High Quality Content and Low Quality Content Me Kya Difference Hai

High quality content kya hai? Low quality content kya hai? Valuable content kaise likhe? Blog par search engine optimization articles kaise write kare? SEO ke bare me ayse bahut se sawal hai jinke bare me har blogger ko pata hona chahiye. In this post, Mai aapko search engine optimizing content likhne ki kuch jaruri bate bta raha hu jo aap sabhi ke badiya post content likhne me bahut kam aayegi.

High quality content and Low quality content

Blog post me 100, 200, 300, 500, 800, 1,000, 1,500, or 2,000 words use karne se koi post quality content nahi ban sakti. Post ko SEO friendly banane ke liye googe guidelines ko ache se follow karna padta hai.

Isse pahle ki mai is topic par aage bat karu aap google ki webmaster guidelines ko ache se padh or samajh le. Agar aap SEO ki low information ke sath quality article likh rahe hai to aapko google se penalty bhi mil sakti hai. Is liye aapko google search engine optimization terms ki puri jankari hona jaruri hai.

New blogger jo SEO ke bare me bilkul naye hote hai or jaise hi unhe iske bare me pata chalta hai to SEO friendly post likhne ki koshish karte hai. Jisse wo high quality content ki jagah Low guality content write kar lete hai. According to results, unhe search engine se bilkul traffic nahi mil pata hai.

Now, Mai humesha chahata hu ki har ek blogger sucess ho or koi bhi galat raste ko follow na kare. So aaj is post me mai aapko high quality content and Low quality content ke bare me details se samajha raha hu. Ummid karta hu iske bad aapko quality content likhne me aasani hogi.

Different Between High Quality Content and Low Quality Content

Hum sabhi jante hai ki blogging me quality content kitna ahem hota hai. Simple shabdo me high quality content ko blogging me sabse important factor kahna galat nahi hoga. Kyuki kuch original quality content ek blog ko next some month me top blog ki list me shamil karwa sakte hai.

1. High Quality Contet Kya Hai ?

High quality content ki main ye pahchan hoti hai:

1.  Useful and informative:

Post me useful or logo ka ghyan badhane wali jankari ho. I mean aapki post ke har ek paragraph me reader ke liye badiya jankari di gayi ho bajaye tod mrod kar likhi gayi post ke simple shabdo wali post ho.

Aapka likha content reader ke liye jitna useful hoga. Log use utna hi jyada pasand karenge or aapko kam article me hi bahut jyada traffic mil sakega.

2. Credible:

Original research, citations, links, reviews and testimonials ki help se quality content likhna. Ek author ke roop me apne writing art ki sabse alag image banana or aysa tarika nikalna jisse sabhi aapke fan ho jaye. Jisse customer khud be khud aaapki site ko promote karne lag jaye.

3. More valuable and useful than other sites:

Dusi website or blog ki tulna me adhik valuable and helpful article likhna. Agar aap blogging ke bare me content likh rahe ho to aapka content me kuch aysa hona chahiye jo pahle kisi ne blogging ke bare me na btaya ho.

I mean aap me har topic par ache se discliam karne ki power ho. Internet par aap jaise lakho blogger hai aapko un sabhi se aage niklna hai

4. High-quality:

Sabhi other people se hat kar post likhna. Jise padhte hi reader ke muh se “Waah” Shabd nikale or wo kahe ki aap wakai kisi bhi topic par ache se write kar sakte ho. Aapki post ka content unique, specific and high-quality hona chahiye.

Aapki post ka content other bloggers se match nahi hona chahiye warna visitors aapko copy paste blogger samajhne lagenge. Agar aapka content primary nahi lagega or usme user experience ki kami hogi to reader ke sath search engine bhi us content ko ache se rank nahi karega.

Yaad rahe sirf dusro ki post copy karna hi copy paste nahi hota. Agar aapka likhne ka tarika kisi or se milta hai to bhi reader aapko uska copy paster man lete hai. Bhale hi apane usk isite ko kabhi open bhi na kiya ho.

5. Talent to win hearts:

Har inshan ki soch, bhawnaye or uska dimag alag-alag hota hai. Agar aapka talent acha ho or aap logo ka dil jitne me expert hai to ye aapke liye bahut achi bat hai. Post me apne hunar ko aajmaye or aysi images use kare ki dekhte hi user ka padhne ka man kare.

Yaad rahe aapke sabse bade sathi khud aap hi ho. Ek kahawat bhi hai ki agar aap apni kismat badalne wale ko dekhta chahate ho to aap aaina dekh lo. Ye bilkul sach hai.

Khud se bada koi humdard nahi hota. Isiliye dusro ke bharoshe par jeene se acha hai khud ki style me life enjoye karo. Agar aapme acha talent hoga to world aapko khud choose karega. So bajaye dusro ki copy karne se khud apne talent se post likhiye.

Examples, Aap labnol.org and shoutmeloud.com jaise blog ko check kar sakte hai. jin par har ek post quality content hoti hai.

2. Low Quality Contet Kya Hai?

Aysa content jis par visit karne se user ka time west ho or wo bilkul helpful na ho to chahe usme 10,000 words ho low quality content mana jata ahi.

  1. Automatically generated content: Khud content na likhte huye dusro ka content copy paste karna, Dusro se useless content likhwana.
  2. Creating pages with little or no original content: Original post nahi likhna or pages me bahut kam words use karna.
  3. Loading pages with irrelevant keywords: Post me bahut jyada irrelevant keywords use karna.
  4. Abusing rich snippets markup: Dusro ke bare me galat bhasha me articles likhna. Jaise kisi rich man ki burai karna. Kisi ko abuse karna.
  5. Extra Redirection and hide links: Bekar me sneaky redirection link add karna or post content me links hide karna. Jaise hum kisi site ke page ko open karte hai or wo kisi or site par redirect hoti hai ya fir usme galat links use kiye gaye ho.
  6. Kisi paper ya book se likha gaya content.
  7. Bina soche samajhe or review kiye jaldi me likha gaya content.
  8. Large pictures ke sath distracting content likhna.
  9. Kisi other site se pura content copy karke usme adla-badli karke likha gaya article.
  10. Sirf kuch topics ko samjhane ke liye bahut sare content ka istemal karna.
  11. Post me purpose pages ki kami.
  12. Sirf online money earn karne ke liye likhe gaye post and pages.
  13. Hacked ya spam content.
  14. Highly untrustworthy, unreliable, unauthoritative, inaccurate or misleading content.
  15. Violations of the Google Webmaster Quality Guidelines: गूगल वेबमास्टर गुणवत्ता दिशानिर्देशों का उल्लंघन
  16. No helpful and useful.

Inke alawa bhi lowest quality content ki or bhi bahut si pahchan hai. Simple language me jis content padhne me jaruri jankari nahi milti hai wo low quality content hi hota hai.

Jaise maine is post me low and high quality content ke bare me likha hai. Agar aapko ise padhne ke bad dono ke bare me achi jankari nahi mile to ye content bekar hai.

I love your writing but likho to kuch aysa likho ki padhne wala aapka fan ho jaye or wo na sirf aapka regular visitor bane balki dusre logo ko bhi aapke or aapki site ke bare me btaye.

Mai gaurantee deta hu fir aapko blog ka kahi promotion karne ki jarurat nahi padegi. Log khud be khud aapke liye success ka rasta bana denge.

Finally, Maine is article me bahut hi simple bhasha ka pryog karke high quality content and low quality content ko samajhaya hai. kyuki hindi new blogger ko SEO ko samajhne me bahut problem hoti hai.

Mai chahata hu is post ko padhne ke bad un logo ko sahi raste par chalne ki sikh milegi jo low quality content likh kar apne aapko success se door le ja rahe hai. Agar ab bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to aap niche comment me puch sakte ho.

I home aapko is post me good information milegi. So agar aapko ye content helpful lage to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 71 )

  1. Sir aap ki har post kafi helpfull hoti hai

    Reply
  2. Sir mene kal rat apse kuch questions puche bat apne comment ka reply kare bina usko delete kardiya its not fair apko sabke savalo ka jawab dena chaiye mene koi adult question thodi na pucha tha mene to sirf ye pucha tha sir mere YouTube chanel me ab videos upload nahi horahe video not allow to upload batraha hai just apse iska solution manga or apne mera comment delete kardiya sir mene apse bhot kuch espect kiya tha but mujhe pata nahi tha aap esa bhi kar skte hai

    Reply
    • Aapka comment delete nahi hua hai. maine uska abhi reply kiya hai check kar lo. main kal online nahi tha.

      Reply
  3. Mera blog English me h, kya mai usme kuch posts “hinglish” me daal skta hu or isse mere blog ya AdSense pe kya effect pdega

    Reply
    • Kar sakte ho. AdSense ko koi problem nahi hai but aapke readers ko hogi. kyuki jo log hinglish nahi jante wo aapki post nahi padh sakenge.

      Reply
  4. Sir muje blogging mein interest hair Sir par muje samanj nai araha ki kis topic par likhu sir kuch idea bta sakte ho kya sir

    Reply
    • Aapko jis topic me interet hai us par likho.

      Reply
  5. Bro agar meri site ka url kisi aur site se match horaha hai aur usne iski report ki bing se aur wo meri site isliye show nai kar raha hai to ab mujhe kya karna chahiye ise kaise solve karu.

    Reply
    • First aapki galti hai ki aap kisi ka URL same use kar rahe ho iske liye aap usi site ke onwer se permmission lo.

      Reply
  6. Sir mera AdSense Aprove Ho Gya YouTube Se To kya Mujhe Kuch karna hoga YouTube video pet ad lane ke liye. ya aapne aap ad show hone lagenge. kuch bataye

    Reply
    • Bas aap apne videos ko monetize kar do or kuch nahi karna hai.

      Reply

Leave a Comment