Google AdSense Kya Hai or Ye Kaam Kaise Karta Hai?

Google Adsense Kya Hai Kaam Kaise Karta Hai Aur Isse Kamai Kaise Hoti Hai, Main Adsense Se Paise Kaise Kama Sakta hu or Kitne Kama Sakta Hu? Aaj main aapko iske bare me details se btaunga. Agar aapko abhi tak google adsense ke bare me puri jankari nahi hai to is post ko padhne ke bad aapko adsense ke bare me sabkuch malum ho jayega or aapke pas google adsense ki full information hogi. Adsense se earning karne se pahle aapko adsense kya hai or ye work akise karta hai ke bare me achhe se jan lena chahiye taki aap ise sahi se use kar sako or paise kama sako.

Google Adsense Kya Hai Aur Kaam Kaise Karta Hai?

Whait is a Google Adsense, How Does it Work and How Can I Earn from Adsense? is sawal ka jawab har wo internet user janna chahata hai jise internet se kamayi karni ho magar is bare me aapko internet par bahut kam jankari milegi. Isiliye aaj main is topic par likh raha hu taki newbie adsense publisher ko problem na ho or wo adsense ka sahi se istemal kar sake.

Agar aap blogging ya online world me new ho to aapne google adsense ke bare me jarur suna hoga ya aapne apni favorite website par adsense ads jarur dekhe honge. Internet se earning karne ka ye most popular program hai. Aaj main aapki isi ke bare me detail se btane wala hu ki google adsense kya hai or work kaise karta hai.

Main pahle bhi google adsense ke bare me bahut se articles likh chuka hu iske liye aap humari Google Adsense category wali posts read akr sakte hai. Agar aapko adsense ke bare me jankari nahi hai to aap bahut jaldi adsense policy violation kar baithoge or aapka adsense banned, deactivate ya suspend ho jayega.

Isi liye main aap sabhi ko suggest karunga ki aap adsense ka istemal karne se pahle iske bare me achhe se jaan le ki ye kya hai, work kaise karta hai or isse income kaise hoti hai? Google adsense hume paise kyu deta hai or kisliye deta hai? In sabhi sawalo ke jawab aapko isi article me mil jayenge aap bas ise carefully read kare or achhe se samajh le.

Google AdSense Kya Hai? Ye Kaam Kaise Karta Hai? Isse Se Kamai Kaise Hoti Hai?

Main is post me aapko google adsense kya hai or ye kaam kaise karta hai ke alawa adsense se paise kamane ka tarika or adsense se kitne paise kama sakte hai ke bare me bhi bta raha hu. Aap post ko carefully read akre taki aapko har point achhe se samajh aa sake.

1. Google AdSense Kya Hai?

Google adsense CPC (cost-per-click) advertisement program hai jise google ne banaya hai. Google adsense ke through adsense publisher ki website and blog par audience ko target kar automatic text, image, video, and interactive media advertisements ads show karta hai.

Google mostly sites content and audience ko target kar ads serve karta hai. Adsense publisher apni site ke pages and posts me add display kar earning kar sakte hai. Google adsense se aap per click and per impression revenue generate kar sakte ho.

Ab aap sochoge ki jab google hume paisa deta hai to google ko paise kaun deta hai. Actually, google ko wo log paise dete hai jinhe apni company, product, website, business etc. ka promotion karna ho I mean advertiser google ko paymwent karte hai. Google us revenue me se 68% commission adsense publisher me bant deta hai or baki 32% commission apne pas rakhta hai.

For example, google content ads par 68% or search content par 51% revenue publisher ke sath share karta hai. Agar apa janna chahate hai ki adsense kitna percent revenue pulisher ke sath share karta hai to iski jankari ke liye aap Adsense Revenue share page par visit kar sakte hai.

Google har type ke ads offer karta hai. Aapko lagbhag har tarah ke content ke liye ads mil jayenge. Aap kisi bhi topic wali sites par adsense advertisement ka istemal kar sakte hai. Isiliye ye advertising program me sabse best network hai.

