High Quality Content and Low Quality Content Me Kya Difference Hai

High quality content kya hai? Low quality content kya hai? Valuable content kaise likhe? Blog par search engine optimization articles kaise write kare? SEO ke bare me ayse bahut se sawal hai jinke bare me har blogger ko pata hona chahiye. In this post, Mai aapko search engine optimizing content likhne ki kuch jaruri bate bta raha hu jo aap sabhi ke badiya post content likhne me bahut kam aayegi.

High quality content and Low quality content

Blog post me 100, 200, 300, 500, 800, 1,000, 1,500, or 2,000 words use karne se koi post quality content nahi ban sakti. Post ko SEO friendly banane ke liye googe guidelines ko ache se follow karna padta hai.

Isse pahle ki mai is topic par aage bat karu aap google ki webmaster guidelines ko ache se padh or samajh le. Agar aap SEO ki low information ke sath quality article likh rahe hai to aapko google se penalty bhi mil sakti hai. Is liye aapko google search engine optimization terms ki puri jankari hona jaruri hai.

New blogger jo SEO ke bare me bilkul naye hote hai or jaise hi unhe iske bare me pata chalta hai to SEO friendly post likhne ki koshish karte hai. Jisse wo high quality content ki jagah Low guality content write kar lete hai. According to results, unhe search engine se bilkul traffic nahi mil pata hai.

Now, Mai humesha chahata hu ki har ek blogger sucess ho or koi bhi galat raste ko follow na kare. So aaj is post me mai aapko high quality content and Low quality content ke bare me details se samajha raha hu. Ummid karta hu iske bad aapko quality content likhne me aasani hogi.

Different Between High Quality Content and Low Quality Content

Hum sabhi jante hai ki blogging me quality content kitna ahem hota hai. Simple shabdo me high quality content ko blogging me sabse important factor kahna galat nahi hoga. Kyuki kuch original quality content ek blog ko next some month me top blog ki list me shamil karwa sakte hai.

1. High Quality Contet Kya Hai ?

High quality content ki main ye pahchan hoti hai:

1.  Useful and informative:

Post me useful or logo ka ghyan badhane wali jankari ho. I mean aapki post ke har ek paragraph me reader ke liye badiya jankari di gayi ho bajaye tod mrod kar likhi gayi post ke simple shabdo wali post ho.

Aapka likha content reader ke liye jitna useful hoga. Log use utna hi jyada pasand karenge or aapko kam article me hi bahut jyada traffic mil sakega.

2. Credible:

Original research, citations, links, reviews and testimonials ki help se quality content likhna. Ek author ke roop me apne writing art ki sabse alag image banana or aysa tarika nikalna jisse sabhi aapke fan ho jaye. Jisse customer khud be khud aaapki site ko promote karne lag jaye.

3. More valuable and useful than other sites:

Dusi website or blog ki tulna me adhik valuable and helpful article likhna. Agar aap blogging ke bare me content likh rahe ho to aapka content me kuch aysa hona chahiye jo pahle kisi ne blogging ke bare me na btaya ho.

I mean aap me har topic par ache se discliam karne ki power ho. Internet par aap jaise lakho blogger hai aapko un sabhi se aage niklna hai

4. High-quality:

Sabhi other people se hat kar post likhna. Jise padhte hi reader ke muh se “Waah” Shabd nikale or wo kahe ki aap wakai kisi bhi topic par ache se write kar sakte ho. Aapki post ka content unique, specific and high-quality hona chahiye.

Aapki post ka content other bloggers se match nahi hona chahiye warna visitors aapko copy paste blogger samajhne lagenge. Agar aapka content primary nahi lagega or usme user experience ki kami hogi to reader ke sath search engine bhi us content ko ache se rank nahi karega.

Yaad rahe sirf dusro ki post copy karna hi copy paste nahi hota. Agar aapka likhne ka tarika kisi or se milta hai to bhi reader aapko uska copy paster man lete hai. Bhale hi apane usk isite ko kabhi open bhi na kiya ho.

5. Talent to win hearts:

Har inshan ki soch, bhawnaye or uska dimag alag-alag hota hai. Agar aapka talent acha ho or aap logo ka dil jitne me expert hai to ye aapke liye bahut achi bat hai. Post me apne hunar ko aajmaye or aysi images use kare ki dekhte hi user ka padhne ka man kare.

Yaad rahe aapke sabse bade sathi khud aap hi ho. Ek kahawat bhi hai ki agar aap apni kismat badalne wale ko dekhta chahate ho to aap aaina dekh lo. Ye bilkul sach hai.

Khud se bada koi humdard nahi hota. Isiliye dusro ke bharoshe par jeene se acha hai khud ki style me life enjoye karo. Agar aapme acha talent hoga to world aapko khud choose karega. So bajaye dusro ki copy karne se khud apne talent se post likhiye.

Examples, Aap labnol.org and shoutmeloud.com jaise blog ko check kar sakte hai. jin par har ek post quality content hoti hai.

2. Low Quality Contet Kya Hai?

Aysa content jis par visit karne se user ka time west ho or wo bilkul helpful na ho to chahe usme 10,000 words ho low quality content mana jata ahi.

  1. Automatically generated content: Khud content na likhte huye dusro ka content copy paste karna, Dusro se useless content likhwana.
  2. Creating pages with little or no original content: Original post nahi likhna or pages me bahut kam words use karna.
  3. Loading pages with irrelevant keywords: Post me bahut jyada irrelevant keywords use karna.
  4. Abusing rich snippets markup: Dusro ke bare me galat bhasha me articles likhna. Jaise kisi rich man ki burai karna. Kisi ko abuse karna.
  5. Extra Redirection and hide links: Bekar me sneaky redirection link add karna or post content me links hide karna. Jaise hum kisi site ke page ko open karte hai or wo kisi or site par redirect hoti hai ya fir usme galat links use kiye gaye ho.
  6. Kisi paper ya book se likha gaya content.
  7. Bina soche samajhe or review kiye jaldi me likha gaya content.
  8. Large pictures ke sath distracting content likhna.
  9. Kisi other site se pura content copy karke usme adla-badli karke likha gaya article.
  10. Sirf kuch topics ko samjhane ke liye bahut sare content ka istemal karna.
  11. Post me purpose pages ki kami.
  12. Sirf online money earn karne ke liye likhe gaye post and pages.
  13. Hacked ya spam content.
  14. Highly untrustworthy, unreliable, unauthoritative, inaccurate or misleading content.
  15. Violations of the Google Webmaster Quality Guidelines: गूगल वेबमास्टर गुणवत्ता दिशानिर्देशों का उल्लंघन
  16. No helpful and useful.

Inke alawa bhi lowest quality content ki or bhi bahut si pahchan hai. Simple language me jis content padhne me jaruri jankari nahi milti hai wo low quality content hi hota hai.

Jaise maine is post me low and high quality content ke bare me likha hai. Agar aapko ise padhne ke bad dono ke bare me achi jankari nahi mile to ye content bekar hai.

I love your writing but likho to kuch aysa likho ki padhne wala aapka fan ho jaye or wo na sirf aapka regular visitor bane balki dusre logo ko bhi aapke or aapki site ke bare me btaye.

Mai gaurantee deta hu fir aapko blog ka kahi promotion karne ki jarurat nahi padegi. Log khud be khud aapke liye success ka rasta bana denge.

Finally, Maine is article me bahut hi simple bhasha ka pryog karke high quality content and low quality content ko samajhaya hai. kyuki hindi new blogger ko SEO ko samajhne me bahut problem hoti hai.

Mai chahata hu is post ko padhne ke bad un logo ko sahi raste par chalne ki sikh milegi jo low quality content likh kar apne aapko success se door le ja rahe hai. Agar ab bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to aap niche comment me puch sakte ho.

I home aapko is post me good information milegi. So agar aapko ye content helpful lage to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 71 )

  1. hostgator se hosting lene ke baad WordPress bhi install karliya or blogger import bhi kar diya lekin post me ek bhi picture nhi aaya.. kese aayega?
    or ab site kholne per esa show ho ra hai …”This Website is Under Construction. Come Back Soon.”
    or abhi WordPress active kre hue or hosting liye hue jyada time nhi hua hai esliye to esa show ni ho ra..? pls bataye ke esa shw kyu ho ra hai? or vo post ke pictures kese aayenge?

