Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools (GWT) google ki best free SEO tools hai. Jo har type ke blog or website ki better search ranking banane me help karta hai. Sath hi google search console site ke complete health ke bare me jankari deta hai. Or hume website error ke bare me btata hai. In this post, Mai bat kar raha hu site crawl errors ki jinhe fix kar ke aap apni site ki search ranking badha sakte ho.

Google Webmaster Tools Fix Site Crawl Errors

Google search console ka ye ek bahut hi acha option hai. Jisse hum kuch simple step follow kar ke apni site par se error 404, DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch errors fix kar sakte hai. Or apni site ko repair kar ke site ki search ranking increase kar sakte hai.

In my case, Mine crawl error ko fix kar ke try kiya hai. Isse humari site ki search rank 100% better hoti hai. Mai ise agar google ki master technique kahuga to koi badi bat nahi hogi. Kyuki jis tarah google world me no.1 hai. wese hi uski google webmaster service bhi site search engine optimization ki no.1 service hai. Or jiski help se hum site ki badi se badi problem ka pata laga sakte hai and use fix bhi kar sakte hai.

Google Webmaster Tools Site Crawl Errors Ki Jankari – GWT SEO Guide

Ye post 24 february 2024 ko likhi gayi hai or is waqt Google webmaster tools me DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch  3 type ke crawl error fix karne ki service available hai. Jo future me kam jyada ho sakte hai.

  1. DNS Error
  2. Server Connectivity Error
  3. Robot.txt Fetch Error

Crawl Errors

  1. DNS errors: Jab hum site ko internet connection disable hone par open karte hai to browser me jo “Unable to connect to the Internet” ka error show hota hai. Ya fir site ka DNS address chane karne par jo error show hota hai. Use DNS error kahte hai. Ye normal issue hota hai. But better site ranking ke liye ise fix karna jaruri hota hai.
  2. Server connectivity error: Ye error server problem or slow internet connection ki wahah se hota hai. Jab koi aapki site ko open karta hai to server problem ke reason se site load hone me bahut time leti hai to server connectivity error show hota hai.
  3. Robots.txt fetch errors: Ye site par sabse common issue hai. Jo Robot.txt File ke karan show hota hai. Yani jab hum kisi page ya post ko Robot.txt ki help se search engine se hide karte hai to search engine me uska link remove hone me 1-5 day lag jate hai. Is time me koi us link par click karta hai to ye error show hota hai.

GWT me ye crawl error normal hote hai or aap inhe kuch simle step follow kar ke fix kar sakte hai. But agar search console aapko crawl error ka mail send kare to aapko real me apni site ko repair karne ki jarurat hai.

Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools par jaye or apni gmail ID se log in kare or dashboard me jis site par crawl error fix karna hai us site par click kare.

  1. Crawl select kare.
  2. Crawl Error par click kare.
  3. Ab aapko Desktop, Smartphone or Feature phone sabhi par crawl error check karne hai. Jis par error ho us par select kare.
  4. Ab sabhi error links par select kar ke “MARK AS FIXED” par click kare.

Fix Crawl Errors

Humesha yaad rahe ki server loading slow time ki wajah se site par error aate rahte hai. Isliye 2-5 days me google webmaster tools me crawl erro fix karte rahe. Jisse aapki site ki search ranking me kami na aaye or aapko search engine se barabar traffic milta rahe.

Agar aapko is post me di gayi jankari (Information) useful lagti hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 144 )

  1. bahut jada crawl error aye to koi problem he kya, jaise mera har roj 15-20 error ata hai ur mai hr roj fix kr deta hun,,,,iske liye koi ur upay he

    Reply
    • Check karo ki crawl error me jo links aa rahe hai wo kiske hai. itne sare crawl error nahi aane chahiye.

      Reply
    • sir webmaster tools ke Structured Data me mere blog ki 296 url me error dikahy de rahi hai jab mene url ko Structured Data Testing Tools me check kiya to usme muje niche di gayi error aa rahi hai…..

      BlogPosting (1)

      publisher:missing and required
      dateModified:missing and recommended
      mainEntityOfPage:missing and recommended

      iska kya solutions hai….

      Reply
      • Aap muhe facebook par screenshot dikhao.

        Reply
  2. great post.bhai mere blog ko ccheck karke batao koi kami hai kya jo traffic nai aa rahi hai

    Reply
  3. Thanks to share actually mere site ka robots.txt error aarha tha tab mai bhut pareshan hogay tha or main apne site ka robots.txt file ko hi change karne laga tha lekin aapne mere is problem ko bhut hi jaldi solution de diya thanks bhai.

    Reply
  4. Jume denn ji, kya hum 1 bar laptop se site banane ke baad ( site map submit & meta tag add lagane ke baad) mobile se post publish kar sakte hai.
    Aur Jo meta tag site map hai change to nahi hoga mobile se karne me

    Reply
    • Ha bilkul kar sakte ho. Nahi kuch bhi change nahi hoga.

      Reply
  5. Hallo bro help me. mai jab apane desbord ke tamplet me edit html par click karta hu to jo code box aata hai vo kafi small dikhata hai. usme 1 ya 2 line hi dikhate hai. mujge kya karna chahiye. maine kafi logo se is bare me help maga but koi iska javab nhi deta. plz help me.

    Reply
    • Aapki blog template me koi crapet javasript hai. Aap blog ki template change karo. Problem solve ho jayegi.

      Reply
      • nhi esi koi bat nhi hai. maine tamplet bhi chenge kiya. usi computer par dusra blog bnakr dekha usame bhi templet chenge kiya but html cod box small hi dikhta hai.

        Reply
        • Agar aapke sabhi blog ki template me yahi problem hai to ye aapke browser ki problem hai. aap dusre browser me try karo ya apne browser ki zooming default set karo.

          Reply
  6. Sir meri website dekh kar bataye ki .ai ads kaha kaha lagau please

    Reply
    • Manish aapko blog open nahi ho raha hai. godaddy site par redirection hota hai. So mai aapki help kaise kar sakta hu.

      Reply
  7. mere blog par bhat roborts comment arha h WordPress par isko kse stop kare?

    Reply
    • Aap akismet plugin use karo.

      Reply
  8. Ok Thanks Apka Matlab khichdi use kare jisme Hindi and English dono viewers ko target kiya ja sakte. Good Thanks Once More. Achha ye ye fir batana padega ki isse Adsense ko to koi problem nahi hogi na?

    Reply
    • Nahi AdSense ko koi problem nahi hai.

      Reply
  9. Ok Thanks. but fir se one more confusion hai. aane kaha hildi or English word milakar post tiltle use karo means kaise? Abhi bhi to hum log hindi english word ka use karte hai. Jaise ki koi ek title hai.
    “Website ke liye badiya domain name kaise select kare.” isko hum aishe likhe “How to Select a Good Domain Name For our website” ya fir aap kisi aur word mixing ki bat kar rahe hai. Plz ek bar aur reply kar dijiye Muje pata hai aap bahut busy honge.But plz once more plz…

    Reply
    • aapka topic hai “Website ke liye badiya domain name kaise select kare”. ise is tarah use karna hai.
      1. full english – How to choose a better domain for your blog. but isse aapki post par sirf english janne wale hi user aayenge.
      2. so aapko ise es tarah likhn hai. “Website ke liye better domain kaise select kare”. isme better or select 2 english word ho gaye baki hindi hai hai.

      Reply
  10. Meta tag kase add kare WordPress blog par?

    Or

    Robort Comments bhat arha h usko kaise stop kare?

    Reply
    • Yoast SEO plugin use karo.

      Reply

Leave a Comment