Hindi Ya Hinglish: Blogging Kis Bhasha Me Karna Behtar Hai

Hindi blogging me sabse badi problem hai hindi or hinglish me se kisi ek bhasha ko select karna. Aapko kis language me blogging karni chahiye or kyo? Is sawal ka jawab shayad har ek hindi blogger janna chahata hai. Aaj mai aapko hindi and hinglish ke bare me kuch jaruri information bta raha hu. I hope iske bad aapko apne blog ke liye currect language select karne me aasani hogi.

Hindi and Hinglish: Who is better for blogging

Actually, hindi me blogging karne wale blogger ka main target indian audience hi hote hai. Use ye decide karna hota hai ki wo hinglish me blogging kare ya fir hindi me, uske future ke liye kya behtar hoga or use kounsa rasta choose karna chahiye.

Last some time, google search engine ne mobile devices me hindi searching feature enable kiya hua hai or ab iska effect desktop version me bhi dik hraha hai. Jisse user ke google me hinglish me search karne par “हिंदी में परिणाम देखे” ka option aata hai.

Is par click karne se aapke dwara search kiye gaye keywords hindi me translate ho jate hai. Examples, jaise mai google me search karunga ki “blogging kis bhasha me karna behtar hai” to google use “ब्लॉग्गिंग किस भाषा में करना बेहतर है” is tarah se  hindi me  convert kar dega.

Now, google ki is service ki wajah se pure hindi me likhi post search me top par aati hai. Ye hinglish blogger ke liye ek bahut badi samsya hai or isne har ek hinglish writer ko sochne par majboor kar diya hai ki ab use kis language me blogging karni chahiye.

I am also a hindi blogger, but abhi tak maine iske bare me faisla nahi liya hai or mere alawa bhi bahut se hinglish blogger hai jo abhi bhi hinglish me likh rahe hai. Iska reason kya hai or hinglish blogger ka future kya hoga. Ayiye iske bare me detailse se jante hai.

Hindi and Hinglish Kis Bhasha Me Blogging Karna Behtar Hai?

Sabse pahle to mai aapko hindi or hinglish ke bare me kuch information btana chahunga ki inme kya difference hai or kiski kitni value hai.

1. Hindi Language:

Hindi is written in Devanagari script. It is referred to by name Nagari. Hindi (Hindi: हिन्दी hindī) jise Modern Standard Hindi bhi kaha jata hai. Ye ek hindustani bhasha hai or lagbhag pure bharat me boli jati hai. Hindi onstitutionally india ki first OL (राजभाषा) hai or bharat ki sabse jyada boli or samajhi jane wali bhasha hai. Chini language ke bad ye world me sabse jyada boli jane wali language hai.

India ke lagbhag sabhi states (राज्य) me hindi bhasha boli or samjhi jati hai. India ke alawa bhi bahut se other countries me bhi hindi bhasha boli, likhi or padhi jati hai. Fiji, Mauritius, Guyana, Suriname and Nepal me bhi hindi boli jati hai.

In the 2001 Indian census, 42.2 million (422,048,642) logo ne hindi ko apni originol language btaya tha.

Outside india, Bharat ke alawa United States me 648 983, Mauritius me 685 170, South Africa me 890 292, Yemen me 232,760, Uganda me 147,000, Singapore me 5,000, Nepal me 8 million, New Zealand me 20,000 and Germany me 30,000 people hindi jante hai.

Iske alawa india pakistan and other country me 14.1 million dwara boli jane wali Urdu language orally hindi ke kafi saman hai. I mean urdu bolne, likhne or padhne wale 90% people hindi ko bhi achi tarah se samajh sakte hai.

Humare desh bharat me bahut si languages hai but i sure india me sirf kuch logo ke alawa baki lagbhag 1 billion (1 करोड़) log hindi me expert hai or hindi ko ache se likh padh sakte hai.

Finally, Hindi bhasha ko india ki official language kahna galat nahi hoga or ye india ke alawa bhi baki bahut se countries me bhi boli jati hai. I mean hindi ka field bahut bada hai. Jaisa ki maine upar btaya hai ye duniya ki dusri sabse badi language hai, iska matlab ye top international languages me se ek hai.

Hindi ke bare me adhik jankari ke liye aap wikipedia hindi page par visit kar sakte hai. Iske liye mai aapko suggest karunga ki aap ek bar hindi ko ache samajh le.

2. Hinglish Language:

Hinglish, hindi and english dono ka mixture roop hai. Jiska matlab hai do languages ke words ko ek sath use karna. Iska pariyog adhiktar india ke hindi bashi state ke urban and semi-urban areas me kiya jata hai. Hinglish bhasha television, mobile phones and oral communication ke jariye dheere dheere rural and aas-pas ke fiels me teji se fail rahi hai.

Hinglish na sirf india me hi boli jati hai balki ye USA, UK and some other country me bhi boli or padhi jati hai. Aaj iska chalan bahut badh gaya hai. Internet par to hinglish ne kamal hi kar diya. Koi bhi user chahe social media ho ya kuch or hinglish language ka hi istemal karte hai kyuki ye padhne likhne me hindi se jyada aasan hoti hai.

David Crystal jo University of Wales me British language Scientist hai unhone 2004 ki calculation me btaya tha ki world me 350 million people hinglish jante hai or aane wale dino me ek din aysa aayega jab world me hinglish sabse jyada boli jane wali language ban jayegi.

Examples, Columnist Devyani Chaubl pahli women writer thi jinhone sabse pahle apni writing me hinglish ka istemal kiya tha. Uske bad writer Shobha De ne apni books and columns me hinglish words ka paryog kiya. Iske alawa Salman Rushdie and Upamanyu Chatterjee ne bhi apni writing me hinglish ka bahut jyada istemal kiya hai.

2005 me baljinder kaur mahal ( pen name . B ‘s . The Castle ) ne Collins dwara published “The Queen’s Hinglish” book likhi. Jisme unhone hinglish words ko khoob pryog kiya hai.

Hinglish india me to teji se badh rahi hai sath hi british me boli jane wali english par bhi iska effect pad raha hai or log ise pasand bhi kar rahe hai. Indian immigrants and their Ofsprings ke dwara use kiye jane wale words Expressions England me bhi use kiye haye hai. I mean waha rahne wale log bhi hinglish ko pasand kar rahe hai.

Finally, Hinglish ka field bhi fast speed se badh raha hai but fir bhi me ye nahi kah sakta ki hinglish hindi ki tarah popular language hai. Kyuki ye indian people ke dwara banayi gayi hindi or english ka mixture hai jiska apna koi entity nahi hai. Hinglish ke bare me adhik jankari ke liye aap wikipedia hinglish page par visit kare.

Hindi Vs Hinglish Dono Me Kya Difference Hai?

As I have explained above, hindi or hinglish me bahut fark hai or aap kafi had tak ye bat jante bhi honge fir bhi mai ek blogger ki nazar se in dono me kuch antar bta raha hu.

  • Hindi language ko kisi bhi other language me tranlate kar sakte hai jabki hinglish me aysa karna mushkil hai.
  • Hindi india ki original bhasha hai or lagbhag sabhi log (jo log english bilkul nahi jante ho) hindi jante hai. Jabki hinglish likhne or padhne ke liye english ki basic information jaruri hai.
  • Writing ki nazar se hindi type karne me mushkil hai jabki hinglish me aasani se typing ki ja sakti hai.
  • Agar blogging ki nazar se dekha jaye to hindi basha me blog ko successful bananae me kafi time lag jata hai jabki hinglish blog ko aap english blog ki tarah SEO optimize kar sakte ho.
  • Hindi blog ka jitna badiya future ho sakta hai utna hinglish blog ka bhi hoga lagta nahi hai.
  • Hindi ko other language me translation karke kisi bhi language ko janne wale reader aapke articles padh sakte hai jabki hinglish me aysa hona bahut mushkil hai.

In my experience, Jaha tak mujhe pata hai hindi blog ka ek acha badiya future hai ye mai or aap clear dekh sakte hai ki hindi blog ka ek bahut bada field ho sakta hai but hinglish ke bare me aysa kahna mushkil hai.

Kyuki abhi tak iska koi future tay nahi hai but me aane wale time ke bare me kuch nahi kah sakta ho sakta hai David Crystal ki ki gayi predication sach ho jaye to hinglish ek din world popular language me shamil ho sakit hai.

Now, sawal ye hai ki “Indian Hindi Blogger Ke liye Kounsi Bhasha Better Hai?” Iska simple jawab hai aapko hindi me blogging karni chahiye kyuki abhi tak hinglish ka koi future nahi hai par mai un bloggers se ek bat kahna chahunga jo already hinglish me blogging karte hai wo hinglish me hi blogging kare. Iski mai nwajah ye hai.

