Google 0 Position Kya Hai – Google Me 0 Position Kaise Paye

Bahut se website owner and blogger google me 1 position pane ki SEO process btate hai magar aaj main aapko google me 0 position pane ke bare me jankari dunga. Yes, google me first, second hi nahi 0 position bhi hoti hai. Is position me show hone wale page ko 1 and 2 position me show hone wale page se 70% Organic Traffic milta hai. Main google search ads ki bat nahi kar raha hu isme aapko koi investment karne ki jarurat nahi hai. Bas aapko kuch SEO techniques follow karni hai or aapki blog post google me 0 rank par honge. So chaliye jante hai Google 0 Position Kya Hai or Google 0 Position Pe Apni Website Ko Kaise Show Kare?

Google 0 Position

Iski sabse achhi bat ye hai ki agar aapki post google me 5 position par bh ishow ho rahi hai to bhi aapko o position mi lsakti hai. Aapki post 2 jagah show hogi ek google ke top 10 results me or ek google 0 position me jise Feature Snippet kahte hai. Yah main aapko is feature ke bare me bta raha hu google me ye kaise show hota hai or or apni site ke pages ko is position me show karane ke liye hume kya karna hoga.

Mostly, google me top position me aane ke liye long contentm multiple URLs and backlinks ki jarurat hoti hai magar google me 0 position pane ke liye aesa bilkul nahi hai. Iske liye aapko long content ya multiple URLs ki jarurat nahi padti hai. Bas aapki post me unique content hona chahiye or aapka explain karne ka tarika featured snippet rules ko follow kanra chahiye.

Google 0 Position Kya Hai Isme Website Ko Kaise Rank Kare

Google top 10 search results me se kisi ek post ko 0 position deta hai. Ye post bahut short bhi ho sakti hai. Agar aapki page ki search rank position top 10 me shamil hai to bhi aapko google me 0 position mil skati hai or aap apni site ki google me visibility or organic traffic badha sakte ho.

Google 0 position me show hone wale content me baki search results ki tulna me 70% clicks milte hai. Sath hi is type ke search results se visitors ka site par truest bhi badhta hai. Hum sab jante hai ki ji site ki google me achi rank ho use readers sabse jyada pasand karte hai or baki sites ki tulna me sabse jyada usi par visit karte hai.

Google 0 position results e tarah se VIP results ki tarah hai isme aapki post sabse alag type se show hoti hai. Isme aapki post ke title and desctiption ke alawa kuch or jaruri keywords and lines or short paragraph bhi add kiya jata hai.

Iski sabse achhi bat ye bih hai ki aapko bahut jyada SEO terms follow karne ki jarurar bhi nahi hai. Aapko ba unique content or featured snippet rankranger ke rules follow karne hai.

Google 0 Position Kya Hai?

RankRanger ke anusar ye google me top me show hone wala wo result hai jo google ke bak isabhi search results se alag hota hai. Jisme post URLs, tittle and meta description ke alawa “Snippet” bhi show kiya jata hai. Ise “Featured snippet” search result kahte hai. Isi ko Google 0 Position rankings kahte hai.

Google Programmatically  user question ke anusar search results me jaruri answers ke sath aapki post ko show akrta hai. Ise user attention ke liye dusre search results se bilkul alag tarike se design kiya jata hai. Jiski CTR (Click through Rate) sabse jyada hoti hai.

For example, aap ye screenshot dekh sakte ho.

Featured snippet google 0 position

Yaha aap clear dekh sakte ho ki page google me 0 position ke sath sath top me no.1 position par bhi show ho raha hahi. Hanlanki pahle aesa nahi tha. Pahle aapki post featured snippet me show hoti thi to search result me anhi hoti thi magar ab google 0 position me sath top 10 results me bhi usi post ki real search position show karta hai.

Featured snippet feature inta attractive hota hai ki jis keywords par ye show hota hai user baki sabi search results ko chord kar isi par click karta hai. Ye bilkul google search ads jaisa hai magar real me ye bilkul free hai.

Google 0 Position Me Apni Site Page Ko Kaise Show Kare

Google featured snippet search results me kai tarah se search results show karta hai. Main aapko sabhi ko alag alag tarike se screenshot ke sath samajha raha hu. Yaha main aapko 5 tips bta raha hu halanki google or bhi kai type se featured snippet results show karta hai.

Google Me 0 Position Pane Ke 5 Tarike:

1. Featured Snippet with Paragraph:

Google kuch posts ko paqragraph ke sath 0 position me show karta hai.

paragraph featured snippet

is type ki position pane ke liye aapko apni post me best se best ot clear paragraph add karne honge. Google aapki post me ad kisi bhi paragraph ko le kar visitors ko show kar deta hai. Isme wohi post show hoti hai. Jinme kam short pargraph me clear and achhe se explain kiya gaya ho.

2. Featured Snippet with Process Steps:

Is featured snippet me google user ke dwara search kiye gaye keyword ke anusar search result me 5-10 prcoess steps bhi show karta hai. Ye result mostyl “How to..?” keyword me show hota hai. Jaise “How to become a publisher”, “how to become a yotuber” etc.

process steps featured snippet

Is position ko pane kel iye apako pani post me kisi bhi process ke steps clearly btane hote hai. Jaise apa kisi account banane, kisi forum ko fill karne ki process btate ho or koi us type ke keywords search kare to google ko apaki post me uske liye jaruri process sterps milne chahiye.

3. Featured Snippet with Tables:

Google kuch results ko mark up ke sath table wale meta data ke sath show karta hai. Ye search results hotel details, travel detals etc. kisi bhi type ki details search karne par show hota hai. For example, aap IPL seaons search karoge to google aapko ek hi results me IP seasons ke kuch example ke sath search result show karega.

