WordPress Blog Par Affiliate Link Cloak Kaise Kare – Without Plugin

Affiliate marketing bahut se blogger ka income source hai or affiliate programmer ke liye link cloaking bahut jaruri hai. Agar aap iske bina blogging karte ho or affiliate markeitng use karte ho to aap bahut badi mistake kar rahe ho. Link cloaking affiliate Link cloak karne ek aesa tarika hai jo na sirf aapki site ko google penalty se bachata hai balki isse aapko jyada affiliate sales milte hai or aapki jyada earning hoti hai.

hoe to cloak links in WordPress

Link cloaking long affiliate links and ugly links ko shorter and more branded banane ki ek process hai. Mai iske bare me already article likh chuka hu. Agar aapko iske bare me pata nahi hai or aap janna chahate hai to aap humari Affiliate Cloaking Kya Hai Aur Links Cloak Karna Kyu Jaruri Hai post read kare. Isme aapko link cloaking ke bare me puri jankari milegi or iski jarurat koy hoti hai? ke bare me pata chalega.

In this post, Is post me hum WordPress blog par affiliate links cloak karne ke bare me bat karenge. Wese hum iske liye link cloaker plugin use kar sakte hai. But jyada plugin use karna better nahi hota hai. SO hum without plugin cloak link create karne ki process par bat karenge ki kaise hum WordPress blog par bina plugin ke affiliate link cloak kar sakte hai.

WordPress Me Affiliate Links Cloak Kyo Kare?

Mostly affiliate program professional blogger hi use karte hai or lagbhag sabhi professional blogger ka blog WordPress platform ar hota hai. Affiliate marketing blog ke top earning source me se ek hai or bahut se blogger isse lakho paise kama rahe hai.

But affiliate program se hume jo promotion link hote hai wo ugly link hote hai or SEO friendly nahi hote hai. Agar hum in links ko direct blog content me use kare to content ki quality bilkul low ho jati hai. Jo search engine me kabhi bhi top position nahi pati or sabse badi problem duniya ke sabse bade search engine google ko some affiliate links pasand nahi hai or wo in utpatang links ko bilkul like nahi karta hai.

Agar hum affiliate links ko direct use karte hai to humari site ko google se penalty mil sakti hai or google se penalty milne ka matlab hai humara blogging career 50% khatm. Kyuki sabhi ke blog par jyadatar gogle search engine se hi aata hai. So main aapko suggest karunga ki aap aap humesha affiliate link ko cloak karke hi use kare.

Agar aap link cloaking ke benefit i mean fayde ke bare me vistar se janna chahate hai to aap humari Link Cloak Karne Se Kya Kya Fayde Hote Hai? post padhe. Isme aapko iske benefits ke bare me details se jankari milegi.

WordPress Blog Par Bina Plugin Ke Links Cloak Kaise Kare?

How to Cloak Affiliate Links on Your WordPress Site? Sabse first to aap link cloaker plugin use karke link cloak kar sakte ho. But yaha main bat kar raha without plugin ke link cloak karne ke bare me bat kar raha hu. Iske liye aapko WordPress blog ki .htaccess file me redirection code add karna hoga.

.htaccess file ko edit karne ke aapke pas to tarike hai.

  1. First aap apne hosting cpanel par ja kar public_html me .htaccess file par code add kar sakte ho.
  2. Second aap Yoast SEO plugin use karte ho to WordPress dashboard >> SEO >> Tools >> File editer par jaye.

Mai yaha aapko Yoast SEO plugin wali method bta raha hu ko ki short hai or ise follow karne ke liye aapko cpanel par log in karne ki jarurat bhi nahi padegi.

Step 1:

  1. WordPress dashboard par jaye or SEO par click kare.
  2. Ab Tools par click kare.
  3. File editer par click kare.

Ab yaha par blog ki robots.txt file or .htaccess file open ho jayegi. Aapko dono edit karni hai first hum .htaccess file ko edit karenge.

tools yoast seo

Step 3:

Ab yaha par aapko link cloak karne ke liye redirection link dalna hai. Iske liye aap .htaccess me is tarah link add kare.