Google adsense ke alawa media.net, bidvertiser, chitika, adnew etc. bahut sare program hai magar in sabhi me adsense sabse jyada pay karta hai or isi waja hse ye sabse jyada popular programs hai. Sabse jyada people isi ka istemal karte hai.

2. AdSense Work Kaise Karta Hai?

Humara second point hai adsense kaam kaise karta hai? Adsense cost per click kar kaam karta hai or per click publisher ko commission share karta hai.

Suppose kijiye main ek advertiser hu or aap ek adsense publisher hai or apni site par adsense ads display karte hai. Ab main apne product ko promote karne ke liye google adsense par ads serve karunga or uske liye google ko per click $5 pay karunga.

Ab jab aapki site par mere product ka ads show hoga or aapka koi user us ad par click karega to google mere diye $5 me se aapko 68% yani $3.4 dollar commission aapko share karega or baki 32% yani $1.6 commission apne pas rakh lega.

Is tarah se adsense work karta hai or adsense publisher ki earning hoti hai. Agar aap is point par thoda care karoge to ye aapko aasani se samajkh aa jayega.

3. Google Adsense se Earning Kaise Hoti Hai?

Humara tisra question hai adsense se kamai kaise hoti hai? Is bare me aap point 1 and 2 ko padh kar samajh gaye honge ki adsense se kamayi kaise hoti hai. Fir bhi agar aapko samajh nahi aaya hai to main aapko yaha details se bta deta hu.

Jiasa ki maine upar btaya hai ki google adsense 68% revenue adsense publisher ke pas share karta hai or baki 32% apne pas rakhta hai. Adsense cost per click yani CPC par kaam karta hai.

Ab agar aapko daily 500 ads  click mil jate hai or aapko google per click $0.50 pay karta hai to apaki CPC hogi $0.50 or 500 click se aapki earning hogi $250 dollar. Yani agar aap indian user hai to apako $250 ke 16,000+ rupees milenge.

Ab agar aap soch rahe hai ki adsense se kamaye gaye paise hume kaise milege to google wire transfer ke through direct aapke bank account me payment send karta hai. Google har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai. Adsense se payout karne ke liye aapke adsense account me minimum $100 earning honi chahiye. Iski jyada jankari ke liye ye post read kare.

  • Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai

4. AdSense Se Income Ke Liye Mujhe Kya Karna Padega?

Agar aap adsense se earning karna chahate ho to uske liye aapke pas website or blog ka hona jaruri hai. Agar aapke pas website nahi hai to aap 5 minute me apni site bana sakte ho wo bhi free me. Iskel iye ye post read kare.

Website ya blog banane ke bad aapko apni site par post likhni hai aap apne interest ke anusar kisi bhi topic par post likh sakte hai. Jab aapki site par daily 1000 to 2000 traffic aane alg jaye to aapko google adsense ke liye apply karna hoga. Iski jankari ke liye ye article read kare.

Adsense ke liye apply karne ke bad 1-2 week me aapka adsense account approve ho jayega uske bad aapko apni site par adsense ads lagane hai. Uske ba aapki site apr ads show hone lag jayenge or aapki earning start ho jayegi.

5. Google Adsense Se Kitne Paise Kama Sakte Hai?

Agar aap soch rahe hai ki google adsense se kitne paise kama sakte hai to main aapko iske bare me bhi ta deta hu. Main is post ko jyada badi nahi karna chahata isiliye short me bta deta hu.

Google adsense kya hai isse aap kitna kama sakte ho ye nimn points par depend karta hai.

  • Aapki site par traffic kitna hai
  • Kis type ka or kis location se traffic milta hai
  • Aap site par kis niche par content likhte ho
  • Aap content me kitne high paying keywords use karte ho
  • And aap adsense placement kaise karte ho

In 5 bato par aapki adsense earning depend karti hai. Ek person jiski site par 1,00,000 traffic hai or dusra person jiski site par only 10,000 traffic hai to wo 1 lakh traffic wale se jyada kama sakta hai. Beshak use adsense ki jyada knowledge honi chahiye.

Finally, ab aapko samajh aa gaya hoga ki google adsense kya hai work kaise karta hai or isse income kaise hoti hai. Sath hi aap isse kitne paise kama sakte ho. Agar aapko is bare me koi sawal puchna ho to aap comment me puch sakte hai.