  • Jab aapne hinglish me blogging ki shuruat ki thi to aapke blog par wohi reader aate the jo hinglish ache se jante hai ho sakta hai inme se kuch logo ko hindi bilkul bhi nahi aati ho.
  • Aapne hinglish ko choona iska matlab hai ki aapka main target india hi hai or india me sabhi hinglish jante hai.
  • Hindi or hinglish dono blog ka main mission indian traffic hi hota hai. Isiliye sirf search engine traffic ke alawa blogger ko koi nuksan nahi hoga.
  • Aaj google ke hindi ko jyada support karne ki wajah se hinglish ko chod hindi ko apnaoge to aapke wo sare reader aapki site par visit karna chod denge jinhe hindi nahi aati hai.
  • Google ne abhi hinglish ke bare me koi anounce nahi kiya hai or na hi koi decision liya hai ho sakta hai future me wo hinglish ko hindi ki tarah support kare. I sure google bahut smart hai or iska acha solution nikalega and sahi action lega.
  • Mai ek hinglish blogger hu or mai chaha kar bhi apne blog ki language nahi badal sakta kyuki mere 30% hindi nahi jante only hinglish jante hai. So mujhe iske bare me soch samajh kar faisla lena hoga. I hope aapke sath bhi yahi condition ho sakti hai.
  • Aap pichle kafi time se hinglish articles write karte ho or agar aap aage se hindi me content likhne ki soch rahe ho to yakinn ye blogging ki fir se starting karne jaisa hoga. Isiliye iske bare me ache se soch kar decide kare.

Agar aap ek new blogger ho to mai aapko highly recommeded karunga ki aap hindi languges me hi blogging kare or agar aap already hinglish blogger hai to mai aapko apne blog ki main language ko chod kar hindi ko adopt karne ki advice kabhi nahi dunga fir bhi decision aapko hi karna hai.

Mai chahata hu ki aap dusre bade blogger ke faisle ka intjar kare or agar aap isme sabse pahle person banna chahate ho to sabkuch aapke hath me hai. Aap jo bhi faisla le apne future ke bare me ache se soch kar le kyuki aapke reader ke liye yeh ek bahut bada badlav hoga.

Mai aapko agar hinglish chod kar hindi support karne ko kahu to google organic traffic ki nazar se ye sahi hoga par mai aapko hinglish me hi blooging karne ki advice du to wo aapke liye or bhi jyada behtar hoga. I mean mai aapko dono me se kisi ek ke liye nahi bol sakta.

Conclusion,

In other Experience, Maine iske bare me kafi blogger se bat ki mujhe kisi ne bhi hinglish ko chod kar hindi ko adopt karne ki salah nahi di. Sabhi ki bato ka ek hi matlab niklta hai aap apne work, blog future and visitors activity dekh kar khud decide karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai.

Ek nazar dekha jaye to organic traffic hi sabkuch nahi hota. Halanki har ek blog par search engine se traffic aata hai or sabko iski jarurat hoti hai but sirf ek hi fayde ke liye hum ye faisla nahi kar sakte kyuki yakinn apne blog ki language change karna ek bahut bada decision hai.

I hope is post me aapko hindi or hinglish ke bare me achi jankari mili hogi or aapko dono me se kisi ek ko choose karne me aasani hogi. So is post ko social media par other blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 81 )

  1. Sir Mere blog ke Sabhi post google par index ho gaye Hai par traffic nhi a rahi hai Koi Suggetion

    Reply
  2. Aapki new posts mai aapne hinglish ko chodke hindi language chuni hai. . aisa q ?

    Mai Bhi hinglish blogger hu lekin ab bhut confused hu .. kya aapne hinglish language chodke hindi ko adopt kr liya hai?

    Reply
    • हां क्युकी अब हिंदी content को ज्यादा रैंक मिल रही है

      Reply
  3. sir kya ek post 500 words ki hindi aur english dono main dali ja sakti hain ,,plese tell me

    Reply
    • हां लेकिन ये सही नहीं होगा, इससे न तो पोस्ट हिंदी keyword के लिए rank होगी और न ही english keyword के लिए इसीलिए बेहतर है की आप एक ही भाषा में लिखे

      Reply
  4. aapke iss blog se meri problem solve ho gyi thanks

    mera ek or question hai abhi mein blogspot par blog likh rha hoon kya mein ek hi blog account par kisi bhi article ka hindi or english content daal sakta hoon alag articlemein jaise ki mere blog ka naam xyz.com hai or mein what is RAM in english or Ram kya hoti hai in hindi do articles same blog account xyz.com par daal sakta hoon sir

    Reply
    • दाल सकते हो लेकिन इस तरह का ब्लॉग यूजर फ्रेंडली नहीं होता है, इसीलिए आप उसके लिए या तो subdomain इस्तेमाल करो या subdirectory.

      Reply

Leave a Comment