Google Adsense Ads Ko Optimize Karne Ki Top 15 Effective Tips

Google AdSense se badiya earning karne ka tarika sirf content me quality keywords use karna nahi hota hai balki AdSense ke ads placement optimization se bhi AdSense revenue increase ki ja sakti hai. In this post, Mai aapko “Google Adsense Optimization Tips” ke bare me kuch effective tarike bta raha hu. jisse aapki AdSense earning me 100% improving hogi.

Google Adsense Optimization Tips in Hindi

Blog banane ke bad hum usme kuch article likhte hai or jab humari site google AdSense friendly ban jati hai to hum AdSense ke liye apply kar AdSense approved kara lete hai. Adsense approve hone ke bad hum apne blog me ads lagate hai.

Problem ab shuru hoti hai AdSense se low earning hone ki. Jiski kuch wajah hoti hai jaise AdSense policy ka ullaghan karna, ads sahi jagah par nahi lagana, ad unit limit se jyada ads use karna and other bahut se reason hote hai. Inme se kuch ke bare me mai pahle se post likh chuka hu. Jo aap Adsense se related article par ja kar padh sakte ho.

Now, Is post me mai aapko google AdSense ads ke placement optimizing ki tips bta raha hu. Jinse aapki AdSense income jarur badhegi. Actually, In tips ko follow karne se aapko jyada ads click milenge or AdSense CPC bhi increase hogi.

What is Optimization | Google Adsense Optimization Kya Hai?

Optimization apni website par apni site or AdSense ads ki quality, placement and performance ko better karne ki process hai. Jisme aap apni site par AdSense advertisment ko optimize kar AdSense revenue increase kar sakte hai.

Google Adsense Optimization Tips in Hindi – Increase Your Adsense Earning

1. Ad limit per page: 

Aap 1 page me 3 display / text ads, 3 links ads and 2 search box ads laga sakte ho. Agar aap ads unit limit se jyada ads lagaoge to aapki AdSense CPC low ho jayegi or o sakta hai aapka AdSense account band bhi ho jaye. Maine iske bare me Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post me sabkuch details me btaya hai. Agar aapko iske bare me janakri nahi hai to aap is post ko padh kar ads limit ke bare me sabkuch sikh sakte ho.

2. Don’t Feel Shy:

Agar aap apne blog se money earn karne ke liye google AdSense ke ads use karte hai to isme koi burayi nahi hai or aapko apni site par ads ko chipane ki jarurat nahi hai. Aap apne content me ads ko sabse alag show kare jisse visitors ko bhi pata rahe ki wo ads par click kar rahe hai.  I mean jaha par aap advertisments add karo us location ko reader clearly dekh sake.

3. Target Section:

Section Targeting google AdSense earning badhane ka ek acha idea hai. Aap apne readers and website ki perofrmance report ke anusar AdSense ads ko target kar sakte hai. Aapko apni site par content based targeting, interest based targeting ya placment based targeting me se kis se jyada benefit hota hai.  I mean aapke visitors kis type ke ads pasand karte hai or aapki kis type ke ads par adhik clicks milte hai or achi income hoti hai.

4. Ads Theme:

Agar aapki website par dark the like black background theme / template hai to aapko AdSense ads ke liye bhi apne experience ke hisab se theme design kar leni chahiye.

5. Best performing Ad Unit:

Google AdSense ke ads me abse better result 300×250, 336×280, 160×600 abd 300×600 size ke ad unit se milta hai. In par aapko jyada click milte hai or inki CPC bhi high hoti hai. Mostly aap 336×280 size ke ad par text only format jyada better hota hai or 300×250 rich media and images ads ke liye behtar hai. 160×600 or 300×600 size ads sidebar ke liye badiya hote hai.

6. Eye Catchinh Place:

Jo visitors aapki site par pahli bar aate hai wo ads ko ek do bar dekh kar leave kar jate hai. Ya fir aapki post padh kar chale jate hai. So ads aysi jagah par lagaye jaha par site ko open karne par sabse jyada or sabse pahle user ki nazar pade. Iske liye blog sidebar or post ke first me ads lagana sabse better hai.

7. Website Layout:

Google AdSense ke liye website layout bhi important hota hai. So aapko apni website ke diesign par vichar karna chahiye or decide karna chahiye ki aapki site par kaha par ads lagana behtar ho sakta hai. Mere hisab se blog layout se pahle, blog banner or sidebar me sabse first me ads lagana better ho sakta hai.

