Flipkart Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Maine affiliate marketing program se paise kamane ke bare me pahle bhi StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye article me btaya tha ki kaise hum WordPress theme sell karke money earn kar sakte hai. Aaj is post me aapko Flipkart Affiliate Program se paise kamane ke bare me bta raha hu.

Flipkart Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye

Hello sir flipkart affiliate se paise kamane ke bare me janna chahata hu. Kya aap iske bare me post likh sakte ho.” Ye message Arvind Sharma ne contact form me send kiya hai. So is tutorial me mai arvind ke sath aap sabhi ko details me flipkart affiliate marketing se paise kamane ke bare me bta raha hu.

Agar aap affiliate marketing program ke bare me puri jankari chahate hai to aap humari Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post padhiye. Isme aapko affiliate program se paise kamate hai ki full information milegi.

Flipkart Kya Hai?

Flipkart bharat ki ek E-commerce company hai jise Sachin Bansal and Binny Bansal ne 2007 me banaya tha. Flipkart ke founder pahle amazon.com ke liye work karte the but 2007 me inhone apni alag company banane ke bare me socha or flipkart ko launch kiya. Ye singapore me registered hai but iska headquarters Bangalore, Karnataka, India me hai.

Flipkart ko main books kharidne or bechne (Buy and Sell) ke liye banaya gaya tha. Magar ab customer is par Electronics, Books, Clothes, Accessories, Home furnishing and other product buy and sell kar sakte hai.

Flipkart par aap cash on delivery, credit or debit card transactions, net banking, e-gift voucher and card swipe on delivery method se payment kar sakte ho. Flipkart ne apne aapke product “Digiflip” ko launch kiya hai. Jiske under ye tablets, USBs, laptop bags and computer ka saman sell karta hai.

Flipkart Affiliate Program

Flipkart affiliate program ke ads apni site par laga kar aap achi earning kar sakte hai. Aapko sirf apni site par flipkart ke links and banner ads lagane hai. uske bad jab bhi koi aapki site par se flipkart ke ads par click ke koi product kharidega to us product ka kuch hissa yani commission aapko milega.

  • Flipkart aapko product ke price ke hisab se aapko commission deta hai. ye commission 5% se 20% tak ho sakta hai. Agar aap janna chahate hai ki flipkart kis product par kitna commission deta hai to aap flipkart commissions form par visit kare.
  • Flipkart affiliate program par aap 2 tarah se money earn kar sakte hai. ek me aapko flipkart par shoping karni hogi or dusre me aapko direct bank account me payment milega.
  1. Gift Voucher: Isme aap flipkart se jo bhi paise kamaoge wo aapko nahi milenge. Aap sirf un paiso se flipkart se shoping kar sakte ho. Yani flipkart aapko cash payment nahi karega. Aapko uske product buy karne honge. Isme aapki earning Rs250 hone par aap shoping kar sakte ho.
  2. EFT: EFT yani Electronic fund transfer, Is method me flipkart aapke bank account me direct payment send karta hai. Jab aapki earning Rs1000 ho jati hai to aap payment receive kar sakte ho.
  • Flipkart ke link or banner ads ko aap apne hisab se customize kar sakte ho. Or kisi bhi product ko search karke uska affiliate link generate kar sakte ho.

Flipkart Affiliate Se Earning Kaise Hoti Hai?

Flipkart affiliate earning process

Flipkart affiliate program ko join karne ke bad jab aap apne blog ya website par uske ads lagaoge or us ad par click karke koi visitor flipkart ke product buy akrega to aapko uska kuch persent commission milega.

Flipkart Affiliate Program Par Account Kaise Banaye?

Flipkart par register karne ke liye sabse pahle aap Flipkart Affiliate par jaye or JOIN NOW FOR FREE ya regidter par click kare.

Yaha par aapko apna email address or password choose karne hai. Apne password or email ID add karne ke bad “I agree to the Flipkart Affiliate Program Term and Conditions” ke samne tick kare. Uske bad REGISTER ME button par click kare.

Join flipkart affiliate program

Ab ye message show hoga “Successfully registered! Please check your email for a confirmation link to activate your account.”. So apne gmail inobox me jaye or usme diye link par click kare. Us link par click karke aapko account verify karna hai.

Ab aapke samne flipkart affiliate account information ka page khulega. Ab yaha par aapko apne account ki sahi information bharni hi.

flipkart affiliate account information

  • Account Information: Isme aapko apna name, email address, recoer email addpress, mobile number, address, country, state, city and pin code select karna hai.
  • Affiliate Type: Yaha par aapko ye select karna hai ki aap apni company ke liye affiliate program join kar rahe ho ya sirf apne liye. Agar apne liye kar rahe ho to individual slect kare. Or agar aap company ke liye account bana rahe ho to Organisation select kare.
  • Payment Information: Aapke pas two option hai. EFT or Gift Voucher. Inke bare me mai upar bta chuka hu. Dono me aapko PAN Card ki jarurat padegi.
  • Webste URL, upload photo and account setting: Isi tarah aapko Webste, upload photo and account setting ki setting set karni hai.

Flipkart Affiliate Products Ka Promotion Kaise Kare?

Ab aapka flipkart par account bhi ban gaya hai. So ab aapko apni site par flipkart ke ads lagane hai. Iske liye aap ye step follow kare.

  1. Flipkart site par jaye or us product ko search kare jo aap apni site par bechna chahate hai.
  2. Ya fir aap flipkart affiliate form par ja kar bhi categary ke hisab se product pasand kar sakte hai.
  3. Ab aapke pas do option honge first aap apni site par links add laga sakte hai. Second aap flipkart ke banner use kar sakte hai.
  4. Mai aapko suggest karunga ki aap banner and links add use karne ke sath sath flipkart product ke bare me articles likhe or usme flipkart ke links add kare.
  5. Links example: https://dl.flipkart.com/dl//mesleep-abstract-69-821-vinyl-laptop-decal/p/itmebvhxb8skfhjz?pid=LSDEBVHXQZYHNVJD&affid=iamjumede

Finally, Ye thi flipkart affiliate program se paise kamane ki complete guide. Agar iske bad bhi aapko kuch puchna ho to aap niche comment me puch sakte hai. Or agar aapke pas flipkart ke bare me koi or jankari hai to aap comment section me apne thoughts share kar sakte hai.

Agar aapko ye tutorial pasand aaye or isme helpful information mile to ise social media par apne friens ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 119 )

  1. Hello Sir mujhe apki help chahiye
    Mujhe bhi aap jess website banana hai .
    Kya aap mera naya website bnane me help karnge .

    Reply
    • Iske liye apa mujhe mail send karo.

      Reply
  2. Nice Bhai mere ye questions ka answer dena

    1. Affiliate Marketing k liye traffic kitna chahiye.
    2. Affiliate Marketing ham blogger blog m blog bnane ke kitne din bad kr skte h.
    3. Ye payment kease krta hai.
    4. Affiliate Marketing k liye blog m kitna post hona chahiye.

    Reply
    • 1. Traffic 10k or user support bhi hona chahiye.
      2. jab aapke pas achha support ho tab kar sakte ho.
      3. mostly direct bank account me pay karte hai or kuch paypal ke through.
      4. Ye matter nahi hai aapke pas bas user trust hona chahiye.

      Reply
  3. Hello sir
    Mere pass PAN ID nahi hai. Kya main a/c bana sakta hu

    Reply
    • Affiliate marketing ke liye PAN card jaruri hai.

      Reply
  4. Bhaut Acchi post hai Filpkart affiliate walo ke liye so they get More Informations.

    Hellow jumedeen ji

    Me affiliate Marketing krne ke liye soch rha tha
    likin mene aaj he Amazon affiliate pe Account bnaya hai Aur A/c bhi ban gya . Av mujhe 2 second step me kya krna hai. mujhe blog pe banner laga na a gya bt unme jo product ki link h vo Code me milti h Like Adsense ka code hota vese. aur vo dirct browsr me open nahi hota. me usme short link bana na Cahata hu bt mujhe udhr kahi optn nahi mila. Get link pe click krne ke baad vo he code milta h jo bol pe lagane ke baad he open hota hai . Uski Link, Short link kaise bane gi jisse Blog ge add kiye bina Direct share kr shke Social sites pe. Mene search kia bt mujhe nahi mila. Aur sirf mujhe Filpkart affiliate marketing ki apki post mili hai.
    i requested to you. please Aap Amazon affiliate ke bare me post likheye. Mujhe Amazon affliate ke acc. bana ne ke baad second step me kya krna hai.
    please post jarur likhiye jumedeen ji .

    I Hope You Understand.

    Very Good Experience to you For all About that.

    Reply
    • Ok main iske bare me post likhunga.

      Reply
  5. Sir,kya ise google AdSense ke sath use kr sakte hai

    Reply
    • Ha kar sakte ho.

      Reply
  6. hallo sir me flipkart affiliate pr account bana rha hu to mene saari informetion bhar di he pr us me cancled chaque ki copy mang rha he jo mere pass nhi he batao me kya kru please help me

    Reply
    • Aap apna other documents upload kar sakte ho jaise identity card ya aadhar card

      Reply
  7. bro sab info ho gai but bank account no. to dala nhi payment ayee gi kese
    ,fb par lga skte hai affiliate add ya nhi or blog par kitnee visiter honee chaiyee
    btayee

    Reply
    • Is post me sabkuch btaya hua hai ache se padh lo.

      Reply
  8. Sir Affiliate Market ki Link Kaise dale Blog main
    Or sir main yai link FB y Whatsapp PR share kr sakta hu eesa bhee muje commission milega y nhi ? Pls tell

    Reply
    • Anas aap jaa chaho post me link copy kar paste kar sakte ho. Ha agar affiliate program ise allow karta hai to.

      Reply
  9. sir maine snapdel affilite par account banaya aur mer link se 700 rs ka product sale hua mujhe 75 rs comisson mila but 3 ya 4 din me 0 batane laga maine ignor kardiya fir wapis mere link se 600 rs ka product sale hua mujhe 52 rs mila fir woh gayab ho gaya ye ho kya raha hai sir meri help karo mai is me new ho

    Reply
    • Aap snapdeal ko iske bare me feedback send karo wo aapko iska reason btayenge.

      Reply

Leave a Comment