Friends agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 55 )

  1. Hi sir!
    Aap anti-adblocker ke liye konsa plugin use karte ho ?

    Reply
    • Main abhi ad blocker use nahi karta pahla karta tha coding se kiya tha.

      Reply
  2. Hello Jumeendin sir

    Mane Genesis Fremwork Purchase kiya hai and And Usme Bahut Saari Child Theme De Rakhi Hai sir To sir Aap Bata Sakte Hai Apne Konsi Child Theme Install kar rakhi hai And Isko Custumise Kaise Krte Hai ?

    Reply
    • Main parallax child theme istemal karta hu. Child theme ko custome karne ke liye aapko php, html, CSS coding aani chahiye.

      Reply
  3. Bhai… Webmaster tool me sitemaps warnings dikha rha hai..95 warnings…
    Mai kya karu?? Give me some idea..
    Thanks
    Regards :- MD SABAN

    Reply
    • Check karo ki sitemap work kar raha hai ya nahi agar ha to sitemap ko fir se submit kar refresh karo.

      Reply
  4. Waw….kya design hai apki blog ki love to see it , bhai mujhe ye janna hai trust flow kisi bhi blog ke liye kitna jaruri hota hai.

    Reply
    • Jitna jyada ho utna hi behtar hai.

      Reply
  5. Bro mai apse kuch puchna chata hu

    Apki site par daily traffic kitna aata hai pageview kitne hote hai

    Apki daily earning adsense se kitni ho jati hai laghbagh kitne $
    5$ to 10$ ya isse jyada

    Ap adsense ke alawa apni aite par kon kon si advertising use karte ho

    Please in sab ka jabab jarur de please

    Reply
    • Iske liye aap SMI ki income report check kare.

      Reply
  6. Traffic Constant ho gya hai.. iske Liye Koi Best Solution bataye

    Reply
    • SEO par work karo or quality content likho.

      Reply
  7. Bro Nyc Post !!!
    Jaise ke ab New Update aya he youtube sy ke ab 10,000 sy kam Views wali Channel pe ads nahi dhkengy to

    Mera Question ye he :-

    Abhi Mere channel pe adsense approve he Q ke mene Bohat pehle ka banaya hua he but abhi issme 10k views nahi hue he , To Ads nahi dikh Rahi , Mene ye puchna tha jab mere 10k hojayengy views to Me Reqs kaise bejhun unko yaha. To koi option nahi he siraf Montization me Approve likha hua he or videos ke agy Bhi Montiziation On he ab me dubara kaise apply karun ??
    Kia koi Youtube ne link dia he ? Ya fr Kahin Or he Option ?

    Please Tell , Thanks

    Reply
    • Dubara apply karne ki jarurat nahi hai jab aapke channel par 10,00 views honge to ads show hone lag jayenge.

      Reply
  8. सर पहले Blogger से Adsense को Apply किया और Accept नही हुआ तो –
    1. क्या हम यूट्यूब से भी दोबारा apply कर सकते हैं
    2. क्या हम दूसरे Custom Domain से दोबारा Apply कर सकते हैं

    Reply
    • Yes kar sakte ho youtube se apply karne ke liye ab aapke pas 10,000 views hone chahiye.

      Reply
  9. Sir 4000 views par adsense approve ho jaayega. yutube par

    Reply
    • Nahi ab kam se kam aapke channel par 10,000 views hone chahiye tab approve hoga.

      Reply
  10. Wow,very useful post

    Google adsense se related yah jaankari bahut hi upyogi he or mera manna he ki jo log blogging kar rahe he yaa fir krna chahte he vah log yadi yah jaankari ko ahchhe se padh lenge to vah adsense ko bahut hi achchhe tarike se samaj jaayenge.

    Maine aapki adsense related bahut saari post pehle padhi hui he or me pichhle 2 din se vaapis unhe revise kar raha hu,kyuki me chahta hu ki adsense related jaankari me achchhe se prapt kar shaku.

    Thank a lot for sharing this informaion

    Reply
    • Welcome and keep visiting.

      Reply

Leave a Comment