Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2024

Kisi bhi site ke liye Google me achhi rank lana aasan nahi hota hai. Google me ranking lane ke liye 200+ algorithms ranking factors hai. Yadi ham in sabhi factors ko sahi tarike se follow karenge to Google ke search results me hamara blog top me hoga. Bahut se logo ko Google rankin factors ke bare me pata nahi hota hai. So ham aaj is post me Google ke ranking factors ke bare me janenge.

Google SEO Ranking Factors

Google ek bahut badi search engine hai aur apne blog me Google se achhi traffic pana sabhi bloggers ka sapna hota hai. Sabhi blogger is samne ko saakar karne ke liye din raat mehnat karta hai taki uska blog search engine me sabse top par aaye.

Lekin aapko to pata hi hoga ki search engine me apni site ko top par lana kitna mushkil or hard kaam hai magar impossible nahi hai.

Google ke kuch ranking factors hai. Jinhe follow karke ham apne blog ko Google SERPs me sabse top par la sakte hai. Internet par bahut se bade bade companies hai aur in companies ke bare me kuchh aise hidden information jiske baare me har kisi ko pata nahi hota hai use ham Factor kahte hai.

Same as, Google ranking factors ke bare me bhi kuch aisi baate aesi hai jo har kisi ko pata nahi hai use hi ham Google ranking factors kahte hai.

Google Ranking Factors Kya Hai?

Jab Google kisi website ko rank deti hai to wo us websites me kya kya khubiya dekhkar rank deti hai. I mean, Google kisi bhi website ko rank dene ke kaun kaun things ko calculate karti hai. Use ham Google ranking factors kahte hai.

Google Me Achi Ranking Pane Ke 20 Ranking Factors 2024

Upar wala paragraph padhne ke baad apko yah pata ho gaya hoga ki Google ranking factors kya hai? Ab ham Google ranking ke top 20 factors ke baare me bta rahe hai. Yadi aap niche bataye gaye sabhi factors ko achhe se follow karoge to aapke blog ka Google me position achha hoga.

1. Main Keyword in Title: Title Me Keyword Use Kare

SEO me keyword ka bahut jyada importance hai. Jab ham apne post me achhe rank ka keyword achhe place me use karenge to isse jab koi Google me hamare post se related search karega to search result me hamara post top par hoga. Because hamne post keyword ka sahi istemal kiya hai aur keyword ka value Google me bahut jyada hota hai.

Title sabse achha jagah hai, keyword use karne ke liye. Lagbhag 70% log only title ko padh kar hi us par click karte hai. So yadi aapka title unique hoga to aapko google search results me click jyada milenge or organic traffic bhi jyada milega.

Googlebot post title ke keyword ko achhe se filter kar ke use highlight karta hai. Isiliye title me keyword ka use karna Google ke top ranking factors me se ek hai.

2. Keyword in Domain Name: Domain Me Keyword Use Kare

Domain name kisi bhi site ka ek bahut important part hota hai aur iska importance SEO me bhi bahut jyada hai. Bahut se log Domain name chunne ke time ki mistake kar deta hai. Domain name me keyword ka use hona Google ka ranking factors me se ek hai.

Jaise ki kisi blog me blogging se related information share karte hai aur hamare blog me hindi me post likha jata hai to blog ka domain name humare blog niche se related hona chahiye. Isi tarah aapka blog jis niche me hai, usse related keyword use kare. Isse aapke blog ki ranking Google me badhegi.

3. Age Of Domain: Old Domain Istemal Kare

Google ka top rank factors me se ek ye bhi hai ki domain age kitna hai. Yani ki jab Google kisi website ko rank deta hai to usme ye bhi dekha jata hai ki domain kitna old hai.

Domain jitna jyada old hota hai utna better rank milti hai. Isiliye yadi aapko Google se achhi rank lena hai to aap kisi se old domain buy kar sakte ho ya fir aapne abhi tak apni site ke liye domain nahi liya hai to jaldi hi le le.

4. Keyword in H1 & H2 Tags: Post Me Heading Istemal Kare

Blog post me heading and sub-heading ka use karna bahut jaruri hota hai. Yah SEO ke liye bahut achha to hota hi hai aur isse readers ko samjhne me bhi aasani hoti hai.