    Reply
    • First to aap full name se comment karo. Second apne blog ka link btao mai check karke aapko sahi se guide kar sakunga.

      Reply
  2. Hostgator par WordPress install kar liya hai but WordPress me login karane ke liye weblogstars.com/wp-admin ye site kholata hu toh pahale ki blogger wali site weblogstars.com khul jaati hai toh problem ye hai ki me apane WordPress account me login kaise karu plz btaye Jume din g

    Reply
    • First aap hostgator cpanel me apna domain add karo uske bad WordPress blog install karo. Tab aap log in kar paoge. Aapne pahle galat work kiya hai. ab ache se step follow karo ye guide padh lo how to install WordPress blog on hostgator

      Reply
  3. Maine dusre website se hosting leke WordPress pe install kar liya h per ab main hostgator se lena chahta hun or WordPress install karna chahta or mera sala data v (post v rakhna chahta hun isiliye aap mujhe bataiye puri details me mera website h mustloot.com aap check kar sakte h. Second aapka blog work nahi kar raha hai usme coding problem hai use solve kar lo.

    Reply
    • Hostgator bare me mai articles likh chuka hu aap WordPress or web hosting se related post padho.

      Reply
  4. Bro mera blog dekho ki domain kab tak active ho ga mene yah 20 ko 12 baje blog se link kiya tha

    Reply
    • Aap domain site par DNS record karo aapne sahi se add kiye hai ya nahi. Itne time me domai nactive ho jata hai.

      Reply
  5. Jumedeen ji, aapne Bohot hi acchi jankari newbie bloggers ke liye. Seo ke bare me esi hi aur bhi jankari share kare.

    Reply
  6. Bhai main jab image post mein image upload karta hu tab image properties ke title aur alt bhi fill kar deta hu lekin post publish hone ke baad image ka jo title dekhta hu woh waisa nahi hota jaisa maine image properties mein dala hota hai.

    Reply
    • Raman aap image title me jo words likhoge post publish karne ke bad bhi wohi show hoga. Agar aysa nahi hai to kya show hota hai or aap kya title add kar rahe ho details me btao.

      Reply
      • Maine jaise free internet trick pe koi post likha aur image upload kiya aur “Title text” & “ALT text” mein free internet fill kar diya fir publish bhi kar diya. Lekin jab post publish hone ke baad main post ki image open karta hu toh uska title kuch aisa rehta hai IMG_9548887458. Mujhe yeh samajh nahi aa raha ki maine jab free internet fill kar diya tab aisa kyu ho raha hai

        Reply
        • Simple problem hai aap image ko upload karne se pahle image ka name change karo.

          Reply
  7. mujhe har 2-3 baad spam traffic milta hai jo ki total 29 hota hai aur inka bounce rate 100% hota hai. Mujhe yeh spam traffic band karna hai kaise karu

    Reply
    • Spam traffic wale blog par comment jarur karte hai. Aap google analytics me uske IP address ko block kar do. Iske bare me aapko google me bahut post mil jayegi.

      Reply
  8. hostgator se hosting lene ke baad domain ko hostgator site pe ragister karna padhta hai kya..?
    ya phir jis site se domain liya hai usme jake nameserver update karne hote hain?

    Reply
    • Sirf domain wal isite par name server add karna hai.

      Reply
  9. Thanks jumedeen sir, for your A-Z guide on this topic. Bohot accha tha. Isse bohot kuch sikhne ko mila.

    Reply
  10. bhai Ek Site Ko Check kare

    pixelgroove.com/serp/sandbox_checker/

    isme Apni Website Ki Url Aor Meri Website ki url Check karo Isme Hamari Site ko Penalize bata raha hai .

    jabki Hindimehelp aor Achhikhabar ko check karo inke baare me OK bata raha hai .

    clear karke batao iska kya matlab h

    Reply
    • Ye too bahut si site ko penalized bta rahi hai. Example mera ek blog hai supportmeteam.com jis par koi content nahi hai ye use bhi penalized bta raha hai and maine isme or bhi kei site ko check kiya hai. Iski report galat hai. Aap google webmaster tool par jao or HTML Improvements par click karke Non-indexable content ki report check karo waha agar apaki site penalized hogi to iska message likha hoga. and aap is site par check karo ismywebsitepenalized.com

      Reply

Leave a Comment