8. Ads Color:

Ye bat sach hai ki website links color se matched color me AdSense ads show karna badiya hota hai. Magar kabhi kabhi kuch alag color jasie ight yellow or very light grey color ke ads se bhi jyada paise kama sakte hai. Actually, Ye aapke readers par depend karta hai ki wo kis color ko jyada pasand karte hai. So is trick ko aajmane me koi burayi nahi hai. Aap ek bar ise try kar sakte ho.

9. Search Ad Unit:

Aksar new reader aapki site par apni pasand ka content padhne ke liye search box ka istemal karna like karte hai. Ayse me aap apni post se pahle ya post ke bad me google search engine box ad kar sakte ho. Isse aapki AdSense earning bhi badhegi or traffic bhi increase hoga.

10. Sidebar Ads:

Mai aapko suggest karunga ki aap sidebar me 300×250 ad unit me display and text format ad duse kare or 300×600 me text only ads use kare. Sidebar me Text ads par aapko jyada click mil sakte hai kyuki 300×600 size ke image ads ko load hone me jyada time lagta hai.

11. Article Lenth:

Agar aap short post likhte ho to aap ost ke first and last me ad lagaye or agar aap long article wirte karte ho to aapko post ke middle and first me ads lagane chahiye. Kabhi kabhi post ke end me bhi AdSense ads acha work karte hai.

12. Check related blog:

Aap hindi blogger hai or blogging par post likhte hai to aap apne blog se related topic wale other blog ka placement bhi dek hsakte hai or unse iske bare me bat kar sakte hai. Ho sakta hai aapko unke experience se fayda ho jaye.

13. Search Engine Traffic:

Bahut se success people kahte hai ki google AdSense se adhik paise kamane ke liye search engine se jyada traffic hona chahiye. Really, ye bilkul sach hai search engine se aaye visitors AdSense ads me jyada interested hote hai. So aap apni site par search traffic increase kare. Ye sabse better AdSense optimization tips hai.

14. Use Flicker:

Agar aap achi image banane me expert hai to aap flicker jo ki yahoo ki service hai par apne photos share karke blog par search engine se readers badha sakte ho.

15. Google Analytics:

Google analytics par AdSense revenue performance report check kare or pata kare ki kis type ke content par ads se jyada earning ho rahi hai or kis content par user AdSense ads par jyada click kar rahe hai. Uske bad usi se related content share kare.

Finally, Google AdSense optimization ki sabse badi tips hai aapka experience, aap apne hisab se apni site par ads show kare or pata kare ki kis place par aapko jyada fyada ho raha hai. In my case, Mujhe post ke first me lage AdSense adss se sabse jyada benefit milta hai.

I hope aapko ye tips pasand aayegi. Agar ha to is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 72 )

  1. Hello sirji,

    Maine ek post par as exprement ad placement ki hai. Please check post and review is it valid as per Google adsense terms and conditions.

    Separate Url diya hai website main wahi dekh ke guide kijiye.

    Per post text Link ad unit -3
    Image and text unit -1

    Reply
    • Ad placement bilkul sahi hai no problem.

      Reply
  2. khan sir aaj 2nd march ko bhi mera adsense balance january ka hi show ho raha hai february ka balance update kyon nahi hua pehle kabhi aisa nahi hua.

    Reply
    • Qureshi kei bar payment update hone me time lagta hai thoda wait kiya karo.

      Reply
  3. Hello jumedin bro meri site quicklystartup.com ke liye maine jab se adsense apply kiya hai tab se abhi tak revewing hi kar raha hai aur na koi email aaya hai aaj 4-5 din ho gye. jabki 3 din ka time bata raha tha. aap site ko check kare ki meri site asdense ke liye applicable hai ya nahi. aur itna time kyu lag raha hai. approved hone me.

    Reply
    • Thoda traffic badhao fir apply karo ho jayega.

      Reply
  4. Bhai mene blogger par ek blog suru kiya tha uss par main 30 post kar chuka hu.
    ab aap batao ki blog ko publish/promot kab karu visitors ke liye.
    ya kuch aur posts krni hogi.

    Reply
    • Jab aap chaho kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment