Google Duo: Free Video Calling Karne Ka Best Apps

Google ne 15 august 2024 ko google duo ke name se ek app launch kiya hai. Jis se aap simple tarike se video calling kar sakte ho. We all know, hangout jaise pahle se bahut se video calling apps hai fir goog duo me aysa naya kya hai or google ne ise kyu lauch kiya hai. in this post, mai aapko iske bare me details se bta raha hu ki ime kya khas hai jo oro me nahi hai.

free video calling google duo app

Google ke new video callinkg app duo launch hone ke bad Facetime and Skype jaise popular video calling apps ko isse badi takkar mil rahi hai. Iska user interface kafi aasan hai. ise aap jaise hi apne mobile me open karoge video camera on ho jayega or aapka video dikhne lagega.

Actually, jab maine is app ko try kiya to mujhe iske feature mujhe bahut pasand aaye or mujhe laga ki iske bare me aap sabhi ko bhi btana chahiye. So chaliye mai aapko bta raha hu ki google duo app ko kyu use kare or isme kya kya better hai.

Google Duo Video Calling Aapp Se Free Me Call Kaise Kare

Apne mobile ke play store me jaye or search box me Google Duo ya only Duo likh kar search kare or apps download kar le ya fir aap chahe to is link se bhi google duo app download kar sakte hai, Google Duo – The simple video calling app.

  1. hangout jaise other video call wale apps me aapko apni gmail ID ke username, password se log in karne ki jarurat hoti thi but google duo me aap direct apne mobile number se video callinkg kar sakte ho.
  2. Google duo abhi globally android and IOS phones me lagbhag 78 languages me available hai.
  3. Abhi aap isse only video call kar sakte ho par aane wale time me aap isse sirf audio call bhi kar paoge.
  4. Is app ki sabse achhi bat ye hai ki aap isse 2g internet connection par bhi achhe se use kar sakte ho. Jabki aapko dusre video calling apps ke liye 3G, 4G network ki jarurat hoti hai.
  5. Ye app bahut simple hai aap ise aasani se istemal kar sakte ho.
  6. Is app ka size bahut kam MB ka hai jabki iski tulna dusre video calling apps jyada size ke hote hai. So ise download karne me aasani hogi.
  7. Is app se video call karne ke liye aapko sirf mobile number ki jarurat hoti hai.

Humare kuch dosto ne iske bare me hindi video bhi banaye hai. Jinke link me aapko yaha bta raha hu. So agar aap google duo ke bare me video se janna chahate ho to aap ye video dekh sakte hai.

  1. Google Duo! The Simple Video Calling App
  2. Hindi Google App / free video calling app
  3. [Hindi] Google launches video calling app for Android and iOS – Tech News

Finally, I suggest you is app ko ek bar jarur try kare or agar aapko ye samajh na aaye to aap upar btaye 3no videos me se koi bhi video dekh kar ise achhe se samajh sakte hai. Mobile user ke liye video calling karne ka ye bahut achha app hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 13 )

  1. Bhhut hi acha app hai achi video quality aati hai thanks for sharing.

    Reply
  2. Sir bahut accha app hai. very useful apps. thankss 4 inform to u

    Reply
  3. Awesom !! Jume Deen

    मैं आपके ब्लोग और आपका बड़ा FAN हूँ
    कृपया इसी तरह हमसे Share करतें रहें आपका hindi ब्लोगिंग के दुनिया में बड़ा योगदान है|

    Reply
    • Thank you bro but aap name se comment karo to kitna achha hoga.

      Reply
  4. Awesom !! Jume Deen

    I am big Fan of You and Your blogge Keep sharing with us

    Reply
  5. Badiya post kiya hai lekin aapne is app ke sabse majedar or naya features “Knock Knock” uske bareme nehi bataya hai. 🙂

    Reply
    • Uske bare me aap video dekhe.

      Reply
      • Sir, mene google duo ko lekar 1st din 15 aug ko hi post kiya hai, mere blog par … just aapko batay or kuch nehi 🙂 thanks for comment aapke blog ke blogging releted post bohut acche hoti hai…. 🙂

        Reply
  6. इस बेहतरीन जानकरी के लिए धन्यवाद. मुझे इसकी जरुरत थी 🙂

    Reply
  7. Sir, Bahut acha app hai thankyou for sharing this information.

    Reply
  8. ok mai aapko post check karke reply kar dunga.

    Reply
  9. बहुत अच्सा ओर काम का आर्टीकल हैं
    Bro मुझे आपसे एक क्वेश्चन पूछना है कि अगर आप अपनी वेबसाइट पर गेस्ट पोस्ट स्वीकार करते हो तो यह जरुरी नहीं है कि हर कोई आपको बिल्कुल सही गेस्ट पोस्ट भेजें कुछ ऐसे भी होते हैं जो कॉपीराइट पोस्ट भी आपको भेज देते हैं तो आप उस पोस्ट को कॉपी राइट है कि नहीं वह जांचंने के लिए क्या करते हो

    Reply
    • Bahut simple hai iske liye aap post ko google me search karo or usk isites par check karo. Isi wajah sw mai bahut se logo ki post ko avoid kar deta hu.

      Reply

Leave a Comment