dkhao. Jisse mai aapki sahi help kar saku.

      Reply
  9. sir aaj mera blogger me niche diya gaya msg aaya hai... eska kya matlab hai.....

    Coming in Late April!
    All visitors will be able to view your Blogspot domain blogs over an encrypted connection by visiting blogspot.com. Existing links and bookmarks to your blogs will continue to work. As part of this change, the HTTPS Availability setting will go away, and your blogs will always have an HTTPS version.

    Reply
    • Ye blogspot.com blog url par http security ka message hai. Aapne custom domain add kiya hai isliye ab aapka blog http ki jagah http se open hoga.

      Reply
  10. sir mene google webmaster me ja ke Fetch as google me mere blog ke 3 url google me jaldi index karne ke liya submit kiye hai.... lekin 2 url me status "Complete" esa aa raha hai aur ek me "Partial" esa aa raha hai to eska kya matlab hai....

    Reply
    • Harshad google webmaster tools me fetch ka option isliye hota hai ki aap google search robot ko bta sako ki aapke blog par koun post likta hai or kis category se related post likhta hai. Aapki site ka logo kya hai. But iska matlab ye nahi hai ki aap ise feature ko bar bar use karo. Aapse maine pahle bhi kaha tha ki ki sirf ek bar kisi post ko fetch karo bas.

      Reply
      • thanks dear, main bht pryshan tha main ne apni website moviesship.com ka home page fetch kr dia tha us k bad mjy google analytics main home page k not found k error aa rhy hain. mian samja k main ne fetch kr k apna home page google index sy nikal dia hai is lye users ko mera home page open nai dikh rha. aap k comments parh k dil ko tsali ho gai hai k main ne sahi kia hai.. lakin sawal yah hai mjy page not found k error q aa rhy hain plz yah batyen.

        thanks

        Reply
        • Home page ko fetch karne ke liye aapko url box khali chodna hai. Usme kuch bhi add mat karo.

          Reply

Leave a Comment

Blogging

गूगल पर अपनी वेबसाइट की रैंकिंग कैसे चेक करे?

google console site ranking
हम कितनी मेहनत से blog बनाते है और उसमे बढ़िया बढ़िया post भी डालते है फिर अपने blog को google search engine से submit करते है मगर इतना सब कुछ करने के बाद भी हमारे blog पर traffic नहीं बढती तो हमे निराशा होने लगती है और बहुत से blogger…
Continue Reading
SEO

Google Disavow Tool Se Bad Backlinks Ko Remove Kaise Kare

Remove Bad Backlinks with Google Disavow Tool
Jaha high quality backlinks se website search ranking increase hoti hai wohi bad backlinks se site ki search rank down ho jati hai. Agar aap in bad links ko Google Disavow Tool se remove kar do to inka site rank par google search rank me koi effect nahi hoga. Yaha…
Continue Reading
SEO

Nofollow Noreferrer Noopener Tag Ki Puri Jankari Hindi Me

Nofollow Noreferrer Noopener ki Jankari
Nofollow Noreferrer Noopener Kya Hai or Iska Istemal Kyo Kare? Is post me main aapko blog content me external links add karne mar attribute tag Nofollow Noreferrer Noopener ke bare me jankari dunga. Ye kya hai or inko kaise or kyu use kare. Kis tag ko kab use kare or kis…
Continue Reading
t20 win
x