Table type featured snippet

Is type ka search results show karne ke liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Apa bas apni post me table yani <table> to </table> content ka isemal kare. Aap table m achhe clearly points ko explain karoge to aapki post google me 0 position me show hogi.

4. Featured Snippet with Featured Image or Screenshots:

Is type ke search results me google keywords se related jaruri steps ke alawa featured thumbnail bhi show karta hai. Jisse users ko search reuslt or bhi jyada attract karta hai.

featured snippet with screenshot

Is tarah ki position pane ke liye aapki website featured thumbnail ready honi chahiye taki google jarurat padne apr aapki post ki thumbnails ko 0 position wale result me show kar sake. Isme aapki post me add ki gayi images depend karti hai. Aap jitni jyada post ocntent realted or important image add karoge aapki post utni hi jyada featured snippet me show hogi.

Ab aapko achhe se samajh aa gaya hoga ki google post ko 0 position me kaise show karta hai or iske liye hume kya karna padta hai. Aesi rank pane kel iye hume konse steps follow arne honge. Maine aapko upar sabhi ke bare me short me btabhi diya hai.

But itna kafi nahi hai, Google me 0 position pane ke liye aapko inhe achhe se samajhna hoga. Ye market me apni company, website me dhak jamane ka sabse aasan or free tarika hai. Aapko is par work karna shuru kar dena chahiye.

Conclusion,

I hope in tariko e aap apni site ko google 0 position me la sakte ho. Google me 0 position pane ka ye sabse aasan or free tarika hai. Iski click through rate bahut high hoti hai. Jaisa ki main upar bta chuka hu bak isearcxh postion ke mukable is type ki search queries par 70% jyada click milte hai.

Google featured snippet mostly sabse jyada search kiye jane wale keywords, great keywords par hi show karta hai. So is type ka search position pane ke liye aapko top and most popular keywords par content likhna hoga.

Finally, ab aap google me no.1 and no.2 position ko bhool jayiye or google me 0 position pane ki tayari shuru kar deni chahiye. Yaad rahe ye koi 1-2 din ki process nahi hai ki google aapki koi bhi post ko 0 position me show kar dega. Iske liye aapka content baki top 10 search results me show hone wale content se behtar hona bhi jaruri hai.

Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par other bloggers and apne dosto ke sath jarur share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 49 )

  1. Bahut badhiya jankari diya aapne. Jab bhi mai is tarah ke 0 position wale result dekhta tha to hairan hota tha ki ye sabhi search result se alag or itna detail kyu show hota hai..Lekin aaj aapne detail me samjha kar mere sare doubts clear kar diye…

    Thanks 🙂

    Reply
  2. Bro agar hamare Adsense account me $100 Ho jata hai aur hum apne Adsense me apna bank account nahi add karte hai to kya hamara Adsense account disapproved ya block ho sakta hai.
    Ya phir meri Adsense earning atop ho sakti hai ya meri Adsense earning hoti hi rahegi.
    2. Mere bank account me dusra name hai aur mere Adsense account me dusra name hai to kya isse kisi tarah ki problem bhi ho sakti hai.Jaise ki meri Adsense earning mere bank account me transfer hone me kisi tarah ki dikkat galat name hone ke karan.
    So plz.. details me bataye….

    Reply
    • Aapki adsense earning hoti rahegi koi problem nahi hogi aap bad me bank account add karke payment le sakte ho.
      Yes ho sakti hai different name par payment nahi milega bank acocunt usi name se ohna chahiye jis name se adsense account hai. Aapko apne adsense wale name se hi bank acocunt khulwana hoga.
      Note:- Next time full name se comment kare warna approve nahi hogi.

      Reply
  3. Sir Aapne Bahut Achi Jankari Di Hai

    Reply
  4. Nice tip bro. Mere blog me bhi kuch articles ki 0 position show hoti hai.

    Reply
  5. Bro Kya Jo Aapne Upar Aapka Jo 0 Posstion Par Image Me Apna Blogg Dikhaya Kya Real Me Tha Ya Aapne Image Ko Edit Karke Kya Hai And Mai Jana Chahta Hu Apki Kitni Post Google 0 postion.Par Show Hoti Hai And Kya “0 Par Show Hone Par Cpc High Hoti Hai

    Reply
    • Altaf wo real me hi thi iska link bhi mention kiya hu. Google ab random results show karta hai. Aaj aapki post top me hai to jaruri nahi kal bhi hogi. Rank badalti rahti hai.

      Reply
  6. Only how to post hi show hoti hai kya bro

    Reply
    • Nahi all type ki post show hoti hai.

      Reply
  7. Mast information hai bhai..Mere blog ki kuch 4-5 post Bhi Google par same waise show karta hai jaisa ki Aapne sabse upar 1st image me bataya hai.

    Reply
    • Very good

      Reply
  8. shandaar post sir.. maza aa gaya padh kar

    Reply
  9. Hello sir! Aapne achi jankari di hai.
    But kya hindi blog ke liye bhi ye snippet show hota hai. maine aajtak ye result hindi search me nahi dekha.

    Reply
    • Isme language se koi lenadena nahi bas aapka content unique ho.

      Reply
  10. Brother mene Snippet Result ke liye bahut koshish kiya hai Par mera ek bhi post Aise REsult me show nhi hua hai. Kya kuch aise tips ke bare me bata sakte hai jisse Post ko Snippet me fastly laya jaa sake .. Thanks

    Reply
    • Mahaveer ye itna aasan nahi hai. Kyuki isme wohi post show hoti hai jo top 10 ranking me h or behtar content wali ho. Fir bhi aap upar post me btaye tarike follow karo or post ka sahi se promotion karo sath hi apa iske bare me or jankari pata karo google 0 position mil jayegi.

      Reply

Leave a Comment