Post me heading 1 (H1) aur heading 2 (H2) ka use karna SEO ke liye better hota hi hai lekin yadi aap isme keyword ka use karte ho to isse hame bahut jyada rank milega. Kyoki H1 aur H2 me keyword ka use karna Google ranking factors ka ek important factor hai.

Aap chahe to post me jaruri H3, H4, H5 heading bhi istemal kar sakte hai magar sirf jarurat padne par. Iske alawa post me jaruri keywords ko highlight, bol, italic karna bhi SEO ke liye better hai.

5. Length of content: Long Content Write Kare

Maine aise bahut se logo ko dekha hai jo ki apne blog ke post me maximum 500 words use karta hai, jo SEO ke liye better nahi hai. Google me un blogs ko top rank me rakha jayega jisme unique content ho. Unique content se mera matlab hai ki jis post me 1000+ words use kiya gaya ho aur uska content 100% originally ho.

SEO expert Neil patel hamesha yahi suggest karte hai ki blog ke liye 3000+ words ka post likhe. Long length content to SEO ke liye better hota hi hai aur sath hi readers ko us topic par puri jankari mil pati hai.

Mai bhi aapko yahi suggest karunga ki long length post likhe yani 1000+ words ki post likhe. Kyoki Google ka ek sabse important ranking factor Unique content hi hai.

Long post likhne ka matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh kar words badha do aapki post ke har ek paragraph me unique and useful content hona chahiye.

6. Keyword Density: Keyword Ka Jyada Use Na Kare

Hame post likhte time bahut se baato ko dhyan me rakhna hota hai. Mostly, new bloggers in bato ko dhyan me nahi rakhta hai aur post me ek hi word ko bahutbaar use kar deta hai. Jisse keyword stuffing ho jaati hai. Keyword stuffing karna Black Hat SEO me aata hai.

Jab koi black hat SEO ko follow karta hai to use Google se penalty mil sakti hai. Post content me keyword density 1.5% to 2.5% or maximum 3% rakhna better hota hai.

Jab post me keyword density jyada hoti hai to yah Google webmaster rules ke bhi khilaf hota hai. Post me Keyword density ka khyal rakhna bhi Google ranking ka ek factor hai.

7. Update Posts regular: Daily Post Share Kare

Internet par bahut sare blogs aise hai jaha daily new post update hote raht hai. Aapko pata hona chahiye ki blog me regularly post update karna Google ranking ka important factor hai.

Jab ham apne blog me daily new post share karenge to isse hamare blog me visitors aate rahenge aur isse hamara blog Google SERPs me bhi top par show hoga.

Maine bahut saare blogs dekhe hai jaha post regularly update hote rahta hai aur mene un blogs me yah dekha ki un blogs ki traffic kabhi kam nahi hoti hai. Jitna possible ho badhti hi hai.

Blog me regular post share karne se or bhi bahut sare benefits hai. Isiliye hame apne blog me regular post daalte rahna chahiye.

8. Images & Videos in Article: Post Me Video and Iamge Use Kare

Blog post me image aur video ka use karna bhi bahut jaruri hai. Isko use karne se readers ko aapka topic jaldi aur aasani se samajh me aa jati hai. Ham chahe to post me image ka use karke bhi blog me achhi traffic la skte hai.

Iske liye hame image ko SEO ke liye optimize karna hoga. Yani image ke title me post ka title likhna hoga aur alt tags me keyword ka use karna hoga.

Jab ham post me image ka use karte hai to isse post ki design bhi achha ho jaata hai aur isse hame Google images se traffic milegi. Bahut se log article me video bhi add kar deta hai jisse uske reader video dekh kar easily samajh sake. Yah SEO ke liye bhi achha hota hai.

Blog post me multimedia ka use karna Google ranking factors me se ek hai or ab to google bhi videos ko search me top par dikhane lag gaya hai.

9. Website Speed: Site Ko Speed up Banaye

Google slow loading wali sites ko hamesha se hate karta raha hai. Agar aapka blog loading hone me 4 second se jyada time leta hai to isse aapke blog ko Google me achhi rank nahi mil payegi.

Agar aap apne blog ko fast loading banana chahte ho to iske liye apne blog ko simple design kare aur script ka kam upyog kare.