Redirect 302 /smi/bluehostindia https://bluehost.in/?utm_source=affiliate&a_aid=c21e4935
Redirect 302 /smi/hostgatorindia https://affiliates.hostgator.in/affiliate?id=6011

Yani aapko Redirect 302 your cloak link your affiliate product link is tarah se link create karke add karna hai.

Maine yaha /smi/product-keyword yani smi clak link use kiya hai aap iski jagah recommended, go, i, offer and apni choice ke anusar cloak link set kar sakte hai. Example ke liye aap ye screenshot dek hsakte ho.

  1. Set your cloak link.
  2. Paste your affiliate product link.
  3. Click save changes to .htaccess option.

link-cloak

Step 4:

Ab aapko ye link search engine se block / hide karne hai.Jise google aapke affiliate links ko crawl and index na kar sake or aapki site penalty se bachi rahe. Iske liye aapko blog ki robots.txt file edit karni hai. Jo aapko .htaccess ke pas hi mil jayegi.

Aapko robots.txt file me sirf ek chota sa disallow code add karna hai. Is tarah – Disallow: /yourcloakkeyword/ jaise mera cloak link smi hai to Disallow: /smi/

  1. Go to WordPress dashboard and click on SEO then click toos.
  2. Click on file editer, Here you see robots.txt file.
  3. Click save changes to robots.txt file.

block link cloak by robots.txt

Is tarah se aap apne affiliate link ko cloak karke search engine me index hone se rok sakte ho. Important bat google humare bare me sabkuch janta hai usse kuch bhi chipana aasan nahi hai. Wese hi humare affiliate links ke bare me use pata chal hi jata hai.

So ye soch kar ki google se link block kar diya hai or ab main kitne bhi affiliate link blog me use kar sakta hu wali mistake kabhi na kare or only jaruri and limit me hi content me affiliate links use kare.

Ummeed hai aapko ye post pasand aayegi agar ha t oise social media par share jarur jare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 38 )

  1. Agar mai meri website ki har post me affiliate link lagata hu images ke sath . Wo link play store ki app ki hain or images par click hote hi play store pr redirect ho jati hain . play store app ki link ko cloak karna jaruri hain kya . Wo toh khud google ka product hain .

    Reply
    • Sabhi images ke sath nahi, jaha jarurat ho wahi lagao.

      Reply
  2. mene amazon affiliate account banaya hai me apni website per amazon ke product sale karke earing karna chahta hun iske liye mujhe bahut sare product sale karane hai to kya mujhe iske liye koi plugin use karne chahiye ya aapne jo method bataya hai wohi use karna chahiye

    Reply
    • Agar plugin ki jarurat pade to kar lena no problem.

      Reply
  3. WordPress site me hum google shortner ka use karke affiliate link add karenge to kya humari site panelty se bach sakti hai? Iska seo pe koi bura asar to nahi hoga?

    Reply
    • No problem, lekin isse better hai aap direct affiliate link hi add kare.

      Reply
  4. Great article sir,
    Affiliate link ko ek baar dalnein par kya use bar bar change yaa update karna zaroori hai.

    Reply
    • Nahi, agar jarurat ho to kar sakte ho.

      Reply
  5. Sir main ek affiliate site bnane wala hu toh vha toh bhut saare affiliate link hoge toh unhe ek saath link cloking kaise kare. Ya fir unhe noindex kare.

    Reply
    • is method se aap kitne bhi link cloak kar sakte ho.

      Reply
  6. mera ek quetion hai agr hm affiliate link ke upr no follow add krde or robots.txt pr smi ko disallow krde to ye kaam krega??? means google penalize krega??

    Reply
    • Nahi, but guarantee nahi hai.

      Reply

Leave a Comment