Site ko speed up karne ke liye aap good hosting choose kare or VPS ya dedicated hosting use kare. Agar aap chaho to website me CDN ka use bhi kar sakte ho. Isse aapke blog ki server loading speed fast hogi, jisse aapka blog bhi fast ho jayega.

10. Mobile Optimized: Site Mobile Responsive Honi Chahiye

Google ne recently ye announcement kiya hai ki jo website mobile friendly nahi hai usko Google search result me kabhi bhi top par nahi dikhaya jayega. Yah Google ranking factors ka important fact bhi hai.

Isiliye aapko apne blog ko Google me achhe position me lane ke kiye site ko mobile responsive optimize karna hoga. Iske liye apne blog me mobile responsive template theme use kare aur apne blog ko simply design kare.

11. Backlinks: High Quality Backlinks Banaye

SEO ke liye backlinks bahut jaruri hai. Hame apne blog ke liye dofollow backlink banana hota hai. Backlink banane ke liye bahut saare ways hai but commenting and guest post top way hai. Jisse aap dofollow backlink bana sakte ho.

Google ranking factors kasabse top factors me se backlink bhi hai. I mean, jab Google kisi website ko rank deti hai to usme ye bhi count kiya jaata hai ki website par high quality backlink kitna hai. So yadi aapko Google me achhi ranking lana hai to high quality yani dofollow backlink banana hoga.

12. Using SSL Certificate: SSL Certificate Use Kare

Apne bahut saare websites me dekha hoga ki uske URL ke pahle https:// laga hota hai. Pahle to isko log jyada velue nahi dete hai lekin abhi iski value bahut jyada hai. Isse hamara blog secure rahta hai aur hamare blog ki data koi hackers nahi chura pata hai.

Iska importance SEO me bhi hai. Google ne ye announcement kar diya hai ki jis website me SSL certificate yani https hoga uski search result me http:// url yani without SSL certificate wale blog se jyada rank hogi. Yah Google ranking ki ek bahut badi factor hai.

Yadi aapka blog Blogger par hai aur apne custom domain nahi use kiya hai to aap free https use kar sakte ho. Iske baare me pahle se ek post likha hua hai. Aap unhe read kar sakte ho.

Yadi aapka blog WordPress par hai to aap cloudflare ka free SSL certificate kuchh time tak use kar sakte ho. Iske alawa aap SSL certificate buy karke bhi apne blog me use kar sakte ho.

13. Avoid Duplicate Content: Copy Pasting Na Kare

Bahut se log apne blog me kahi se copy karke post, image etc. daalte hai. Jo koi bhi aisa karta hai, me un sabhi kahna chahunga ki Aisa karne se to aapko kuchh benefit nahi milega aur isse aapko only loss hi loss hoga.

Sabse pahle to copyright content ko readers like nahi karta hai aur yah SEO ke liye achha nahi hota hai. Copyrighting content ki wajah se google se aapko penalty mil sakti hai. Ise bhi aap google ranking factors me shamil kar sakte hai.

Jab koi kisi blog se post ko copy karta hai to iska pata Google ko chal jaata hai aur Google is tarah ke post ko kabhi bhi achhe position par nahi show karata hai.

Isiliye hamesha koshish yahi kare ki aap jo content likhte ho wo 100% original ho aur aapka content unique & long length ka ho. Jis blog me sabhi post original aur unique hota hai, usko Google SERPs me top par dikhata hai.

14. Illegal content in Blog: Illegal Content Share Na Kare

Internet par bahut se blog and website hai jisme sirf illegal information share kiya jaata hai. Yani ki Google jis content ko share karne se mana karta hai.

Jaise ki bahut se log apne blog me hacking se related jankari share karte hai, jo Google rules ke khilaf hai sath hi aapki country like india me bih aesa karna illegal hoga. Aisa karne ke Google bahut se blog ko penalty bhi de deti hai.

Jis blog me sabhi post legal ho aur 1-2 post me illegal content ho to Google us blog ko achha results nahi deta hai. Isiliye kabhi bhi apne blog me hacking, s*x, law se related content share nahi kare. Yah Google se ranking lene me bahut badi diwaar ban sakti hai.

15. Be active in Social Media: Social Sites Par Online Rahe

Sabhi log yah jante hai ki social media se hame nofollow backlink milta hai. Lekin Google ne recently ye announcement kiya hai ki Social media me achhi rank lana Google ranking ka ek most important factor hai.

Yani ki yadi aapko Google me achhi rank pana hai to aapko social media me bhi active rahna hoga aur jab bhi apne blog me new post update karte ho to use social media me bhi share kare.

Conclusion,

Google ranking factors me yah sabhi important factors hai. Waise to Google ranking ke bahut se factors hai lekin jab aap in sabhi factors ko follow karoge to wo apne aap optimize ho jayegi. Isiliye aap sirf inhi sabhi factors ko achhe se padhe aur follow kare.

Google kisi bhi website ko rank inhi factors ko dekh kar deta hai. Isiliye yadi aap in sabhi factors ko sahi se follow karenge to 100% aap Google me achhi rank paa skte ho.

Mai ummid karta hu ki aapko yah post achha laga hoga. Aapko yah post kaisa laga hame comment me jarur bataye. Sath hi iss post ko Facebook, Google plus, Twitter, Whatsapp me share jarur kare.

Thanks for read this post. Please share your this post related experience with us.

Avatar for Md Arshad Noor

by: Md Arshad Noor

Hi Everyone! I'm Md Arshad Noor. I mostly share useful information about Blogger, SEO, WordPress, and Internet Related other topics. You also can connect with me on social media.

Comments ( 70 )

  1. Tip Top Information

    Ydi hum humare blog ko google search result me top par dekhna chahte he to hume in seo factors ko jarur follow karna hoga.

    Is article me seo releted sabhi important factors bahut hi aasan tarike se samajaye gye he jo new and old blogger sabhi ke liye bahut hi helpful he.

    Thanks for sharing this

    Reply
  2. Jummedin Sir Mera Ek Sawal Hai,Man Lijiye Mere Blog Ka Name name Smi Hai, Aur Isse Mai 2 Year Se Use Kar Raha hu,Aur Google Me Popular Hai,
    Q.1. Mai ab Koi Dusre Name Ka domain Lekar Usse Is Par Redirect Kiya Yani Master Domain smi Par To visitor Naye Domain Ke Url Se Open Karega To smi Par Jayega Right
    Q. 2 Phir Naya Domain Hai Usse Hum Google Me Show Kaise Kare, Uska Koi Tarika Search Console Me Dal Diya Kya Sirf Master Domain Yani Jispar Par Blogging Ho Rahi Wahi show Karega Google Me To Aise Me Koi Top Domain Le Le , Google Me Show Karega Tabhi To Koii Purane Domain Par Aayega So Aisa Koi Tarika Bataye Kyuki Maine Jo Domain Liya Wo Google Me Log Aksar Article Ke Sath Search karta hai

    Reply
    • Aap new domain ko search console me submit kar verify karo. Google me show hone lag jayega.

      Reply
  3. hi sir ap firse hinglish language me kyu likhte ho apne to apki pichli post me Hindi ka bataya tha . sir kya ham bhi apni site par 2 language me likh sakte hai

    Reply
    • Yes hindi hinglish se jyada better hai but mere liye nahi.

      Reply
  4. Nice Post mere blog ki ranking vahut jaldi badh jati hai. sir kyu.

    Reply
  5. bohut aachi jankari hai thank you…

    Reply
  6. M aake 2 points se agree nhi hu.
    1. Domain me keyword ho, not possible domain me target keyword hona jaruri nhi h or 1 domain me kitna keyword use ho payega.

    2. Post me H1 tag use nhi krna chahiye H1 to post ke tiltle ke liye hota h jo theme ki coding se already rhta h.

    Reply
    • 1. Right domain me keyword use karna jaruri nahi hai but agar ho to achha hai. Domain me 10-20 nahi ek main keyword ki bat ho rahi hai. Like mobile niche par content likhna hai to mobilegadget.com jaisa domain best hota hai. For example, aapka domain rechargep.in hai aap isme recharge se related post daloge to aapko jaldi hi achha traffic milne lag jayega but agar aap is par blogging, SEO ke bare me likhoge to aapko kam support milega.
      2. Dear promod post title post ka part hi hota hai. Usi ke bare me kaha ja raha hai. Main aapko bta du ki H1 bhi H2, H3, H4, H5, H6 ki heading category me aata hai. Agar ye heading nahi hota to ise H1 nahi title1 kaha jata. Post ka title H1 heading me rakhna chahiye. Iska matlab ye hai ki agar aapki theme me post title H1 me nahi hai to use theek kare or agar pahle se H1 me hai to kuch bhi karne ke ki jarurat nahi.

      Reply
  7. Very very usrfull post about _google mein achi ranking pane ke liye kya kare_ dear jummedeen khan yaar aapka jawab nahi really lajawab hain daily aapki website active rehti hai aur har din kuchh na kuchh sikhne ko milta hai jo guest post likhte hain aur aapko gollow karte hain woh bhi same aapki tarah samjhane mein koi kasar baki nahi rakhte Thanks for all

    Plz 1 question hai mera agar bataden meharbani hogi
    1_ meri website health2hindi.net se hai domain bhi hai lekin isko agar wordpress par taransfer karun to kaise karun

    2_ mujhe keyword ki kafi problems hoti hai kyun ki mein jo bhi post dalta hun woh only jo log mujhse kisi problems ke taaluq se puchhte hain usi par likh dalta hun likhna meri fitri aadat hai urdu writer hone ke karan bas 1 kahani ki tarah likh dalta hun ab baat samjhane wali yeh hai ki kya mujhe aisa karna chahiye ya nahi
    Keyword simple tor par kahan se suerch karun aur kahan kahan use karun

    3_Post ka image mein abhi pica Aart se edit karta hun sahi seo ke mutabiq mobaile mein kiss apps se image edit karun aur uski hig. Leng. Kitni rakhni better rahegi

    4_ mera blog health ke taaluq se hai but islamic post waqt aur moqa mehal se dalta rehta hun kya isse koi effect padh sakta hai

    Please meri healp kare malik aap ko aur balandi aur taraqqi ata kare

    Mujhe kuchh ziyadah malumat nahi bloging’ seo’ dofollow! Black hatseo’ content’ but aap logun ki post padhkar kuchh na kucch samajh mein aa raha hai aur ab 1k to 2.5k tak alhamdu lillah pagevewer bhi ho raha hai

    1 baar webset ko chack karen aur mujhe batane ki zehmat farmaen aapko dill se thanks i will wait your answer

    Reply
      • Thanks dear kya aapne 1 baar mere blog ko dekha nahi to ab dekhlo plz kya yeh jo themas lagi hai sahi hai aur iski speed kya hai lamsam sahi hai ya change karne ki zarurat hai
        2 @ 1 post ko 1 baar open karke dekhen kya mere likhne ka andaz kahan aur kaise kharab ho raha hai

        Thanks for help

        Reply
        • Sab theek hai bas aap SEO ko follow karo.

          Reply
  8. Very usefull post..Kya mast post kiye ho guest post karne wale Isse sabhi ko bhut help milegi.

    Mai ye jaanaa chahta hu kya blog ko par day update karne se kya blog ki rank high hoti hai.

    Bhai Ek guest post se kitna Dofollow backlink milta hai.Aap apni site ko lekar bataye kyu ki aapki site ki rank acchi hai.Agar mai aapko bkkb par guest post karta hu to mujhe kitna Dofollow backlink milega

    Reply
    • Yes ranking me fark padta hai. Ek post se ek hi backlinks milega.

      Reply
  9. Nice post PRA mene keyword wali post to padi h phir bhi abhi tak samaj ni aaya keyword kya hai bhai thoda achi she btaye
    Example : koi 1 post likhte hai blog kaise bnaye isme keyword kaise use hota haior keyword kya hai btaye plz

    Reply
    • Dear SEO ko ek line me nahi samajha ja sakta. Aap humari SEO wali oe psot padho samajh aa jayega.

      Reply
  10. Hello sir mene aapko Admin@SMI pe mail kiya hai plez check

    And aapki site ki loading speed lajavab hai iska raj bhi bata dijiye

    Or mera blog check kr dijiye

    Reply
    • Mail karne ke liye contact forum istemal karo. Best hosting and CDN use karo or wordpress database and theme ko sahi se optimize karo.

      Reply

Leave a Comment